Diploma in Arabic Online Notes Course Q & A
S.No Books
1 Sharah Fiqh - E – Akbar (Click Here)
2 Noor Ul Eizah (Click Here)
3 Arbayeen Fil Hadees (Click Here)
4 Risaleh Deeniyaat (Click Here)
5 Seeratun Nabi (Saws) (Click Here)
6 Nahu (Click Here)
7 Minhaj Ul Arabia 1-3 Parts (Buy)
8 Anwarul Arabia Attatbiqayyah (Buy)
9 Al-Jadeed 1-2 Parts (Buy)
Diploma in Arabic Language Free Notes
SHARAH FIQH - E – AKBAR (PART-1)
Solved Model Paper Question and Answer
1. Khulasa likhte hue Iman e Mufassal par ghuftagu karein.
2. Al-Quranu Kalaamullahi Ta’ala tashrih karte huye bayan kare ke Quran Majeed mein mazkura Ambiyaa e kiram ke waqiyaat se mutalaq Imam Azam ne kya tafseel raqham taraz ki hai.
3. Khatamun Nabiyyeena Sallallahu alaihiwasallam ka ba hawale matan Zikr Jameel karte huye asmath e Ambiya Kiraam par roushni daliye.
4. Khulafa e Rashideen ke Asma wa alqaab rakham karte huye unki afzaliyat par maslaqe haq ka mauqoof wazeh karein.
5. Mo’jezaat, Karamaat aur Istejraaj se mutalaq sahebe kitaab ne jo farq bataya hai bayan karo.
6. Sifaat ki tareef aur sifaat e zatiya wa feliya ki wazahat kijiye.
7. Jannat aur dozakh ko tafseel se likhiye.
____________________________________________________
Q1)
Khulasa likhte hue Iman e Mufassal par ghuftagu karein.
A) Tauheed ki buniyad aur jin par Iteqaad ke sahih hone
ka daromadaar hai, wajib hai ke wo kahe maine Iman laya Allah par.
Imam e Azam Abu Hanifa Rahmatullah alai farmate hai Istelah mein Tauheed ke mane Zaat e Ilahi ko un tamaam cheezooon se pak qaraar dena hai jin ka khayaloon mein tasawwur kiya jata hai.
Aur Iteqaad rakhne wale par farz hai ke wo is tarah kahe mai Iman laya Allah par aur uske Farishtoon par aur uski Kitabooon par aur Uske Rasooloon par aur marne ke baad uthaye jane par aur Taqdeer par ki achayi aur burayi par wo Allah tala ki taraf se hai.
Ishi tarah Iman ki
buniyad 5 cheezoon ka Iqraar karna aur Tasdik karna hai.
1. Farishtoon par Iman lana:- Farishte ayse
lateef ajsaam hai. Jo muqtalif shakaloon mein mutashakkil hone par kudrath
rakte hai. Farishte do qismein ke hain. Ek wo jo muqharrab hai aur dusre wo hai
jo asmaan se zameen par nazil hone wale maumalaat ki tadbeer karte hai.
2. Kitaboon par Iman lana:- Jo kitabein
Rasooloon par nazil hue wo jumla 104 hain. Unmein se
1. Hazrat e Aadam
Alaihissalam par 10 Sahife
2. Hazrat e Shees
Alaihissalam par 50 Sahife
3. Hazrat e Idrees
Alaihissalam par 30 Sahife
4. Hazrat e Ibraheem
Alaihissalam par 10 Sahife
5. Hazrat e Musa
Alaihissalam par Tauraid
6. Hazrat e Dawood
Alaihissalam par Zaboor
7. Hazrat e Isa
Alaihissalam par Injeel
8. Hazrat e Muhammad
Sallallahu Alaihiwa Sallam par Quran nazil huyi.
3. Rasooloon par Iman lana:- Rasool unko kehte
hai, jinko kitab aur shariyat di gayi ho aur unka martaba Nabi se ziada hai.
