Islamic Aham Bahut Keemti Nasihatein Pura Zaroor Padhe

Islamic Aham Bahut Keemti Nasihatein Pura Zaroor Padhe


---------------0️⃣1️⃣---------------

*🌹Qur'an E Kareem🌹*

Bismillaah Se Haasil Hone Waale Asbaaq

*(Bismillaahir Rahmaanir Raheem)*

*Tarjumah :* "Allah Ke Naam Se Shuroo Jo Sab Par Meherbaan Hai, Bahot Meherbaan Hai."

*Faaydah :* Har Aham Kaam Ki Shuroo Mein (Bismillaahir Rahmaanir Raheem) Padhne Ka Ehtemaam Karna Chaahiye, Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ka Irshaad Hai : "Har Woh Kaam Jo Allah Ke Naam Se Shuroo Na Kiya Jaaye, Adhoora Hai." (Musnad e Ahmed :8714)

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚


---------------0️⃣2️⃣---------------
*🌹Qur'an E Kareem🌹*

*(Bismillaah) Se Teen (3) Sabaq Haasil Hote Hain :*

*1) Har Sho'be Mein Insaan Ka Rishtah Allah Ta'ala Se Jud Jaaye. 
2) Har Kaam Mein Apni Bandagi Aur Allah Ke Maalik Hone Ka Ehsaas Paida Ho Jaaye. 
3) Is Baat Ka Ehsaas Paida Ho Jaaye Ke Allah Ta'ala Ki Madad Ke Baghair Kaam Mukammal Nahin Ho Sakte. 

*Wazaahat :* Maslan Ham Har Kaam Ka Aagaaz Allah Ke Naam Se Karenge To Har Kaam Mein Allah Ta'ala Se Hamaara Rishtah Mazboot Hoga, Dil Mein Yeh Ehsaas Paida Hoga Ke Ham Mahaz Bande Hain, Allah Ta'ala Hamaare Maalik Hain Aur Hamaara Har Kaam Allah Ki Di Huyi Toufeeq Se Hoga, Neez Yeh Ehsaas Rahega Ke Allah Ki Madad Saath Liye Bagair Hamaare Kaam Adhoore Rahenge. 

Paani Ka Ek Ghoont Aur Khaane Ka Ek Niwaalah Khaate Waqt Yeh Gaur Karein Ke Ham Tak Yeh Ne'mat Pahunchne Mein Allah Ta'ala Ki Kitni Qudrat Kaar Farma Hai Aur Is Ka Aasaani Se Halaq Se Utar Jaana Aur Phir Poore Jism Ka Sairaab Ho Jaana Yeh Sab Allah Ki Qudrat Ki Nishaani Hai. Yeh To Saadah Ki Misaal Hai, Zindagi Ke Jis Kaam Ko Bhi Liya Jaaye To Gaur Karne Se Har Jagah Yehi Soorat e Haal Milegi. Is Liye Har Kaam Shuroo Karne Se Pehle Bismillaah (Tarjumah Aur Ma'ana Ka Dhiyaan Rakh Kar) Zaroor Padhein, Is Se Inshaa Allahu Ta'ala Kaam Aur Waqt Mein Barkat Hogi.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------0️⃣3️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Wuzu Se Pehle Bismillaah Ki Ahmiyat*

Rasoolullaah Swallallaahu Alaihi Wa Sallam Ka Irshaad Hai: ” Jo Shakhs Wuzu Kare Aur Us Mein Allah Ka Naam Le To Yeh Wuzu Us Ke Saare Jism Ko Paak Kar Deta Hai Aur Jo Koi Wuzu Kare Aur Us Mein Allah Ka Naam Na Le To Woh Wuzu Us Ke Sirf A’zaaye Wuzu Hi Ko Paak Karta Hai.“ (Daare Qutni:12)

Maaloom Huwa Ke Jo Wuzu Allah Ka Naam Le Kar Masalan ”Bismillaah“ Padh Kar Kiya Jaaye To Us Ke Asar Se Saara Jism Paak Aur Munawwar Ho Jaata Hai Aur Jo Wuzu Allah Ka Naam Liye Aur Us Ka Zikr Kiye Baghair Kiya Jaaye To Us Se Sirf Wuzu Ke A’zaa Hi Paak Hote Hain, Is Ka Matlab Yehi Huwa Ke Woh Apni Baatini Taaseer Aur Nooraaniyat Ke Lihaaz Se Bohat Naaqis (Adhura) Hai, Balk Ek Riwaayat Ke Mutaabiq Jo Wuzu ”Bismillaah Wal-Hamdulillaah“ Keh Kar Kiya Jaaye Allah Ta’ala Ke Nazdeek Itni Azeem Neki Hai Ke Jab Tak Woh Wuzu Baaqi Aur Qaaim Rahe Us Waqt Tak Muhaafiz (Hifaazat Karne Wale) Farishte Is Wuzu Wale Ke Naama E A’amaal Mein Musalsal Nekiyaan Likhte Rehte Hain. (Almo’jamussagheer:196, Almo’jamuzzawaaid:1112)

Beher Haal Maaloom Huwa Ke Allah Ke Naam Ke Saath Kaam Shuroo Karne Se Us Kaam Ka Faaydah Aur Us Ki Ahmiyat Badh Jaati Hai Aur Us Mein Allah Ta’ala Barkat Daal Dete Hain.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------0️⃣4️⃣---------------
*🌹Du'aa🌹*

*Har Naye Maah Ka Aagaaz Allah Ke Naam Aur Du'a Ke Saath*

Mahine Ka Naya Chaand Dekhne Ke Waqt Is Du'a Ko Maangne Ka Ehtemaam Karein :

*Allaahumma Ahillahu A'laina Bil Yamni Wal Imaani Was Salaamati Wal Islaami Rabbee Wa Rabbukallaah*

Tarjumah : Aye Allah! Ye Chaand Hamaare Liye Barkat, Imaan Aur Salaamati Aur Islaam Ka Chaand Ho, Aye Chaand Tera Rab Aur Mera Rab Allah Hai."

Is Du'a Mein Allah Ta'ala Se : 

1) Barkat

2) Imaan

3) Salaamati

4) Islaam

5) Allah Ta'ala Ki Raboobiyat (Parwardighaar Hone) Ka A'eteraaf Hai.

Yeh Du'a Maangte Waqt Guzishtah Maah Ki Woh Cheezein Jo Shukr Par Aamadah Karein Woh Yaad Karein Aur Aa'indah Maah Mein Bhi Achchi Tawaqqu'aat Aur Ummeed Ho.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------0️⃣5️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

*Ek Galat Rasm Ki Islaah*

Muharram Ka Mahina Bada Barkat Wala Aur Chaar Kaabil E Ehteraam Mahinon Mein Se Ek Hai. Iska Ehteraam Samajhne Ke Liye Iska Naam "Muharram" (Ehteraam Waala) Hona Hi Kaafi Hai. Shaadi Ki Tayyari Se Sirf Is Liye Ruk Jaana Ke Muharram Ya Safar Guzar Jaayein To Shaadi Ho Sakegi, Ye Intezaar Durust Nahi Aur Bila Wajah Taakheer Hai.

Ek Qaul Ke Mutaabiq Hazrat Fatima Raziyallahu Ta'ala A'nha Ki Rukhsati Muharram Hi Mein Hui Thi.

Is Liye Hum Niyyat Karein Ke Idhar Udhar Ki Be Sar O Paa Baaton Par Kaan Dharne Aur Man Ghadant Waaqi'aat Aur Fizool Rasm O Riwaaj Ki Bajaaye Qur'an O Hadees Ki Ta'aleemaat Ke Muwaafiq Chalenge Aur Khilaaf E Shari'at, Khilaaf E A'qal Baat Ko Chhodte Hue Is Mahine Mein Nikaah E Masnoon Ke Mubaarak A'mal Ko Zindah Karne Ka Khusoosi Ehtemaam Karenge.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------0️⃣6️⃣---------------
*🌹Qur'an Kareem🌹*

*Allah Ta’ala Ki Ta’reef*

*Tarjumah :* ”Tamaam Ta’reefen Allah Ki Hain Jo Tamaam Jahaanon Ka Parwardigaar Hai. “

*Tafseer :* Agar Aap Kisi Imaarat Ki Ta’reef Karen To Dar Haqeeqat Woh Us Banaane Waale Ki Ta’reef Hoti Hai, Lihaaza Is Kaainaat Mein Jis Kisi Cheez Ki Ta’reef Ki Jaaye Woh Bil’aakhir Allah Ta’ala Hi Ki Ta’reef Hai, Kyun Ke Woh Cheez Usi Ki Banaayi Huyi Hai.

”Tamaam Jahaanon Ka Parwardigaar“ Keh Kar Isi Taraf Ishaarah Kiya Gaya Hai.

Insaanon Ka Jahaan Ho Yaa Jaanwaron Ka, Jamaadaat Ka Jahaan Ho Yaa Nabaataat Ka, Aasmaanon Ka Jahaan Ho Yaa Sitaaron, Saiyyaaron Aur Farishton Ka, Sab Ki Takhleeq Aur Parwarish Allah Ta’ala Hi Ka Kaam Hai Aur In Jahaanon Mein Jo Koi Cheez Qaabile Ta’reef Hai, Woh Allah Ki Takhleeq Aur Shaane Ruboobiyat Ki Wajah Se Hai.

Lihaaza Jab Bhi Koi Achchi Cheez Yaa Achcha Manzar Dekh, Us Par Allah Ki Ta’reef Kiya Karen, Is Se Allah Ta’ala Ki Azmat Dil Mein Aayegi Aur Ahkaame Ilaahi Se Ghaflat Na Rahegi.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------0️⃣7️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Hamd Ke Mawaaq'e*

Rasoolullah Swallallahu A'laihi Wa Sallam Ka Irshad Hai : Jis Ko Chaar Cheezein Mil Gayeen Use Duniya Wa Aakhirat Ki Bhalaaiyaan Mil Gayeen, Un Mein Se Ek Zikr Karne Waali Zabaan Aur Doosra Shukr Karne Waala Dil. (Musannaf Ibne Abi Shaibah:36305)

Lehaaza Hamein Chaahiye Ke Duniya Wa Aakhirat Ki Bhalaaiyaan Haasil Karne Ke Liye Dil Mein Allah Ta'ala Ki Ne'maton Ko Soch Kar Zabaan Se Un Ne'maton Par Allah Ta’ala Ka Shukr Karne Waale Banein Aur Zabaan Se Har Waqt Allah Ta'ala Ki Ta'areef Karein, Lehaaza :

1) Agar Koi Hamaari Ta'areef Kare To Use Kahein Ke Yeh Ne'mat Dar Asal Allah Ta'ala Ki Taraf Se Mili Hai, Is Ta'areef Ke Haqdaar Allah Ta'ala Hain Aur Dil Se Bhi Yeh Soche Ke Is Mein Mera Koi Kamaal Nahin, Balke Allah Rabbul I'zzat Ka Fazl Hai.

2) Koi Shakhs Iyaadat Karne Aaye Aur Khairiyat Pooche, To Kahein Ke Allah Ta'ala Ka Fazl Hai, Allah Ta'ala Ne Badi Bimaari Se Bachaa Liya.

3) Koi Raahat Mile To Zabaan Se Allah Ta'ala Ka Shukr Adaa Karein.

4) Du'a Ke Liye Haath Uthaayein To Pehle Khoob Allah Ta'ala Ki Hamd O Sana (Ta’reef) Karein Aur Us Ki Ne'maton Ka Tazkirah Karein Aur Phir Darood Shareef Padhne Ke Baad Apni Haajatein Maangein.

