Jahannam Ka Khaufnak Manzar Zindagi Info Roman English, Hindi & Urdu

Nahmaduhu Wa Nusallimu ‘Ala Rasoolihil Kareem wa Alaa Aalihi wa Ashaabihi Ajmayeen wa mann Tabi’ahum bi Ihsanin ila yaumiddin ‘Amma Ba’ad. Fa' Aouzubillahi Minash Shaitaw-nir-rajeem. Bismillahir-Rahma-nir-Raheem “Assalaamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh”.
Allah Ta’la Ka Farman: Fa mann kaana yarju liqa’a Rab-bihi faly’amal amalan sawlihawwa la yushrik bi ‘ibadati Rabbihi ahada (Let those woh believe in the Day of Judgment do the obedience which Allah accepts and refrain from falling into in-sincerity when doing the worship.) Sureh Kahaf Ayah 110

Dozakh:- Dozakh bhi paidaho chuki hai. Jismein aag, saanp (snake), bichoo, tauqh, zanjeer aur tarha-tarha ke azab hai jo badh-karoon ko badh-kariyoon ke badle mein diya jayega. Dozakh aur ahle dozakh kabhi fanah na hongein, yani jo loog kafir aur mushreek hai woh dozakh mein hamesha rahege unko maut bhi na aayegi ke mar kar azab se najaat pasake. Baaz gunahgaar musalman bhi dozakh mein dakhil hongein lekin hamesha na raheinge balke jin mein zarra barabar bhi iman hoga wo kitna hi bada gunahgar ho bil-aakhir ba-khadre gunah azab pa-kar ya Hazrat Nabi e Kareem (SAWS) ki shafa’at se ya mahez Haq e Tala ki rahmat se jannat mein chala jayega.

Dozakh ki Zindagi | Jahannam Ka Khaufnak Manzar In Roman English in Details

jahannam ka manzar

Allah ta’la Aakhirat ke liye doo makan tayyaar kiye hai ek Jannat mein aur dusra Jahannam mein, agar ye neik aamaal karega Imaan ke saath duniya se jayega Allah Rabbul izzat ise jannat ka makan ata farmayeinge, agar ye duniya ke andar Imaan se mehroom raha ya Imaan toh laya magar ghaflat ki wajah se gunahoon mein padha raha aur bagair tauba ke margaya toh in logoon ko jahannam ka makan diya jayega Jahannam woh jagah hai jisko Allah Rabbul izzat ne mujreem aur na-farman logoon ke liye banaya, Jannat woh jagah hai jisko Allah ne apne pyaroon ko inaam ke taur par banaya. Abb ye hamare zindagi ki tarteeb hai ke hum Jannat ke raaste par jaa rahe hai ya jahannam ke raste par ja rahe hai. Ek Buzurg farmate thay aye doost tera uthne wala har qadam ya tujhe Jannat ke qareeb kar raha hai ya tujhe Jahannam ke qareeb kar raha hai. Agar Allah Rabbul Izzat ke hukmoon ko maanne ke liye uthraha hai toh Jannat ke qareeb aur agar gunahoon ke liye uthraha hai toh jahannam ke qareeb toh hamari zindagi ki tarteeb se pata chal sakta hai ke kis raaste par chal rahe hai, toh raaste bahut wazeh hai ek raaste par Nabi e Kareem (SAWS) ki zindagi ko apnana padhta hai, ba-pardah zindagi guzarni padhti hai, pakdamani ki zindagi guzarni hoti hai, sacchi aur succhi zindagi guzarni hoti hai acche akhlaaq waali zindagi guzarni hoti hai ayse loog Jannat ke raaste par chal rahe hai. Aur dusri zindagi be-pardagi ki zindagi, be-hayayi ki zindagi, TV gaana bajana inmein masrufiyat ki zindagi, idar-udar ke taluqaat joodhna aakhirat ki zindagi se ghafil rehna, duniya mein apni khawhishaat shahawaat ko puura karne ke liye badh-mast hona ye jahannamiyoon ki zindagi hai.

Abb faisala hamein karna hai ke hamari manzil kaunsi honi chahiye agar kisi aurat se pucha jaye ke do makan hai aur joh aap makan kharidne ke liye zoor derahi hai toh batao ke in doono mein se kaun se makan mein jaogi, ek makan mein gulshan hai phal phool hain, baaghaat hai, naukar-chakar hai, mehal-numa Heere Moti ka makan hai, khooshbooyein hongi, Nehrein hongi, maa-baap, behan-bhai, khawind-biwi-bacche sabko leke jane ka ikhtiyaar hoga, Ambiya ka didaar hoga, Allah Rabbul Izzat ka didaar hoga, tumhari har khawhish puuri hogi, magar iski qimat ye hai ke tum apni zindagi mein koi gunah na karo. Abb dusara makan woh hai ke taariq kothri hogi, jinn-bhoot se ziada daraowni farishte honge, tanhayi hogi, na khawind paas na bacche paas na maa-baap paas, bhook hogi, piyaas hogi, pasina hoga, bijli ke kadakne ki awazein hongi, tumhara rang kaala hoga, aankhein neeli hongi, badhbudaar libaas pehnogi, aur aag ke andar rooz rooti rahogi.

Abb donoo makanoo mein se tumhe kaunsa makan chahiye, ye dusre makan ke baare mein shart ye hai ke tum apni khawhishaat duniya mein puuri karlo, jee bhar kar apni hasratein mitaloon lekin ye 30-50 saal ki baat hai, phir tumhe uss makan mein hamesha-hamesha rehna padega, toh koi bhi akhal mand aurat iss jahannam ke makan mein jaana kabhi-bhi pasand nahi karegi yehi chahegi ke mai Jannat mein jaaoun, mai toh duniya mein apne bacchoon ke bagair rehnahi sakti, khawind se judayi ka soonch nahi sakti, maa-baap se duur hone ka zehan mein nahi laa sakti, mai jahannam ke makan mein harghiz nahi jaana chahati ke mai inn sab neiymatoon se mehrum hojaoungi. Toh maloom huwa ke har insaan ka dil yehi chahata hai ke mujhe Rabb-Rahmaan ke qurb mein Jannat ka makan miljaye aur hamesha-hamesha chahatoon ko mai wahan jaa kar puuri karlun.

Toh goya zindagi mein hamein aakhirat ko saamne rakh kar apni zindagi ki tarteeb banani hai jahannam ke azab ko bardaasht karne ka hausla hamein se kisi mein bhi nahi hai, hum toh itne naaz wa nieymatoon mein pa-le bande hai ke dhooph ki garmi bardaasht nahi hoti humse jahannam ki garmi kahan bardaasht hogi. Hum garmi ke mausam me ghar se bahar nahi nikalte toh hamein jab tak cold water nahi milein ya koi aur mashroob na milein uss waqt tak water nahi piye jata. Toh jahannam ke andar toh aur garam mashrubaat pilayein jayeinge, hum toh doo aadmiyoon ke saamne zillat bardaasht nahi kar sakte qiyamat ki din sab logoon ke saamne zillat wa ruswayi bardaasht kaise kar sakeinge, sacchi baat toh yehi hai ke hamein Allah Rabbul Izzat se Jannat talab karna chahiye aur jahannam se Allah Ta’la ki panah maangni chahiye yehi dua hai joh Nabi (SAWS) ne sikhayi hai “Allahumma inni as-alukal-jannah waauozubika minan-naar (Aye Allah mai Jannat ko talab karta hoon aur aag se mai panah maangta hoon) toh ye dua aap kasrat se maangegi aapko apni zindagi ki tarteeb ko dekhna hoga. Jab aap sab gunahoon se ba-qaida tauba karleingi goya apki Allah Rabbul Izzat se sulah hojayegi Parwardigaar e Aalam apke pichle gunahoon ko mauf farmadeinge aur aainda aapke aamaal ka ajar badah deinge. Toh ye raasta hai Allah ki raza wala raasta jis tarha tanhayiyoon mein Insaan chup-chup kar gunah karta hai usko chahiye ishi tarha tanhayiyoon mein bait kar gunahoon ko yaad kare aur chup-chup ke Allah ke saamne royein mafiyaan maange ke mere Parwardigaar mere gunahoon ko maaf farmadijiye. Jab tak insaan gunahoon ko na chode usse Allah ka qurb haasil nahi ho sakta zehan mein rakhlena dil ke kanoo se sunlena Allah Rabbul Izaat paak hain aur gunahoon ki najasat hoti hai, jis insaan par gunahoon ki najasat lagi hoti hai ye na-paak insaan Allah ke saath waasil nahi ho sakta, uss paak zaat ke saath waasil hone ke liye insaan ko najasat se paak hona padhta hai.

