Jannat Ka Manzar Zindagi Info Roman English, Hindi & Urdu

Nahmaduhu Wa Nusallimu ‘Ala Rasoolihil Kareem wa Alaa Aalihi wa Ashaabihi Ajmayeen wa mann Tabi’ahum bi Ihsanin ila yaumiddin ‘Amma Ba’ad. Fa' Aouzubillahi Minash Shaitaw-nir-rajeem. Bismillahir-Rahma-nir-Raheem “Assalaamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh”.

Jannat ka Manzar Nazara Zindagi Info In English, Hindi & Urdu - खुदा की जन्नत


Jannat paida ho chuki hai, joh ek aish wa aaraam ki jagah hai aur jismein tarha-tarha ki nieyamatein maujood hai. Jo neik logoon ko nekiyoon ke sile mein fazle Ilahi se ata hogi. Jannat aur ahle jannat kabhi fanah na honge, na jannatiyoon ko kisi qisam ki takleef ya ranj wa gham hoga. Balke woh apne-apne neik a’maal ke andaze se hamesha aaish wa aaraam mein rahega. Jannat mein sabse badi nieyamat “Allah Ta’la” ka didaar hai, jo Jannatiyoon ko nasib hoga, jiske muqabil tamaam nieyamatein heech hai. Aur Jannat ke bare mein Quran wa Hadees e Nabavi mein jo tafsilaat bayan ki gayi hai wo mahaz bataur misaal hamare Ilm aur malumaat ko madde nazar rakhte huwe bayan ki gayi hai, warna haqeeqat mein jannat ki ne’matoon ko alfaaz ka roop dena mumkin hi nahi hai.

Ramdan ke mahine mein Momin ki Jannat mein allotment hoti hai. Allah ta’la toh Jannat har din allot karte hai uss bande ko joh tauba karke ruju hojata hai. Lekin ramdan ul Mubarak ka mahina ye Jannat ki allotment ka khususi mahina hai, chunache Jannat ke darwaze kholte hai aur usko sajaya jata hai. Heaven Full info In English click here.

 jannat ka manzar

Duniya hamare liye watan e aqamat hai, aur Jannat hamara watan e asli hai. Hum Jannat ke waasi thay Allah Rabbul Izzat ne hamein apni bandage ke liye duniya me behja aur jab duniya se lautkar jayein toh hamein apne ghar me Allah Rabbul Izzat rehaayish ki jageh ata farmayeing. Ishiliye Hadees e pak mein hai ke Nabi e Kareem (SAWS) ne farmaya ramdan ke mahine mein ye dua kasrat se maanga karo “Allahumma inni as-alukal-jannah wa auozubika minan-naar (Aye Allah mai Jannat ko talab karta hoon aur aag se mai panah maangtahoo) toh jahannam se panah maangne ka hukum diya aur Jannat ko talab karne ka hukum diya. Jannat ko hasil karna zaruratoon me se badi zarurat hai. Yahan baaz auqaat galat fehmi aajati hai logoon mein, kitaboon mein Aulia Allah ke waqiyat padhte hai, ke Rabia basri (Ra) chali thi ek haat mein paani lekar aur dusre haat mein aag lekar ke aag se main Jannat ko jalaoongi aur paani se dozakh ko bhujaoongi taake loog Jannat aur jahannam ki wajah se Ibadat na karein balke Allah ki Mohabbat mein Ibadat karein, ye rabia basri ka ghalba e haal ka waqia hai. Hazrat mujaddid alf sani kehte hai ke agar rabia basri behch or beht se wakhif rehti toh woh aysa kaam na karti. Isliye ke Allah tala khud Jannat ke liye bula rahe hai (Wallahu yad’uo Ila Darissalaam) aur Allah tala jiski taraf bulaye uski taraf jaana ain mansha e Khuda wandi hoti hai. Toh isliye ayse Allah waloon ki mohabbat e Ilahi ke ghalbe mein ye baatein kardena ye mohabbat ki wajah se hota hai. Taham Jannat ko talab karna ye momin ka kaam hai, ye momin ki tamanna honi chahiye. Isliye ke niyyat ye na ho ke Jannat ke andar khane peene ki cheezein hongi rehayish ki jagah hogi, ni’ymatein hongi nahi niyyat ye ho ke Jannat wo jaga hai jahan Momino ko Allah Rabbul Izzat ka didar nasib hoga. Agar hum Jannat pahunch jayeinge toh hum aajiz miskinoo ko bhi Allah ka didaar hoga. Toh isliye har Momin ko dil mein Jannat ki tamanna rakhna ye neki ka kaam hai.

Allah ta’a ne har insaan ke liye ek makan Jannat mein banaya hai aur ek makan dozakh mein banaya hai. Maut ke waqt agar woh neik aadmi hoto usko pehle jahannam ka makan dikhate hai 'aye mere bande agar tu burayaan karta toh tera ye thikana hota ab Chunke tu sari zindagi neki mein guzari ab tera thikana Jannat mein hai' jab Jannat ka thikana dikhate hai to usko itni khusi milti hai ke usko maut ki saari takleef duur hojati hai aur usko us takleef ka kuch bhi ahsaas nahi hota woh sab bhul jata hai. Agar woh banda gunahgaar ho toh usko Allah Rabbul izzat ke farishte usko Jannat ka makan dikhate hai 'agar tu neki karta toh tera ye makan hota joh Jannat mein tayyar kiya, kyunke toone burayiyaan kiye gunah kiye gunahoon se tauba bhi nahi ki, toh ab teri maut kufr par aarahi hai, shirk par aarahi hai, munafiqat par aarahi hai isliye ab tujhe jahannam mein daleinge' toh uske dil mein hasrat badh jayegi, kaash mai bhi Imaan qabool karleta ya neik hota mujhe bhi Jannat miljati ab main Jannat se mehroom, toh uske dil mein hasrat hogi, phir usse jahannam ka makan dikhayeinge, ab tujhe yahan bhejeinge toh khauf hoga ishi khauf aur hasrat ki takleef mein jab us-se maut ki takleef pahunchegi to uski taklifein ziada hogi aur uski ruh ko khabz karliya jayega.

JANNAT KA MANZAR Complete Info

Allah Rabbul Izzat ne Quran e Majeed mein farmaya ke Jahannam ke 7 darwaze hai lekin Hadees e pak mein hai ke ye batlaya gaya, Jannat ke 8 darwaze hai. Ab ismein Ulamaa ne ek nuqta likha, nuqta ye likha ke jis taraf se ziada loog aana hoon uss taraf ke raaste ko bada banadiya jata hai. Allah Rabbul Izzat ka mansha ye hai ke mere ziada bande Jannat mein chale jayein. Toh jis Parwardigaar ne pehlehi Jannat ke darwazoon ko bada aur ziada kardiya toh niyyat uski ye hai ke mere bande neki kare ye jahannam mein jane ke bajaye Jannat mein ziada jaane waale banjaye.

Jannat Allah ta’la ki banayi huwi ek jagah hai. Jiske baare mein aata hai ke kisi aankhne dekha nahi kisi kaan ne uske baare mein suna nahi, kisi insaan ke dil par uska khiyal tak nahi guzra. Toh goya Jannat hamare khawboon khiyaal se ziada haseen wa khoobsurat jagah hai. Ye Allah Rabbul Izzat ke neik bandoon ki rihaeshgah hai. Arsh e Khuda Jannat ki chath hogi. Aur arsh ke bilkul niche ye Jannat hogi. Allah ta’la jab aasmaan banaye to usko tausee’ bakhshi matlab wo har waqt phail raha hai ushi tarah Jannat bhi badhti (phailti) rahi hai. Qiyamat ke din jo Jannati honge Allah ta’la unko protocol (isteqbal ke liye farishte behja jana) ata farmayeinge. Allah Tala farmate hai “Jannati loog qiyamat ke din Jannat mein chaleinge jama’at bankar” aur woh jama’at bankar chalienge aur Jannat ke darwaze tak pahuncheinge to farishtein unhe kaheinge. “Tumhare upar salamati hoon yani unhe phir salaam bhi pesh kiya jayega, har darwaze se farishte dakhil honge aur kaheinge tumpar salamati hoo. Ye salaam ka ma’na salamati hai. Toh farishte bhi khoosh hokar kaheinge o jite raho, o tumhe shabaash ho, tumpar salamati ho, tumne duniya mein rehte huwe sabar kiya, gunahoon se apne nafs ko bachaliya, ab tum dekho Allah ne tumhein kitna accha thikana ata farmaya. Allah ta’la Jannatiyoon ko uss din bahut ikram ata farmayeinge. Aur ek Hadees shareef mein hai ke jab bhi Jannati Jannat mein dakhil honge tab usko farishte salaam kareinge aur woh apne ghar ki taraf jayega toh Allah Rabbul Izzat har Jannati mard aur aurat ko salaam farmayeinge. Ab ye kitna ayzaaz hai ke har Jannati mard aur Jannati aurat ko Allah Tal’a salaam kaheinge.