*Maqsood Yeh Hai Ke Har Mauq'e Par Hamaari Zabaan Par Allah Ta'ala Ki Hamd (Ta’reef) Ho.*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------0️⃣8️⃣---------------
*🌹Du'aa🌹*

*Allah Ta’ala Ki Ni’maton Ko Soch Soch Kar Shukr Ada Karna*

Shukr Karne Waala Dil Aur Zikr Karne Waali Zabaan Banaane Ke Liye Hamein Chaahiye Ke Allah Ta’ala Ki Ni’maton Ko Soch Soch Kar Zabaan Se Yeh Kalimaat Kehte Jaayein : 

*Allaahumma Lakal-Hamdu Wa Lakash-Shukr*

Aye Allah Teri Hi Ta’reef Hai Aur Tera Hi Shukr Hai.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------0️⃣9️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

*Mu’harram Ke Teen Asbaaq*

*Pehla Sabaq :* Qamari Maheenon Ki Tarteeb Aur Naam (Mu’harram, Safar Wagairah) Woh Insaanon Ke Banaaye Huye Nahin, Balke Allah Ta'ala Ne Jis Din Aasmaan Zameen Paida Kiye The Usi Din Yeh Tarteeb, Naam Aur Un Ke Saath Khaas Maheenon Ke Khaas Ahkaam Bhi Muta'ayyan Farmaa Diye The.

*Doosra Sabaq :* Mu’harram Ka Chaand Hamein Hijrat Ka Waaqi'ah Yaad Dilaata Hai Ke Jab Kuffaar E Quraish Ne Makkah Mein Rehna Dushwaar Kar Diya Tha To Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Aur Aap Ke Sahaabah Raziyallaahu Ta'ala A'nhum Ko Deen Ki Hifaazat Aur Sar Bulandi Ke Liye Apne Aabaai Watan Aur Baitullah Ka Pados Chhodne Ki Qurbaani Aur Khajooron Waali Sar Zameen Madeenah Munawwarah Ki Taraf Hijrat Ka Hukum Diya Gaya.

Musalmaan Apne Calendar Ka Aagaaz Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ke Isi Yaadgaar Safar "Hijrat" Se Karte Hain, Isi Munaasibat Se Use "Hijri" Kehte Hain, Yeh Safar Hamein Is Baat Ki Taraf Mutawajjah Karta Hai Ke Hamein Bhi Deen Par A'mal Karne Aur Use Phailaane Ke Liye Apni Khwaahishaat Ko Mitaana Hoga Aur Apne Maal Aur Chaahaton Ki Qurbaani Deni Hogi.

*Teesra Sabaq :* Islaami Maah O Saal Ki Hifaazat Aur Use Is Hadd Tak Raaij Rakhne Ki Koshish Karna Ke Qamari Hisaab Zaay'e Na Hone Paaye, Ye Musalmaanon Ke Zimme Ek Laazmi Fareezah Hai, Kyun Ke Ahkaam E Shar’iyyah (Rozah, Haj, I'ddat Wagairah) Ka Madaar Hisaab E Qamari Par Hai.

Albattah Kaarobar Wagairah Shamsi Hisaab Se Kar Sakte Hain, Shart Yeh Hai Ke Majmoo'ee Taur Par Musalmaanon Mein Qamari Hisaab Jaari Rahe, Taake Ramazan Aur Haj Ke Auqaat Wagairah Ma'aloom Hote Rahein.

*Lehaaza Niyyat Karein Ke Ham Khud Bhi Qamari Maheene Aur Taareekh Yaad Rakhne Ka Ehtemaam Karenge Aur Apne Bachchon Ko Bhi Is Ki A'adat Dalwaayenge,*

Is Ki Ek Aasan Tarteeb Yeh Hai :

1) Chaand Ki Pehli Taareekh Se Qur'an E Kareem Ki Tilaawat Shuroo Karein Aur Rozanah Ek Paarah Padhein, Maheene Ke Aakhir Mein Qur'an E Kareem Poora Ho Jaayega Aur Taareekh Bhi Na Bhoolegi.

2) Aur Is Ke Liye Apne Ghar Mein Hijri Calendar Zaroor Lagaayein.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚


---------------1️⃣0️⃣--------------
*🌹Qur'aan e Kareem🌹*

*Du’a Se Muta’alliq Teen Ehem Sabaq*

Surah E Faatihah Aayat No : 4 Se Aakhir Tak Bandon Ko Allah Ta’ala Se Du’aa Maangne Ka Tareeqah Sikhaaya Gaya Hai. 

Lehaaza Aayaat Ki Roshni Mein Hum Aaj Se In Teen Kaamon Ka Ehtemaam Kar Lein : 

1) Har Kaam Mein Haqeeqi Madad Allah Ta'ala Hi Se Maangni Chaahiye, Kyun Ke Saheeh Maa'na Mein Kaar Saaz (Kaam Banaane Aur Sanwaarne Waala) Us Ke Siwa Koi Nahin Aur Har Zaroorat O Pareshaani Ke Waqt Hamaari Nazar Allah Ta’ala Hi Ki Taraf Ho Ke Wohi Masaail Ko Hal Karne Aur Mushkilaat Door Karne Waala Hai.

2) Jab Bhi Allah Ta’ala Se Maangna Ho To Pehle Allah Ta’ala Ki Ta’reef Aur A'zmat Bayaan Ki Jaaye.

3) Siraat E Mustaqeem (Seedhe Raaste) Ki Du'a Har Waqt Maangni Chaahiye, Kyun Ke Jo Raah E Raast (Seede Raaste) Par Chal Pada, Goya Woh Shakhs Kaamyaab Ho Gaya. 

*Namaaz Ke Andar Bhi Jab Surah E Faatihah Ki Yeh Aayat ( اِهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ ) Padhein To Dhiyaan Aur Tawajjuh Is Aayat Ke Maa’na Ki Taraf Ho Ke Main Allah Ta’ala Se Seedhe Raaste Ki Hidaayat Maang Raha Hoon.*

Aur Rozaanah 100 Martabah Yeh Du’a ( اِهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ ) (Hamein Seedhe Raaste Ki Hidaayat A'ta Farma) Maangne Ka Ma’amool Banaayen.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------1️⃣1️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Du’a Sab Se Ziyaadah Mehboob Hai*

Rasoolullaah Swllallaahu Alaihi Wa Sallam Ka Irshaad Hai :

لَيۡسَ شَیۡءٌ اَكۡرَمَ عَلَى اللهِ تَعَالٰى مِنَ الدُّعَاءِ" "

Tarjumah : *”Allah Ta’ala Ke Nazdeek Du’a Se Ziyaadah Buland Martabah Koi Cheez Nahin Hai.’’* (Tirmizi :3370)

Yaani Tamaam Azkaar O Ibaadaat Mein Allah Ta’ala Ko Du’a Sab Se Ziyaadah Mehboob Hai, Bande Allah Ta’ala Se Maangein Yeh Baat Allah Ta’ala Ko Sab Se Ziyaadah Pasand Hai.

*Lihaaza Hamein Chaahiye Ke Rozaanah Ek Waqt Muqarrar Kar Ke Masalan : Aadha Ghantah (30 Minutes) Du’a Maangne Ka Ma’amool Bana Lein, Taake Allah Ta’ala Ke Ham Pasandeedah Bande Ban Jaayein.*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------1️⃣2️⃣---------------
*🌹Du'a🌹*

*Aisi Du’a Se Panaah Maangye Jis Ki Shunwaai Na Ho*

Agar Ham Chaahte Hain Ke Hamaari Du’a Qabool Ho To Hamein Allah Ta’ala Ki Naa Farmaani Se Bachna Hoga, Allah Ta’ala Se Apne Gunaahon Ki Ma’afi Maangni Hogi Aur Is Baat Se Panaah Maangni Hogi Ke Du’a Ki Jaaye Aur Woh Qabool Na Ho, Aap Swallaallaahu A'laihii Wa Sallam Ne Yeh Du’a Bhi Hamein Sikhlaai Hai :

Allaahumma Innee A’oozu Bika …….. Min Da’watil Laa Yustajaabu Laha. (Muslim: 4744) 

Tarjumah : *”Aye Allah ! Main Teri Panaah Maangta Hun Us Du’a Se Jo Qabool Na Ki Jaaye.’’*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------1️⃣3️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

*Du'a Ki Qabooliyat / Do Kaam*

*Du'a Ki Qabooliyat Ke Liye Do Kaam Karne Chaahiye :*

1) Har Du'a Ke Khaatime Par Bande Ko Aameen Kehna Chaahiye, Jis Ka Matlab Yeh Hai Ke Aye Allah! Meri Yeh Du'a Qabool Farma! 

Ek Shakhs Bade il’haah (Rone Aur Gidgidaane) Ke Saath Allah Se Maang Raha Tha, Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Qareeb Khade Ho Kar Us Shakhs Ka Maangna Aur Gidgidaana Sunne Lage, Phir Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ne Logon Se Farmaaya :
*"Agar Is Ne Du'a Ka Khaatimah Saheeh Kiya Aur Muhar Theek Lagaayi To Jo Is Ne Maanga Hai Us Ka Us Ne Faislah Kara Liya."*

Kisi Ne Poochha: Ya Rasoolallaah! Saheeh Khaatimah Aur Muhar Theek Lagaane Ka Tareeqah Kya Hai? 

*Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ne Farmaaya : Aakhir Mein Aameen Keh Kar Du'a Khatam Kare.* (Abu Daawood: 938)

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------1️⃣4️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

*Du'a Ki Qabooliyat Ke Liye Doosra Kaam :*

2) Mukammal Yaqeen Aur Bharose Ke Saath Allah Ta'ala Se Du'a Maangni Chaahiye.

Hazrat A'laa Bin Al Hazrami Raziyallaahu Ta'ala A'nhu Hazrat Siddeeq E Akbar Raziyallaahu Ta'ala A'nhu Ki Khilaafat Mein Jab Murtad (Islaam Se Phire Huye ) Logon Ke Khilaaf Jang Ke Liye Bahrain Gaye Aur Raaste Mein Dariyaa Pada To Saathiyon Ne Is Wajah Se Ke Kashti Tayyar Na Thi Thaharne Ka Kaha, Farmaane Lage : Khaleefah Ka Hukm Hai Jaldi Pahunchne Ka, Is Liye Main Thahar Nahin Sakta Aur Yeh Keh Kar Du'a Maangi : 

*"Aye Allah Jis Tarah Tu Ne Apne Nabi Moosa A'laihis Swalaatu Was Salaam Ki Barkat Se Bani Israa'eel Ko Dariyaa Se Paar Kiya Isi Tarah Aaj Ham Ko Hamaare Nabi Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ki Barkat Se Paar Utaar De Aur Du'a Kar Ke Ghoda Dariyaa Mein Daal Diya, Dariyaa Paayaab (Kam Gehra) Ho Gaya Aur Saara Lashkar Paar Ho Gaya."* (Hilyat Ul Auliya' Muqaddmat Ul Mu'allif :1/7)

Is Waaqi'e Se Zaahir Ho Gaya Ke Thode Bahot Asbaab Jam'a Kar Ke Allah Ta'ala Ke Bharose Par Du'a Ki Jaaye To Allah Ta'ala Us Thode Se Heele Mein Bhi Yaqeen Ki Barkat Se Sab Kuch De Deta Hai. (Maakhooz Az Malfoozaat Hakeem Ul Ummat :28/475)

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------1️⃣5️⃣---------------
*🌹Qur'an E Kareem 🌹*

*Muttaqeen Ke Liye Kitaab E Hidaayat*

Sura E Baqarah Aayat Number : 2 Mein *Allah Ta'ala* Apni Kitaab Ke Muta'alliq Farmaate Hain :

*"Yeh Hidaayat Hai Darr Rakhne Waalon Ke Liye."*

*Qur'an E Kareem* Ne Saheeh Raastah Har Ek Ko Dikhaaya Hai, Khwaah *Momin* Ho Ya *Kaafir*, Is Liye Us Ki Hidaayat Sab Ke Liye Hai, Lekin Nateeje Ke A'etebaar Se Dekha Jaaye To Us Hidaayat Ka Faaydah Unhi Ko Pahunchta Hai Jo Us Ki Baat Maan Kar Us Ke Tamaam *Ahkaam* Aur *Ta'aleemaat* Par A'mal Karein.
 