Baaz Ulama kehte hai ke Rasool ka lafz Nabi ke lafz ka mutaradif hai aur har
Nabi par Iman lana zaroori hai chahe unpar kitab nazil ki gayi ho ya na ki gayi
ho.
4. Marne ke baad uthaya jane par Iman lana:- Allah ta’la
murdoon ko qabaroon se uthayega wo is tarah ke unke ajzah ko jama karega aur
ismein unki ruh ko lautayega.
5. Taqdeer par Iman lana:- Marvi hai k eek martaba Hazrat Abu Bakr aur Hazrat Umar dono ne taqdeer ke mutalaq aapas me munazarah kia. Hazrat Abu bakr (RZ) ne kaha ke Neikiyaan Allah ki taraf se hai aur buraiyaan apni zaat ki taraf se hai. Hazrat Umar (RZ) ne farmaya ke Nekiyaan aur burayaan dono bhi Allah tala ki taraf se hai.
Phir dono Hazraath Huzoor ki qidmat mein pesh huye aur is baat ka zikr Huzoor se kia to Huzoor (SAWS) ne farmaya tamaam maqlooq mein sabse pehle taqdeer par Jibraeel aur Michael ne munazara kia. Jibrael (AS) Hazrat Umar ki tarah kaha hai aur Michael Hazrat Abu Bakr ki tarah kaha hai, phir ye dono apna faisala Hazrat Israfeel ke paas lekar gaye. Israfeel ne kaha tamaam taqdeer achi ho ya buri Allah ta’la ki taraf se hai, phir Huzoor (SAWS) ne farmaya tum dono ke darmiyaan mera bhi faisala yahi hai. Huzoor ne farmaya aye Abu Bakr agar Allah irada karta ke koi na farmani na kare to Iblees ka hargiz paida na karta.
6. Mizaan:- Mizaan se murad wo cheez hai jis se
aamaal ki miqdar ko jana jayega ishi ki kaifiyat ke idrak se khasir hai.
______________________________________________________
Q2) Al-Quranu Kalaamullahi Ta’ala tashrih karte huye
bayan kare ke Quran Majeed mein mazkura Ambiyaa e kiram ke waqiyaat se mutalaq
Imam Azam ne kya tafseel raqham taraz ki hai.
A) Quran Allah tala ka qalam hai sahifoon mein likha huwa
hai, diloon mein mahfooz hai aur zubanoo par padha jata hai aur Nabi e Kareem
(SAWS) par nazil kiya gaya hai.
Quran wo kitab e
Ilahi hai jo suratoon ka majmua’ aur un par mushtamil hai ishi wajah se uska
naam Quran rakha gaya hai.
Beshak Quran Allah
ta’la ka kalam hai jo iski sifat hai wo sahifoon mein huroof ke wasthe se likha
huwa hai.
Diloon mein mehfooz
hai, qiyal mein aane wale alfaz ke saath aur zabanoo par padha jata hai, bole
jane wale aur sunayi dene wale huroof ke zariye aur bole jane wale sunayi ddene
wale huroof ke saath farishte ke waste se Nabi alaihissalatu wassalaam par
nazil kiya gaya hai.
Hamara bolna Quran
ko maqlooq hai, aur hamara usko likhana maqlooq hai, aur hamara maqlooq hai,
kyunke wo tumhare afa’al mein se hain aur humare tamaam afa’al takhleeq se
maqlooq hai.
Huroof, kagaz, kitabat tamaam ke tamaam makhlooq hai kyunke wo bandoon ke afa’al hain, aur Allah tala ka kalam ghair makhlooq hai, kyunke kitabat, huroof, kalimaat, ayat tamaam ke tamaam un cheezoon ki taraf bandoon ke mohtaaj hone ki wajah se Quran ka aala hain, aur Allah tala ka kalam apni zaat se qayam hai.
Aur jo kahe ke Quran makhlooq hai aur us se kalaam e azali ki naïf ka irada kia toh wo kafir hojayega.