Hadees e pak mein aaya hai ke Nabi e Kareem (SAWS) ne irshad farmaya ke qiyamat ke din Jannatiyoon ki 120 saffein hongi unme se 80 meri ummat ki safein hongi aur baqhi 40 sab Ambiya (As) ki ummatiyoon ki hongi. Chunache ek riwayat mein ata hai ke Nabi (SAWS) 3 din Sahaba se kinara kash rahe sirf hujre mein apne aap bandh rahe aur namazoon ke liye tashreef laate phir bagair salaam kiye kisi se khamoshi ke saath wapis tashreef lejate, phir namaz ke liye aate phir wapis chale jaate, aapne takhliya (tanhayi) ikhtiyaar karli, Sahaba Ikram bade hairaan hogaye tisere din Nabi (SAWS) Sahaba se mile toh unhone arz kiya ke Aye Allah ke Mehboob aapne 3 din tanhayi kyun ikhtiyar farmayi! Aapne farmaya mai Allah T’ala se duayein maangraha tha, aur 3 din mai Allah ke saamne rota raha aur apne Rab se mangta raha meri Rab ne mujhse wa’da farmadiya ke woh Meri ummat ke 70,000 bandoon ko bagair hisab kitab ke Allah unhein Jannat ata farmainge aur unmein se har-har ek banda 70,000 admiyoon ko lekar ja sakega.

jannat ka naashta khana

Jab Jannati loog Jannat mein dakhil honge. Allah ki taraf se unhein roti ata ki jayegi, baaz riwayat mein roti, fish aur kabad tamaam dunyavi ghiza ki sab lazzatein mil jateinge uss roti ya fish khane mein. Us roti ko kha kar ek neend se mehsoos hongi. Jannat mein har ek ka apna-apna makan honga. Ye makan kaise honge har Insaan apne ‘amaal se banata hai. Hadees e pak mein ata hai ke Jannat mein farishte jo Jannati Insaan ka makan banate hai. Jab wo zikr wa ibadat karte rehta hai, farishte uska makan banate rehte hai, jab wo zikr wa ibadat rokle to farishte bhi rok jate hai. Hum jitni deeyr ibadat karte hai us qadr farishte makan banate rehte hai. Ab auratein dil mein ye baat soonchle jitna waqt wo musalle mein lagayegi, tilawat mein lagayegi, Namazoon mein lagayegi, tasbihaat padhne mein lagayegi apne dil mein Allah ko yaad karne mein lagayegi, utni deyr Jannat mein unka makan banta rahega. Hatta ke banda SubhaanAllah kehdeta hai, toh Allah ta’la iss SubhaanAllah kehne ke badle mein ek darakht Jannat mein lagwadete hai, itna bada darakht hoga ke arabi nasal ka ghoda 70 saal agar uske neeche dawde toh jab jake uska saya mukammal ho. Toh itne bade-bade darakht lageinge itna bada-bada area hoga. Jaise duniya mein hote hai chote makan aur ek hote hai sealed house, 10 acres ke andar ek ghar charoon taraf baagh hai, toh Jannat me sealed house (badi jagah me ek ghar joh mehal ke manind hoga aur baqhi jagah mein baaghaat) ata farmayeinge.

,jannat ka nazara

Jannat ke makan ke bare mein Hadees mein aya hai, ke kuch logoon ke makan sone aur chandi ki intein (bricks), gadah mushk ka hoga, baaz Jannati honge jinka makan surq yaqoot ka mahal ata farmayeinge, sone aur chandi ki intein nahi hongi, aur baaz Jannati honge unka makan heere (Diamond) ka honga jo be-jodh hoga kahein jodh nahi hoga pura-ka-pura makan hi here ka hoga. Toh jab heere ke makan honge, surq yakhoot ke makan honge, toh sochiye ke unki khoobsurti kaise hongi. Phir un makan ke andar gulshan aur baagaat, parinde aur sabz hariyaali hongein jiski wajah se usko bahut maza ayege woh khoshiyaan manayega.

Jannat ke joh darakht honge, phal ke baare mein aaya hai ke jab insaan ka mann kahega ke falaan darakht ka phal khayoon, toh uss darakht ki shaak uske qareeb hogayegi aur phal uske moo ke paas aajayega. Jannat ke darakht ke phal ayse honge jab unko khiyal ayega to darakht khud ba khud jhuk jayeinge aur phal unke saamne hoga, hatta ke leet kar bhi kha sakeinge. Allah Tala farmate hai “Har phal ke jodhe honge nehrein behti hongi”. Baaz riwayat mein aya hai ke har darakht ke andar phaloo ke saath-saath gungroo ki manind kuch cheezein lagi hongi jab Jannat ki hawa chalegi toh darakhtoon ki tehniya hilegi aur woh gungroo bajege aur unmein se itni khoobsurat awaz zahir hogi jaise music ki hoti hai toh jisko sunkar Insaan tamanna karega ke iss awaz ko suntahi rahoon.

jannat ki nehar

Jannatiyoon ka ghar aasmanoo ke sitaroon se ziada chamakdaar hoga, jaise loog kehte hai chamakta huwa heera, heere ki chamak todhi hoti hai sitare ki chamak ziada hoti hai. Jannati makan ke andar Allah ne ye khubi rakh di ke us makan ka design rozana badalta rehta hai. Har din Jannati jaise design chahega wo makan waise banjayega aur khoobsuriti roz badhte rehti hai. Duniya ke ghar ki masal rozana saaf kar-kar ke thak jate hai. Toh sochiye Jannat ke ghar mein rehna ka kitna maza hoga. Jannat ke har ghar mein swimming pool hoga, chunache Hadees e pak mein ata hai ek nahar hai, jiska naam nahar e rahmat hai woh Jannatoon mein tamaam Jannatiyoon ke ghar mein se guzregi yani har ek Jannatiyoon ke makan ke kareeb mein se behti howi jayegi, toh agar wo nahana chahe to usme nah sakta hai usmein tamaam facility hogi.

Allah ta’la ne kayi Jannatein banayi hai, jinmein se ek ka naam Darul Jalaal hai, 2. Darus salaam hai, 3. Jannatul Ma’wa hai, 4. Jannatul Khuld hai, 5. Jannatun Nayeem hai, 6. Jannatul Qaraar hai, 7. Jannatul Firdous hai. Jannatul Firdous woh Jannat hai jismein Allah Ta’la ne Nabi Alaihissalam ko ek Mahel ata farmayeinge, aur ek ka naam 8. Jannat e 'Adan hai, Hadees e pak mein ata hai, Jannatul firdous tak jitni Jannatein hai Allah ne unko toh farishtoon ke haath se banwaya, magar Jannat e Adan ko Allah Ta’la ne apne hatoon se khud banaya. Ye woh Jannat hai jismein Jannatiyoon ko Allah ta’la ka didaar nasib hoga. Allah tala ne chunke apne bandoo ko jalwa ata farmana thaa, jaise koi mehman ko bulaye toh setting ghar ki khud karta hai, ishi tarha Rabbul Izzat ne apne Mehboob Bandoon ko apne un Aashiqoon ko kyunke apna didaar karwana thaa ishi liye Allah Rabbul Izzat ne Jannatul Adan ko apne hatoon se khud banaya. Hadees mein aata hai ke iss Jannat ka garah mushk ka hoga, iska ghaat zafraan ka hoga aur iske phatar motiyoon ke hongein aur iski khaak amber ki hogi. Allah Ta’la ka farman hai “Koi bhi nahi jaanta ke Allah Ta’la ne unki ankoon ki thandak ke liye kya-kya tayyar kiye rakha hai ye badla hai jo woh neik aamaal karte thay”.

