Nahmaduhu Wa Nusallimu ‘Ala Rasoolihil Kareem wa Alaa Aalihi wa Ashaabihi Ajmayeen wa mann Tabi’ahum bi Ihsanin ila yaumiddin ‘Amma Ba’ad. Fa' Aouzubillahi Minash Shaitaw-nir-rajeem. Bismillahir-Rahma-nir-Raheem
What is Brief & Complete Islam - Islaam kya hai
Yaaa ayyuhal lazeena aamanud khuloo fis silmi kaaaffatanw wa laa tattabi’oo khutuwaatish Shaitaan; innahoo lakum ‘aduwwum mubeen. (Surah Baqarah: Ayah 208)
O you who have believed, enter into Islam completely [and perfectly] and do not follow the footsteps of Satan. Indeed, he is to you a clear enemy.
Aye Iman Walon Islam me Puray Dakhil ho aur Shaitan ke qadmon par na chalo, beshak wo tumhara khula dushman hai.
Mukammal Islam kya hai | What is complete Islam - Brief overview
Islam: Allah wa Rasool ki farma bardaari ka naam Islam hai. Islam qubool karne Wala Muslim / Musalman kehlata hai.
Iman: Allah aur Allah Ke Rasool ki aur Allah ke Pass se (Rasool ke zariye) Ayi huyi cheezon ki Dil Se Tasdiq aur zuban Se Iqrar karne ka naam Iman hai. Iman lane Wala Momin / Believer kehlata hai.
lslam | Shariyat ke 5 Shoobe (Catagory) hai
1. Aqaid (creed) (Shariyat ke zaruri umuur jo tasdiq e qalb se mutalooq hai un par dil mein pakka yakeen aur pura bharosa rakhne ka naam aqaid) (Aqaid is 20% of Islam)
2. Ibadaat (Prayers ex:- Namaz, Roza, Zakat, Haj etc) (Ibadaat is 20% of Islam)
3. Akhlaqiyat (Morality/Charector) (Akhlaqe Hasanah aur Akhlaqe Sayyiah) (Akhlaqiyat is 20% of Islam)
4. Maashirati / Mayishat (Social System of Islam) (Mayishat is 20% of Islam)
5. Muamulat (Dealings / Islamic "rulings governing commercial transactions") (Muamulat is 20% of Islam)
Huqooqullah (Allah ke 4 bade Huqooq hai / 4 Major Rights of Allah)
1. Marifat Pehchan (divine knowledge/wisdom)
2. Mohabbat (Love) (Mohabbat ka sabab Zikre Ilahi / Remembrance of Allah)
3. Ibadat (Prayers)
4. Ikhlas (the Purity / Sincerity)
Huqooqur-Rasoolullah (Allah ke Rasool ke 4 bade Huqooq / 4 Major Rights of Prophet (Saws))
1. Tazeem wa tauqeer (Honor/Respect/Greatness)
2. Muhabbat (Love) (Husne surat wa Seerat, Ahsan aur Fareeq-e- Sani ki Mohabbat)
3. Itteba (to follow the Messenger of Allah (Saws))
4. Tashakkur (Amali Surat Tabligh, lisani Surat Durood Shareef) (gratitude/gratefulness/thankfulness)
Quran e Majeed ke 5 Huqooq (5 Rights of Holy Quran)
1. Faith and Honor (Iman wa Tazeem: yani Dil ki gehrayion se maanna ke Quran e Hakeem Allah ka Kalam hai).
2. Recitation (Tilawat: yani aadaab ke saath rozana Quran e Hakeem padhna).
3. Understanding (Tafhim: yani Quran e Hakeem ko samjhna aur is par ghaur wa fikar karna)
4. Follow/Action (Amal: yani Quran e Hakeem ke ahkamaat par infiradi zindagi mein aur ijtema e zindagi me inke nifaz/Amal Daraamad (Enforceability/Ability to implement) ke liye koshish karna.