Aur jo kuch Allah
tala ne Quran mein Hazrat Musa aur unke alava Ambiya alaihimussalaam aur
firaun, iblees ke mutalaq hikayat bayan farmaya hai, pas beshak wo tamaam Allah
tala ka kalam hai, unke bare mein khabar den eke taur par aur Allah tala ka
kalam ghair makhlooq hai.
Aur Hazrat Musa aur
unke alava jo makhlooqoon mein se hain unka kalam makhlooq hai.
Yani Allah tala ne
Quran me Hazrat Musa, Isa waghaira aur firaun wa iblees ke bare mein khabar
dete huye jo kuch zikr farmaya hai, beshak wo usko apne kalaam e qadeem se
farmaya hai jis par dalaalat karne wale kalimaat ko usne lauhe Mahfooz mein
aasmanoon aur zameen ko paida karne se pehle likh diya tha. Na ke us kalaam e
haadis, aur Ilm e Haadis se jo Allah tala ke unse sunne ke baad haasil huwa.
______________________________________________________
Q3) Khatamun Nabiyyeena Sallallahu alaihiwasallam ka ba
hawale matan Zikr Jameel karte huye asmath e Ambiya Kiraam par roushni daliye.
A) Rasool Allah (SAWS) ne farmaya hum duniyamein aakhir
mein aane wale hain, aur roze qiyamat awwal hongein aur beshak mein ek baat
kehta hu fakr ke taur par nahi ke Ibraheem Khaleelullah hain, Musa Kaleemullah
hain, aur Aadam Safiullah hain, aur main Habeeb Allah hoon aur roze qiyamat
hamd ka jhanda mere saath hi hoga.
Imam e Azam farmate
hain ke uske bande hain is se murad Huzoor ki sharafat ko bayan karna hai aur
ummat ko nasaaroo ki baat se mahfooz rakhna hai, nasaara Hazrat Isa
alaihissalam ko Allah ka beta banate hai.
Jaise ke Huzoor ne
farmaya meri tareef mein is tarah mubalagha na karo jis tarah ke Isa ibn e
maryam ki tareef mein kiya gaya balke kaho Allah ke bande aur uske Rasool hain.
Aap (SAWS) se
Ambiya ki tadaad ke bare mein dariyaaft kiya gaya toh apne farmaya Ambiya
1,24,000 hain, phir dariyaaft kiya gaya unmein Rasool kitne hain toh apne
farmaya 313 hain.
Tamaam Ambiya
alaihissalam sageera wa kabira gunahoon, kufr aur na-pasandidah cheezoon se
paak hain. Nabuwat se pehle bhi aur Nabuwat ke baad bhi, al-batta unke bulandh
muqaam aur unche haal ke aitebar se yaqinan unse kuch lagzishein, Ijtehadi huwi
jaise Hazrat Adam ka darakht se phal khana Hazrat Musa alaihissalaam ka khoum
Firaun k eek shakhs ko qatal kardena.
Imam Nasafi farmate
hain ke Ambiya (AS) ke afa’al par lagzish ke naam ka Itlaaq nahi hota kyunke
wo gunah ki ek qism hai, balke unhone fazilat wali cheez ko kiya aur afzal ko
choda pas unpar etaab huwa, kyunke unki taraf se fazal ka chodha jana dusre ki
taraf se wajib ke chodhe jane ke darjah mein hain. Kaha gaya hai ke Ambiya aur
Auliya ki lagzish Allah se qareeb hone ka sabab banti hai.
______________________________________________________
Q4) Khulafa e Rashideen ke Asma wa alqaab rakham karte
huye unki afzaliyat par maslaqe haq ka mauqoof wazeh karein.
A) Khulafa e Rashideen ke Asma wa alqaab wa afzaliyat:-
1. Logoon mein Ambiya (AS) ke baad sabse afzal Abu Bakr siddique hain. Huzoor ne farmaya Ambiya wa Mursaleen ke baad Abu Bakr se afzal kisi shakhs par na suraj tulu huwa aur na ghurub huwa, waqe me’raj ko kuffaar ne jhutlaya lekin Abu Bakr ne tasdeeq ki chunachein Huzoor ne farmaya Abu Bakrmain gawahi deta hoon ke yakinan siddique hoo.