Aur Yehi Matlab Hai *Darr* Rakhne Ka, Ke Insaan Yeh Baat Hameshah Pesh E Nazar Rakhe Ke *Use Ek Din Allah Ke Huzoor Apne Tamaam A'amaal Ka Jawaab Dena Hai,* Lehaaza Mujhe Koi Aisa Kaam Na Karna Chaahiye Jo Us Ki *Naaraazgi* Ka Baa'is Ho, Isi *Khauf* Aur *Dhiyaan* Ka Naam Taqwa Hai.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------1️⃣6️⃣---------------
*🌹Qur'an E Kareem 🌹*

Ma'aloom Huwa Ke Taqwa Ke Liye Zaroori Hai Ke Insaan Har Us Kaam Se Jo Use Allah Ta'ala Se Door Kar De, Apne Aap Ko Us Se Baaz Rakhe Aur Insaan Jo Allah Ta'ala Se Door Hota Hai Woh Allah Ta'ala Ki Naafarmaani Se, Maslan : Faraaiz Chhodne Se..... Riyaakaari Karne Se..... Ehsaan Jatlaane Se..... Aur Huqooq Ul I'baad Mein Kotaahi Baratne Se. 

Neez Ma'aloom Huwa Ke Jo Log Qur'an Ki Ta'aleemaat Par A'mal Karte Hain, Dar Haqeeqat Wohi Log Taqwa Waale Hain Aur Qur'an Ki Ta'aleemaat Mein Yeh Bhi Hai Ke Ham Paanch Namaazon Ka Ehtemaam Karein, Har Nek A'mal Sirf Allah Ki Khushnoodi Ke Liye Karein, Kisi Ki Haq Talfi Karne, Jhoot Bolne Aur Geebat Wagairah Karne Se Apne Aap Ko Bachaayein.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------1️⃣7️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Taqwa Ka Mahal Dil Hai*

Nabi Swallallaahu Alaihi Wa Sallam Ne Ek Martabah Farmaaya : *” Taqwa Yahaan Hai, Taqwa Yahaan Hai Aur Aap Ne Apne Seene Ki Taraf Ishaarah Kiya.’’* (Muslim : 2564)

Ma’aloom Huwa Ke Taqwa Ka Mahal Aur Markaz Dil Hai *Aur Taqwa Ka Matlab Hai Parhezgaari , Neki Aur Hidaayat Ki Raah,* To Ma’aloom Huwa Ke Taqwa Dil Ki Us Kaifiyat Ka Naam Hai Jis Ke Haasil Ho Jaane Ke Baad :

*1) Dil Ko Gunaahon Se Jhijak Ma’aloom Hone Lagti Hai.*

*2) Nek Kaamon Ki Tadap Hoti Hai.*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------1️⃣8️⃣---------------

*Taqwa Haasil Karne Ke Liye Zaroori Hai Ke Aaj Se Yeh Do Kaam Shuroo Kar Dein :*

A) *Dil Mein Allah Ta’ala Ki Zaat E A’alli Ka Dhiyaan Rakhein Ke Allah Ta’ala Mujhe Dekh Rahe Hain, Meri Baat Sun Rahe Hain, Mere Dil Ke Raaz Ko Jaante Hain,* Is Tarah Karne Se Zabaan, A’azaa Wa Jawaareh (Haath Paaon Waghairah) Aur Dil Ke Khayaalaat Allah Ta’ala Ki Naa Farmaani Se Bach Jaayenge Aur Aisi Hayaa (Sharm) Paida Ho Jaayegi Jis Ki Badaulat Buri Khaslaton (A'adaton) Se Hifaazat Ho Jaayegi.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------1️⃣9️⃣---------------

Kyun Ke  Jis Shakhs Ke Dil Mein Yeh Baat Baith Chuki Ho Ke *Allah Ta'ala Sunta Hai, Dekhta Hai Aur Jaanta Hai Aur Aasmaan O Zameen Ki Zarrah Baraabar Cheez Bhi Us Se Poshidah Nahin, Woh Har Zaahir Aur Poshidah Se Waaqif Hai, Woh Aankhon Ki Khayaanat Aur Dilon Ke Bhed Se Bhi Aagaah Hai,* To Woh Taqwaa Ke Munaafi (Khilaaf) Koi Kaam Nahin Karega, Maslan :

1) Namaazon Mein Kotaahi, Bil Khusoos Fajr Ki Namaaz Mein Kotaahi Nahin Karega.

2) Zabaan Gaalam Galoch, Geebat, Chugal Khori, Galat Bayaani Wagairah Mein Ist'emaal Nahin Karega.

3) Dil Mein Kisi Ke Baare Mein Badgumaani Nahin Rakhega. 

4) Aankhon Se Bad Nazari Nahin Karega.

5) Tijaarat Mein Jhoot Nahin Bolega, Kisi Ko Dhoka Aur Fareb Nahin Dega.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------2️⃣0️⃣---------------

(B) Taqwaa Haasil Karne Ke Liye Doosra Kaam Yeh Ke *Parhezgaaron (Nek Logon) Ke Saath Ta'alluq Wa Ham Nasheeni Ikhtiyaar Karein,* Un Ki Barkat Se Ham Nasheeni Ikhtiyaar Karne Waale Ke Andar Bhi Taqwaa Ke Aasaar Zaahir Honge.

Nek Logon Ki Sohbat Insaan Ko Nek Banaati Hai, 
Aur Buron Ki Sohbat Insaan Ko Bura Banaati Hai. (Naashir) 

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------2️⃣1️⃣---------------
*🌹Du'a🌹*

*Dil Ki Safaayi Aur Husool E Taqwa Ke Liye Du’a*

Ham Apne Andar Taqwa Ki Sifat Paida Karne Ke Liye Namaaz Ke Sajdon Mein Yeh Masnoon Du’a (Jo Arabi Mein Hai) Maangne Ka Ma’amool Banaayein :

*Rabbee A’ati Nafsee Taqwaaha , Zakkihaa Anta Khairu Man Zakkaahaa , Anta Waliyyuhaa Wa Maulaahaa.*

Tarjumah : Aye Allah ! Mere Nafs Ko Taqwa Ata Farma Aur Ise Paakeezah Bana, Ise Paakeezah Banaane Waalon Mein Teri Hi Zaat Behtareen Hai, Tu Hi Is Ka Kaarsaaz Aur Maalik Hai. (Musnad E Ahmad: 26276)

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------2️⃣2️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

Taqwa Kya Hai?

Ek Shakhs Ne Hazrat Abu Hurairah Raziyallaahu Ta’ala An’hu Se Sawaal Kiya Ke Taqwa Kya Hai?

To Aap Ne Us Se Poocha Ke Kabhi Kaante Daar Raaste Se Guzarna Huwa Hai?

To Us Shakhs Ne Kaha : Haan !

To Aap Ne Us Se Poocha : Wahaan Se Kaise Guzarna Huwa?

To Us Shakhs Ne Jawaab Diya Ke Jab Main Kisi Kaante Ko Dekhta To Us Se Apne Ko Bacha Kar Aur Kapde Samet Kar Guzarta,

To Aap Ne Jawaab Diya”Zaakat-Taqwa“ Yaani Yehi Cheez Taqwa Hai. (Addurrul Mansoor:1/61, Al Baqarah:2)

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------2️⃣3️⃣---------------
*🌹Qur’aan E Kareem🌹*

*Gaib Par Imaan*

Sura E Baqarah Aayat No : 3 Ke Shuroo Mein Allah Ta’ala Ne Apne Un Muttaqi Bandon Ki Ta’areef Farmaai Hai Jo Gaib Ki Cheezon Ko Baghair Dekhe (Sirf Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool Swallallaahu Alaihi Wa Sallam Ke Irshaadaat Par Yaqeen Kar Ke) Dil Se Maante Hain.

*“Gaib” Se Muraad Woh Cheezein Hain Jo Aankhon Se Dikhaai Nahin Deteen, Na Haath Se Chhoo Kar, Yaa Naak Se Soongh Kar Unhein Mehsoos Kiya Jaa Sakta Hai, Balke Woh Sirf Aur Sirf Allah Ta’ala Ki Wahee Ke Zariye Ma’aloom Hoti Hain, Yaa To Qur’aan E Kareem Mein Un Ka Zikr Hai Ya Nabi Swallallaahu Alaihi Wa Sallam Ne Wahee Ke Zariye Woh Baatein Hamein Bataai Hain, Masalan : Allah Ta’ala Ki Sifaat, Jannat O Dozakh Ke Haalaat, Farishte Waghairah.*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------2️⃣4️⃣---------------
*Gaib Par Imaan*

Yeh Duniya Chunke Imtehaan Ki Jagah Hai, Is Liye Agar Yeh Cheezein Aankhon Se Nazar Aa Jaateen Aur Phir Koi Shakhs In Par Imaan Laata To Koi Imtehaan Na Hota, Allah Ta'ala Ne In Cheezon Ko Insaan Ki Nigaah Se Poshidah Rakha Hai, Lekin In Ke Wujood Ke Beshumaar Dalaail Muhaiyya Farma Diye Hain Ke Jab Koi Shakhs Zara Insaaf Se Gaur Karega To In Baaton Par Imaan Le Aayega Aur Imtehaan Mein Kaamyaab Hoga. 

Lehaaza Hamein Chaahiye Ke Ham Ghar Mein Rozaanah Tamaam Afraad Mil Kar Imaani Tazkire Karein, Gaib Ki Baaton Ka Muzaakarah Karein, Maslan : Jannat Ki Ne'maton Ka Tazkirah Karein Ke Allah Ta'ala Ne Jannat Mein Kya Ne'matein Rakhi Hain Aur Kaun Log Is Ke Mustahiq Honge Wagairah.

Isi Tarah Jahannam, Qabr, Aakhirat Aur Hisaab Kitaab Ka Tazkirah Karein, Kaun Log Hauz E Kausar Se Paani Peene Ke Mustahiq Honge? Qayaamat Mein Nabi Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Se Sab Se Zyaadah Kaun Qareeb Hoga? Wagairah, Taake Hamaare Imaan Mein Izaafa Ho.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------2️⃣5️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Imaan Ko Kaamil Karne Ke Liye Do A'mal*

Rasoolullah Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ka Irshaad Hai : *Koi Bandah Us Waqt Tak Poora Momin Nahin Ho Sakta Jab Tak Mazaaq Mein Bhi Jhooth Bolna Na Chhod De Aur Haq Par Hone Ke Baawajood Jhagda Khatam Na Kar De.* (Musnad E Ahmad: 8630)

Matlab Yeh Ke Jab Tak Aadmi In Do Cheezon Ko Nahin Chhodega Us Waqt Tak Aadmi Saheeh Taur Par Mo'min Nahin Ho Sakta :

1) Mazaaq Mein Bhi Jhooth Na Bole, Mazaaq Mein Bhi Jhooth Bolna Buri Baat Hai Chejaayeke Sanjeedgi Mein Bolna, Lehaaza Kisi Se Khilaaf E Waaqi'ah Baat Keh Kar Baad Mein Yeh Kehna Ke "Main To Mazaaq Kar Raha Tha" Jaaiz Nahin, Is Se Aa'indah Ae'temaad (Bharosah) Khatam Ho Jaata Hai.

2) Hadees Shareef Mein Kaamil Momin Banne Ke Liye Doosri Baat Yeh Irshaad Farmaayi Ke Woh Haq Par Hone Ke Baawajood Jhagde Se Parhez Kare, Ya'ani Agar Woh Haq Par Ho Aur Saheeh Baat Keh Raha Ho Aur Doosra Shakhs Galat Baat Keh Raha Ho To Apna Saheeh Mauqif Bayaan Kar De Bas, Lekin Bahs O Mubaahasah Na Kare, Kyunke Doosre Ko Manwaa Kar Chhodna Is Ke Ikhtiyaar Mein Nahin, Albattah Us Ke Liye Du'a E Khair Karta Rahe.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------2️⃣6️⃣---------------
*Bahs O Mubaahasah Karne Se Kuch Haasil Nahin Hota, Balke Yeh Nuqsaanaat Hote Hain :*

(A) Har Shakhs Yeh Chaahta Hai Ke Main Doosre Par Gaalib Aa Jaaun, Meri Baat Oonchi Rahe, Doosra Magloob Ho Jaaye.

(B) Ek Faaltu Silsilah Jaari Ho Jaata Hai, Jis Mein Achcha Khaasa Waqt Barbaad Ho Jaata Hai Aur Fuzool Mein Dimaagi Tawaanaai Zaa'ye Hoti Hai.

(C) Ek Martabah Jhagadne Se Baar Baar Jhagadne Ki A'adat Ki Buniyaad Pad Sakti Hai, Abhi To Sachcha Hone Ki Wajah Se Jhagad Raha Hai, Baad Mein Naa Haq Bhi Jhagdega.