5. Dawah (Propagation of Faith) (Tabligh: yani Quran e Hakeem ki talimat ko dusron tak pahunchana.
Quran e Majeed ke 4 Mazameen hai
1. Aqaid (Belief)
2. Ahkamaat (Orders)
3. Qisse (Stories)
4. Amsaal (Examples)
Jawahir-e- khamsa (5 Jewels)
1. Iman ka chor (Faith's thief) : Jhoot (lie)
2. Amal e Sawleh ka chor (Good deeds's thief): Gheebat (Backbiting)
3. Akhal ka chor (Intelligence's thief): Gussa (angry)
4. Ilm In chor (knowledge's thief): Ghuroor (Pride/Ego)
5. Haya ka Chor (Shyness's thief): Sawaal karna (Asking unnecessarily to others)
Dil ki Bimariyan
(Kaifiyat / Khwahish)
1) Keena (malice, hatred & rancor in the heart for others.),
2) Takabbur (pride, arrogance & egotism),
3) Hasad (Malicious Envy),
4) Riyakari (double standard, hypocrisy),
5) Kanjusi (stinginess, miserliness),
6) Lalach (Greed),
7) Jhoot (Lie),
8) Ta'assoob (Rancorousness),
9) Nashukra pan (ungrateful thing),
10) Duniya ki Mohabbat (love of the world),
2) Takabbur (pride, arrogance & egotism),
3) Hasad (Malicious Envy),
4) Riyakari (double standard, hypocrisy),
5) Kanjusi (stinginess, miserliness),
6) Lalach (Greed),
7) Jhoot (Lie),
8) Ta'assoob (Rancorousness),
9) Nashukra pan (ungrateful thing),
10) Duniya ki Mohabbat (love of the world),
11) Nafsani khwahishat ki pairvi (advocacy of selfish desiresb / carnal desire)
12) Zuban ka ghalat istemal karna (misuse of tongue),
13) Khudpasandi (self-complacency, self-appreciation),
14) Ishq e Majazi (The love of unreal, mundane, worldly, feigned, insincere),
15) Ehsan faramoshi (forgetful of favours received, unthankful, ungrateful),
12) Zuban ka ghalat istemal karna (misuse of tongue),
13) Khudpasandi (self-complacency, self-appreciation),
14) Ishq e Majazi (The love of unreal, mundane, worldly, feigned, insincere),
15) Ehsan faramoshi (forgetful of favours received, unthankful, ungrateful),
16) Khushamad,
17) Shak (Doubt) Waham (Misconception/Confusion),
18) Taluq khatam karna (Disconnect relationship),
19) Auhde aur Mansab ki Mohabbat (Love of top position),
20) Dusron ki Burayiyon par Nazar rakhna (Focusing on the faults of others)
17) Shak (Doubt) Waham (Misconception/Confusion),
18) Taluq khatam karna (Disconnect relationship),
19) Auhde aur Mansab ki Mohabbat (Love of top position),
20) Dusron ki Burayiyon par Nazar rakhna (Focusing on the faults of others)
Hayat e Insani / Hayat ke manazil Safar (4 Aalam hai) | Stages of Human life
According to Islamic traditions, our souls go through 4 stages before finally meeting Allah.
1. Aalam e Arwah (World of Souls):- Mujarrad Ruhein, Jisam nahi, Intezargah.
2. Aalam e Ajsam (The world which is situated between the mortal and immortal worlds):- Ruh + Maaddi Jisam:- Darul Amal, Darul Imtehan.
3. Aalam e Barzaqh (Mortal world, World of flesh):- Ruh + Misali Jisam:- Intezargah, Sawab wa Azab yahi se shuru.
4. Aalam e Aakhirat (The world where a person goes after death):- Ruh + Jisam:- Darul Jaza, Jannat ya Dozakh, Abadi zindagi.
Hawas e Khamsa 5 hai:-
1) Baasirah:- Dekhne ki Quwwat (the power to see)
2) Saami'ah:- Sunne ki Quwwat (the power to listen)
3) Shaamah:- Soongne ki Quwwat (sense of smell)
4) Zaa'iqah:- Chakne ki Quwwat (Sense of Taste)
5) Laamisah:- Chu-ne ki Quwwat (Sense of Touch)
Hazrat Daata Ganj Baksh (Rh) ne apni kitab Kashful Mahjoob me likha hai ke, ek Martaba maine Syed e Aalam (Saws) ko khawb me dekha to Aap (Saws) se Arz kiya Ya RasoolUllah Awsaini (Aye Allah ke Rasool (Saws) mujhe nasihat farmaye to Aap (Saws) ne farmaya "Ahbas Hawasak" yani apne Hawas ko qabu me rakho. Iska matlab Haath (Hands), pyar (Legs), aankh (Eyes), kaan (Ears), zuban (Tongue) ka sahi istemal kare, Allah wa Rasool (Saws) ki farma bardaari kare na farmani se hamesha bachte rahe.