Lehaza gunahoon se maafi maangni intehayi zaroori hai yun soonchiye ke agar 17 kabira gunah likhe gaye toh hum Allah Rabbul Izzat se 17 qadam duur khade hai, agar hum 17 gunah karte hai agar hum usmein se kuch gunah chodh diye, toh hum utna qareeb hogaye, jisne 15 gunah chodh diye woh 15 qadam qarib hogaya, jisne 17 gunah chodh diye toh woh Allah Rabbul Izzat ke saath waasil hogaya. Toh iss kaghaz ke aayine mein hum apni haisiyat dekh sakte hai.

Hum Allah paak se kitni duur aur kitna qareeb hai kushnaseeb hai woh mard aur auratein joh apni zindagi ko sab gunahoo se bachaye aur sacchi maafi maang kar apne Rab ko manaye. Ek martaba Jibrail (As) ne Badh Dua ki barbaad hojaye woh shakhs jisne Ramzan pa-ya aur apni maghfirat na karwayi Nabi e Kareem iss dua par Aameen kehdi. Abb ye hamare liye ye badi aham baat hogayi. Aap khud sonche kisi maa ke nalayaq bête ya beti ko agar koi badh-dua de toh maa usko bura samajhti hai, mere bête/beti ko badh-dua kyun derahe hai, lekin Nabi (SAWS) maa-baap se bhi ziada shafiq, Jibrail (As) ne jab Badh-Dua di toh Nabi alaihissalaam ne Aameen ki mohar lagadi ye kaise ho sakta hai maa ke saamne kisi bacche ko badh-bakht kaha jaye aur maa aameen kehde ye toh kabhi nahi ho sakta toh Allah ke Mehboob ne aameen kehdi kyun kahi maloom hua Ramzan mein aasani se bakhshish hojati hai ye joh zara bhi apni niyat banale aur tauba par aamaada hojaye. Allah Rabbul Izzat ki Rahmat bahane dhoondti hai aur uss insaan ki bakhsish kardi jati hai aur bakhsish se mehroom wa-hi reh sakta hai joh haqiqatan mehroom hota hai isliye Nabi (SAWS) ne aameen kehdi. Abb soonchne ki baat hai awwal toh apne gunaho ka boojh sar par bahut hai, upar se Nabi (SAWS) ki badh-dua bhi lagh gayi toh phir hamara kya banega isliye apne Rab se gunahoon se tauba karwalein. Yaad rakhna jinki bakhshish hogayi unke liye Ramzan ke agle din Eid hogi aur jinki bakhshish na huyi unke liye Ramzan ke agle din wayeed hogi uske liye puura faisla hojayega jahannamiyoon ke andar uski shumuliyat hojayegi. Hamein chahiye gunahoon se apne aapko bachaye aur apne Rab ko manane ki koshish karein.

Dozakh Allah tala ne na-farmanoo ke liye banwaya. Ahadees e shareefa mein iski bahut tafsilaat hai. Chunache ek Hadees ka mafhoom hai ke qiyamat ke din dozakh ko Allah Rabbul Izzat jab bulayeinge toh uski lagamein hongi 19 farishtoon ne usse pakdah hoga aur har lagaam ko phir 70,000 farishte muaawin honge unhone pakdah hoga toh goya 19 lagamein huyi har lagaam ka incharge ek farishta hai aur har farishte ke niche 70,000 farishte hain toh itne farishtoon ne dozakh ko pakadah hoga. Aur jis tarha moo-zoor ghodah chudane ke koshish karta hai dozakh jab mujrimoon ko dekhegi apne-aap ko chudane ki koshish karegi, gusse mein aayegi aur jab saamne aayegi. Toh Hadees e paak mein aata hai ke saans legi aur usko saans aysa hoga dunwa uthega, sholay utheinge, aur woh sholay jahannamiyo wa mujrimo ke saroon par aakar gireinge uske andar gubaar ayega, phir ye Allah Rabbul Izzat ke saamne sajda karegi aur bil-aakhir Allah Rabbul Izzat ke saamne arz karegi sab tarifein Allah hi ke liye hain jisne mujhe na-farmanoon se badla lene ke liye paida kiya, phir kehegi aye Allah aaj tere mujhrim mere saamne hai, mujhe aapne paida ishi liye kiya thaa zara mujhe ijazat toh di jiye mai inn mujrimoon se nimatloon, phir uske andar ek shoor barpah hoga aur ayse awazein ayegi jaise uske sholay uthrahe hai. Innaha tarmeebishararin kaalqasri, ka-'anna -hu jimaalah sufrun (Al-Mursalat77- Ayat 32 &33) ayse iske bade-bade sholein honge jaise bade-bade mehallaat hote hai, itne bade-bade sholay jahannamiyon ke upar aakar gireinge. Riwayat mein aata hai ke uss waqt koi Nabi wa Mursal koi bhi aysa nahi hoga joh Allah ke khauf se kaap nahi horaha honga aur usko ye dar hoga maloom nahi ye sholay mere sar par aakar na gir jayein, jab nekoon ka ye haal hoga toh phir hum jaise gunahgaro ka kya haal hoga, dil dehal jayeinge ankhoon ke aage andhera aajayega insaan ke dil halaq taq pahunch jayeinge aur uss waqt koi apna nahi hoga sab rishtedariyaan khatam hojayegi. Quran ne faisla kardiya  “Al akhillahu yauma wa izin ba’dahum li baadin‘aduww Illalmuttaqeen” sirf siwaye neik logoon ke sab loog ek dusre ke dushman banjayeinge. Chunache jahannam ke darindoon ko bulayeinge aye mere jahannam ke andar kaam karne par mamoor farishtoon bahar niklo, joh jahannam ke andar farishtein honge joh sadayein deinge nafarmanoo ko woh jahannam ke andar se bahar nikleinge. Hadees e paak mein aata hai ke har darinde ke haat mein zanjeer hogi, kodein honge aur kala libas hoga ye teen cheezein lekar aayeinge aur na-farmano ki ghardanoo mein tauq daaldeinge unki naas ke andar zanjirein daaldeinge unko paishani ke baloon se pakad kar ghasiteinge aur baaz na-farmanoo ko taangoo se pakad kar ghasiteinge aur unko dakkhe mareinge. Toh mujhrim ko waise bhi leke jaa sakte hai lekin kisi ki dehanat karni hoti hai kisi ko zaleel karna hota hai insaan dhakke maar-maar ke lejata hai toh Allah tala mujrimoon ko zaleel wa ruswa kareinge dhakke maar-maar ke unko jahannam mein lejayeinge farishte aur bil-aakhir jahannam mein sar ke bal girayeinge, jahannam itni gahri hogi, Nabi (SAWS) ne farmaya ke ek martaba awaz aayi toh sahaba ne pucha aye Allah ke Mehboob ye kaisi awaz hai farmaya koi awaz ayi hai itne mein Jibril (As) ne aakar bataya aye Allah ke Nabi aaj se 70 saal pehle jahannam ke kinare se ek phattar nichey gira tha 70 saal ke baad woh teh mein pahuncha hai itni gehrayi hai jahannam mein, aap zara kunwe ka tasawwur zehan mein rakhiye ke agar 50 foot ke kunwe mein nichey insaan jayein toh kaise mehsoos karta hai, jahan 70 saal ki gehrayi mein jaana padhega abb wahan par insaan ko jalaya jayega.