Jannat ke makan ke andar bhi furniture honge. Allah Ta’la majlisein bana deinge baithne ke liye mimber honge, kursiyaan hongi, baithne ke liye gaao takkiye lage honge. Allah ta’la ka irshad hai “Ayse takht honge jin par sone (Gold) ka kaam kiya hoga”, jisme loog aamne saamne mehfilein sajakar baithe honge. Khuddam honge naukar-chakar honge, ye Jannatiyoon ke khadim hai, unka naam ghilman hai. Allah Ta’la ka irshad “Jaise chamakte hue moti honge” utne woh khadim khubsoorat honge ke ghar ke andar bhiqre hue moti ki tarha khoobsurat lageinge. Hadees e paak mein aata hai, ek sahabi ne jab ye aayat poochi padhi toh usne Nabi e Kareem se arz kiya Aye Allah ke Mehboob jab Jannati khuddam itne khoobsurat honge Allah tala farmate hai, ke woh bhikre huwe motiyoon ki tarha khoobsurat hongein, toh phir woh Jannat ke waris honge Jannati banege unka husn ka kya aalam honga. Un khuddam ke paas phir khidmat ke liye bartan honge aur insanoo ke saamne khane pine ke liye dastarkhawn lagayeinge.

Allah Ta’la ka irshad Jannat mein dastarkhawn ki tarteeb “unke paas bartan honge (abaarik matlab woh bartan jisme pakadhne ke liye halqa bhi bana ho aur tooti bhi ho magar woh barq ki tarha chamakne wale honge) pehle dastarkhan rakhe, phir bartan raqheinge, phir mashrubaat rakhe, phir uske baad mewe rakh diye jayeinge, phir unke paas parindoon ka ghost ajayega toh hamein Jannat ke dastarkhan ki tarteeb batadi gayi hai, aurtein bhi ishi tarha dastarkhan apne ghar me lagaye. Ye khane uske liye lutf lene ka sabab hongein. Aur khane ke ba’ad mushk ka dakaar aayega khusboo phail jayegi aur woh khana hazam hojayega, phir dubara bhook hogi phir dubara Jannat mein khana shuru kardega.

Aur Jannati Jannat mein dusoron ki mehman nawazi bhi kareinge. Chunache kuch auratein Jannat mein tamanna karegi ke hum Hazrat e Fatima tu Zehra (Rz Anha) ki dawat karinge, toh khatoon e Jannat unke ghar mein dawat ke liye ghar tashreef layeinge aur ishi tarha Hazrat Ayesha (Rz anha), Hazrat Khadija (Rz anha), Hazrat Asiya (Rz anha) aur bibi Maryam (Rz anha). Neik auratein joh ek dusre ki doost honge, jo ek dusre ko neiki ki taleem deti honge wo bhi ek dusre ki dawat karegi. Toh ab sochiye ke dawat ka kitna maza ayega, jis mein koi waqt ki pabandi nahi aur zaruriyaat ki koi kami nahi, chahat ke mutabiq har cheez maujood hai. Jab Jannati aurat niyyat kare ke falaan ki dawat karni hai toh usko khud tayyari nahi karni padhegi, duniya mein toh dawat matlab afsoos hai. Hadees e shareef mein hai ke ye apne ghar ke launch ko ya garden ko jaisa tasawwur karegi setting aysi honi chahiye uski setting waise hojayegi. Phir ek badal aayega aur uss badal ke andar se dastarkhawn laga diya jayega, phir usmein se bartan rakhdiye jayeinge, phir mashroobat honge jo gilmaan lakar rakh deinge, phir uspar mewe rakh diye jayeinge, phir bhune huwe parindoon ke gosht rakh diye jayeinge aur phir uske baad saare khawateen uss mein khana khayeingi, ek dusre ke saath tazkire kareingi duniya mein hum yun programoon mein jaya karti thi, jab duniya mein Ramazan ul mabarak ki raatoon mein jagah karti thi, yun salatu tasbih padha karti thi, yun Quran e pak padha karti thi, ek dusre se duniya ke tazkire karke khush hongi, un waqtoo ko yaad karegi Allah pak ne hum par kitna ahsan kiya ke hamare amloon ko qubool karke Allah Ta’la ne hamein aysi jageh ata farmadi. Toh Jannat ki dawatein hongi unka apnahi kuch rang hoga.

Jannat ke andar joh libaz milega uski apni tarteeb hogi, gharoon ke andar auratoon ne closet banayi hoti hai, aur uss closet mein apne saare kapde rakhdeti hai, kayi martaba kapde ziada toosdeti hongi. Magar Jannat mein aysa maamla nahi, Hadees e pak mein aata hai ke ek darakht hoga anar ka, aur har-har anar unke liye closet rakhne ka maqam banjayega, toh ye us anar ko kholegi aur anar ke andar se unko jodeh miljayege. SubhaanAllah! Allah ke taraf se hai. Jannat mein hardam inko naye kapde milenge dhone aur iron karne ki baat hi nahi aur woh anar ki factory mein tayyar honge. Har Ek jooda dusre joode se muqtalif hoga aur uski khoobsurati ki koi inteha nahi hogi. Hadees e shareef mein hai ke Jannati aurat ke libas me 70,000 rang jhalkeinge, ab duniya me jab auratein kapde pehenti hogi un bichariyoon ko matching ka bada shaukh hota hai, toh ziada se ziada 5-7 rang ay-katte karleti hongi warna 2-4 rangoo se matching karleti hogi. Phir uss 70,000 rangoon mein uski khoobsurati numaya ho rahi hogi.

Allah Rabbul Izzat Jannati auratoon ko ayse khoobsurat libas ata farmayeinge aur Jannati mardoon ko resham ka libas ata farmayeinge aur Jannati mardoon ko Allah Ta’la sone ke kangan pehnayeinge. Aaj jab naujawanoo ko bataya jata hai Jannati mardoon ko sone ke kangan pehnaye jayeinge bichaare pareshan hokar puchte hai ji mardoon ko kangan pehnayeinge. Aur apni halat ye hoti hai ke radoo ki ghadi pehenkar logoon ko haath hila-hila kar dikhate phirte hai, aur miya Jannat mein tumhein radoo ki ghadi apne bazoo par kitni acchi lagti hai toh Allah Ta’la ki taraf se bane huwe sone ke kangan kehdiya toh tumhari rodoo ki ghadi iska mukabula nahi kar sakti, ayse Allah Ta’la khobsurat kangan ata farmayeinge. Toh ye kapde honge Jannati aurat pehnegi duniya mein dhule kapde pehannti thi, magar aakhirat ke andar naye kapde pehnegi, aamtaur par auratoon ki tamanna hoti hai ke function mein mulaqat mein har martaba accha aur naya joda pehannkar jaaye. Allah pak ne inki tamanna ko duniya mein nahi aakhirat mein puura kardiya, jab bhi ye kapde pehnegi naye honge, phir chahegi paushak (kapde/Dress) badal legi, ek din mein 70 martaba libas tabdeel karna chahegi, Allah Ta’la usko 70 naye jode ata farmayeinge. Ab ghar mein rehte huwe ghar me ek hi dafa kapde badalti hongi, agar koi shahana zindagi ho toh din me 2 baar kapde badalti hongi, isse ziada ka tasawwur nahi. Magar Jannat ke andar SubhanAllah roozana 70 baar bhi agar badlegi to isko naye reshmi libas miljayeinge har-har libas mein se 70,000 rang badalte honge.