Mujahida Part 1:-
1) Kam Khurdan (kam khana / less eat)
2) Kam Khuftan (kam sona / less sleep)
3) Kam Ghuftan (kam baat karna / less speak)
4) Kam Aamizan (kam milna jhulna / less meet up)
Note:- Ye M'aashirati hain yani inka taluq society se hai aur ye charon mujahidein saalik ke liye 'atedaal ke saath zaruri hai.
Mujahida Part 2:-
1) Istegfar / Forgiveness (Allah se apne gunahon ki maafi maangna).
2) Iste'aazah / Shelter / Protection (Allah se panah maangna har shar se).
3) Shukr / Gratitude (Allah ka Shukr 3 tariqon Ada kiya jaata hai)
1. Zuban se,
2. 'Aza wa Jawahir se,
3. Dil se.
4) Sabar / Patience (Sabar ke 3 mauqe hai)
1. Sabar fil Musibah (Musibat me Sabar Karna),
2. Sabar fil Ita'ah (Farma bardaari me Sabar),
3. Sabar fil Mashiyah (Mashiyat me Sabar Karna).
Insan ko zindagi ke jin marahil aur A'alamon se guzara jata hai, unme ranj wa rahat ke eitebar se Allah tala ne teen Aalam paida farmaye hai:-
1. Pehla Aalam Jahan Rahat hi Rahat hai, ranj wa gham ka koi naam wa nishan nahi, us aalam ka naam hai "Jannat". Jannat me kisi qisam ke ranj wa gham, fikar wa pareshani ka guzar nahi. Ye Aalam e Rahat hai.
2. Dusra Aalam Jahan sirf takleef, ranj wa gham hoga ek lamhe ke liye chain wa sukoon naseeb na hoga, ye ek mustaqil Azab ka Aalam hoga uska naam Jahannam hai.
3. Tisira Aalam Jahan takleef, ranj wa gham bhi hai aur Rahat, sukoon wa aaraam bhi hai, uska naam duniya hai jisme hum is waqt zindagi basar kar rahe hai.
Is duniya me hame Sabr wa shukr se rehna chahiye, Quran wa Ahadees me iski badi fazilatein aayi hai. Ek Hadees e Shareef me aaya hai ke "Neymaton par shukar aur musibaton par Sabar karne se loog hisab ke baghair Jannat me bhej diye jayenge". Muhadith e Deccan Hazrat Abdullah Shah sahab (Rh) ne farmaya "Acche hai wo log Jo Allah se lau lagaye rehte hai, Khushi me Alhamdulillah kehkar shukr ada karte hain aur Gham me Inna Lillahi wa Inna Ilaihi Rawjioon kehkar Sabr se kaam lete hai".
Ahle Mujahida ke 10 khaslatein hain:-
1) Jhooti aur Sacchi Qasam na khayein ya khudko Qasam khane ka aadi na banaye.
2) Hasi mazak me jhoot na bole.
3) Wada khilafi na kare.
4) Laanat na kare.
5) Badh-Dua na kare.
6) Kisi Musalman ko kaafir, mushrik, munafiq na kahe basharte ke pukhta saboot na mile, baghair tehqeeq ke na kahe.
7) Logon se beniyaz rahe, logo ke saamne haath na phailayein.
8) Hiras na kare/na-shukri na kare.
9) Tamaam gunaho se parhez kare.
10) Takabbur ghuroor na kare, Aajizi Ikhtiyaar kare har haal me Allah se raazi rahe.
Book Futuh al ghaib by Syeduna Abdul Qadir Jilani (Ra).