Dozakh Ka Khaufnaak Manzar Jahannam ki Zindagi In Roman English in Details

jahannam ke 7 darje

Jahannam ke Allah ne Mukhtalif hisse banaye jiske 7 darwaze hain har darwaze ke liye garoh hai jisko usmein se giraya jayega. Chunache baaz ne kaha 7 tabaq hai, 7 hisse hai. Sabse upar waali ko jahannam kehte hai, jismein gunahgaar momin jayeinge. Phir dusri ko labau kehte hai, jis mein yahood jayeinge. Tisire koladha’ kehte hai, jiske andar nasara jayeinge. Chaute ko sayeer kehte hai, jismein suraj aur chand ki parastish karne waale jayeinge. Paanchve ko saqar kehte hai, jis mein majoosi (Aag ki parastish karne waale) jayeinge. Chatva kanaam jaheem hai, ismein mushrikeen jayeinge. Aur saatvi ka naam haviya hai jismein munafiqeen jayeinge. Jab ye loog jahannam mein dhakal diye jayeinge jahannam mein jitna gussa hoga ke uska ek lipta aayega, ye jahannam jis cheez par se guzregi todh-podh kar rakh degi bil-aakhir jahannami jahannam mein honge wahan sakht bhook hogi, khane ke liye mangeinge unko Allah ta’la zakkhoom ka paudah diya jayega kaante hote hai itna kadwa hota hai ke zaban se lagaya nahi ja sakta insaan usko khayega, na nighal te banegi na ughal te banegi, chunache paani maangega tum garam paani piyo, woh jab garam paani piyeinge unki aankhein katke paikhane ke raaste se niche gir jayegi. Dusri jagah farmaya unko aysa paani pilaya jayega ke woh paani nahi pee payeinge ghoot-ghoot piyeinge aur woh ghoot unpar utar nahi Payega, aur joh pine ke liye paani mageinge aysa pine ke liye paani diya jayega jaise pighla huwa taanmba hota hai, woh garam itna hoga jab paani pine lagege uski garmi ki wajah se chere ki khaal utar jayegi. Sochiye to sahi woh kitna garam hoga, farmaya unko pine ke liye ghisleen diya jayega mufassireen ne likha jahannamiyoon aadmi ke jisam se joh khoon aur peep niklegi usko piyaloon mein jama karke woh jahannamiyoon ko pine ke liye di jayegi, duniya mein insaan kisi zakham se peep nikaale kitni badhboo aati hai bardaasht nahi ho sakti, abb ye peep jab pini padhegi jab kya haal hoga lekin piyaas itni hogi ke piye bagair koi chara nahi hoga, toh iss qisam ki sazayein jahannam ke andar insaan ko dijayegi. Chunache hamein jahannam se bachne ke liye Allah Rabbul Izzat ke saamne sacchi tauba karni chahiye, ek Hadees e pak Hafiz Shamsuddin (Ra) ne apni kitabal-kabair me nakhal farmayi hai jisse pata chalta hai kaun-kaun se auratein jahannam mein jayeingi zara tawajjeh se baat suniyega aur inn gunahoon se bachiyega taake Allah Rabbul Izzat jahannam se mehfooz farmade.

“Ek martaba Ali (Rz) aur Syyada Fatima (Rz) dono ne irada kia ke Huzoor (SAWS) ki ziyarat ke liye jayein, chunache Allah ke Mehboob ki khidmat mein haazir hue jab aakar dekha Nabi (SAWS) ki aankhoon se aansoon rawa hai roo-roo ke ankhein surkh ho chuki hai, dono bade hairan hogaye dono ne arz kiya Nabi (SAWS) aap kyun rorahein hai, kis cheez ne apko ruladiya ke aapki aankhein surkh hochuki roo-roo kar Nabi (SAWS) ne farmaya meri pyari beti Fatima mai iss waqt baitha tha mujhe yaad aagaya jab mai me’raj par gaya thaa, toh mai apni ummat ki kuch auratoon ko jahannam mein azaab hote huye dekha thaa, mujhe unka khiyaal aagaya aur iss wajah se mere aankh mein aansu aagaye pucha mere maa-baap qurban ho batado dijiye ke woh kaun-kaun si auratein hai toh Nabi (SAWS) ne farmaya ke main pehli aurat ko jahannam mein dekha woh apne baaloon ke zariye se jahannam mein latki huwi thee jaise aag ke andar murg roster ko latka dete hai iss aurat ko sar ke bal baalon ke zariye se latka diya jayega, toh ye latki huwi thee aur iska dimaag handiya ki tarha ubal raha thaa aur iska jisam jal raha thaa, abb zara soonchne ki baat hai agar kisi aurat ko baaloon se pakadh kar kheecha jayein usko lagta hai, jaise baal se khophdi ki chamdi nikal jayegi itni takleef hoti hai zara se baal khichne se jab aurat baaloon ke bal latkadi jayegi toh uska kya haal hoga aur phir usko itni garmi mehsoos hogi ke uska dimaag handiyaki tarha ubal raha hoga. Nabi (SAWS) ne farmaya ye woh aurat hogi joh duniya ke andar parde ka khiyal nahi karti hogi, isko ban-sawarkar bahar nikalne ka shauk hota hoga ache-ache fashion waale kapde pehan kar ajnabi gair mehram ko dikhati hogi apne taur par apne husn ki zakat nikalti hogi lekin pata isko qiyamat ke din chalega maine kitna bada gunah kiya, isliye ye woh aurat hai joh duniya mein parde ka khiyal nahi rakhti thee, ek baat zehan mein rakhlijiye ek cheez satar hoti hai aur ek cheez parda hota hai, satar siwaye chehre ke hatoon ke aur pairoon ke baakhi saara jisam satar mein shamil hai, isliye namaz ki halat mein un sab ko chupana aurat par zaruri hota hai, agar insaan ke chehre, haatoon ki hateliyaan aur paoun inke alawa jism ka koi bhi hissa namaz ke andar thodi deir khula rehgaya toh namaz na hogi.

Kayi auratein namazein bhi padhti hai lekin unke kapde hote hai baazu aadeh hote hai baazu nangein hote hai, toh namaz hargiz nahi hoti, kayi shalwar pehanti hai thakhno se uonchi karleti hai, ye naya fashion nikal aaya namaz bilkul nahi hoti, koi itna baarik dupatta pehanti hai baal saaf nazar aarahe hote hai unki namaz nahi hoti to satar ka kya matlab hai, ke namaz ke andar apne aapko istaraha mote kapde mein chupalena ke chehre hatoon aur paoun ke siwa jisam ka koi bhi hissa na nazar aasaake ye insaan ka satar hai aur isko chupana namaz mein zaruri hai. Satar ke alawa ek pardah hota hai, pardah aurat ke tamaam hissoon ka gair mehram se zaruri hai, isliye farmaya aye sahaba tum Nabi (SAWS) ki bibiyoon se koi cheez magna chaho toh tum parde ke piche se maango toh goya na-mehram ajnabi se puure jisam ko parde mein rakhna ye pardah kehlata hai ye hijab kehlata hai. Toh satar hota hai namaz mein aur hijab hota hai gair mehramoon se toh gair mehramoon se apne aap ko chupana chahiye aurtein jab ghar mein apne bhaiyoon ke saamne apne betoon ke saamne rahein toh apne, cheroon apne haath paoun ko khol sakti hai lekin jab bahar nikalna hoon gair mehramoon aur ajnabi ke andar se guzar na ho phir sar se lakar paoun tak jisam ko chupana zaroori hai, agar na chupaya phir insaan ko is par saza milegi.

Hadees e paak mein aata hai be-pardah aurat jab ghar se nikalti hai uss waqt se farishte uss par la’nat shuru kar dete hai jab tak ghar lautkar wapas nahi aajaati Allah ke farishte uspar la’nat karte rehte hai. Phir auratein kehti hai ghar mein sukoon nahi, khawind tawajjoh nahi deta, aulaad baat nahi maanti, karobaar accha nahi, O Khuda ki bandi jab tujh par Allah ke farishtoon ki lanat barsati rehti hai toh teri zindagi mein barkatein kahan aayegi ye ushi la’nat ka natija hota hai. Joh gharoon mein pareshaniyaan hoti hai dil ko sukoon nahi hota mard jaan nahi chodte har taraf se zillat wa ruswayi hoti hai ye Allah Rabbul Izzat ke hukum ko todhne ka natija hai. Lehaza khush naseeb hai woh auratein joh parde ka ahtemam karti hai joh duniya mein parde ka ahtemaam karti hai toh qiyamat ke din inke kusooron par Allah apne Rehmat ke parde ki chadar daaldeinge. Uss din pata chalega iska ajar kitna mila, lehaza joh aurat nangay sar bazaar mein phirti hai, aaj loog dekhte hai kai auratein toh seena khol kar chalti hai, aur aaj-kal toh be-pardagi bahut bhadhti jarahi hai. Aisi tamaam be-pardah auratoon ke liye farmaya jahannam mein inko baloon ke zariye se latka diya jayega, abb zara tasawwur toh karein agar kisi aurat ke baloon ko pakad kar latka diya jaye woh toh aadha minute bhi nahi latak sakti, samajhti hai mere saare baal khophdi se nikal jayeinge meri chamdi udhadh di jayegi. Toh agar jahannam ke andar hamesha-hamesha baloon ke zariye latakna padha, aag mein jalna padha, dimag ko aisa ubaal deinge, isliye inke dimaag mein fasad thaa, inke dimaag ka kasoor thaa, ye iss be-pardagi ko kuch samajhtihi nahi thee, isliye Allah tala unke dimaag ko itna garam karega ke dimaag inka khaul raha hoga. Toh Nabi (SAWS) ne farmaya ye aurat woh hai joh parde ka khiyal nahi karti thee, aaj kal ki bacchiyaan apne cousins se toh parwahi nahi karti, pardeh ka unko toh samajhti hai ye mere bhai hai ghar ke jaisi baat nahi toh Allah Paak ka farman hai jahan tak mehram hai wahan tak bhai ki baat hai.