(D) Jhagda Insaan Ke Baatin Aur I'lm Ke Noor Ko Tabaah Kar Deta Hai Aur Zulmat Paida Ho Jaati Hai.

Lehaaza Ham Niyyat Kar Lein Ke :

(1) Mazaaq Mein Bhi Jhoot Nahin Bolenge. 

(2) Haq Par Hone Ke Baawajood Bhi Jhagda Na Karenge.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------2️⃣7️⃣---------------
*🌹Du’a🌹*

*Imaan Dil Mein Rach Bas Jaane Ki Du’a*

Imaan Ki Mehnat Karein Aur Apne Dil Mein Imaan Ke Rach Bas Jaane Ki Du’a Karein, Jab Hazrat Aadam Alaihisswalaatu Wassalaam Duniya Mein Aaye The To Un’hon Ne Bhi Apne Liye Imaan Ke Rach Bas Jaane Ki Du’a Ki Thi, Lihaaza Ham Bhi Woh Du’a Maangein, Woh Du’a Yeh Hai : 

*Allaahumma Innee As’aluka Imaanayyubaashiru Qalbee.* (Almo’ajam Ul Ausat:6136)

Tarjumah : *”Aye Allah ! Main Tujh Se Aise Imaan Ka Sawaal Karta Hun Jo Mere Dil Mein Rach Bas Jaaye.“*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------2️⃣8️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

*Imaan Ki Pukhtagi Kaise Ho?*

Imaan Ki Badhotri Aur Mazbooti Ke Liye Sahaaba E Kiraam Raziyallaahu Ta'ala A'nhum Fikrmand Raha Karte The, Hazrat A'bdullah Bin Rawaahah, Hazrat U'mar Faarooq Aur Hazrat Mu'az Bin Jabal Raziyallaahu Ta'ala A'nhum Ke Baare Mein Aata Hai Ke Woh Imaani Majaalis Qaaim Karte Aur Ba'az Auqaat Apne Saathi Ka Haath Pakad Kar Kehte Ke Chalo Thodi Der Baith Kar Imaani Tazkire Karein, Allah Ta'ala Ki Qudrat Aur Kibriyaai Ko Bayaan Karein.

Yeh Thi Imaan Ki Qadr O Ehmiyat Aur Fikr, Hamein Chaahiye Ke Imaan Ki Pukhtagi Aur Hifaazat Ke Liye Yeh Bol Bolein :

1) Sab Kuch Allah Se Hota Hai, Allah Ke Gair Se Allah Ke Hukm Ke Bagair Kuch Nahin Hota.

2) Allah Bahot Bade Hain, Saari Kaaynaat Ko Banaane Waale Sirf Allah Hain.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------2️⃣9️⃣---------------
*🌹Qur'an E Kareem🌹*

Iqaamat E Salaat Ka Matlab

Sura E Baqarah Aayat : 3 Mein Allah Ta'ala Ne Apne Muttaqi Bandon Ki Ek Sifat Iqaamat E Salaat (Ya'ani Namaaz Qaa’im Karna) Bayaan Farmaayi.

*Namaaz Qaai'm Karne Ke Ma'ana Mahaz Namaaz Padhne Ke Nahin, Balke Us Ka Matlab Yeh Hai Ke :*

1) Shuroo Se Le Kar Aakhir Tak Namaaz Ko Achchi Tarah Se Adaa Karna.

2) Namaaz Ke Faraaiz, Waajibaat Aur Mustahabbaat Par A'mal Karna Aur Is Par Paabandi Karna.

3) Paanchon Namaazon Ki Paabandi, Nigraani Aur Poori Nigahdaasht Karna Aur Allah Naa Kare Agar Namaaz Ka Waqt Nikal Jaaye To Fauran Us Ki Qazaa Karna.

*Lehaazah Har Musalmaan Ko Chaahiye Ke Apni Namaazein Durust Karne Ke Liye Woh Aisi Kitaabein Padhe Jin Mein Buzurg U'lama Hazraat Ne Tamaam Tareeqe Wazaahat Se Zikr Farmaaye Hain, Masalan : Maulaana Mufti Muhammad Taqi Usmaani Saahab Daamat Barakaatuhu Ki Kitaab "Namaazein Sunnat Ke Mutaabiq Padhiye" Aur Mufti A'bdur Raoof Sakharvi Saahab Daamat Barakatuhu Ki Kitaab "Khawaateen Ka Tareeqa E Namaaz" Ka Mutaala’ah Karte Rahein.*

Neez Apni Masjid Ke Imaam Saahab Ko Bhi A'mali Taur Par Apni Namaaz Padh Kar Dikhlaaye, Taake Jo Khaami Reh Jaaye Woh Us Ki Islaah Kar Dein.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------3️⃣0️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Namaaz Mein Tilaawat Thahar Thahar Kar Karna*

Rasool E Kareem Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ka Irshaad Hai Ke Haq Ta'ala Ne Farmaaya :

*"Namaaz Mein Sura E Faatihah, Mere Aur Mere Bande Ke Darmiyaan Do Hisson Mein Taqseem Ki Gayi Hai, Nisf (Aadhi) Mere Liye Hai Aur Nisf (Aadhi) Mere Bande Ke Liye Hai Aur Jo Kuch Mera Bandah Maangta Hai Woh Us Ko Diya Jaayega."*

Phir Rasoolullaah Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ne Irshaad Farmaaya :

Bandah Jab Kehta Hai : ( الْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعٰلَمِيْنَ ) To Allah Ta'ala Farmaate Hain : Mere Bande Ne Meri Hamd Ki Hai.

Aur Jab Woh Kehta Hai : ( الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ ) To Allah Ta'ala Farmaate Hain : Mere Bande Ne Meri Ta'areef O Sanaa Bayaan Ki.

Aur Jab Bandah Kehta Hai : ( مٰلِكِ يَوْمِ الدِّيْنِ ) To Allah Ta'ala Farmaate Hain : Mere Bande Ne Meri Buzurgi Bayaan Ki.

Aur Jab Bandah Kehta Hai : ( اِيَّاكَ نَعْبُدُ وَاِيَّاكَ نَسْتَعِيْنُ ) To Allah Ta'ala Farmaate Hain : Yeh Aayat Mere Aur Mere Bande Ke Darmiyaan Mushtarak Hai, (Kyun Ke Is Mein Ek Pehlu Haq Ta'ala Ki Hamd O Sanaa Ka Hai Aur Doosra Pehlu Bande Ki Du'a O Darkhwaast Ka Hai.) Is Ke Saath Yeh Bhi Irshaad Hota Hai Ke Mere Bande Ko Woh Cheez Milegi Jo Us Ne Maangi.

Phir Jab Bandah Kehta Hai : ( اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيْمَ ) (Aakhir Tak) To Haq Ta'ala Farmaate Hain : Yeh Sab Mere Bande Ke Liye Hai Aur Us Ko Woh Cheez Milegi Jo Us Ne Maangi. ( Muslim :395)

*Ma'aloom Huwa Ke Har Aayat Par Waqf Kare (Tahre), Phir Doosri Aayat Padhe, Taake Itminaan Se Namaaz Adaa Ho. Huzoor E Akram Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Sura E Faatihah Ki Har Aayat Par Rukte, (الْحَمْدُ لِلّٰهِ رَبِّ الْعٰلَمِيْنَ ) Par Rukte, Phir ( الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ ) Par Rukte.* ( Tirmizi : 4001)

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------3️⃣1️⃣---------------
*🌹Du’a🌹*

*Namaaz Mein Masnoon Du’aaon Ka Ehtemaam Karna*

Un Du’aaon Ke Maangne Ka Ehtemaam Keejiye Jo Namaaz Ke Andar Maangne Ke Liye A’haadees Mein Waarid Hain, Un Du’aaon Ko Maangne Se Kam Az Kam Qaumah Wa Jalsah Saheeh Ada Ho Jaayega, Yaani (Rukoo Se Uth Kar) Qaume Mein Itminaan Se Khade Hone Ki Jo Kaifiyat Hai Ke Tamaam A’azaa Ko Sukoon O Itminaan Mil Jaaye Aur Jism Par Koi Kham (Tedha Pan) Bhi Baaqi Na Rahe Aur (Donon Sajdon Ke Darmiyaan) Jalse Mein Baithne Ki Jo Kaifiyat Hai Ke Itminaan Se Do Zaanoo Seedha Baithna Muyassar Ho Jaaye, Saheeh Ada Ho Jaayega,

Masalan Jalse Ki Du’a Yeh Hai : *”Rabbighfirlee, Rabbighfirlee“* (Aye Mere Rab ! Mujhe Bakhsh De, Aye Mere Rab ! Mujhe Bakhsh De). (Ibne Maajah:897, Izaafah Naashir) Yaa Yeh Padhe: *”Allaahummaghfirlee Warhamnee“* (Aye Allah ! Meri Maghfirat Farma).

Isi Tarah Baqiyah Du’aaon Ke Liye Maktabah Bait ul Ilm Ki Kitaab”Pareshaaniyon Ka Hal Namaaz Ke Zariye“ (Yaa Koi Aur Kitaab) Apne Mutaala’ah Mein Rakhen Aur Ek Ek Du’a Us Mein Se Yaad Kar Ke Ma’amool Bana Lein.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------3️⃣2️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

*Namaaz Ki Saheeh Adaayigi Ke Liye Tajweed Seekhein.*

Ba'az Martabah Tajweed Na Seekhne Ki Wajah Se Makhaarij Se Huroof Ki Saheeh Adaayigi Nahin Hoti Jo Ke Lahn E Jalee (Badi Galati) Ka Baa'is Hoti Hai Jis Se Namaaz Bhi Kharaab Ho Jaati Hai, Lehaaza Rozaanah Thoda Waqt Nikaal Kar Kisi Maahir Qaari Ke Paas Baith Kar Qur'an Saheeh Padhne Ki Mashq Karein.

Kam Az Kam Sura E Faatihah Aur Chhoti Sooratein Kisi Maahir Qaari Ko Suna Kar Qir'at Saheeh Kar Lein Ke "Haa (ح) " Aur "Haa (ھ)" Mein, "Seen (س) " Aur "Saa (ث) " Mein, "Taa (ت) " Aur "Twaa (ط) " Aur "Qwaaf (ق) " Aur "Kaaf (ک) " Mein Farq Waazeh Kiya Jaaye.

 Jaise "Qul (قُلْ ) " Aur "Kul (کُلْ ) " Mein, "Qalb (قَلْبْ) " Aur "Kalb (کَلْبْ ) " Mein, "Wan’Har (وَانْحَرْ ) " Aur "Wan’har (وَانْھَرْ ) " Mein Padhne Ke A'etebaar Se Farq Karne Ka Ehtemaam Karna Chaahiye, Kyun Ke Ma'ana Ke A'etebaar Se In Alfaaz Ke Darmiyaan Aapas Mein Bada Farq Hai. 

*"Qul (قُلْ )" Ka Ma'ana Hai Kaho, Jab Ke "Kul (کُلْ )" Ka Ma'ana Hai Khaao, "Qalb (قَلْبْ)" Ka Ma'ana Hai Dil Aur "Kalb (کَلْبْ )" Ka Ma'ana Hai Kutta, "Wan’Har (وَانْحَرْ )" Ka Ma'ana Hai Qurbaani Karo Aur "Wan’har (وَانْھَرْ )" Ka Ma'ana Hai Jhidko, Jaise Hamaari Urdu Zabaan Mein Bhi Is Tarah Ka Farq Paaya Jaata Hai, Maslan Ro'tee (Wheat Bread) Aur Roti (Crying).*

Is Liye Khoob Hi Ehtemaam Ke Saath Apni Tajweed Par Mehnat Keejiye, Taake Hamaari Namaaz Ki Adaayigi Saheeh Tareeqe Se Ho.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------3️⃣3️⃣---------------
*🌹Qur'an E Kareem🌹*

*Allah Ta'ala Ke Raaste Mein Kharch Karna*

Sura E Baqarah Aayat Number 3: Ke Aakhir Mein Allah Ta'ala Ne Taqwaa Waalon Ki Ek Sifat Yeh Bayaan Farmaayi :

﴿وَمِمَّا رَزَقْنٰهُمْ يُنْفِقُونَ﴾ 

Tarjumah : *"Aur Jo Kuch Ham Ne Unhein Diya Hai Us Mein Se (Allah Ki Khushnoodi Ke Kaamon Mein) Kharch Karte Hain".*

Is Mukhtasar Jumle : *"Aur Jo Kuch Ham Ne Unhein Diya Hai"* Par Gaur Keejiye To Ek Yeh Jumlah Hi Allah Ki Raah Mein Maal Kharch Karne Ka Jazbah Ek Shareef Insaan Ke Dil Mein Paida Kar Deta Hai Ke Jo Kuch Maal Hamaare Paas Hai Yeh Sab Allah Ta'ala Hi Ka Diya Huwa Aur Usi Ki Amaanat Hai, Agar Ham Is Tamaam Maal Ko Bhi Allah Ki Raah Mein Us Ki Razaa Ke Liye Kharch Kar Dein To Haq Aur Bajaa Hai, Is Mein Bhi Hamaara Koi Ehsaan Nahin.