Phir duniya ke andar sawariyaan hoti unke paas Toyota car, bmw car etc… auratoon ko badi khushi hoti hai, Allah pak ne inke liye Jannat mein sawariyoon ka intezam kiya hoga. Hadees e pak mein ata hai ke mardoon ke liye Allah ne Jannat mein abalaq ghode banaye hongein abalaq ayse heere ko kehte hai usmein sufedi ho tohdi se usmein ek kaali lakir hoto badi khubsoorat lagti hai ayse ghode honge jo Allah pak unko sawari ke liye ata farmayeinge. Magar Allah Ta’la ne auratoon ke liye nujeeb ootniyaan banayi hongi, ootniyoo ke upar kajawe saje honge sone (Gold) ke banehuwe honge aur un kajawe ke andar ghadde lage honge aur un ghaddoon ke upar araam se dulhan ki tarha sajh kar baitheingi. Magar isme ek baat aur hai, Hadees e pak mein ye farmaya gaya ke jab ye ootniyaan awaz nikalegi aur ghode hin-hinayeinge toh inki hin-hinahaat aam duniya ki tarha nahi hongi, balke inki hin-hinaane se itni khoobsurat musical sound nikalegi ke ye chahege ke baar-baar hin-hinayein aur hum inki awaz ko baar-baar sunege. Toh Allah Ta’la sawariyaan aysi farmayege. Phir duniya mein hum dekhte hai ke auratoon ne tape record rakhe hote hai, apne kaam-kaaj mein masroof hoti hai, kabhi kisi ka bayan sunliya, kabhi Quran e pak ki tilawat sunli, kabhi kisi ki Na’at sunli, toh inko kaam-kaaj ke dauran kuch na kuch sunne ko miljaye toh phir ye badi khush rehti hai, ye aur baat hai ye har ek ki sunna chahati hai siwaye khawind ke usko ye sunana chahati hai aur baqi saari duniya ki sunna chahati hai. Toh Jannat mein Allah Ta’la ne inke liya tape recorder ka intezam kar diya.

Hadees e pak mein aata hai ke Jannati hoorein hongi saiykadoon ki tadaat mein hongi saff basta khadi hongi, jab Jannati aurat Jannat ki sair karegi, toh ye jahan-jahan se guzregi woh Jannati hoorein Quran e pak ki tilawat kar rahe hongi. Ab ye apne khawind ke saat baat kar rahi hogi aur apne bacchoon ke saath baitke batein kar rahi hongi aur duur woh Jannati hoorein saff bandh kar khadi hai toh woh Allah ke Quran ki tilawat kar rahi hai.

Waqt ki baat rahgayi hai Jannat ke andar, Allama Kurtawi (Ra) ne ye baat likhi hai ke Insaanoo ko asar ka waqt hota hai jo na bahut raushani hoti hai na hi bahut tariki hoti hai darmiyan ka waqt hota hai, woh waqt accha lagta hai toh woh waqt Jannat mein hoga. Jannat mein waqt ka ahsaas kaise ho sakega. Hadees e pak me hai ke Jannat ke andar chath Allah Ta’la ka arsh hai aur Allah Ta’la ke arsh ke parde din ke waqt utha diye jayeinge aur raat ke waqt giraa diye jayeinge toh jab farishte parde hatayeinge aur parde girayeinge usse Jannatiyoon ko din aur raat hone ka andaza hoga. Phir kuch waqt ayse ayeinge Jannat ke darakhtoon ke andar se Allahu-Akbar Allahu-Akbar ki awazein nikalni shuru ho jayegi aur Jannati farishte bhi Allahu-Akbar Allahu Akbar kehna shuru kardeinge. Hadees e pak mein ata hai ke jaise hi Allahu-Akbar Allahu-Akbar ki awazein nikleingi, toh Jannati loog samajhleinge iss waqt hum namaz padha karte thay. Toh goya har din mein 5 martaba khud-ba-khud Jannat ke darakhtoon mein se unko Allahu-Akbar ki awaz suna kar unko azan ki awaz ki yaad diladi jayegi. Phir Juma ke din ka pata iss tarha chalega, ke Allah pak har juma ke din Jannatiyoon ko apna didaar ata farmayeinge, toh jis din un logoon ko Allah Ta’la ka didaar hoga toh Jannati samajh lege ke ye Juma ka din hai, toh ek hafta guzar gaya. Toh Jannati loog juma ke intezar mein raheinge. Har mahine ke khatam hone ka pata iss tarha chalega ke Allah Ta’la ke taraf se unko gift pack milega, jaise Eid hoti hai toh dost, dost ko eid ke mauqe par gift bhejhte hai, Allah Rabbul Izzat bhi har mahine ke aakhir mein apne bandoon ko gift behjte hai, Baat bhi samajh mein aati hai ke duniya mein koi aadmi kisi ka naukar ho khidmat mahine ke baad woh tankhaw deta hai, toh jaise duniya ka malik mahine ke baad tankhaw deta hai. Allah Ta’la ki jinhone bandagi ki hongi aur ab unhone retirement ki zindagi guzarni shuru kardi aur Jannat mein Allah ne unko aysh wa aaram ka waqt diya. Toh retirement mein office wale kuch bejh dete hai, toh Allah Ta’la har mahine ke aakhir me apne Jannatiyoon ko gift behjege. Toh har bande ko ye craze rahega ke mujhe Allah ki taraf se kaunsa gift milta hai. Toh khawind (Husband) apna tohfa kholega aur dekh kar khoosh hoga, aur biwi apna tohfa dekhkar khoosh hongi aur bacche apna tohfa dekhkar khoosh honge. Har ek ko intezar hoga ke mahine ke baad phir farishte gift packing lekar aayeinge. Soonchiye to sahi ke kisi dost ke taraf se packing gift aajaye to kitni khooshi hogi, jab Allah Ta’la ke taraf se ye mileinge toh ye kitne khoobsurat hongein. Aur unko dekhkar wasool karke insaan ko kitna mazaa ayeinga. Eid ka pata Jannatiyoon ko iss tarha pata chalega ke Allah Rabbul Izzat saal mein Eid ke mauqe par Jannatiyoon ko dawat par bulayeinge. Jab Jannatiyoo ko farishte dawat ka paighaam pahunchayeing toh Jannati samajh jayeinge ye hamare eid ka waqt aagaya, toh duniya mein hum Eid ayse manate hai ke ziada se ziada kuch sweet dishes banali ya kuch aur khane banaliye, lekin aakhirat ke andar Jannat me har Eid ke din Allah Rabbul Izzat apne bandoon ko khud dawat khilayeinge, ab sochiye Allah pak dawat karne wale honge aur Jannati khane wale honge phir uss dawat ka kya maza hoga, hum toh usko dimag se sooch bhi nahi sakte. Toh waqt ka Jannatiyoon ko ayse pata chalega.


Ab ayiye isse aham cheez ke saath jiska auratoon ko har waqt bada khiyal rehta hai, usko kehte hai husn wa Jamaal, ye auratein husn wa Jamaal ki shehdayi, khoobsurat makan dekhe woh unhe pasand, khoobsurat libaas dekhe woh unhe pasand, kio bhi khoobsurat cheez dekhe toh unka jih chahata hai ushe hasil karle. Apne bare mein unkeliye tamanna hoti hai ke mai aysi hoor banjaoon husn wa Jamaal ke mai ek namuna banjaoon inke dil ki ye tadap hoti hai, aur Allah rabul izzat ne inko husn wa Jamaal ata bhi kia. Isliye Quran e pak mein farmaya, "agar tumhe unka husn mutajjub karde" hairan karde toh husn ki nisbat Allah Ta’la ne auratoon ke taraf ki. 2 lafz yaad rakhna ek lafz husn hai aur ek lafz waqaar hai. Allah pak ne husn aurat ko ata kiya aur waqar mard ko ata kiya toh mardoon ki shakhsiyat ke andar waqar hota hai aur auratoon ki shakhsiyat ke andar husn hota hai. Aur dono ki apni apni kashish hoti hai, aurat ko husn mein aage kyun badah diya ke ye ek nuqta talibe ilm ke andar hota hai, toh uska jawab mufassireen ne ye likha ke Allah pak Hazrat Adam (As) ko khanakti matti se banaya, toh chunke unko khanakti matti se banaya lehaza Hazrat Adam (As) matti se bane, lekin amma Hawwa (As) ko Allah Ta’la ne Hazrat Adam (as) ki phasli se nikala. Ye direct matti se nahi bani balke ye Adam (As) ki phasli se banayi gayi, yun samjhe ke ye ziada refind material thaa joh Allah ne nikaal diya. Toh chunke ye refinement ke baad bani, isliye Allah ne inmein nazakhat, husn wa Jamaal ko rakh diya. Taham mardoo mein Allah ne waqar rakha aur auratoo mein Allah ne husn wa Jamaal ko rakha.