Dozakh Jahannam Ka Khaufnaak Manzar Zindagi Info In Roman English in Details

Jahanum ki aag dozakh ka azab

Chachazaat, phuphi zaat, mamoon zaat ye sab ke sab gair mehram hai unko apne aapko parde mein rakhna chahiye kayi martaba aysa hota hai ke khawind ke ghar mein aysi rehti hai khawind bhi hai ekhatta join family hai dewar wagaira bhi hai. Toh woh toh gair mehram hote hai toh aysi auratoon ko chahiye ke apne chahre ke dupatte ko iss tarha rakhe jis tarha ghunghat hota hai, agar apne dewaroon ke saat baat karni bhi padh jaye toh isshi tarha nigahein niche kare sar jhuka kar parda aage ho toh unse baat bhi insaan karle. Jab insaan kisi se naraaz hota hai woh agar usse baat bhi karleta hai uski taraf dekhta bhi nahi usko apna chehra bhi nahi dekhne deta bas baat karleta hai, jaise kisi se narazgi ho insaan ka uske saath jaisa bartau hota hai waise hi aurat ko chahiye ke Allah Rabbul Izzat ne usse gair mehram kaha isliye iska usse Allah ta’la ki wajeh se iska mamla hai apne chehre ke upar iss tarha dupatta karle jaise ghunghat ki tarha padha rahe ishi tarha kaam karti rahe dusra mard uske chehre ki taraf nahi dekh sakega, mardoon ko chahiye aysi auratoon ke chehroon ko na dekhe aur auratoon ko chahiye ke mardoon ke saamne apne chehre ko mat zahir karein aur Allah Rabbul Izzat se duayein mange ke Parwardigaar hamare kusuroon ko maaf farmadein. Taham ye woh mard hai joh ghar ke andar hote hain. Aur joh bahar hai unse toh 100 % pardah karna chahiye. Warna qiyamat ke din ye saza milegi.

Nabi (SAWS) ne irshad farmaya ke auratein 4 wajah se jahannam me ziada jayegi ek baat farmayi in mein Allah ke hukum ko maanne ka jazbah kam hota hai, unko kaho ye Allah ka hukum hai ke inpar itna asar koi nahi hota, mamuli samajhti hain. Accha karleingi puura, ishi tarha dusri baat Nabi e Kareem (SAWS) ki kitab ka bhi jazbah kam hota hai, inko bataye aysa karna sunnat hai, yun usko mamuli samajh leti hai, sunnat ki itteba ka jazbah itna ziada nahi hota, farmaya tisiri baat ye ke shauhar ki ita’at ka jazbah kam hota hai, aam taur par ye apni baat shauhar ko manwane par rehti hai, apne rang mein dhaalne ki koshish karti hai, kehti hai shauhar hamare haath mein aajaye, hamari har baat maanne lagjaye, ye maanne ke bajaaye manwane ki koshish ziada karti hai, aur ishi wajah se ye shauharoon se badh-tameezi kar jaati hai aur uss wajah se jahannam ki mustahiq hojati hai. Aur chauti baat Nabi e Kareem (SAWS) ne farmaya in mein ban-sawar ke bahar nikalne ka bahut shauq hota hai, toh 3 shauq thode hai (Allah ki farmabardari, Nabi (SAWS) ki farma bardari, shauhar ki farma bardari) magar 1 shauq bahut ziada hota hai, aur usko kehte hai ban-thann kar sawar kar bhahar nikalna. Lehaza aysa hokar bahar niklegi inke jahannam mein jane ka sabab bann jayega.

Toh pehle aurat ko joh azab huwa joh apne baaloon ki wajah se latki huwi thee ye be-pardagih ki murtakib hone waali aurat thee. Apni zindagiyoon ko aap khud dekhiye ke aap kahan-kahan tak be-pardagi ki murtakib hoti hai. Usse tauba kar lijiye aur aainda parde ka khiyal rakhein taake Allah T’ala jahannam mein jaane se mehfooz farmadein. 

Huzoor (SAWS) ne farmaya maine dusri aurat ko dekha jisko jahannam mein azab ho raha thaa, woh apni zaban ke bal latki huwi thee. Abb zara sonchne ki baat hai kisi ki zaban ko thoda kheenche kitni takleef hoti hai agar uske jisam ka puura badan zaban ke upar aaye aur zaban ke andar ek suraakh karke zanjeer daaldein aur aurat ko us par latka dein woh kitni takleef mein hongi Huzoor (SAWS) ne farmaya ye zaban ke bal latkane waali woh aurat thee, joh zuban daraz thee shauhar se moo phat thee, badh-tameezi karne waali thee, ayse baatein karti thee, kabhi maa ka dil dukhi kardeti, kabhi behan ka dil dukhi kardeti, kabhi bacchoon ko koosna shuru kardeti, ye zaban se dusroon ke diloon par zakham lagati thee, dusroon ko takleef pahunchati thee, aur baaqhi auratoon se hamne ye suna khud kehti hai maine aysi baat ki ke falan ladti aur jalti rahi hogi, maine usse aysa jaalane ke liye aysa kia, ye unko kya jaalayegi iss amal se ye khud aag mein jalegi. Toh zaban ki be-ahtiyati karne waali aurat ko Allah ke Mehboob ne dekha ke apne zaban ke bal latki huwi hai aur uske upar aag ka azaab ho raha hai. 

Huzoor (SAWS) ne farmaya maine tisiri aurat ko dekha ke woh jahannam ke andar apne pistanoo ke bal latki huwi thee, ke donoon pistanoo mein suraakh karke zanjeer daaldi gayi thee, aur unka puura badan uske upar latka huwa thaa, latak rahi thee, zara tasawwur karke sonchiye agar kabhi aysa hojaye insaan ko kitni takleef hoon kaun aurat hogi, Huzoor (SAWS) ne farmaya jiske gair mehram ke saath talukaat honge unse baatein karti hongi, ya unse ishq karti hongi, ya unse burayi ke kaam karti hongi, aysi zaaniya aurat ko Allah Ta’la pistanoo ke bal latka deinge. Aaj-kal be-hayayi ka daur-daura hai, tv ne, cable ne, jawan bacchiyoon ko haya se mehroom kar rakha hai, bacchiyaan apni jawani ki umar tak pahunchti hai unko gunah karne ke ayse-ayse tariqe bataye jaate hai, film aur drama ke zariye se ayse-ayse romantic story dikhayi jati hai aur ajeeb baat toh ye ke maa-baap apne ghar cable ka connection khud lagwate hai, channel ka connection khud lagwate hai, aur jawaan betiyaan bhi dekhti hai, aur baaz gharoon mein toh maa-baap ke apne room mein alag tv hoti hai aur betiyoon ke room mein tv alahida hoti hai aur betiya khud apni marzi ke channel dekhti hai, jab ye tv par gunahoon ki kahaniya sunegi aakhil insaan hai jawan hai, inke apne andar bhiyehi jazbe paida honge, phir ye chup-chup ke gunah karegi, maa-baap ke naak ke niche diya jalayegi kisiko pata bhi chalne na degi, magar apni izzat kharab kar baithegi, apne namoos ko daagh-daar kar baithegi, agar aysa hua maa-baap bhi iss gunah mein barabar ke shariq hoge, ke unhone unka khiyal na rakha aur agar maa baap ne khiyal rakha magar isne khud ayse kartoot kiye toh phir ye khud zimmedaar hogi, magar isko kis taraha latkaya jayega.

Dozakh Jahannam Ka Khaufnaak Manzar In Roman English in Details

jahannami auratein

Hadeese paak mein farmaya gaya pistanoo ke andar suraak kar ke zanjeer daali jayegi aur usko iske andar se latka diya jayega, aag iske jasam ko jala rahi hogi, aur yahan ek ajeeb baat batayi gayi hai lekin samjhane ke liye batani padhegi. Nabi (SAWS) ne farmaya zaniya aurat ko dekha uske sar ke upar mard ki sharamgah hai jisne usse zina kiya aur usmein se peep nikal rahi hai aur woh peep uss aurat ke moo mein jarahi hai aur ye uss peep ko pee rahi hai. Sonchiye toh sahi ke aag mein ek jalne ka azab aur dusara itna badhbudaar peep pine ka azab. Nabi (SAWS) ne farmaya iss aurat ki sharamgah se aysi ghandi hawa niklegi ke jahannami bhi isko sungkar uss par gussa kareinge yani kisi mehfil ke andar kisi insaan ke payt se badhbu kharij ho aur woh bahut ghadi ho toh mehfil ke saare loog Usse bahut bura jaante hai. Jahannam ke andar zinakaar mardoon aur auratoon ki sharamgahoon se aysi gandi hawa niklegi ke saare jahannami uski wajah se moo banayeinge aur ye kaheinge ke ye kaun kamina hai jiski wajah se itni badhbu soongni padhi. Toh Allah Rabbul Izzat ki nazar mein ye kitna bura kaam hai iss tarha se uss aurat ko azab diya jayega. 

