Bar waqt Nikah ke Taluq / Taluk se Aqwaal e Zareen

Bar waqt Nikah ke Taluq/Taluk se Aqwaal e Zareen:

Bar waqt Nikah ke Taluk taalluq se Aqwaal e Zareen

              *Nikah*
agar 12 - 13 saal me bachay bachiyan baaligh ho rahay hain aur 25 - 30 saal tak Nikah nahi ho raha hai toh yeh Jinsi mareez bhi banenge aur gunah bhi karenge.

              *Nikah*
waqt pe Nikah aulaad ka haq hai, is mein takheer walidain ko gunah gaar karti hai.

              *Nikah*
har ghair shadi shuda jawan larka aur larki aik dosray ki talab rakhtay hain aur yeh aik fitri zaroorat hai lehaza apne baaligh bachay bachiyon ke Nikah ka bandobast karen.

              *Nikah*
bhook pyaas ke baad baaligh insaan ki teesri ahem zaroorat jinsi taskeen hai, aur jab jaaiz zareya nah ho to bachha / bachhi gunah aur zehni bimarion ka shikaar ho jatay hai.

              *Nikah*
bad qismati ki intahaa, school, universities me badi badi larkiyan larke baghair Nikah Education haasil kar rahay hain, aur walidain ko nikah ki parwah hi nahi.

              *Nikah*
insaan ki jinsi zaroorat ka wahid baa izzat hal Nikah hai, aur agar Nikah nahi to zina aam hoga yeh aam feham nateeja hai.

              *Nikah*
apni bachiyon ke saro pe dupatta daalnay ka maqsad tab poora hoga jab un ka Nikah waqt pe hoga.

              *Nikah*
Allah taala ne muasharti aamaal mein se Nikah ko sab se aasaan rakha hai.

              *Nikah*
Nikah insanon ka tareeqa hai, janwar baghair Nikah ke rehtay hain aur reh sakte hain.

              *Nikah*
walidain apni aulaad pe reham karen aur waqt pe Nikah ka bandobast karen.


Hidaayat:  *yeh koi fehash post nahi hai aik dars hai jo har walidain ki zaroorat hai, be hayayi ko rokne ka aur gunaaho se apne bachon ki hifazat karne ka zareya hai.*
is Paighaam ko ziyada se ziyada share kare.  JazakAllahu khaira.

Post a Comment

0 Comments