Toh Jannat ke andar auratoon ko husn wa Jamaal kaise ata hoga, aksar auratoon ke zehan mein ye sawaal hotein hain magar woh kisi se pooch nahi sakti, Allah Ta’la ne ek baat batadi ke Jannati khaadmayein kaise hongi aur uske baad Jannati auratoon ke husn ka aur intezam kardiya, ye baat aapko acchi tarha samajh mein aajayegi. Jannati joh khaadmayein hongi unke husn ko Allah ne badi tafseel se batadiya, lekin Jannati auratoon ke husn ke tazkare ziada nahi kiye, ismein bhi raaz hai, ismein Allah ki taraf se ek baat hai, jo parwardigaar ye chahata hai ke tum apni auratoon ke husn ke tazkire dusroon ke saamne duniya mein na karo, woh khud kahan pasand karega ke Jannati auratoon ke tazkire wo Quran mein sab ke saamne kholte phire. Lehaza unhone khadimaoon ke husn ke tazkire kardiye ke Jannat ki hoorein aysi hongi. Aaj logoon ko dhoka lag gaya ke woh samajhte hai ke Jannat ke andar faqad hoorein hongi, haalakein ye hoorein wahan ki khadimayein aur nawkaraniya hongi, khadimaoon mein aur ghar ki maalkin ke andar farq hota hai. Ab ek mahal hai jiske andar ek malika zindagi guzar rahi hai malika toh woh hoti hai jo saari qaum mein se husn ki shahakaar hoti hai usko malika banaya jata hai. Aur uss malika ki wajah se mehal ke andar jo hai woh kisi badhsurat ladki ko nahi rakha jata, balke ladkiyoon mein se chun-chun kar khubsoorat ladkiyoon ko rakha jata hai ki ye mehal ki khadimayein banegi. Mehal ki khadimayein bhi khubsurat hoti hai, magar malika ka husn toh sabse ziada hota hai, bilkul ishi tarha hoorein Jannat mein khadimayein hai Allah ne unke husn ke tazkiri bahut farmadiye aur ye kaha ke isse tum qiyas karlo ke Jannati auratoo ko husn kitna hoga.

Hoor ka lafzi matlab kya hai? ye hai jiski aankh ki sufaidi zaida sufaid ho aur siyahi ziada siya ho, ulama ne likha ke jism ke kuch hisse hai jo sufaid acche lagte hai aur kuch hisse ayse hai jinmein siyahi acchi lagti hai, misaal ke taur par sar ke baal jitne ziada kale honge utna ziada acche lageinge, palkhein jitni ziada kali hogi utni acchi lagegi, aankhoon mein surma jitna kaala honga utna ziada accha lagega, jism jitna ziada gora khoobsurat hoga ziada accha lagega, toh hoor usko kehte hai jiske jism ki jo sufaid jageh hoti hai woh ziada sufaid ho. Aur jo kali jageh acchi lagti ho to wo ziada kali ho to usko hoor kehte hai. Allah Ta’la ne naam hi aysa rakha ke naam se hi husn wa Jamaal ka andaza hojata hai. Taham Allah Ta’la ne Quran e pak mein farmaya “ke ye hoorein aysi hongi jaise yaqoot aur marjaan hote hai” ulama ne likha yaqoot ki tarha shaffaaf hogi aur mirjaan ki tarha sufaid hogi, kahein farmaya “usmein khushkhul khoobsurat motiyoon ke khaimein mein hongi” aur Jannati auratoon ke bare mein farmaya “nigahein hatane waali gair ke” Jannati hooroon ke bare farmaya “ woh to ayse jaise andoon (Egg) ke andar mehfooz hoti hai” is qisam ki hongi “Baqera hongi unse pehle unko kisi ne na Insaan ne chuwa hoga aur na jinn. Chunche Hadees e pak mein hai ke “Jannati mard ko Allah Ta’la husn e Yusuf ata farmayienge, lehan e Dawoodi ata farmayienge aur Khulq e Muhammadi ata farmayeige ye Jannati mard ko Allah Ta’la ne’matein ata farmayeinge.

jannat ki aurat

Rehgayi baat in Jannati Hooroon ki ek incharge hogi, jisko Hoor e yeen kehte hai, badi-badi khoobsurat ankhoo wali Hoor. Toh Jannati khadimayein hongi, khadimaoon ki upar jaise supervisor hoti hai to woh Hoor e yeen hogi. Chunache ek Hoor e yeen ke saath 70,000 hoorein aur hogi toh ye supervisor hongi unki, magar ye Hoor e yeen joh hai sab milkar Jannatiyoon auratoon ki khidmat karegi. Jannati auratoon ko Allah pak joh husn ata farmayeinge uske bare mein farmaya unke kanoo mein 1,000 baliyaan hogi, jinke sar par sone ke taj honge, ab sone ka taj kehna aasaan hai lekin Allah ne jab banaya hoga toh kitna khoobsurat hoga, ye taj aur Hoor ko nahi milega ye fakhat Jannati aurat ke sar par rakha jayega, toh maloom hua ke iska ghar mehal ki manind hoga, Jannati aurat ko malika bana kar rakha jayega, malika ke sar par taj hua hota hai aur uske baith ne ke liye ek takht banaya jayega jo sone ka hoga.

Jannati mard ki umar 32 saal hogi aur Jannati aurat ki umar 18 saal ki hogi. Chunke 18 saal ki ladki ki jawani bharpoor hoti hai, aur ye auratein baqera hongi kanwari rehangi apne khawindoon se mail-jhool karegi, lekin iske baad bhi kanwari rahegi. Yani kanwari ladki ke jism ki banawat aur hoti hai, bacche hone ke baad jism ki banawat aur banjati hai. Isliye batadiya gaya wahan par inko joh khoobsurati milegi, toh wo khoobsurati kabhi zail nahi hogi, inko ye darr nahi rahega mai khana khayogi to moti hojayungi. Toh Allah Ta’la ne farmadiya ye kanwariyaan hi rahegi aysi khoobsurat hongi hatta ke sari zindagi unka husn wa Jamaal badhega. Allah Ta’la ne farmaya ye apne shohar ke shahidayein hongi inke diloo pe Jannati loog jitne bhi honge Allah Ta’la unke diloo se ranjishein, keene, hasad nikal dingein, aur ek dusre ke saath mohabbat se baiteingi.

Jannati aurat ke bare mein farmadiya gaya ye apne shohar se ishq karne waali hongi, duniya ke andar ye shohar se bewafayi bhi kar jati hai. Magar Jannat ka maamla aur hoga farmaya Allah Ta’la miya-biwi mein aysi mohabbat de deinge ke ye auratein apne khawind ki shadayi hongi, ishq karne waali hongi, na inko haiz hoga na nifaas hoga, na hamal hoga, iss qisam ki koi cheez nahi hogi. Balke sine pe sina honge. Toh Allah Ta’la inko wahan par malika ki tarha zindagi ata farmayeinge. Joh inke dil ki khwahish wa tamanna hogi aur Allah tala unki khwahish wa tamanna ko pura kardege. Duniya ke andar auratoon ne apne bed room ke andar ek maiz sajaya hota hai, jiske upar apne aaraish ke liye wa zebaish ke liye inhone kuch cheezein aur perfume rakhi hoti hai aur pata nahi kya-kya polishein rakhi hoti hai aur kya-kya powder rakhi hoti hai aur cream rakhi hoti hai. Allah Rabbul Izzat Jannat mein inko isse mamoon farma deinge. Balke Jannat mein ek jagah hai, jimein Allah pak husn ka bazaar lagayeinge, duniya mein beauty parlor hote hai, wahan dulhan ko sajate hai, aurtein hoti hai, unko sajane ki maharat hoti hai, woh ladki ko aysi dulhan bana deti hai ke insaan unki maharat ko dekh kar hairaan hota hai. Sonchiye aur thoda goar kijiye jaisa ke duniya mein beauty parlour hote hai. Waise hi Allah Ta’la ne beauty parlour banaye honge, goya bazaar e husn hoga, Jannati aurat wahan jayegi aur jaisa chahegi uski apni shaksiyat waisi ban jayegi. Toh Jannat ke husn ko Allah ne isliye Quran mein khol kar nahi kaha isliye ke unko husn aysa dena hai jaise husn ye khud chahegi. Hooroo ko Allah ne husn dediya, lekin unko wo husn milna thaa joh inko pasand ho. Isliye Allah Ta’la ne farmadiya “Tumhe wo milega jo tumhara dil chahega” auratoon ko dekha ye jis cheez ko dekhti hai pasand aajati hai. Auratoon ki fitrat hai jis cheez ko dekhti hai apnane ki koshih karti hai. Allah Ta’la ishiliye Jannat mein inko apni marzi ka husn dene ke bajaye inki marzi pe baat chod di, beauty parlour bana diye, wahan inko jaakar jaisa banne ka Allah tala mauqa deingein jaisa ye khud chahegi. Chunache ye wahan jayeingi unka dil chahiye ke meri aankh ka surma aysa ho woh aysa hojayega, aysi meri palkhein hoon palkhein waisi hojayegi, ayse mere baal ho waise hojayeinge, ayse main paushaak pehnoo toh wo waise hojayeinge, mere nakhoon ayse khoobsurat rahe woh waise banjayeinge. Ye dil mein soonchti chale jayegi unka husn waisa hi banta jayega. Isliye Allah Ta’la ne Jannati aurat ko iski marzi ke mutabiq usko wahan par husn ata farmayeinge. Ab soonchiye ye kitna bada ayzaaz hai, Allah Ta’la ke taraf se ke har bande ko uske apne marzi ka husn milega. Hatta ke ye dusri Jannati auratoon ko bhi dekhegi agar wo cheez pasand aagayi wo tamanna karegi toh woh waise banjayegi. Toh ab batayiye ke husn ki koi hadh nahi jisko Insaan muta-ayyan kar sake, chunke Jannati auratoon ke husn ki koi inteha nahi thay isliye Allah Ta’la ne Quran mein uske tazkire karne ke bajaye moti baat kardi. “Inko hum woh ata kareinge joh inka jee chahega” toh Allah Ta’la ne auratoon ki dil ki tamannaoon ko pura farmayeinge.