She’ar :
Jaan Di, Di Huyi Usi Ki Thi
Haq To Yeh Hai Ke Haq Adaa Na Huwa

Is Par Mazeed Izaafah Lafze {مِمَّا} Ne Kar Diya Jis Ke Ma'ana Yeh Hain Ke *Hamaare Diye Huye Maal Ko Bhi Poora Kharch Karna Nahin, Balke Us Ka Kuch Hissah Kharch Karna Hai.*

*Ham Bhi Allah Ta'ala Ke Liye Apna Maal Rishtedaaron, Gareebon, Yateemon, Madaaris, Masaajid Ki Zarooriyaat Par Kharch Karein, Yeh Soch Kar Ke Allah Hi Ka Diya Huwa Hai, Allah Ta'ala Ne Apna Maal In Logon Ko Dene Ka Zariyah Mujhe Banaaya Hai, Yehi Muttaqi Logon Ki Sifat Hai.*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------3️⃣4️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Har Musalmaan Sadqah Kare*

Rasoolullaah Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ka Irshaad Hai : *Har Musalmaan Par Sadqah Laazim Hai,*

Logon Ne A'rz Kiya Ke Agar Kisi Aadmi Ke Paas Sadqah Karne Ke Liye Kuch Na Ho To Woh Kya Kare?

Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ne Farmaaya : *Apne Dast O Baazu (Haath) Se Mehnat Kare Aur Kamaaye, Phir Us Se Khud Bhi Faaydah Uthaaye Aur Sadqah Bhi Kare.*

A'rz Kiya Gaya Ke Agar Woh Yeh Na Kar Sakta Ho To Kya Kare?

Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ne Farmaaya : *Kisi Pareshaan Haal Mohtaaj Ka Koi Kaam Kar Ke Us Ki Madad Hi Kar De* (Yeh Bhi Ek Tarah Ka Sadqah Hai).

A'rz Kiya Gaya Ke Agar Woh Yeh Bhi Na Kar Sake To Kya Kare?

Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ne Farmaaya : *To Apni Zabaan Hi Se Logon Ko Bhalaai Aur Neki Ke Liye Kahe.*

Logon Ne A'rz Kiya : Agar Woh Yeh Bhi Na Kar Sake To Kya Kare?

Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ne Farmaaya : (Kam Az Kam) *Shar Se Apne Ko Roke* ( Ya'ani Is Ka Ehtemaam Kare Ke Us Se Kisi Ko Takleef Aur Eezaa Naa Pahunche) Yeh Bhi Us Ke Liye Ek Tarah Ka Sadqah Hai. ( Bukhari : 5676)

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------3️⃣5️⃣---------------

Is Hadees Se Ma'aloom Huwa Ke Jin Logon Par Daulat Aur Sarmaayah Naa Hone Ki Wajah Se Zakaat Farz Nahin Hoti Un Ko Bhi Sadqah Karna Chaahiye, Agar Rupye Paise Se Haath Bilkul Khaali Ho To Bhi Woh Sadqe Ki Fazeelat Haasil Kar Sakta Hai, Kyun Ke :

1) *Apne Bhai Ko Achchi Baat Ki Naseehat Kar Dena.*

2) *Kisi Se Khandah Peshaani Se Yaani Muskuraate Huye Milna.*

3) *Raaste Se Takleef Dene Waali Cheez Hataa Dena.*

4) *Ghar Waalon Par Kharch Karna.*

5) *Ghar Se Zaa'id Cheez Nikaal Kar Kisi Gareeb Miskeen Ko De Dena Bhi Sadqah Hi Hai.*

Hadees Ki Rooh Aur Is Ka Khaas Paigaam Yehi Hai Ke Har Musalmaan Khwaah Ameer Ho Ya Gareeb, Taaqatwar Ho Ya Za'eef, Us Ko Chaahiye Ke Jaani, Maali, Zabaani Jis Tarah Aur Jis Qism Ki Bhi Madad Allah Ke Haajatmand Bandon Ki Kar Sake Zaroor Kare Aur Us Se Dareg Naa Kare.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------3️⃣7️⃣---------------
*🌹Naseehat 🌹*

*Sadqe Ke Faayde*

Sadqah Karne Se Yeh Faayde Haasil Hote Hain :

1) Sadqe Se Maal Mein Barkat Paida Hoti Hai.

2) Sadqe Se Museebat Door Hoti Hai Aur Buri Maut Se Hifaazat Hoti Hai.

3) Gareeb Rishtedaaron Aur A'am Logon Ko Aise Shakhs Ke Maal Se Faaydah Pahunchta Hai.

4) Allah Ta'ala Raazi Hote Hain Aur Roz E Qayaamat Us Ke Liye Zakheerah Tayyar Ho Jaata Hai.

5) Neez Nafs Ki Islaah Hoti Hai Aur Taqwaa Ki Sifat Paida Hoti Hai.

Allah Ta'ala Hamein In Tamaam Baaton Ki Samajh Aur A'mal Ki Taufeeq A'taa Farmaaye. Aameen

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------3️⃣8️⃣---------------
*🌹Qur'an E Kareem🌹*

*Aakhirat Ka Yaqeen / Gunaahon Se Bachaao Ka Zariya'h*

Sura E Baqarah Aayat Number : 4 Ke Aakhir Mein Allah Ta'ala Ne Muttaqi Logon Ki Ek Sifat Yeh Bayaan Farmaayi :

*"Aur Aakhirat Par Woh Mukammal Yaqeen Rakhte Hain."*

Aakhirat Se Muraad Woh Zindagi Hai Jo Marne Ke Baad Haasil Hogi Aur Jo Hameshah Ke Liye Hogi Aur Us Mein Har Bande Ko Duniya Mein Kiye Huye A'amaal Ka Hisaab Dena Hoga Aur Usi Ki Buniyaad Par Yeh Faislah Hoga Ke Woh Jannat Mein Jaayega Ya Jahannam Mein.

Aakhirat Bhi Gaib Ya'ani An-Dekhi Cheezon Mein Shaamil Hai, Jis Par Imaan Laana Har Ek Ke Liye Zaroori Hai, Sura E Baqarah Ki Shur'oo Ki Aayaton Mein Gaib Ka Zikr Karne Ke Baawajood Bhi Aakhirat Ka Zikr Khusoosi Taur Par Alag Se Kar Ke Goya Us Ki Ehmiyat Ko Batlaa Diya.

Shaayad Is Ki Wajah Yeh Hai Ke Aakhirat Ka A'qeedah Hi Dar Haqeeqat Insaan Ki Soch Aur Us Ki A'mali Zindagi Ko Saheeh Raaste Par Rakhta Hai, Jo Insaan Yeh Yaqeen Rakhta Ho Ke Ek Din Mujhe Allah Ke Saamne Pesh Ho Kar Apne Har A'mal Ka Jawaab Dena Hai, Woh Kisi Gunaah Ya Jurm Ke Irtekaab Par Kabhi Dhitaa'i Ke Saath Aamaadah Nahin Hoga.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------3️⃣9️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Aakhirat Ki Tayyaari Karne Waala Kaun?*

Rasoolullaah Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ka Irshaad Hai : Hoshiyaar Aur A'qalmand Woh Shakhs Hai Jo Apne Nafs Ko Qaabu Mein Rakhe Aur Maut Ke Baad Ke Liye (Ya'ani Aakhirat Ki Najaat O Kaamyaabi Ke Liye) A'mal Kare Aur Naadaan O Be A'qal Woh Shakhs Hai Jo Apne Ko Apni Khwaahishaat E Nafs Ke Taab'e Kar De (Aur Bajaa'e Ahkaam E Khudaawandi Ke Apne Nafs Ke Taqaazon Par Chale) Aur Allah Se Ummedein Baandhe. (Tirmizi :2459)

Ya'ani A'qalmand O Bahaadur Woh Shakhs Hai Jo Apni Dunyaawi Zindagi Mein Apne Qaul O Fe'al Aur Apni Haalat Ka Khud Hisaab Kare, Pas Agar Woh Dekhe Ke Us Ke A'amaal O Ahwaal Aur Kirdaar O Guftaar Par Nekiyon Ka Galbah Hai To Allah Ka Shukr Adaa Kare.

Aur Agar Us Ko Buraaiyon Ka Galbah Ma'aloom Ho To Gunaahon Se Taubah Kare Aur Apni Haalat Sudhaarne Ki Taraf Mutawajjeh Ho Aur Pichli Zindagi Mein Jo I'baadaat O A'amaal E Swaalehah Faut Ho Gaye Hain Un Ki Talaafi Kare, Qabl Is Ke Ke Aakhirat Ke Sakht A'zaab Mein Giriftaar Ho.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------4️⃣0️⃣---------------

Hadees Se Ek Baat To Yeh Ma'aloom Huyi Ke A'qalmand Momin Woh Hai Jo Apne Andar Itni Taaqat O Mazbooti Rakhe Ke Us Ka Nafs Use Apni Khwaahishaat Ke Fareb Mein Mubtala Na Kar Sake, Aur Naa Samajh Momin Woh Hai Jo Is Darje Kamzor Aur A'ajiz Ho Ke Us Ka Nafs Us Ko Apni Khwaahishaat Ka Qaidi Banaa Le.

Doosri Baat Yeh Ma'aloom Huyi Ke Momin Ki Shaan Ke Khilaaf Hai Ke Gunaah Bhi Naa Chhode, Taubah O Istighfaar Bhi Naa Kare Aur Yeh Ummeed Rakhe Ke Allah Ta'ala Rahmat Ke Darwaaze Khol Dega Aur Zabaan Se Yeh Bhi Kehta Rahe Ke Mera Rab To Bada Raheem O Kareem Hai, Woh Mujhe Bakhsh Hi Dega Aur Jannat Mein Pahunchaa Dega, Yeh Dar Asal Nafs Ka Ek Aisa Fareb Hai Jis Ke Zariye Shaitaan Gumraahi Se Nikalne Nahin Dena Chaahta.

Lehaaza Apne Andar Aakhirat Ki Fikr Aur Maut Ki Yaad Paida Keejiye, Taake Gunaah Ki Ragbat Toote Aur Nek A'amaal Karne Ka Jazbah Paida Ho.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------4️⃣1️⃣---------------
*🌹Du’a🌹*

*Aakhirat Achchi Banaane Ke Liye Du’a*

Insaan Ki Asl Manzil Jahaan Ise Hameshah Ke Liye Laut Kar Jaana Hai Aur Waapas Kabhi Nahin Aana Woh Aakhirat Ki Manzil Hai, Jis Ke Baad Yaa To Jannat Hai Yaa Jahannam, Jis Ki Aakhirat Sanwar Gayi Woh Haqeeqi Kaamyaab Hai, Lihaaza Us Din Ki 
Fikr Karte Huye Yeh Masnoon Du’a Maangiye :

Allaahumma ….Aslih Lee Aakhiratiyallatee Feeha Ma’aadee.