2. Logoon mein Abu
Bakr Siddique ke baad sabse afzal Hazrat Umar hain, Huzoor ne farmaya ke har
Nabi ke ahle asmaan mein do wazeer hain aur ahle zameen mein doo wazeer hain.
Mere ahle asmaan mein do wazeer Jibrael aur Michael hain aur ahle zameen mein
do wazeer Abu Bakr wa Umar hain. Riwayat hai k eek munafiq ka ek yahudi se
jhagada huwa jismein Umar ne munafiq ki garden mardi jo Rasool ke faisale par
razi na tha Hazrat Jibrael ne farmaya beshak Umar haq wa batil mein farq karne
wale hain. Ushi wajah se aap farooq ke naam se mausoof hain.
3. Logoon mein
Hazrat Umar ke baad sab se afzal Hazrat Usman hain, kyunke Huzoor ne Hazrat
Ruqaiyya ko aapke nikah mein diya jab unka wisaal huwa toh apne Umme-Kulsum ko
apke Nikah mein diya unka bhi wisaal huwa toh Huzoor ne farmaya mere pas tisiri
beti hoti toh usko bhi tumhare Nikah mein deta. Baith e Rizwan ke mauqe par
Huzoor ne apne ek dast e Mubarak dusare dast e Mubarak par mara usko Hazrat
Osman ki baith qaraar dia.
4. Logoon mein
Hazrat Osman ke baad sabse afzal Hazrat Ali hain, Rasool Allah (SAWS) ne Hazrat
Ali se farmaya ke tum mere pas iss darje par faiz ho jo darja Hazrat haroon ka
Hazrat Musa ke paas thaa, magar haroon Nabi thee mere baad koi Nabi nahi.
Tamam khulafa arba’
se mohabbat rakhte hain, unke darmiyaan tafreeq nahi karte jaisa ke rawafiz ne
khalifa e salasa se bughz kia aur haq ko tukra dia aur khawarij ne Hazrat Ali
se bughz kia pass wo siratil mustaqeem se nikal gaye.
_____________________________________________________________
Q5) Mo’jezaat, Karamaat aur Istejraaj se mutalaq sahebe
kitaab ne jo farq bataya hai bayan karo
A) Mo’jezaat:- Ambiya ke liye sabit hai jaise
murdoon ka zinda karna, ungaliyoon se pani ka fhath padhna, aag ka na jalana waghaira
ye tamaam cheezein Mo’jezaat kehlati hai. Jisse Ambiya ki Nabuwat aur unki
sacchai par dale hai.
Karamaat:- Aulia ke liye
Karamaat haq hai, kyunke Allah ta’ala un Karamaat ko Aulia se saadir farma kar
un karamaat ke zariye Aulia ke ikraam aur a’yzaaz ka irada farmata hai.
Istejraaj:- Imam e Azam
farmate hain ke Allah ta’ala apne dushmanoon ki hajatoon ko bhi pura karta hai,
aur unko dheel deta hai. Jis se wo dhoke khate hain, aur sarkashi aur kufr mein
padhte hain, aur azab ke mustahaq hojatein hain. Huzoor ne farmaya ke jab tum
dekho ke Allah ta’ala bande ko uski chahat ki cheezein deraha hai, jab ke wo
nafarmani par qayam hai to beshak wo Allah ki taraf se dheel hai.
_____________________________________________________________
Q6) Sifaat ki tareef aur Sifaat e Zatiya wa F’eliya ki
wazahat kijiye.
A) Allah Ta’la ke sifaat do qisam ke hain. 1. Sifaat e
Zaatia, 2. Sifaate Feliya
I). Sifaat e Zaatia hasbe zail hain:-
1. Hayat:- Allah Ta’la zinda hai, jo uski
azali sifat hai.
2. Khudrat:- Allah Ta’la har cheez par qadir
hai, jo uski azali sifat hai.