Albatta ek baat aur hai Jannati loog Jannat mein jayeinge toh pehle nazar ye Jannati makhlooq par daleinge jaise hooroon, ghilmaan ko dekheinge toh unke husn se ye itne mutasir honge ke ye 70 saal tak unke husn wa Jamaal ko dekhte khade rehjayeinge, yani inhe pata bhi nahi chalega ke itna arsa guzar gaya ke itna husn wa jamal honga. Lekin phir ek waqt ayega jab Allah Ta’la Jannatiyoon ko apna didaar farmayienge. Hadees e pak mein aata hai ke baarish hogi noor ki, barish ki wajah se Jannatiyoon ke chehre par noor ki aysi chamak aajayegi aur inke chehre itne khoobsurat hojayeinge, jab Jannati loog laut kar apne gharoon ko wapas aayeinge, inka husn itna badh chuka hoga ke Jannati hoor aur ghilaman unke chehre ko tak-taki bandh kar 70 saal tak dekhte honge naukar-naukar hote hai, ghar ke malik-malik hote hai. Toh hoor wa ghilmaan itne khoobsurat honge to soochiye ghar ke maalik kitne khoobsurat honge.

Deedaar e Ilahi ke bare Ulama e Ikraam ne likha hai ke, Allah Ta’la Jannatiyoon ko farmayeinge! Jannatiyoon tumhe kisi cheez ki kami hai, Jannati kaheinge ya Allah har cheez hamare paas maujood hai, toh Allah Ta’la farmayeinge ke tum apne ulamaoon se jakar pucho. Hadees e pak mein ata hai ke logoon ko duniya mein jis tarha ulama ki zarurat hai, ishi tarha unko Jannat me bhi ulama ki zarurat padhegi. Toh ulama ki izzat aur azmath ko pehachaniyein, duniya mein bhi hum mohtaj aur Jannat mein bhi hame unki mohtaji hogi. Toh Jannati loog apne-apne ulamaoon ke paas jayeinge aur puchienge Allah Ta’la farmate hai ke tumhe kisi aur cheez ki zarurat hai hamare paas toh har cheez hai koi cheez ki kami hi nahi. Ulama batayeinge bhai joh cheez bhi maujood hai woh apni jagah, magar Allah ne ek cheez ka jo wada kiya thaa, ke mai apna didaar karaoonga, hame abhi tak Allah Ta’la ka didaar nahi huwa, ye cheez baqhi hai. Jab Jannatiyoon ko pata chalega woh sab kaheinge! Allah hame Jannat ki sab cheezoon ke maze aagaye, ab hamein aapka didar karna hai, Allah Ta’la farmayienge accha mere bandoon mai tumhe Jannat e adan mein apna didaar karwaoonga. Chunache inko waqt diya jayega sab Jannati bazaar e husn mein jayeinge aur wahan ja kar uss function ke liye tayyariyaan kareinge, auratein jaise chaheingi unki shaksiyatein waise banegi, acche libas pehanlegi ye apni marzi ke muwafiq tayyaar hojayiengi aur uske baad unko jo hai Jannat ki taraf bulaya jayega. Sabse pehle Adam (As) apni ummat ko lekar nikleinge, Ibhrarim (As) apni ummat ko lekar nikleinge, phir Musa (As), phir Isa (As) ye sabke sab milkar Nabi e kareem ke mehal ki taraf aayeinge, phir Nabi (SAWS) apni ummatiyoon ko likar nikleinge aur ye sab Jannati Jannat e Adan ke taraf chaleinge inke ird-gird farishte honge jo izzat ke taur par khuddam ki manind honge. Aur sabke sab Jannat e Adan mein pahunchienge. Hadees e pak mein ata hai ke, Allah pak ne Ambiya ke liye noor ke mimbar banaye honge ambiya noor ke mimber par baith jayienge, siddiqeen ko noor ke takht banaye honge siddiqeen uss takht par baith jayienge, shohada ke liye Allah ne noor ki kursiyaan banaye honge woh noor ki kursiyoon par baith jayeinge, magar neik loog sawliheen ke liye mushk ke gadde banaye honge, woh un gaddon par baith jayienge. Sabse pehle Allah Ta’la unke liye khane ki dawat farmayienge dastarkhan lagega sabke saamne khane aayeinge.

Hadees e pak mein hai sabse kam darje wala jo Jannati hoga, uske saamne bhi khana 70,000 piletoon ke andar rakh kar diya jayega, hamein maloom nahi unke kya-kya zayiqe honge har ek khane ka zayiqa juda hoga, har mashroob ka zayiqa juda, jab sabse kam Jannati ke saamne 70,000 piletein lagegi toh soonchiye dusre Jannatiyoon ke saath kitna kuch hoga, ye sab Allah Ta’la ki taraf se ikram hoga. Jab ye sab loog khana kha chuke honge. Allah Ta’la farmayeinge mere bandoon tum mere paas aayeho. Ab main apni khalat pehnata hoon, pooshak pehnata hoo, jo meri mohabbat ki pooshak hai, tumne duniya mein mujhe khush kar diya, aaj main tumhe khush karoonga. Chunache Allah Ta’la farishtoon ko farmayienge ke ye bani huyi paushaak hai ye mere bandoon ko pehna dijiye, chunache wahan par Allah Ta’la ki taraf se ek paushaak hogi Allah ne banayi hogi, uski khoobsurati ka hum tasawwur bhi nahi kar sakte hai. Woh farishte in logoon ko pehna deinge. Uske baad ek hawa chalegi jiska naam mubashshira hoga aur uss hawa se Jannatiyoon ke libaas ke andar khushboo aajayegi, isko yun samjhe perfume ki shishi hoti hai, aap usko pump karti hai aur aapke kapde par aake lagti hai, kapdoo mein khusboo aajati hai ye toh thodi si perfume thi jo apke jism par lagi. Allah Ta’la ki taraf se ek hawa chalegi wo perfume ki hawa hogi aur uski khooshboo Jannatiyoo ke tamaam kapdoon par raq bas jayegi, aysi khoshboo unhe laga deinge mehfil muattar hojayegi loog intezar mein baithe honge ke ab aage kya hota hai.