Tarjumah : *Aye Allah ! Durust Kar Meri Aakhirat Ko Jahaan Mujhe Laut Kar Jaana Hai.* (Muslim: 7078)

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------4️⃣2️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

*Fikr E Aakhirat Kaise Paida Ho?*

Aakhirat Ki Fikr Dil Mein Paida Ho, Is Ke Liye Yeh Chand Kaam Karein :

1) Muraaqabah Karein, Ya'ani Nafs Ko Gunaahon Se Bachaane Aur Nek A'amaal Par Paabandi Karne Ka Har Waqt Khayaal Rakhein Aur Phir Raat Sone Se Pehle Muhaasabah Karein, Ya'ani Apne Nafs Ka Hisaab Lein Ke Kitne Kaam Karne Ke Kiye? Aur Kitne Bachne Waale Kaamon Se Bache? Aur Qayaamat Ke Din Allah Ko Dikhlaane Ke Liye Kya A'amaal Tayyaar Kar Rakhe Hain?

2) Is Baat Ka Ehsaas Paida Karein Ke Kal Qayaamat Ke Din Allah Ta'ala Ham Se Poochh Gachh Karenge Aur Hamein Jawaab Dena Padega.

3) Maut Ko Yaad Karein, Lazzaton Ko Todne Waali Cheez Maut Ki Yaad Hai.

4) Jannat Aur Jahannam Se Muta'alliq Aahaadees Ko Padhein Aur Sunein.

5) Qur'an O Hadees Mein Mazkoor Pichchli Ummaton Ka Anjaam Sochein Aur Naa Farmaanon Ke Liye Jo A'zaab Mazkoor Hai Us Ka Tasawwur Karein.

6) Fikr E Aakhirat Se Muta'alliq Ambiya Aur Sahaabah Ke Waaqi'aat Padhein Aur Sunein Aur Apne Bachchon Ko Bhi Sunaa'ein.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------4️⃣3️⃣---------------
*🌹Qur'an E Kareem🌹*

*Jhoot Bolne Ka Wabaal*

Sura E Baqarah : Aayat : 10 Mein Allah Ta'ala Ne Munaafiqeen Se Muta'alliq Farmaaya :

﴿وَلَهُمْ عَذَابٌ اَلِيْمٌ ۢ بِمَا كَانُوْا يَكْذِبُوْنَ﴾

Tarjumah : *"Aur Un Ke Liye Dardnaak Sazaa Taiyyaar Hai, Kyun Ke Woh Jhoot Bola Karte The."*

Ya'ani Un Ke Dardnaak A'zaab Ka Sabab Un Ke Jhoot Bolne Ko Qaraar Diya, Is Mein Yeh Ishaarah Paaya Jaata Hai Ke Jhoot Bolne Ki A'adat Un Ka Asli Jurm Tha, Isi Buri A'adat Ne Un Ko Kufr O Nifaaq Tak Pahuncha Diya Tha, Agarche Kufr O Nifaaq Bada Jurm Hai, Magar In Sab Kharaabiyon Ki Jad Aur Buniyaad Jhoot Bolna Hai.

Ma'aloom Huwa Ke Jhoot Bolna Munaafiqeen Ki Sifat Hai Aur Momin Ki Shaan Nahin Ke Woh Jhoot Bole.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------4️⃣4️⃣---------------

Insaan Ke Saare Bure Akhlaaq Mein Sab Se Ziyaadah Buri A'adat Jhoot Ki Hai, Yeh Jhoot, Khwaah Zabaan Se Bola Jaaye Ya A'mal Se Zaahir Ho Jaaye, Kyun Ke Hamaare A'amaal Ki Buniyaad Is Par Hai Ke Woh Waaqi'e Ke Mutaabiq Hon Aur Jhoot Theek Us Ki Zid Hai, Is Liye Yeh Buraai Har Qism Ki Qauli (Zabaani) Aur A'mali Buraaiyon Ki Jad Hai.

Insaan Ke Dil Ke Andar Ki Baat Siwaa'e Allah Ta'ala Ke Koi Doosra Nahin Jaanta, Koi Doosra Kisi Shakhs Ke Muta'alliq Agar Kuch Jaan Sakta Hai Ya Baawar Kar Sakta Hai To Us Ki Ek Hi Soorat Hai Aur Woh Yeh Hai Ke Woh Shakhs Khud Apni Zabaan Ya A'mal Se Us Ko Zaahir Kare.

Ab Agar Woh Saheeh Aur Waaqi'e Ke Mutaabiq Baat Jaan Boojh Kar Zaahir Nahin Karta, Balke Us Ke Khilaaf Zaahir Kar Raha Hai To Woh Apne Mukhaatab Ko Fareb De Raha Hai Aur Us Ke A'etemaad Ko Thes Pahuncha Raha Hai. 

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------4️⃣5️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Jhoot Ek Gandagi Aur Ta'affun Hai*

Rasoolullaah Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ka Irshaad Hai : *Jab Bandah Jhoot Bolta Hai To Farishtah Us Ke Jhoot Ki Badboo Ki Wajah Se Ek Meel Door Chalaa Jaata Hai.* (Tirmizi : 1972)

Ma'aloom Huwa Ke Jis Tarah Ham Is Duniya Ki Cheezon Mein Khushboo Aur Badboo Mehsoos Karte Hain, Waise Hi Allah Ta'ala Ke Farishte Bhi Achche Aur Bure A'amaal O Kalimaat Mein Khushboo Aur Badboo Mehsoos Karte Hain.

Aur Yeh Bhi Ma'aloom Huwa Ke Woh Farishte Jo Insaanon Ki Hifaazat Ke Liye Muqarrar Hain, Woh Jhoot Ki Badboo Ki Wajah Se Door Chale Jaate Hain.

*Is Tarah Jhoot Bolne Ke Do Nuqsaan Huye :*

1) Farishton Ko Takleef Pahunchi.

2) Farishton Ka Hifaazati Pehrah Is Par Se Hat Gaya.

*Farishton Ka Hifaazati Pehrah Agar Allah Ta'ala Muqarrar Na Farmaayein To Jinnaat Insaan Ka Jeena Doobhar Kar Dein.*

Lehaaza Jhoot Se Bachein, Khwaah Woh Bahaane Ke Taur Par Ho..... Ya Taal Matol Kar Ke..... Is Liye Ke Jhoot Bolne Se Allah Ta'ala Bhi Naaraaz Hote Hain Aur Logon Ka A'etemaad Bhi Khatam Ho Jaata Hai.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------4️⃣7️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

*Ghar Waale Jhoot Se Kaise Bachein?*

U'mooman Jhoot Chhupta Nahin, Zaahir Ho Hi Jaata Hai, Agar Haqeeqat Khul Jaaye To Aadmi Ki I'zzat Baaqi Nahin Rehti Aur Logon Ka Us Par Se A'etemaad Uth Jaata Hai, Sharee'at Mein To Mazaaq Mein Bhi Jhoot Bolne Se Roka Gaya Hai, Is Liye Jhoot Se Bachne Ki Khud Bhi Koshish Ki Jaaye Aur Apne Bachchon Ko Bhi Is Buri A'adat Se Baaz Rakhaa Jaaye, Is Ke Liye Chand Mu'assir Tadaabeer Hain, In Ko Ikhtiyaar Kiya Jaaye :

1) Ghar Mein Aisi Fizaa Qaa'im Ki Jaaye Ke Har Koi Apne Dil Ki Baat Keh Sake, Bachchon Ke Dil Mein Yeh Dar Na Ho Ke Sach Bola To Sazaa Milegi, Dar Se Islaah Nahin Ho Sakti, Balke Baad Mein Akele Mein Use Samjhaa Dein Aur Do Rak'at Nafl Padh Kar Us Ke Liye Du'a Bhi Maange.

2) Waalidain A'mali Taur Par Suboot Dein Ke Woh Jhoot Bilkul Nahin Bolte, Maslan : Darwaaze Par Jhoot Kehalwaana Ke Abbu Ghar Par Nahin Hain.

3) Chhote Bachchon Ko Behlaane Phuslaane Ke Liye Yeh Na Kahe Ke Khilona Laa Denge, Chocolate Mangwa Denge Wagairah, Agar Kaha Hai To Use Poora Karne Ki Koshish Karein, Is Ka Faaydah Yeh Hoga Ke Bachche Ke Andar Zid Ki A'adat Nahin Paida Hogi, Kyun Ke Use Ehsaas Hoga Ke Jab Koi Wa'adah Kiya Jaata Hai To Use Poora Kiya Jaata Hai.

*Jab Ghar Mein Aisi Fizaa Ban Jaayegi To Bachchon Mein Bhi Jhoot Bolne Ki A'adat Khatam Ho Jaayegi.*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------4️⃣8️⃣---------------
*🌹Qur'an E Kareem🌹*

*Imaan Aur Nek A'mal Waalon Ke Liye Chaar Ina'amaat*

Sura E Baqarah Aayat : 25 Se Yeh Baat Ma'aloom Huyi Ke Imaan Aur Nek A'mal Waale Ko Yeh Chaar Ina'amaat Milenge:

(1) Aise Baagaat Jin Ke Neeche Nehrein Behti Hongi,
(2) Phal,
(3) Paakeezah biwiyaan, 
(4) Daa'imi Sukoonat (Hameshah Hamesh Ki Qayaam Gaah).

Aur Jab Kabhi Un Ko In (Baagaat) Mein Se Koi Phal Rizq Ke Taur Par Diya Jaayega To Woh kahenge :

﴿هٰذَا الَّذِيْ رُزِقْنَا مِنْ قَبْلُ﴾ 

Tarjumah : *"Yeh To Wohi Hai Jo Hamein Pehle Bhi Diya Gaya Tha."*

*Tafseer :* Is Ka Ek Matlab To Yeh Ho Sakta Hai Ke Jannat Mein Waqfe Waqfe Se Aise Phal Diye Jaayenge Jo Dekhne Mein Bilkul Milte Julte Honge, Magar Lazzat Aur Zaaiqe Mein Har Phal Naya Hoga.

Aur Doosra Matlab Yeh Bhi Mumkin Hai Ke Jannat Ke Phal Dekhne Mein Duniya Ke Phalon Ki Tarah Honge, Is Liye Unhein Dekh Kar Jannati Yeh Kahenge Ke Yeh To Wohi Phal Hain Jo Hamein Pehle Ya'ani Duniya Mein Mile The, Lekin Jannat Mein Un Ki Lazzat Aur Khusoosiyaat Duniya Ke Phalon Se Kaheen Zyaadah Hongi.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------4️⃣9️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Jannat Kin Cheezon Se Dhaanki Gayi Hai?*

Rasoolullaah Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ka Irshaad Hai : *Dozakh Ki Aag Shahwaton Ya'ani Khwaahishaat O Lazzaat Se Dhaanki Gayi Hai Aur Jannat Sakhtiyon Aur Mashaqqaton Se Dhaanki Gayi Hai.* (Bukhari:6487)

Matlab Yeh Hai Ke Jannat Tak Pahunchne Ke Liye Ahkaam E Ilaahi Ki Itteba'a Aur Nafs Ki Khwaahishaat Se Bachne Ki Mehnat Aur Sakhti Bardaasht Karni Hogi, Goya Yeh Jannat Ka Pardah Hani Aur Jo Cheez Parde Ke Peeche Hoti Hai Us Tak Pahunchne Ke Liye Pehle Parde Tak Pahunchna Aur Us Ko Uthaana Zaroori Hota Hai, Is Liye Agar Jannat Tak Pahunchna Chaahte Ho To Pehle Us Ke Parde Ko Uthaana Hoga, Ya'ani Jannat Tak Jaane Waale A'amaal Ikhtiyaar Karne Honge.

Goya Jannat Ke Ird Gird Mashaqqatein Aur Sakhtiyaan Hain Aur Woh Is Se Gheri Gayi Hai, Jannat Tak Pahunchne Ke Liye In Mashaqqaton Aur Sakhtiyon Ko Tay Karna Hoga Ya'ani Bardaasht Karna Hoga, Maslan :

1) Kisi Ki Galati Par Sakht Gussah Aaya To Use Allah Ke Liye Bardaasht Karna, Balke Pee Jaana.

2) Neend Ko Qurbaan Kar Ke Fajr Ki Namaaz Ke Liye Uthna Aur Jama'at Se Namaaz Padhna.

3) Nazar Ko Naa Mahram Ki Taraf Dekhne Se Bachaana.

4) Kisi Ne Sataaya, Takleef Pahunchaa'i To Us Ki Takleef Seh Lena Aur Allah Ke Liye Ma'af Kar Dena.