Islam ke 5 Arkan (Five pillars of Islam)
1. Tauheed wa Risalat ka Iqrar karna (confessing of Tauheed and Risalaat)
2. Namaz padhna (Offer Salah).
3. Ramazan ke Roze rakhna (Fasting during the Month of Ramadan).
4. Zakat dene (Charity)
5. Haj karna (Pilgrimage to Hajj).
Ahkamaat e Islam 8 hai (Eight Commandments of Islam)
1. Farz / Compulsory (fardh in Islam is a religious duty commanded by Allah). 1.Farz-e-Ain individual responsibility, 2.Farze Kifaya (collective responsibility)
2. Wajib (In Islamic jurisprudence, an obligatory act, with failure to perform it being sinful)
3. Sunnat / Tradition (Sunnah the way of the Prophet Mohammed (Pbuh)) 1.Sunnat e Maukada (Stressed) 2.Sunnat e Ghair Maukada (non Stressed)
4. Mustahab (preferable/desirable)
5. Halaal (Permitted)
6. Haraam (Prohibited)
7. Makruh (Unbecoming-disliked)
Makruh ki 2 qismein hai:-
i. Makrooh e Tahrimi (Haraam ke Qareeb) (It's status is close to status of a Haraam act)
ii. Makrooh e Tanzihi (Halaal ke Qareeb) (It's status is close to status of a Halaal act)
8. Mubah permissible (karna ya na karna dono barabar karne par koi sawab nahi na karne par koi azab nahi) (It is an action that has no specific ruling, so doing or Avoiding it is equal and it has no Divine Reward and Punishment).
Akhlaqe Husna
1. Sabar (Patience)
2. Sadaqat, Rasat bazi. (True, fair play, Righteousness)
3. Adl wa Insaf (Justice and fairness)
4. Amanat (something, extremely precious to someone & is handed over to a person who can BEST take care of it).
5. Maaf karna. (Afwa Darguzar)
6. Rawadari/Bardasht (tolerance patience)
7. Ahsaan (meharbani / Favor)
8. Masawaat (equality) (kisiko kisi par Fazilat nahi)
9. Akhoot (Brotherhood)
10. Taqwa (piety)
Akhlaq-e-Sayyiah
1. Hirs (Greed)
2. Zulm (cruelty)
3. Kazib Jhoot (false, lair)
4. Gheebat (Back biting)
5. Takabbur (Arrogance)
Social System of Islam
Society:- fard ki Islah tabiyat (Education/Training) Individual? Mashere ki Islah wa tabiyat (Reform and education of Society)
Islami Mashere ki buniyadein (foundation of Islamic Society)
1. Wahdat-e-Adam (Unity of Adam)
2. Hurmat / Taqaddus e Adam (Respect/Sanctity of Adam)
3. Akhoot (brotherhood)
4. Shafaqat wa Ahteram (Compassion & respect)
5. Masawat / Hamdardi (Sympathy)
6. Ahsas e zimmedari (A sense of responsibility)
Mashirati Idare (Social Institutions)
1. Khandan (Family)
2. Kinship (Qarabatdar)
3. Mohalla aur humsayigi (Neighborhood)
4. Masjid
5. Huqooq wa faraiz (Huqooq ul Ibad) (Human rights)
6. Pardah (veil)
7. Nikah (Marriage)
8. Ahteram-e- Riwayat (Respect of tradition)
9. Education
10. Hudood wa Tazinat (Borders and decoration)
Below hardcopy of books can be buy from the Jamia Nizamia's Library, Shibli gunj, Hussaini Alam, Hyderabad, Telangana 500064.
1. Ahle Khidmat e Sharaya by Hazrat Maulana Ghulam Mohiuddin saheb alaihi rahma farigh Jamia Nizamia
2. Islam ka Nizam e Zindagi aur Maktubat e Husaini (1,2&3 parts) by Prof. Dr. Maulana Syed Ata Ullah Husaini Qadri al Multani (Rh) Maulvi Fazil Jamia Nizamia Hyd.
To download the Soft copies of the above books (Click Here)
Islamic courses (Click Here)
5 Comments
Jazakallahu khaira, very very very useful helpful important information I received. Ma Sha Allah bahut khoob.
ReplyDeleteMa Sha Allah, very important information and every has to know about complete Islam with good understanding. Jazakallahu khaira.
ReplyDeleteMa Sha Allah excellent info
ReplyDeleteSubhanallah, Ma Sha Allah, Inter net par aaj ke daur ka sabse behtareen article hai ye, be-misal aur intehahi qeemti, Jazakallahu khaira...
ReplyDeleteMasha Allah
ReplyDelete