SAWAL
New year manana ya manane walon ko unki lighting aur aatishbaazi ko dekhne jana kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
New year manana yeh isaiyon (nasara - Christian) ka tariqah hai. Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ka irshad hai, *"jis ne jis qaum ki mushabahat (copy-nakal) utari kal qayamat me usko unhi ke saath uthaya jayega"* ya'ani uska shumaar bhi unhi me hoga.
qaazi sanaaullah panipati rahmatullahi alayhi ne maslaa likha hai ke koi shakhs diwali me baahar nikle aur diwali ki (roshni-atishbazi wagairah) ko dekhkar kahe ke kitna achchha tariqah hai to uske tamaam nek a'amaal barbad ho jayenge.
📗(MAALAA BUDDA MINHOO)
*_Isee tarah new year manane walon ko dekhne jana bhi jaiz nahin_* kyun ke Huzur salallahu alayhi wasallam ka irshade mubarak hai ke "jis ne jis qaum ki ta'adaad ko barhaaya uska shumar bhi un hee me hoga", lihaza is raat me bahaar roshni aatishbazi dekhne jana, khane pine ki party karna, naye saal ki mubarakbadi dena, naye saal ki khushi manana,ek dusre ko gift dena wagairah jitne unke tariqah hai sab na-jaiz aur iman ko barbad karnewale hai ibrat ke liye ek qissah paish karta hun,
*NASRANIYON KE TAUR-O-TARIQE PASAND KARNE WALE AALIM KA IBRATNAAK QISSAH*
📄Hazrat imaam-e-Rabbani maulana Rashid Ahmad Gangohi rh. ne irshad farmaya :
Kanpur me koi nasraani jo kisi a'ala ohde par tha woh muslaman ho gaya tha, Magar asliyyat chhupa rakhi thi,
Ittefaq se uska tabadla (transfer) kisi dusri jagah ho gaya, usne un molvi sahab ko jisse usne islam ki baaten sikhi thi, apne tabadla se muttale'a kiya (ittela di) aur tamanna ki ke kisi deendaar shakhs ko mujhe den, jisse ilm haasil karta rahun, chunanche molvi sahab ne apne ek shagird ko unke sath kar diya,
Kuchh arse baad yeh nasrani (jo musalman ho chuka tha) wo bimar huwa to molvi sahab ke shagird ko kuchh rupiye diye, aur kaha ke jab me mar jaaun aur isaai jab mujhe apne qabrastan me dafan kar aaye to raat ko ja kar mujhe wahan se nikalna aur muslamano ke qabrastan me dafan kar dena,
Chunanche waisa hi huva, jab molvi sahab ke shagird ne hasbe wailsiyyat jab qabr kholi to dekha ke usme woh nasrani nahin, Albatta woh molvi sahab pade huve hai, to sakht pareshan (sharminda) huva ke yeh kya maazra hai..! Mere ustaad yahaan kaise..!
Aakhir daryaft karne se malum huva ke maulana sahab nasrani ke toro tariqo ko pasand karte the aur use achchha jaante the.
📘(Irshadate hazrat gangohi rh. safa 65)
*_Mere bhaiyo, yeh molvi sahab sirf gairon ke tariqon ko pasand karte the, us par chalte nahi the, to Allah ne duniya hi me jiska tariqah unko pasand tha uske saath hashr kar diya,_*
Hum to gairon ke tariqon par shauq se chalte hai, balke us par naaz karte hai, to hamara kyaa hashr hoga..! sochiye
_Aur apni Awlad, bhai bahan dost ahbab ko samjhaiye ya kam se kam yeh msg bhejkar ya padhkar sunakar unko in gairon ki khushi me shirkat se roken_.
👏🏻Allah hamen taufiq de.. Aameeen-Summa-Aameen Bijahi-Muhammadin-Tawha-wa-Yaseen Wal-humdulillahi-Rabbil-A'alameen
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti. Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.
0 Comments