5) Koi Aasmaani A'afat Aayi To Shikwe Shikaayat Ke Bajaaye Sabr Se Kaam Lena.

6) Allah Ta'ala Ke Hukmon Aur Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ke Tareeqon Ke Mutaabiq Zindagi Guzaarna.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------5️⃣0️⃣---------------
*🌹Du'a🌹*

*Allah Ta'ala Se Jannat Maangein*

Allah Ta'ala Se Jannat Aur Un A'amaal Ki Taufeeq Maangein Jo Jannat Tak Le Jaane Ka Sabab Hon, Is Ke Liye Yeh Masnoon Du'a Maangein :

Allaahumma Innee As’alukal Jannata Wa Maa Qarraba Ilaihaa Min Qaulinw Wa A'malin. (Saheeh Ibne Hibaan : 870)

Tarjumah : *"Aye Allah! Main Aaps Se Jannat Aur (Hameshah) Aisi Baat Kehne Aur Aise Kaam Karne Ki Taufeeq Maangta Hoon Jo Jannat Ke Qareeb Kar Dein."*

Yeh Lambi Du'a Ka Ek Hissah Hai Aur *Yeh Du'a Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ne Hazrat A'ayeshah Raziyallahu Ta'ala A'nha Ko Sikhlaa'i Thi,* Ham Bhi Yeh Du'a Inhi Alfaaz Ke Saath Maangne Ka Ma'amool Bana Lein.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------5️⃣1️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

*Jannat Ka Shauq Paida Keejiye / Jannat Ki Ne'maton Ka Zikr*

*Jannat Ka Shauq Paida Karne Ke Liye Jannat Ki Ne'maton Ko Yaad Karein :*

1) Wahaan Ki Har Cheez, Khaanon Ka Zaaiqah Aur Lazzat Haqeeqi Daa'imi Hogi. (Daa’imi Yaani Hameshah Rehne Waali)

2) Wahaan Ki Zindagi Na Khatam Hone Waali Hai, Jannati Hameshah Jawaan Aur Sehatmand Rahenge.

3) Wahaan Har Waqt Sukoon, Raahat, Chain Aur Khush Haali Ki Zindagi Hogi.

4) Wahaan Allah Ta'ala Ka Deedaar Aur Us Ki Daa'imi Razaamandi Naseeb Hogi.

5) Wahaan Allah Ta'ala Ne Apne Nek Bandon Ke Liye Woh Kuch Tayyaar Kiya Hai Jo Naa Kisi Aankh Ne Aaj Tak Dekha Aur Naa Kisi Kaan Ne Use Suna, Balke Is Se Badh Kar Kisi Ke Dil Mein Us Ka Khayaal Tak Nahin Guzraa.

Is Ke Saath Saath Duniya Ke Baare Mein Sochein Ke Yahaan Ki Har Cheez Sukoon, Pareshaani, Zindagi, Maut, Khushi, Gami Wagairah Sab A'arzi Hai Aur Ek Din Khatam Hone Waali Hai.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------5️⃣2️⃣---------------
*🌹Qur'an E Kareem🌹*

*Faasiq Ki Buri Khaslat.... Qat'a Rahmee*

Sura E Baqarah Aayat Number : 27 Mein Faasiq Logon Ki Teen Buri Khaslatein Bayaan Ki Gayeen :

1) Jo Allah Se Kiye Huye A'had Ko Pukhtah Karne Ke Baad Bhi Tod Dete Hain.

2) Jin Rishton Ko Allah Ne Jodne Ka Hukm Diya Hai Unhein Kaat Daalte Hain.

3) Zameen Mein Fasaad Machaate Hain.

Tafseer : *"Unhein Kaat Daalte Hain" Se Muraad* Rishtedaaron Ke Woh Huqooq Paamaal Karna Hai Jinhein Silah Rahmee Kahaa Jaata Hai. Allah Ta'ala Ne Mukhtalif Rishton Ke Jo Huqooq Muqarrar Farmaaye Hain, Un Ki Theek Theek Adaa'igi Se Hi Ek Paakeezah Ma'ashrah Wujood Mein Aata Hai.

*Agar In Rishton Ko Kaat Kar Baap, Bete, Bhai Bhai, Shohar Aur Biwi Ek Doosre Ke Huqooq Paamaal Karna Shur'oo Kar Dein To Woh Khaandaani Nizaam Tabaah Ho Jaata Hai Jis Par Ek Sehatmand Tamaddun (Ma'ashrah, Society) Ki Buniyaad Qaa'im Hoti Hai. Lehaaza Is Ka Laazmi Nateejah Zameen Mein Fasaad Ki Soorat Mein Nikalta Hai.*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------5️⃣3️⃣---------------

Ma'aloom Huwa Ke Qur'an E Kareem Ne Silah Rahmee Naa Karne Ko Fasaad Fil Arz (Zameen Mein Fasaad Machaana) Ke Saath Jodaa Hai, Jis Se Ma'aloom Huwa Ke Zameen Mein Fasaad Waaq'e Hone Ki Ek Badi Wajah Rishtedaaron Ka Aapas Mein Silah Rahmee Naa Karna Hai,Kyun Ke Ma'asharah Khaandaanon Ke Majmu'e Se Banta Hai To Jab Khaandaan Toote Huye Honge To Us Ka Nateejah Ma'ashare Mein Fasaad Ke A'laawah Aur Kuch Nahin.

*Lehaaza Agar Ham Chaahte Hain Ma'ashare (Society) Mein Aman Ho, Jhagdaa Fasaad Naa Ho To Is Ki Ibtedaa Ham Apni Zaat Se Karein, Is Tarah Ke Aaj Yeh Pakka A'zm Kar Lein Ke Kisi Rishtedaar Se Qat'a Ta'alluq Nahin Karenge, Rishtedaaron Ke Huqooq Achche Tareeqe Se Adaa Karenge.*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------5️⃣4️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Silah Rahmee Karne Waala Kaun?*

Nabi E Kareem Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ne Irshaad Farmaaya : *"Woh Aadmi Silah Rahmee Ka Haq Adaa Nahin Karta Jo ( Silah Rahmee Karne Waale Apne Aqribaa Ke Saath) Badle Ke Taur Par Silah Rahmee Karta Hai. Silah Rahmee Ka Haq Adaa Karne Waala Asal Mein Woh Hai Jo Is Haalat Mein Bhi Silah Rahmee Kare (Aur Qaraabat Daaron Ka Haq Adaa Kare), Jab Woh Us Ke Saath Qat'a Rahmee (Aur Haq Talfee) Ka Ma'amlah Karein."* (Bukhari : 4991)

Khaandaani Zindagi Mein Ba Kasrat Aisa Pesh Aata Hai, Ek Aadmi Rishte Aur Qaraabat Ke Huqooq Adaa Nahin Karta, Ahle Qaraabat Ke Saath Bura Sulook Karta Hai, Ab Agar Aise Qat'a Rahmee Aur Haq Talfee Karne Waalon Ke Saath Jawaabi Taur Par Qat'a Rahmee Ka Bartaao Kiya Jaaye To Yeh Bimaari Aur Gandagi Mu'ashare (Society) Mein Aur Zyaadah Badhegi. 

Aur Is Ke Bar Khilaaf Jab Us Ke Saath Silah Rahmee Ka Ma'amlah Kiya Jaayega To Insaani Fitrat Se Ummeed Hai Ke Der Sawer Un Ki Islaah Hogi Aur Mu'ashare Mein Silah Rahmee Ko Farog Hoga. 

Lehaaza "Adla Badla" Ka Zehan Naa Banaayein Ke Woh Meri Zaroorat Par Kaam Aayega To Main Bhi Us Ki Zaroorat Par Kaam Aaunga, Yeh Silah Rahmee Ke Khilaaf Hai. 

*Silah Rahmee Yeh Hai Ke Agar Koi Rishtedaar Hamaari Zaroorat Par Kaam Naa Aaya Ya Us Ne Salaam Naa Kiya Ya Us Ne Da'awat Naa Di To Yeh Husn E Zan (Achcha Gumaan) Rakhna Chaahiye Ke Koi Wajah Hogi Us Ne Aisa Kiya Hoga, Hamein Us Ki Zaroorat Par Kaam Aana Chaahiye, Jab Mulaaqaat Ho Salaam Karna Chaahiye, Da'awat O Ziyaafat Ke Mauq'e Par Use Nazar Andaaz Nahin Karna Chaahiye.*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------5️⃣5️⃣---------------
*🌹Du'a🌹*

*Qat'a Rahmee Se Allah Ki Panaah Maangein*

Allaahumma Innee A'uoozubika An Tad U'wa A'laiyya Rahimun Qat'atuhaa. (Al Mu'jam Ul Kabeer : 4849)

Tarjumah : *"Aye Allah! Main Aap Ki Panaah Mein Aata Hoon Is Baat Se Bachne Ke Liye Ke Koi Aisa Rishtedaar Mujhe Bad Du'a De Jis Se Ta'alluq Todne Ka Main Murtakib Huwa Hoon."*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------5️⃣6️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

*Rasoolullaah Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ki Silah Rahmee*

Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ki A'malee Zindagi Mein Silah Rahmee Numaayaan Taur Par Ma'aloom Hoti Hai.

*Ek Martabah Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ki Razaa'ee Bahan Shaimaa Binte Haleemah Raziyallahu Ta'ala A'nha Aap Ke Paas Tashreef Laayeen To Aap Ne Un Ka Bahot Ziyaadah Ikraam Kiya Aur Un Ke A'ezaaz Ki Khaatir Apni Chaadar Mubaarak Un Ke Liye Bichhaa'i Aur Unhein Mukhtalif Hadyon Aur Paison Se Nawaaza Aur Unhein Ikhtiyaar Diya, Ya To Woh Yaheen Tehar Jaayein, Ya Phir Apne I'laaqe Chali Jaayein.*

Is Tarah Seerat Mein Aur Bahot Se Waaqi'aat Hain Jin Se Andaazah Hota Hai Ke Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Silah Rahmee Ka Kitna Ehtemaam Karte The, Is Ke Liye Maktabbh E Bait Ul I'lm Ki Kitaab "Uswa E Rasool E Akram" Ka Mutaala’ah Bahot Mufeed Rahega.
In Shaa Allahu Ta'ala

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

Sawaal Tha Ke Jannat Mein Yahoodi Jaayenge, E'esaai Jaayenge Ya Ke Musalmaan?
Musalmaan Ki Taraf Se Imaam O A'alim Muhammad A'bdah, E'esaaiyon Ki Taraf Se Ek Bade Paadri Aur Yahoodiyon Ki Taraf Se Ek Bade Rabee Ko Bulakar Unke Saamne Yehi Sawaal Rakha Gaya :

Jannat Mein Kaun Jaayega, Yahoodi E'esaai Ya Musalmaan?

Musalmaanon Ki Taraf Se Imaam Muhammad A'bdah Ne Khade Hokar Aisa Mudallil Jawaab Diya Ke Mehfil Mein Baithe Tamaam Naaqideen Ke Saath E'esaai Paadri Aur Yahoodi Rabee Apna Sa Munh Lekar Khaamosh Reh Gaye Aur Bagair Koi Jawaab Diye Khaamoshi Se Uth Kar Chale Gaye.

Aapka Jawaab Mukhtasar, Jaam'e, Ma'aqooliyat Se Bharpoor Adab O Ehteraam Ke Saath Rawaadaari Ki U'mdah Misaal Aur Hikmat Aur Daanaa'i Ka Muraqq'a Tha. Unke Jawaab Ne Saare Musalmaanon Ke Honthon Par Muskuraahat Bikher Di Aur Ye Baab Hameshah Ke Liye Band Ho Gaya.