Allah Ta’la farmayienge aye mere Dawood (As) mere bandoon ko mera kalaam sunado chunache Dawood (As) sunayeinge (Inna muttaqina fee Jannatil wa oyuun yal basuna min sundusin wa istabaraqim mutaqaabileen) jab ye Jannat ke bare mein manzar kashi kareinge, toh Jannati loog wajd mein aajayeinge ke waqeyi Quran mein hum padha karte thay aysi mehfil hogi, aur aaj Allah Ta’la ne hame aysi mehfil ata farmadi. (Fi maqati sidqin inda malikin muqtadir) Woh Parwardigaar ki mehfil hogi, Jannati usmein honge toh ye unke liye kitna bada aiyzaaz hoga. Hatta ke Dawood (As) ki tilawat par Jannati 200 saal wajd ki kaifiyat mein reheinge. Jab zara thikh honge, phir Allah Ta’la farmayeinge aye mere bandoon kya tumne isse behtar awaz suni, toh woh keheinge aye Allah humne isse behtar awaz nahi suni. Allah Ta’la irshad farmayeinge mai tumhe sunwatahoon, phir Allah Ta’la Nabi (SAWS) ko farmayeinge aye mere mehboob inn bandoon ko sureh Tawha aur Yaaseen padh kar suna dijiye. Hadees e pak mein aata hai, Allah tala Nabi (SAWS) ko Dawood (As) se 70 % guna ziada khush ilhaam waali awaz ata farmayeinge aur Allah ke mehboob khush ilhaani ke saath quran padheinge. 500 saal tak Jannatiyoon par wajd ki kaifiyat reheingi, phir jab kuch thikh honge. Phir Allah Ta’la pucheinge aye mere bandoon kya tumne isse behtar awaz suni toh woh keheinge aye Allah humne isse behtar awaz nahi suni. Allah Ta’la irshad farmayeinge mai tumhe sunwatahoon, phir Allah Rabbul Izzat sureh rehman ki khud tilawat farmayeinge! Subhaan Allah Parwardigaar padhne wale honge aur woh Sureh Rahman ki tilawat padh rahein honge aur Jannati sunrahe honge, kitna maza aayega. Jab Allah Ta’la Jannatiyoon ko tilawat sunayeinge, toh Jannatiyoon ko Jannat mein ek hawa chalegi, jisse Jannat ki khidkiyaan aur darwaze bajeinge darakhtoon mein se awaz aayegi aysi ajeeb awazein hongi, dhune hongi, suur honge, ke Jannatiya unn dhunoo aur suuroon ki wajah se ajeeb nashe jaise aalam mein honge.

Chunache Allah Rabbul Izzat unhein iss qadar lazzatein ata farmayeinge, bil-aakhir Jannati kaifiyat se lutf andooz ho chuke honge. Phir Allah Ta’la apne hijaab wa pardein hata deinge aur apne chehre ka didaar ata farmayeinge. Woh didaar kaise hoga be-kaif hoga aur be-misaal hoga. Allah farmayeinge aye mere bandoon tum ratoon ko meri mohabbat me jaagte thay, tum dinoo me meri mohabbat mein lage rehte thay, tumhe loog burayi ki taraf bulate thay magar tum meri mohabbat ki wajah se burayi se bachte thay, tumhari nighahein jhuki rehti thi, tum apni nafsani khawhishoon ko kaboo mein rakhte thay, tum kisi ki taraf aankh uthakar nahi dekhte thay, tumhare dil mein mere didaar ka shauqkh thaa, meri mulaqaat ki tamanna thi, tumne bure doostoon ko chodh diya, bure kaamoon ko chod diya, tumne burayiyoon se apne aapko bachaliya, tum meri mohabbat mein zindagi guzarte thay, mere bandoon tumne mere husn wa Jamaal ko dhekhna pasand kiya, toh aaj main apna didaar ata farmata hoon. Chunache Allah Ta’la Jannatiyoon ko apna didaar ata farmayeinge ye didaar aysa hoga, ke Jannat mein ek noor ki barish hogi aur woh baarish Jannatiyoon ke kapdoon par aur chehroon par pahunchegi iski missal yun samjhe jaise aandhi aati hai toh baher kitne loog hote hai unke chehroon par matti ki teyh aajati hai. Ushi tarha ye noor ki aandhi hogi Jannatiyoon ke chahre par noor ki ek teyh aajayegi aur unka husn itna baadh jayega ke phir wo kayi saal tak Allah Ta’la ke husn ka lutf wa mazein leinge aur bil-aakhir wapas lauteinge.

Hz. Imam Ghazali (Ra) apni kitab mein likhte hain, ke Allah Ta’la jab Jannatiyoon ko Jannat mein apna didaar ata farmayeinge ke Jannatiyoon ko Allah Ta’la se didaar karne ka aisa lutf aayega ke woh uss didaar ke rukne ko pasand nahi kareinge. Farmate hain ke jab Allah Ta’la rookna chaheinge toh Jannati iss tarha royeinge jaise: chota baccha doodh pina chahata hai maa apne siney se hatati hai, Waise se roote hai. Ishi tarha Jannati rooyeinge ke Allah Ta’la hum aapko aur dekhna chahate hai. Toh Imam Ghazali (Ra) ne farmaya ke "Jannati 9 Lakh saal tak Allah Ta’la ke didaar karte raheinge aur phir bhi unka dil nahi bharega, toh Allah Ta’la ke Husn ka kya kehna ke 9 Lakh saal tak Jannati dekheinge magar unka dil nahi bharega".

Hz. Mujaddid Alf Sani (Ra) ye kehte hai jab didaar shuru hoga toh phir ye khatam kaise hoga. Agar hum ye kahe ke Allah Tala isko khud khatam kar deinge toh ismein toh bakhili ka shubah hota hai ke baccha chahata hai doodh piyoon aur maa seene se hata deti hai. Banda chahata hai ke Allah Ta’la bandh kardete hai toh farmate hai ye toh bakhili ka shubah ismein padhta hai. Aur agar aap ye kahein Allah Ta’la didaar karwate raheinge aur banda didar karna bandh kardeinge to ye bandoon ke liye bayise khajalat (Abashment / Sharmindagi) hai, nadamat hai ke Allah Ta’la didaar karwayein aur bande didaar karna bandh karde to phir didaar bandh kaise hoga toh Hz. Mujaddid Alf Sani (Ra) farmate hai ke iska hal ye niklega ke Allah Ta’la jab tak chaheinge didaar ho Jamaal ki tajalliyaat se didaar karwayeinge aur bande Allah Ta’la ka didaar karte raheinge. Jab Allah Ta’la chaheinge ab mere bande jannat ki niymatoon ke mazein udaye aur didaar ko bandh karde toh Allah Ta’la Jalaal ki tajalliyat daleinge aur bande khud-ba-khud Jannat ki Niymatoon ki taraf mutawajjeh hojayeinge. SubhaanAllah toh inpe aiteraaz hoga na unpe aiteraaz hoga.

Unka husn itna badh chuka hoga ke abb Jannati makhlooq 70 saal tak-taki bandh kar unke husn ko dekhti rahegi. Allah Ta’la ke taraf se phir Jannatiyoon ko hukum hoga mere bandoon ye toh mera pehli dafa didaar huwa, ab tumhe waqfe-waqfe se hota rahega. "Toh Jannatiyoon ko Juma ke din hoga, kuch logoon ko saal ke baad hoga, kuch ayse loog honge jinko roozana hoga, ab Jannat mein joh izzat hogi ek dusre ki ya ikram hoga, ya martaba hoga, woh Allah Ta’la ke didaar ke wajah se milega, kisko kitni martaba didaar hota hai, jisko jitni ziada martaba didaar naseeb hoga woh Jannat mein utna izzat wala insaan hoga".