3. Ilm:- Tamaam maujudaad ke alaania aur poshida ka
jaanta hai jo uski azali sifat hai.
4. Kalaam:- Allah Ta’la ka kalam makhlooq ke
kalam ke mushabeh nahi wo baghair alaa aur huroof ke baat karta hai.
5. Sama’at:- Allah Ta’la awaazoon aur kalimaat
ko suntan hai wo uski qadeem sifat hai.
6. Basarat:- Allah Ta’la dekhta hai uski azali
sifat hai.
7. Irada:- Allah Ta’la irada karta hai un
cheezoon ka jo huwi aur hogi uske irade ko koi radd nahi kar sakta.
Note:- Allah Ta’la ke sifaat aatia mein ek be-Niyaaz hona hai aur kibriyaye bhi hai.
Allah ta’ala ki Sifaat e Feliya:-
1. Paida karna
2. Rizq dena
3. Nashenuma karna
4. Ejaad karna
5. Baanaana hai.
Aur uske sifaat
wohi jo sifaat feliya mein se hai. Wo hamesha se hai aur hamesha rahega apni
sifaatoon aur naamoon ke saath.
Pas sabit huwa ke
uske lia na koi sifaat hadith hai na koi naam, wo azal se aalim hai.
_____________________________________________________________
Q7) Jannat aur dozakh ko tafseel se likhiye.
A) Jannat wa Dozakh Allah Ta’ala ki doo ayse makhlooq
cheezein hain jo aaj bhi maujood hai aur kabhi fanah nahi hogi. Moti aankhoon
waali Hoorein kabhi bhi nahi maregi. Allah ta’la ki saza aur uska sawab (jo wo
apne bandoon ko dega) kabhi fanah nahi hongein.
Jannat aur Jahannam
ko Allah ta’la ne insanoo ko unke Aamaal ki jaza aur saza ke liye takhleeq kiya
hai. Aur unke bare mein Quran wa Hadees e Nabavi mein jo tafsilaat bayan ki
gayi hai wo mahaz bataur misaal hamare Ilm aur malumaat ko madde nazar rakhte
huwe bayan ki gayi hai, warna haqeeqat mein jannat ki ne’matoon ko alfaaz ka
roop dena mumkin hi nahi hai aur yahi baat jahannam ke bare mein kahi ja sakti
hai ke uski haulankiyoon ki aur aziyat ko alfaz mein bayan karna mumkin nahi.
Jannat aur uski
niyamatoon ko aur Dozakh aur uske azab ko kabhi bhi fanah nahi balke wo hamesha
hamesha ke liye hain aur lahad tak raheingi.
Allah ta’la farmata
hai “aur doudhoo apne rab ki maqfirat aur jannat ki taraf, jiski chaudayi asaam
aur zameen hain, jo ke parhezgaroon ke liye taiyyaar ki gayi hai”.
Allah ta’la ka irshad hai “Us aag se bacho jo kafiroon ke liye taiyyar ki gayi hai.
Jannat ki tafseel click here aur dozakh ki tafseel click here
Diploma in Arabic Online
Diploma in Arabic part 1 is Sharah Fiqh - E – Akbar (Click Here)
Diploma in Arabic part 2 Noor Ul Eizah (Click Here)
Diploma in Arabic part 3 Arbayeen Fil Hadees (Click Here)
Diploma in Arabic part 4 Risaleh Deeniyaat (Click Here)
Diploma in Arabic part 5 Seeratun Nabi (Saws) (Click Here)
Diploma in Arabic part 6 Nahu (Click Here)
Diploma in Arabic part 7 Minhaj Ul Arabia 1-3 Parts (Buy)
Diploma in Arabic part 8 Anwarul Arabia Attatbiqayyah (Buy)
Diploma in Arabic part 9 Al-Jadeed 1-2 Parts (Buy)
1 Comments
Subhaà n Allah Excellent and very helpful Notes. Jazakallah Allah Khairan kathira.
ReplyDelete