Nabi (SAWS) ne farmaya maine chauti aurat ko dekha uske paoon seeni par bane huwe hai, haat sar ke paas bane huwe hai, aur Nabi (SAWS) se pucha gaya ke ye chauti aurat kaun hai, Nabi (SAWS) ne farmayaye paaki-napaaki ka khiyal nahi rakhti thee. Isko haiz se paak hone ke liye jitni ahtiyati karni chahiye thee hargiz nahi karti thee, aam taur par dekha gaya agar magrib ke baad bhi auratein haiz se paak hogayi hai, toh soonch leti hai subah nahake namaz padhungi, istarah parwah nahi karti, sahabiyaat ke baare mein aata hai woh itna khiyal karti thee ke raat mein uthkar chirag jala kar apne kapdo ko dekhti thee aysa toh nahi aadhi raat ko main paak hogayi aur mere par isha ki namaz padhni laazim ho aur mai agar fajr mein nahungi toh meri namaz qaza hojayegi toh woh aadhi raat-raat chirag jala kar kapdeh dekhti thee aur agar paak hojati thee ushi waqt ghusul karke isha ki namaz padhleti thee. Aaj toh auratein iski ahtiyati aur parwa bhi nahi karti istarha farz namazein qaza hojati hai, toh ishi tarha shadi-shuda auratein ghusul e janabat karne mein deyr kardeti hai fajar qaza hogayi dusri namazein qaza hogayi ye joh paaki-napaaki ka khiyal nahi karti toh iss aurat ko ye azab hoga. Iske paun seene se baandh diye jayeinge haat sar par baandh diye jayeinge aur farmaya ye woh aurat thee joh farz namaz mein taqeer karti thee ye toh aksar auratoon ko dekha udhar azan sunti hai fauran namaz pahdne ki bajaye soonchti hai ye kaam karloon phir padhlungi aur ye kaam karte-karte namaz ka waqt aajata hai kabhi toh qaza hojati hai aur qaza se pehle 10-15 minute pehle bhaag rahi hoti hai. Maine toh namaz padhni thee mai toh namaz nahi padhi waqt-bewaqt padhna paaki-napaaki khiyal na karna iski wajah se uss aurat ko azab hoga. Aur raat ko deyr se soone ki aysi manhoos aadat padhti jarahi hai, aur isha ke baad raat deyr tak khawind aur bacchoon ke saath ghar ke kaam kaaj mein lagi rehti hai, raat mein garmiyoon deyr se soone ki aadat hai isliye inke liye fajar ki namaz mein uthna mushkil hota hai namaz hi qaza hojati hai pata hi nahi chalta aankh khuli toh suraj nikla huwa hota hai joh aurat apni namazon ka khiyal nahi rakhti paaki-napaaki khiyal na rakhegi. Nabi (SAWS) ne farmaya usko jahannam mein is tarah azab diya jayega.

Phir Nabi (SAWS) ne farmaya paanchvi aurat ko maine dekha jiska chehra (face) khinzeer (pig) ki tarha bangaya thaa aur uska jisam ghadeh (donkey) ki tarha thaa, thee toh woh aurat hi uske jisam ki jild woh thee aysi bangayi jaise ghadeh ka jisam hota hai aur chehra ayse bangaya jaise khinzeer ka chehra hai. Goya shakal masaq kardi gayi aur is tarha se usse azab ho raha thaa, farmaya ye woh aurat hogi joh jhoot bolti hogi, ghibat karti hogi, chugalkhori karti hogi. Abb soonchiye toh sahi ye aadatein toh aksar dekhi jati hai chugalkhori toh aysi hai biwi chahati hai saas ki chugliyaan karke khawind ko apni taraf karle, saas chahati hai bahu ki chugliyaan karke bête ko apne kaabumein rakhe, abb ye saas bahu ki jung chalrahi hoti hai, kaye gharoon mein toh garam jung chal rahi hoti hai. Abb ek doosre ke chugliyaan khane se apni aaqibat kharab Kar rahi hoti hai. Allah Rabbul Izzat ne chugalkhoor ke liye aysa azab diya ke unka chehra badal diya jayega, chunke chugli khane waali baat ko badah chada kar karta agar wohi baat bhi kare ayse andaaz mein karta hai ke uss bande ke dil mein uski nafrath aaye, chunke ye baat badal kar karti hai. Isliye azab bhi aysa hai ke unke chehroon ko masaq kardiya jayega. Chehra khinzeer ki tarha bana deinge aur jisam ghade ki tarha bana deinge ye jhoot bolne waali, ghibat karne waali, chugli karne waali auratein hongi. Ghibat aur chugli mein tohda farq hai, ghibat usse kehte hai agar koi kisi ki tareef kare toh isse tareef acchi na lage, ye uski badh-tareef ki baat karde kisi ke peet phiche badh-tareefi ki baat karna isko ghibat kehte hai, lekin chugalkhoori mein baat toh wohi hoti hai magar saath ye bhi niyat hoti hai ke bandah usse duur hojaye, ghibat mein ye niyyat hoti hai bandah usse bura samajh ne lagjaye toh ghibat aur chugalkhori mein ye farq hai. Ghibat isliye ki jaati hai bandah usko bura samjhe aur chugalkhori isliye ki jaati hai ke bandah dil se usse nafrat karne lagjaye aur usse kat jaye uska taluq todhne ki niyyat hoti hai isiko ladhayi-bhujayi kehte hai. Isse rishtedariyaan toot ti hai loog ek-dusre se juda hote hai. Isliye chugalkhoor insaan Allah Rabbul Izzat ko hargiz pasand nahi, jahannam mein aysi auratoon ko woh azab diya jayega, ye baat yaad rakhiye sab gunah faqad auratoon mein hi nahi hote mardoon mein bhi hote hai, agar koi mard bhi aysa gunah karega usko bhi aysi hi saza milegi jaisi auratoon ko mil rahi hai. Saaf Hadees e Pak mein auratoon ko baat batlayi gayi ab inke gunah joh mard kar rahe honge woh bhi issi ziman mein aajayeinge aur unko bhi ishi tarha ki sazayein di jayegi. 

Nabi (SAWS) ne farmaya chatvi aurat ko maine dekha uski shakal kutte jaise thee, aur woh awaz ayse nikaalti jaise kutta bhunk raha hota hai, aur aag uske moo mein se dakhil hoti thee aur uske paikhana ki jagah se nikal rahi thee, iss tarha maine dekha farishte uss gurd mar rahe hai pucha aye Nabi (SAWS) usne aysa kaunsa kusoor kiya! farmaya uske andar hasad bahut ziada thaa, woh dusroon se hasad karti thee, aaj-kal auratoon mein hasad ki bimaar bahut ziada hai, mardo mein bhi hai, magar auratoon mein bahut ziada hai. Ye dusroon ke maal-malaal par hasad karti hai, ahal-wa-ayaal par hasad karti hai, husn wa Jamaal par hasad karti hai, khubiyoon aur kamaal par hasad karti hai, dusroon ka inse accha dekha nahi jata, andar-andar jalti rehti hai, kisiko ni’ymat milein unke dil pe boojh hota hai, ye hasad ki baat hai. Hasad insaan ki nekiyoon ko ayse khajata hai jaise aag kisi sukhi lakdi ko khajati hai. Qiyamat ke din jis tarha azab diya jayega abb soonchne ki baat hai ke aap inn 6 batoon ko acchi tarha gour karle aur ye dekhiye ke kaunse gunah main karti hoon. Aysa toh nahi mai jahannam mein sar ke bal latki hongi, zaban ke bal latki hongi, pistanoo ke bal latki hongi, jahannam ke andar haath-paun bandhe honge aur burj lagrahein honge, meri shakal khinzeer ki bani huwi hongi, ya meri shakal kutte ki bani huwi hongi. Hum in gunahoon ko baith kar soonchein aur phir Allah t’ala se maafi mange aaj waqt hai sulah karne ka hum maafi mangeinge, Parwardigaar hamein maaf farmadeinge aur agar aaj maafi na mangi toh qiyamat ke din jitna chahi royeinge Allah Rabbul Izzat hamari taraf dhiyaan hi na deinge tawajjohi nahi kareinge, baat hi nahi kareinge. Isliye Imaan ki hifazat ki bahut zaruri hai. Auratoon ko dekha baaz auqaat kalimat e kufr booljati hai. Bichariyoon ko ilm nahi hota aysi-aysi baatein kar jati hai, joh kufriyaan batein hoti hai, aur Ulamaoon se sekhti bhi nahi, kitaboon mein padhti bhi nahi, deen ka shauq bhi itna nahi unko sikhein aur apne Imaan ki hifazat karein, agar unko Imaan ki hifazat ka shauq hojayein, ‘aamaal ka shauq hojayein, phir toh kyahi khoob baat hai. Isliye ayse kalimaat keh jati hai, ke jiski wajah se baaz auqaat Imaan hi salb kar liya jata hai. Agar Iman salb hojaye phir to hamesha-hamesha ke liye jahannam mein rehna padhega. Isliye hamein chahiye ke sacchi tauba karke, nayesire se musalman banjayein, aur apne Rab ki ni’ymatoon ko saamne rakhe. 