Magar Allah ki taraf se ye didaar kaisa hoga Subhaan Allah, iske bare mein bhi sunlijiye Hadees e pak mein aata hai, "woh andha jisko Allah ne andha paida kiya aur usne sabar, shukr wa ibadat ki zindagi guzari, ye andha jab Jannat mein jayega Allah Ta’la isko ye izzat ata farmayeinge ye tak-taki bandh kar Allah Ta’la ka didaar karega, kabhi bhi Allah ka didaar usse oojhal nahi hoga". Baaz ayse bande honge! Allah farmayeinge mere bande ye woh mera banda hai, "jisne duniya mein kabhi kisi gair ko mohabbat ki nazar se nahi dekha, isliye har waqt ye mera hi didaar karte rahege". Toh "didaar ka paimana ye hoga joh gair mehram ko mohabbat bhari nazroon se dekhta honga, woh Allah ke didaar se mehroom hoga". Isliye soonch lijiye "duniya mein jab kisi mard ne aur aurat ke husn ki taraf mohabbat ki nazar daali ya aurat ne kisi gair mard ke husn ki taraf mohabbat ki nazar daali har-har nazar ke badle ye Allah ke didaar se mehroom kardiye jayeinge". Soonchiye ye kitni badi mehroomi hai, "Aaj auratein ban-sawar kar nikalti hai, bazaroon mein be-pardah nikalti hai. Hadees e pak mein ata hai ke jo aurat isliye banti-sawarti hai ke usko gair mehram dekh kar khoosh ho chahe uska cousin ho, ya padosi ho ya koi ajnabi ho. Hadees e pak ka mafhoom hai ke joh aurat isliye banti-sawarti hai koi gair mahram uski taraf nigha dalein, Allah Rabbul Izzat uss banne-sawarne ki wajah se faisla karlete hai, mai qiyamat ke din uss aurat ko mohabbat ki nazar se nahi dekhonga", isliye ke ye chahati hai gair mard dekhe, aysi aurat ko main nahi dekhonga. Ab soochiye kitna bada nuqsan hai, "Joh jawan ladkiya apne aapko bann-sawarke jati hai, ke gair mard dekheinge, goya ye Allah ki mohabbat bhari nazroon se mehroom hojayegi". Isliye joh parde ka ahtemaam karti hai, hijab pehanti hai, ye neik bachchiya hai, khush naseeb hai ye apne aapko gair mehram se bachati hai iske badle qiyamat ke din Allah Rabbul Izzat mohabbat ki nazar se dhekeinge, ab faisala aapke ikhtiyar mein hai. Duniya ke mardoon ki kamina nighahein aap apne jisam par dalwana chahati hai ya Allah Rabbul Izzat ki paak nazarein dalwana chahati hai. Duniya ki ye lazzatein thode waqt ki hai, hamesha-hamesha ki Jannatein aakhirat ki hai. Allah Ta’la hamein apne didaar se mehroom na farmayein. Aur hame apni mohabbat ki nazroon se mehroom na farmayein (Aameeen). Woh kitna badh nasib Insaan hai, jiske baare mein Allah faisla karle ke main uski taraf mohabbat ki nazar se nahi dekhonga, Quran e pak mein farmaya “Allah unki taraf mohabbat ki nazar se nahi dekheinge” jab Allah hi mohabbat ki nazar nahi dekhienge, toh soochiye "Insaan ne kya kamaya, kya zindagi guzari". Isliye hamein chahiye hum duniya mein parde ka khiyal rakhe. Mard auratoon ki taraf na dekhe aur auratein mardoon ko dekhne se parhez kare. "Aurtein bane-sawarein apne khawind (Husband) ke liye, jisko shariyat ne ijazat di, ya phir apne dil mein ye tamanna rakhe ke mai toh chahati hoon ke qiyamat ke din mera maalik mohabbat ki nazaroon se mujhe dekhe. Isliye parda-daar bachchiyoon ko dusri hum-umar bacchiyan mazaq kare ke tum parde mein yun nazar aati ho, unke saath thatta mazaaq kare, apne dil ko batade ye bhale mazaaq karti rahe, magar mai chahati hoon mai gair mehram se apne apko bachaoon taake qiyamat ke din Allah Ta’la mohabbat ki nazar se mujhe dekhe yehi meri kamiyabi hogi aur yehi meri zindagi ka maqsad hai". Jisne apne aapko parde mein rakha aur qiyamat ke din Allah Ta’la ki uske upar mohabbat ki nazar padh gayi, woh khush naseeb aurat hai. Allah Rabbul Izzat hame aysa banne ki taufiq ata farmade (Aameeen).

Soonchne ki baat hai auratein duniya ke andar gharwali kehlati hai, isliye ke inka waqt aksar ghar mein guzarta hai, ghar ki zebaish-khoobsuriti ka yehi khiyal rakhti hai, ghar inhi ki taraf mansoob hota hai, isliye mard se poochte hai, ghar wali ka kya haal hai, mard kehta hai meri ghar wali aysa karna chahati hai toh auratein ghar wali kehlati hai. Isliye jab shadi hoti hai, aur apni badi tamanna hoti hai mujhe apna ghar miljaye, aur jiska koi ghar na ho koi dar na ho, woh dhakke khati phirti hai, pareshan hoti hai, aye kaash mujhe chath-miljata toh apna sar chupaleti. Agar tujhe duniya mein ghar ki itni zaroorat hai. Toh sooncho akhirat mein ghar ki zaroorat nahi hai, agar Jannat mein Allah ne tere ghar ki allotment nahi ki toh kya banega, jahannam ke ghar ja kar kya haal hoga. Isliye aaj waqt hai Jannat ke liye ghar ki allotment karwane ki aur woh allotment kaisi hoti hai. "Tamaam Gunahoo se sacchi tauba karle kabira ho ya sagheera. Aur Allah aur Allah ke Habeeb Muhammad () ki puuri tarha se Itteba karein". Ya Allah Hum sab tujhse Jannat talab karte hain aur jahannam se teri panah maangte hai (Aaameeen Summa Aaameen Bijahi Tawha wa Yaseen wal Humdulillahi Rabbil Aalameeeen).

Jannat Ka Manzar ki Zindagi Complete Info Roman English, Hindi & Urdu

Jannat Mein Le Jaane Waale ‘Aamaal


Ek deyhati nabi e kareem () ki khidmath me aaya aur arz kia ke aap mujhe koi aysa kaam batlayiye jis par agar mai hameshgi karoon toh jannat me dakhil ho jaoun. Aap () ne farmaya ke Allah ki ibadat kar, iska Kisi ko shareek na thehra farz namaz qayam kar, farz zakat dey aur ramazan ke roze rakh. Deyhati ne kaha iss zaat ki qisam jis ke haath me meri jaan hain inn amloon par me koi zayadti nahi karunga. Jab woh peeth modh kar jaane laga toh Nabi e kareem () ne farmaya ke agar koi aysa shakhs ko dekhna chahay joh jannat waloon mein se ho toh wo is shakhs ko dekh-le.

Wazahat: Ek shakhs kay jannat me jaane ke liye kaafi hai ke woh kisi ko Allah ka shareek naa banaye, ikhlaas ke saath farz namaz qayam karein, zakat ada kare aur farz roze ada kare, Inshaaa Allah duniya wa akhirat dono jahan me kamiyab hoga, dusari baat yeh ke uss deyhati shakhs ke alfaz “zyadti nahi karunga” yani jitna amal aap () ne bataya utna hi karna usmein koi izafa nahi karna, jaise ke nabi () ne farmaya: main jis kaam se tumhein rokun is se ruk jaya karo aur jis kaam ka hukum duun, apni takhat ke mutabiq isko karo, kyun ke tumse pehle logoon ko sawalaat ki kasrat aur apne Ambiya Alaihimussalam se ikhtelaf ne unhe halaaq kar diya. Ya Allah Hamein Neik 'Aamaal karne ki taufiq ata farma (Aameen Summa Aameeen Bijahi wa Tawha wa Yaseen wal Humdullillahi Rabbil Aalameeeen).

Jannat Ka Manzar Zindagi Info Roman English, Hindi & Urdu


Diploma In Arabic Course Notes

S.No              Books

1              Sharah Fiqh - E – Akbar (Click Here)

2              Noor Ul Eizah (Click Here)

3              Arbayeen Fil Hadees (Click Here)

4              Risaleh Deeniyaat (Click Here)

5              Seeratun Nabi (Saws) (Click Here)

6              Nahu (Click Here)

7              Minhaj  Ul Arabia 1-3 Parts (Buy)

8              Anwarul Arabia Attatbiqayyah (Buy)

9              Al-Jadeed 1-2 Parts (Buy)

Post a Comment

6 Comments

  1. Mashallah bhai amazing information

    ReplyDelete
  2. DigitalEssay.net is a good website if you’re looking to get your essay written for you. You can also request things like research papers or dissertations. It’s really convenient and helpful. If you’ve got something very last-minute then it can be a little risky but either way it’s probably better than anything you can throw together :).  

    ReplyDelete
  3. SubhaanAllah, Amazing💕😍 information

    ReplyDelete
  4. Mashaallah... One question plz! Today evry1 is saying hoor will b wives of jannati male... Is is obligatory to marry with them... Don't our will n wish matter there

    ReplyDelete
    Replies
    1. Visit for your answer: https://islamicwebsites1.blogspot.com/2021/01/every-desire-will-be-fulfilled.html

      Delete