Abb soonchiye ek Jannat mein jaane waale loog hai, aur ek jahannam mein jaane waale loog hai. Quran bataraha hai “yauma nahshurul muttaqeena Ilar Rahmaani wahda” Sureh Maryam Ayah 85 (Jannati logoon ko Allah ta’la sawariyoon par bithakar Jannat lejayeinge, aur jahannamiyoon ke baare mein farmaya “wanasuqul mujrimina ilajahannama wirda” Sureh Maryam Ayah 86 (jahannamiyoon ko piyaasa haankar jaise jaanwaroon ko haankar lekar jate hai inko istarha haankar jahannam mein lejayeinge). Jannatiyoon ke baare mein farmaya wasaqahum rabbuhum sharaban Tahura (76:21) unka Parwardigaar unhein sharaab e tahoor pilayega aur farmayega “Innahaza kaana lakum jazaawn wa kaana sa’yikum mashkoora” (ye badla hai joh tumne neik aamaal kiye aur jahannamiyoon ke baare mein farmaya itna buura mashroob pine ke liye diya jayega. Toh zindagiyoon mein kitna farq hoga abb hum faisla karle hum kis taraf jaana chahate hai, joh imaan se khali jayege woh Allah tala se baat karne ki koshish kareinge. 

Riwayat mein aata hai ke jahannami loog hazaroon saal tak royeinge, hatta ke ek dusre ke saamne qataar baankar baiteinge jis tarha kutte bhunkte hai iss tarha bhoonkna shuru kardeinge. Kayi hazaar saal tak roone ki wajah se inki awaz kuttoon ke jaise bhoonkne waali awaz banjayegi. Allah ta’la phir bhi inn par Raham nahi farmayeinge. Balke in kuffaar, mushrikeen aur munafiqeen ke baare mein farmaya ye Allah ta’la se kaheinge ke aye Allah hamein nikaal dijiye magar Allah Rabbul Izzat inko jawab deinge 5 martaba. Allah Rabbul Izzat se kalaam kareinge Quran e paak mein hai jahannami kaheinge “Aye Allah hamein doo dafa zindagi mili maut milgayi aye Allah hamne kusuroon ka a’teraaf kar liya aye Allah hai koi nikalne ka raasta.” Allah ta’ala farmayeing “jab tumhein ek Allah ki taraf bulaya jata thaa tum shirk karte thay tum jo hai inka inkaar karte thay jab tum shirk kiya toh maan lete thay aaj toh hukum Allah badi shaan waale ka hai”. Phir kuch arse ke baad dubara humkalami kareinge “Aye Allah humne dekhliya, sunliya, aye Allah hamein wapas duniya mein bhejiye abb hum neik kaam kareinge”. Allah t’ala farmayeinge “chunache tum aaj ke din ko bhul gaye thay humne tumhe bhula diya abb chakko ye dardnaak azab. Phir tisiri baar kayi hazaar saal ke baad humkalami hogi. “Aye Parwardigaar hamein nikaal dijiye hum ab duniya mein jayeinge to aapke Rasuloon par Iman layeinge aur unki itteba kareinge”. Farmaya jayega “Humne tumhe pehle nahi batadiya thaa tum qasmein khaate thay ye n’iymatein kabhi zael nahi hongi”. Phir chauthi martaba kai hazaron saal baad ye baat kareinge “Allah humein bahar nikaal dijiye hum acche kaam kareinge ayse nahi jaise pehle kiya karte thay”. Allah t’ala ki taraf se irshad hoga “kya humne tumhein nayi zindagi nahi di thee aur tumhein nasihat nahi ki thee ke Tum maanlo tumhare paas toh daraane waale Ambiya bhi aaye thay magar tumne toh kaan hi na bhare. Kayi saal ke baad Paanchvi martaba phir yaad karienge aur badeh ajeeb alfaaz hai “Aye Allah hamein ismein se nikaal dijiye aye Allah agar hum phir bhure kaam karein toh waaqe hum zaleem honge”. Allah ta’ala jawab mein farmayeinge “Padhe raho phathkare huwe, mai tumse kalaam nahi karna chahata”. Jaise koi gusse mein kehta hai, mai tumhari shakal nahi dekhna chahata, shut-up, mujhse baat na karo, Allah tala ishi tarha farmayeinge “padhe raho phathkare huwe, khabardaar mujhse baat mat karo. Lehaza uske baad Allah tala unse kabhi bhi baat nahi kareinge, Allah tala is fareeq ke baare mein farmate hai, mere bando ka ek groh aysa thaa jinhone kaha hamne apne rab par imaan laye, tumne unko thattha banaya unse mazaaq karte thay, hatta ke tum mere zikr ko bhul-gaye. 

Aaj  joh bacchiyaan pardah karna shuru kardeti hai, doosri unpar thatte karti hai mazaq karti udhati hai tum toh haatni ki tarha lagti ho, tum toh falan ki tarha lag rahi ho iss qisam ki batein karke mazaq udhati hai. Allah tala farmayeinge “tum unka mazaq udhate thay, aajmaine unko unke sabar ka badla diya aur woh hai joh aaj kaamiyaabiyaan paane waale hai. Lehaza hamein chahiye hum Jannat ko Allah se talab karein aur jahannam se panah mange, Allah tala Quran e paak mein farmate hai “zara bataoto sahi jisko aag ke andar daal diya jaye woh behtar hai ya woh jisko qiyamat ke din Allah tala aman ata farmayeinge. Toh sacchi baat toh ye jisko qiyamat ke din aman milgaya, magfirat milgayi woh kitna khush-naseeb hai Allah Rabbul Izzat hamein Jannat ki n’ieymatein ata farmadein. 

Ek baat zehan mein rakhna agar aap Allah se Jannat ka makan mageingi toh aapko faqad makaan hi nahi milega, uss makan mein aapko sab ne’matein miljayegi joh bhi Jannati aurat hongi shafa’at karegi, uska gunahgaar khawind bhi Jannat mein jayega, woh bête-betiyoon ke baare mein shafa’at karegi, bête-betiyaan bhi Jannat mein jayeinge, maa-baap ke bare me shafa’at karegi gunahgar maa-baap bhi Jannat mein jayeinge, woh kisi aur rishtedaar ke baare mein shafa’at karegi woh bhi Jannat me jayeinge. Jannat ka makan hi faqad nahi milega jannat me aap apno ke saath milkar rahegi. jahannammein tanhayi ki zindagi aur sab apne rishtedaroon ki zindagi. Soonchiye toh sahi aurat ko mehal numa makan mile bagaat ho sab neymatein hoon, phir maa-baap, behan-bhai, shauhar bacche sab paas ho, phir zindagi ka kya maza hota hai. Ye zindagi milegi agar hum Allah ta’la se Jannat mein ghar manga. Isliye Nabi (SAWS) ne ye dua sikhlayi aye Allah mai aapse Jannat mangta hoon aur jahannam se aapki panah maangta hoon.

Hadees e Paak ka mafhoom hai jahannam ke andar jahannami auratein aur mard honge unke upaar badal ayeinge niche se farishte gurd mar rahe honge, badaloon mein se bijli ki kadakne ki awazein ayeingi. Aaj zara tasawwur karke dekhiye kabhi aasman par badal ho aur bijli ziada kadak rahi ho toh auratoon ke dil se khaufa ajata hai, bacchoon mein khauf aajata hai badaloon ke garajne ki awaz se, toh jahannam mein bhi aysa hoga farishte grud mar rahe honge. Hadees e paak mein batla diya gaya farishte ayse honge unke daant lambe-lambe hontoon se bahar nikle honge, unke nakhoon bade-bade honge aur unke natnoo se aag ki lipte nikal rahi hongi aur unki ankhein surkh hongi aur woh gusse se dekh rahe honge. Awwal toh itni darauni shakal saamne aajaye mard/aurat ka pitta paani hojaye jahannam mein ayse farishtoon ke haatoon mein gurd honge aur woh gurd se pitayi kar rahein honge ek waqt mein kayi honge baloon ke bal, zaban ke bal, pistanoo ke bal latki hongi, upar se farishte bhi maar rahe honge aag mein bhi jal rahi hongi, phir farmaya upar se badal aayeinge aur unn badaloon se bijli ki garajne ki awazein ayegi, jab badal garajeinge phir soonchiye dil ka kya haal honga. Istarha isko jahannam mein azab milega. Hatta ke ek aysa mauqa aayega ye paani mangeinge Allah Tala farmayeige mai tumpar badaloon ko barsadun woh kaheinge zaroor barsadein Allah tala badaloon ko hukum deinge, magar usmein se paani ki bajaye bicchu gireinge aur jahannamiyoon par lipat jayienge aur jisam ko kateinge aur unki takleef ziada badh jayegi. Ek toh ye jahannam ki halat hai. 

Jannat mein insaan aish wo aaram mein honga, sukun mein honga, Ambiya Alaihimussalaam ki mehfilein mileinge aur Allah ta’la ka didaar milega, Ambiya (As) ka didaar milega, neikoon ka saath hoga, khane ko milega, nehrein hongi, khooshbuyein milegi ye woh zidagi hai kabhi bhi usse wapas nahi lijayegi. Sacchi baat toh ye hum Jannat ke mohtaaj hai, jahannam se bachna hamari zarurat hai, isliye hamein faisla karlena chahiye, duniya ke thode din ki zindagi hai har gunah se bacheinge har neki ka kaam kareinge, apni zindagi ke rukh ko badaleinge. Humne duniya mein chan din be-pardagi ki zindagi guzaardi thee, tv drama dekh bhi liye, naach gaane kar bhi liye aur bil-aakhir jahannam mein jaa pahunche toh kitna bura sauda kiya. Isliye inn tamaam gunahoon se tauba karlijiye hat-jayiye neki ki zindagi ko ikhtiyaar karlein taake Allah tala aakhirat qiyamat ke din Jannat ata farmade.

Jis aurat ko Jannat ka makan milgaya sab khusiyaan usse milgayi. Isliye Hazrat Aasiya (Rz) ne Allah se Jannat mein makan maanga thaa, Hadees e Paak ka mafhoom hai firaun ke ghar mein ek mashuka thee jisko hair-dresser kehte hai, woh firaun ke ghar ki auratoon ke baaloon ko sawaarne ka kaam karti thee, jis waqt firaun ki jawan ul umar beti nahahi aur woh apne baal baanwarahi thee aur gudwa rahi thee, aur woh mashuka jiske saath baithi huwi kangi kar rahi thee, uske haatonse kangi gir gayi usne kangi uthate huwe Allah ka naam liya ke "mai Musa (As) ke Rab par Imaan le aayi", jab ye alfaaz uss jawan ladki ne suna firaun ki kambakh beti thee, usne kaha tu mere baap ko Khuda nahi maanti, usne kaha hargiz nahi mai toh sirf Musa (As) ke Rab ko maanti hoon. Chunache woh ushi waqt uthgayi gusse mein baal bhi na-banwayein, woh firaun ke paas ja kar pahunchi abbu hamare mehal mein aysi auratein hai joh aapko khuda nahi maanti, hamara diya khati hai, hamari hi dushman hai firaun ko gussa aaya, kehne laga accha mai abhi usse maza chakhata hoon, firaun ne taaj sar par rakha aur darbaar laga liya aur uss khadima ko bulaya aur khadima ko kaha usse zameen par litado, uss bichari ko zameen par lita diya gaya uske donoo haatoon mein aur paoun ke andar keel daal kar zameen ke andar dhasa diye gayein, goya uske haath aur paoun hil nahi sakte. Uss aurat ko kaha gaya tum apni baat par wapas laut aaoo, woh kehnelagi hargiz nahi mujhe wo Imaan ka maza mil gaya mai abb wapas nahi aa sakti, firaun ne kaha mere Paas tera ilaaj hai, kaun sa ilaaj usne kaha ilaaj ye hai, teri doodh piti bacchi ko bulwata hoon. Chunache usne kya kiya uss khadima ke si-ne se kapde haatwa diye aur bacchi ko laakar uske seene se laga diya. Masoom bacchi uske seene se leti maa ke pistanoo se doodh pina shuru kardiya, abb saara darbaar dekh raha hai, firaun kehne laga teri bacchi ko tere seene ke upar zibha karunga, ye tadhpegi iska khoon tere seene par bahega, warna tu meri baat ko maanle woh kehne lagi hargiz nahi, Imaan itna qeemti hai mai ye qurbani karlungi magar mai khud Imaan se hat nahi sakti. Chunache firaun ne kya kiya uski beti ko qatal karne ka hukum dia ayse zalim thaa ek ne khanjar maara aur zubah kardiya, gardan ko uske jisam se juda kar diya nazuk phool se bacchi maa ke seene par tadap ne lagi maa ke seene par khoon ka phawwara choota, soonchiye maa par kya guzri bil-aakhir bacchi thandi hogayi toh woh kehne laga maanti ho ya nahi, usne kaha nahi maanti woh kehne laga accha mai tera aur ilaaj karta hoon, firaun ne bade-bade bichoo paal rakha thaa jisse woh dushmanoo ko sazayein deta thaa, usne kaha iss aurat ke nange badan par sab bichoo daal diye jayein, chunache bicchu daal diye gayein uski jisam par hazaroon ki tadaat mein bicchuon ne uske jisam ko bilkul cover karliya, aur kaatne lage uss aurat ko itni takleef machli ki tarha tadapne lagi, ishi tadap se usko maut aagayi. Jab firaun ne dekha ye thandhi hochuki, firaun ghar aaya apni biwi ko ye kehne laga Aasiya tumne dekha maine aysi aurat ka kya hashar kiya.

Jisne Musa (As) ke Khuda par Imaan laya maine usse yun marwaya uski beti ko seene par zibah karwaya, Bibi Aasiya khud bhi Imaan lachuki thee, Bibi Aasiya kehne lagi tu mardood hai zaalim hai, tu ne ek bacchi ki jaan li ek maa ko tumne zibah kiya, tu kitna badhbakht insaan hai, firaun ki biwi Aasiya ke husn wa Jamaal se badi mohabbat thee, Allah ne Hooroon jaisa Jamaal diya thaa, firaun ne puuri qaum mein se chun kar woh sab ki Miss universe thee unke saath nikah kiya thaa. Toh Bibi Aasiya itni khoobsurat thee, inke upar woh jaan chidakta thaa, aashiq thaa unko bhi pata thaa ke usko inse kitna talooq hai, unke dil mein uske liye nafrat aachuki thee, tu kitna badhbakht ek bacchi ki jaan li ye sab sunne ke baad firaun ne kaha Aasiya kya tum mujhe Khuda nahi maanti woh kehne lagi mai hargiz tujhe Khuda nahi maanti. Mai toh Musa (As) ke Khuda par Imaan laachuki hoon. Jab isne ye suna toh iska dimaag ubalne laga, kehne laga accha mai abb tera kya hashar karta hoon. Woh kehne lagi tu joh kar sakta hai karle, keh diya mai peche nahi hatoongi, firaun wapas darbaar mein lautkar wapas aaya, aur darbar mein hukum dene laga meri malikah ko darbaar mein laya jayein. Chunache unko hadkadiyaan laga kar darbaar mein laya gaya, darbar ke loog hairan thay, us aurat ke hukum ka ishara dekhne ke liye saykadoon khadimayein mehal mein hoti thee, jiske ishare ko hardam puura kardiya jata thaa, aaj woh mulzimah bankar darbar mein pesh ho rahi hai, firaun ke hukum par woh saamne laye gaye, joh darbari loog thay woh inko izzat ki wajah se nahi dekhte thay. Aaj ye sabke saamne mulzimah bankar khadi hai, firaun ne kaha Aasiya tum meri biwi ho mai tumse mohabbat karta hoon iss mohabbat ki laaj lakhlo, tum mujh par Imaan le-aaoo woh kehne lagi hargiz nahi, firaun ko aur gussa aaya woh kehne laga mai tumhe sab ke saamne ruswa kardunga, kehne lage joh tu chahata hai karle, mai bhi piche nahi hatungi, firaun ko itna gussa aaya kehne laga iske jisam se ye paushak nikaldo, isko sabke saamne nanga kardo abb soonchiye kisi mard ko kehdiya jaye tujhe sabke saamne naanga kardeinge uska jee chahata hai zameen phatjayein mai andar utar jaaoun aurat toh phir haya waali hoti hai, woh toh haya ki putli hoti hai, uske toh andar haya koot-koot kar bhari hoti hai. abb aurat ko kaha jaraha hai saare darbariyoon ke saamne tujhe be-labaas kardeinge, magar Imaan ek taraf thaa, Imaan ki qimat ziada hoti hai. Bibi Aasiya ne kaha mai hargiz tujhse nahi hatungi. Chunache unke sar se kapde utaar diye gaye, jisam se kapde utar diye gaye, bilkul woh be-libaas khadi hai saare darbariyoon ki nazar unke jisam par padh rahi hai, firaun ne kaha dekh maine tujhe kaise ruswa kiya, abbhi agar nahi maanti mai tujhe isse ziada azab dunga. Woh kehne lagi ab toh maine faisla karliya joh tu chahata hai karle mai bhi piche nahi hatungi firaun ne kaha donoo hatoo aur paoun ke andar kilein dalein jayein aur zameen ke upar litakar woh kilein zameen ke andar gaadhdiya jayein. Magar firaun ne kaha ayse usko litana usko iski aankhoon ke saamne mera mehal rahein aur isko pata chalein maine mehal ki zindagi ko thokar lagayi. Chunache firaun ke kehne par Bibi Aasiya ko istarha litayagaya ke inke chehre ke saamne mehal tha unko ye ahsaas rahe ke iss mahel se mujhe nikal diya gaya. Mai iss mehal se mehroom rehgayi, aur unke haat payr me thelaga diye gaye. Chunache firaun ne kaha kya tu abb maanti hai mai tumhein maaf karne ke liye tayyar hoon, unhone kaha hargiz nahi. Chunache firaun ne hukum diya logoon ko aao iske jisam ki khaal ko zinda nikaaldo, Chunache loog ustara aur chaku teez bane huwe thay, unhoone zinda haalat mein Hz Aasiya ki khaal utaarna shuru kar diye. Abb zara soonchiye to sahi ke zinda haalat mein khaal utaari jaarahi hai toh jisam ko kitni takleef ho rahi hoti, Bibi Aasiya bagair kapdoon ke leeti hai aur saamne mehal hai, khaal utar rahi hai, lekin Imaan badi cheez hai. Unki tawajjoh Allah ki taraf hai, jisam se khaal utaari gayi. Baaz kitaboon mein ye baat likhi gayi hai, jisam se khaal utaardi gayi hai lekin inki jaan mein jaan baqhi thee maut nahi aayi, hawa bhi lage toh takleef hoti hai, ye bhi tadap rahi thee saamne mehal thaa firaun ne kaha abb aakhiri mauqa hai, agar tum abhi nahi maanti tumhare zakhmoon par mirchi dalwaoonga tumhe aur takleef hogi. Chunache unhone kaha mai hargiz nahi piche nahi hatoongi, firaun ne ishara kiya inke puure jisam par jahan khaal utrewi thee mirchiyoon ko chitak diya gaya, phir dard ki wajah se machli ki tarha tadap gaye. Uss waqt inki nazar mehal par padhi, ye woh mehal hai jisne mujhe yahan se nikaala, unhone apne Rab se dua ki, Quran ne uss dua ko nakal farmaya, Allah Ta’la farmate hai “Aye Allah firaun ne mujhe mehal se nikaal diya aur kehta hai mai mehroom hogayi Allah mujhe mehal nahi chahiye, Allah mujhe apne paas jannat mein ghar ata farmade”. Soonchiye jab ghar Allah se maangte hai sabse pehli cheez usse ghar chahiye, woh ghar maangti hai, sar chupane ki jagah mil jayein. Chunache Hz. Bibi Aasiya ne ye dua maangi “Aye Allah Jannat me apne padoos me ek ghar ata kar dijiye” chunache unki dua ko Allah ne qubool karliya. Aur bil-aakhir unhone tadap-tadap kar jaan dedi. Abb zara agli baat sunlijiye donoo auratoon ne Imaan ke khatir apni jaan dedi hai, aur Allah se joh maanga unhein mila.

Lekin Allah ne unhein unki ummidoon se badhkar diya. Chunache Hadees e Paak mein aata hai, Allah tala ne uss khadimah ki iss qadardaani farmayi Nabi (SAWS) jab me’raaj ki taraf tashreef lejaane lage raaste mein ek jagah se bahut ziada khusboo aayi pucha jibraeel ye khusboo kaisi hai Jibril (As) ne arz kia Aye Allah ke Nabi yaha par uss khadimah ki khabar hai joh firaun ke betiyoon ki baal banaya karti thee aur woh shaheed hogayi thee, uski khabar se aysi khooshboyein uthrahi thee aye Allah ke Mehboob aap mehsoos kar rahe hai. Soonchiye toh sahi Allah ke naam par jaan di thee to qabar ko Jannat ka aysa baaqh banaya qabr se khusbu-yein uthrahi hai, Allah ke Mehboob ne woh khusbuyein mehsoos karli hai. 

Aur dusri riwayat mein aata hai Hz. Khadijatul Kubra (Rz) unki wafaat ka waqt qareeb aaya unhoone Nabi (SAWS) ke saamne zahir kiya meri haalat ab gair horahi hai toh Nabi ne farmaya Khadija aap Jannat mein jaaogi toh wahan jaa kar meri biwiyoon ko salaam keh dena Khadija tul Kubra (Rz) badi hairaan hogayi arz karti hai aye Allah ke Mehboob duniya mein toh pehli biwi mai hoon aapki Jannat mein kaunsi biwiyan Nabi (SAWS) ne farmaya Khadija Allah Rabbul Izzat ne Bibi Maryam aur Bibi Aasiya ko Jannat mein meri biwiyaan bana diya tum jaoogi toh unhein mera salaam keh dena. 

Ab Allah Ki qadar-daani dekhiye Bibi Aasiya ne Allah se ghar maanga thaa Allah tu kitna kareem hai, kitna meharbaan hai uss bandi ki qurbani ko qubool karliya aur gharwaala apni khooshi se aata farma diya. Bibi Aasiyah tuune kitne nafe’ ka sauda kiya, firaun ki biwi thee Allah ne us zaalim se bachaliya, uss badhbakh se tujhe baccha liya aur Syedul kaunain ko teri biwi banadiya, aurat ne toh Allah se ghar maanga thaa, Allah ta’la ne apni khushi se gharwaala bhi aata farma diya.

Toh bilkul ishi tarha aap bhi Allah se ghar maangegi aur Allah ghar ata farmayeinge aur is dua ki barkat se aapke khawindki bhi bakhsish kardeinge taake aapko aapka gharwala bhi mil jaye, aapke bacchon ki bhi bakhsish kardeinge taake aap bacchon ke saath raheinge, Maa-baap ki bhi bakhsish kardeinge, behan-bhaiyoon ki bhi bakhsish kardeinge, jab inn sab ki bakhsish hongi aur aap jab Jannat mein apne ghar mein hongi soonchiye uss zindagi ka aapko kitna maza ayeinga. Phir Allah Rabbul Izzat ka didaar hoya karega, Allah ki dawatein huwa karegi, Allah Ta’la hamein apni pasandida Jannat mein jagah ata farmade aur jahannam se hamein mehfooz farmade (Aameeen). 

Lehaza aap sabse guzarish hai ke aap tamaam kabira wa sagheera gunahoon se sacchi tauba karein aur apne Rab ko mana lein. Allah ke jo hai pasandida jagah Jannat mein Allah Rabbul Izzat hamare liye makan ki allotment farmadein taake hum apne doost ahbaab, rishtedaaroon ke saath khushiyaan bhari zindagi wahan guzare. 
WA AAKHIRU DA’WANA ANIL HAMDULILLAHI RABBIL AALAMEEEN

Spread this Info to yours Friends & Family through Whatsapp, Facebook, Twitter, Instagram, gmail, Imo, Pinterest etc for your Aakhirah. Jazakallahu Khair.

Diploma In Arabic Course Notes

S.No              Books

1              Sharah Fiqh - E – Akbar (Click Here)

2              Noor Ul Eizah (Click Here)

3              Arbayeen Fil Hadees (Click Here)

4              Risaleh Deeniyaat (Click Here)

5              Seeratun Nabi (Saws) (Click Here)

6              Nahu (Click Here)

7              Minhaj  Ul Arabia 1-3 Parts (Buy)

8              Anwarul Arabia Attatbiqayyah (Buy)

9              Al-Jadeed 1-2 Parts (Buy)

Post a Comment

0 Comments