*Aap Ne Kaha*

*Agar Yahoodi Jannat Mein Jaate hain To Hum Bhi Unke Saath Jannat Mein Jaayenge Kyunki Hum Unke Nabi Hazrat Moosa A'laihissalaam Par Imaan Rakhte Hain.*

*Agar E'esaai Jannat Mein Gaye To Hum Bhi Unke Saath Hi Jannat Mein Jaayenge Kyunki Hum Unke Nabi Hazrat E'esaa A'laihissalaam Par Bhi Imaan Rakhte Hain.*

*Lekin Agar Musalmaan Jannat Mein Gaye To Hum Sirf Allah Jalle Jalaalahu Ki Rehmat Ke Saath Akele Hi Jannat Mein Jaayenge, Hamaare Saath Koi Yahoodi Aur E'esaai Nahi Jaayega Kyunki 👉Unhone Hamaare Nabi Muhammad Swallallahu A'laihi Wa Sallam Ko Nahi Maana Aur Naa Hi Un Par Imaan Laaye.*

*Intekhaab : A'adil No'maani*

---------------5️⃣7️⃣---------------
*🌹Qur'an E Kareem🌹*

*Mashoare Ki Ta'aleem*

Sura E Baqarah Aayat : 30 Se Mashore Ki Ehmiyat Ma'aloom Hoti Hai Ke Allah Ta'ala Ne Hazrat Aadam A'laihis Swalaatu Was Salaam Ko Paida Karne Se Pehle Farishton Ko Itela'a Ki Aur Soorat Mashoare Ki Banaayi, Haalaan Ke Dar Haqeeqat Mashoarah Lena Maqsood Nahin Tha Aur Naa Is Ki Zaroorat Thi, Magar Mashoare Ki Soorat Is Liye Banaayi Gayi Taake Makhlooq Ko Mashoare Ki Ehmiyat Ki Taraf Mutawajjeh Kiya Jaaye.

Jaise Ke Rasool E Kareem Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ko Sahaaba E Kiraam Se Mashoarah Lene Ki Hidaayat Qur'an Mein Farmaayi Gayi, Haalaan Ke Aap Swallallaahu A'laihi Wa Sallam To Saahib E Wahee Hain, Magar Aap Ke Zari'ye Mashoare Ki Sunnat Jaari Karna Aur Ummat Ko Sikhlaana Maqsood Tha.

Neez Sachche Musalmaanon Ki Min Jumlah Sifaat Mein Ek Sifat Yeh Bayaan Farmaayi Ke Un Ke Ma'amle Mashoare Se Tay Hote Hain Aur Mashore Ki Ehmiyat Ka Andaazah Is Se Bhi Hota Hai Ke *Qur'an E Kareem Ki Poori Ek Soorat Mashoare Ke Naam Se Hai.*

Lehaaza Hamein Chaahiye Ke Apne Ma'amlaat Mein Kisi Saahib E Raaye, A'qalmand, Tajurbah Kaar Aur Muhabbat Karne Waale Se Mashoarah Karein, Mashoarah Karne Se Sab Se Bada Faaydah Yeh Hota Hai Ke Mukhtalif Arbaab E Nazar Aur Maahireen E Fann Ki Raayein Aur A'qalein Shaamil Ho Jaati Hain, Jis Ki Wajah Se Khair Ki Bahot Si Raahein Khul Jaati Hain Aur Faislah Karna Aasaan Ho Jaata Hai Aur Galat Faisle Se Aadmi Bach Jaata Hai.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------5️⃣8️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Mashoarah Kis Se Lein?*

Rasoolullah Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ka Irshaad Hai : *Jis Shakhs Se Mashoarah Liya Jaaye Us Ko Ameen (Amaanatdaar) Hona Chaahiye.* (Abu Daawood : 5128)

Mashoarah Lene Waale Shakhs Ko Chaahiye Ke Woh Aise Shakhs Se Mashoarah Kare Jo Amaanatdaar Ho, Jis Ke Dil Mein Allah Ka Khauf Aur Aakhirat Ki Fikar Ho Aur Woh Mashoarah Lene Waale Ki Bhalaa'i Ko Har Soorat Mein Malhooz Rakhe Aur Wohi Mashoarah De Jo Us Ke Haq Mein Behtar Samajhta Ho.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------5️⃣9️⃣---------------

Jis Sho'be Se Muta'alliq Raaye Leni Ho Usi Sho'be Se Muta'alliq Maahir Aur Tajrubah Kaar Shakhs Se Mashoarah Liya Jaaye, Jaise Ke Koi Makhsoos Kaarobaari Line Ikhtiyaar Karni Hoti Hai To Pehle Us Line Ke Maahir Se Pooch Gach Ki Jaati Hai, Koi Marz Ho To Doctor Ki Taraf Ruj'oo Kiya Jaata Hai, Isi Tarah Koi Deeni Ma'amlah Ho To U'lama Se Poocha Jaaye.

*Maslan Bachchon Ki Shaadi Biyaah Ka Mauq'a Ho To Khaandaan Ke Aise Logon Se Mashoarah Naa Kiya Jaaye Jo Rasm O Riwaaj Ko Madde Nazar Rakhte Hon, Balke Deendaar Ahle I'lm Se Rahnumaa'i Li Jaaye Ke Aise Mauq'e Par Sunnat Kiya Hai? Sharee'at Kya Kehti Hai? Wagairah.*

Neez Jis Se Mashoarah Liya Jaaye Hadees Mein Us Ke Amaanat Daar Hone Ki Qaid To Hai, U'mar Ki Qaid Nahin, Lehaaza Agar Koi Aisa Saahib E Raaye, Samajhdaar, Amaanatdaar Mil Jaaye Jo U'mar Mein Chhota Ho, To Us Se Bhi Mashoarah Lene Mein Sharmaana Nahin Chaahiye, Jaise Ke Hazrat U'mar Raziyallaahu Ta'ala A'nhu Hazrat Ibne A'bbas Raziyallaahu Ta'ala A'nhuma Se Baawajood Is Ke Ke Woh Chhote The Mashoarah Lete Aur Un Ki Raaye Ko Ehmiyat Dete.

*Neez Badon Ko Chaahiye Ke Apne Chhoton Aur Maatahton Se Bhi Mashoarah Karein, Shohar Biwi Se Mashoarah Karne Ko Bojh Naa Samjhe, Waalidain Aulaad Se Raaye Lein, Taake Un Ki Hauslah Afzaa'i Ho Aur Ho Sakta Hai Ke Koi Aisi Achchi Raaye Saamne Aa Jaaye Jo Qaabil E A'mal Ho.*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------6️⃣0️⃣---------------
*🌹Du'a🌹*

*Mashoarah Dene Se Pehle Yeh Du'a Maangiye*

 Kisi Ko Mashoare Ke Taur Par Raaye Dene Se Pehle Allah Ta'ala Se Rahnumaa'i Maangein Aur Apni Raaye Ke Shar Se Panaah Maangein, Kyun Ke Kahin Aisa Naa Ho Ke Aap Ki Raaye Par A'mal Ki Wajah Se Nuqsaan Pesh Aa Jaaye Aur Yeh Naa Mumkin Nahin, Kyun K Insaan Se Khataa Ho Sakti Hai, Lekin Jab Du'a Maang Kar Mashoarah Dega To In Shaa Allahu Ta'ala Dil Mein Achchi Raaye Allah Ta'ala Paidaa Kar Denge.

*Mashoarah Dene Se Pehle Yeh Du'a Yaad Kar Ke Maangne Ka Ma'amool Banaa Lein :*

Allaahumma Al Himnee Rushdee Wa A'iznee Min Sharri Nafsee. (Tirmizi : 3483)

Tarjumah : *"Aye Allah ! Mere Dil Mein Meri Hidaayat Daal De Aur Mere Nafs Ki Buraa'i Se Mujhe Panaah De."*

Note: *Mashore Ki Koi Khaas Du’a Hadees Se Saabit Nahin, Albattah Allah Ta'ala Se Rahnumaa'i Ke Liye Mashore Ke Waqt Mazkoorah Du’a Padhna Chaahe To Padh Sakte Hain, Lekin Ise Mashore Ki Masnoon Du’a Samajh Kar Na Padha Jaaye.*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------6️⃣1️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

*Bachchon Mein Mashoare Ki A'adat Daaliye*

Har Waalid Ko Chaahiye Ke Apne Sab Bachchon Ko Bithaa Kar Mashoarah Kare, *Us Ka Faaydah Yeh Hoga :*

1) Aapas Mein Dil Judeinge.

2) Bachchon Ko Apne Waalid Se Seekhne Ka Mauq'a Milega, Kyun Ke Waalid Is Dauraan Un Ki Achchi Rahnumaa'i Karega.

3) Achcha Sochne Ki A'adat, Salaahiyat Aur Achchi Raaye Dene Ki Ist'edaad (Ability, Capability) Paidaa Hogi.

4) Bachchon Ke Dil Mein Mashoare Ki Ehmiyat Paidaa Hogi.

5) Mumkin Hai Ke Waalid Ko Bhi Bachchon Ki Taraf Se Koi Achchi Raaye Mil Jaaye Jo Us Ke Zehan Mein Naa Aayi Ho Aur Ba'az Daf'ah Aisa Hota Bhi Hai, Jaise Hazrat A'bdullah Bin A'bbaas Raziyallaahu Ta'ala A'nhuma Chhote Hone Ke Baawajood Achche Mashoare Dete.

*Waalid Ko Chaahiye Ke Bachchon Ko Mashoare Ki Ehmiyat Aur Us Ke Fawaa'id Sunaaye, Taake Un Mein Shauq Paidaa Ho, Neez Koi Bachchah Achcha Mashoarah De To Use Shaabaashi Bhi De, Is Se Us Ki Hauslah Afzaa'i Hogi..... Aur Bachchah Mazeed Taraqqee Ki Koshish Karega.....*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------6️⃣2️⃣---------------
*🌹Qur'an E Kareem🌹*

*Apne Aap Ko Bada Samajhne Ka Nuqsaan*

Sura E Baqarah : Aayat 34 Mein Iblees (Shaitaan) Ki Naa Farmaani Zikr Ki Gayi Ke *Jab Tamaam Farishton Ko Hazrat Aadam A'laihis Swalaatu Was Salaam Ko Sajdah Karne Ka Hukm Diya Gaya To Iblees Ne Sajde Se Inkaar Kiya Mutakabbiraanah Rawaiyyah Ikhtiyaar Kiya Aur Kaafiron Mein Shaamil Ho Gaya.*

*Tafseer :* Hazrat Aadam A'laihis Swalaatu Was Salaam Ko Sajdah Karne Ka Hukm Allah Ta'ala Ki Taraf Se Hone Ke Baawajood Iblees Ka Sajde Se Inkaar Kar Dene Waale Waaqi'e Se Do Sabaq Milte Hain :

1) Apne Aap Ko Doosron Se Bada Samajhna Aur Apni Badaa'i Baghaarna Kitna Bada Gunaah Hai.

2) Jab Allah Ta'ala Ki Taraf Se Koi Waazeh Hukm Aa Jaaye To Bande Ka Kaam Yeh Hai Ke Us Hukm Ko Dil O Jaan Se Bajaa Laaye, Chaahe Us Ki Hikmat Aur Faaydah Samajh Mein Aaye Ya Naa Aaye.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------6️⃣3️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Halaakat Ka Ek Sabab Apne Aap Ko Behtar Samajhna*

Rasoolullaah Swallaallahu A'laihi Wa Sallam Ne (Ek Martabah) Halaak Karne Waali Teen Cheezon Ka Zikar Farmaaya, Jin Mein Se Ek Yeh Hai : "I'ijaabul Mar'i Bi Nafsihi" *Aadmi Ka Apne Aap Ko Behtar Samajhna.* (Musnad E Bazzaar :6491)

Lehaaza Doosron Ko Apne Se Behtar Samjhein Ke Yeh Halaakat Se Bachne Ka Zari'ah Hai Aur Yeh Sifat Paida Karne Ke Liye Teen Kaam Karein :

1) Agar Doosra U'mar Mein Bada Hai To Yeh Sochein Ke Is Ki Nekiyaan Mujh Se Ziyaadah Hongi Aur Agar U'mar Mein Chhota Hai To Yeh Sochein Ke Is Ke Gunaah Mujh Se Kam Honge.

Agar Faasiq Shakhs Ko Dekhein To Yeh Sochein Ke Agar Yeh Taubah Kar Lega To Is Ke Saare Gunaah Ma'af Ho Jaayenge Ya Is Ke Paas Koi Aisi Neki Hogi Jo Mere I'lm Mein Nahin Aur Woh Is Ki Bakhshish Ka Zari'ah Ban Jaaye Aur Ho Sakta Hai Woh Chhup Kar Taubah Kar Bhi Chuka Ho.

2) Jo Bhi Achcha Kaam Ho Jaaye Us Ki Nisbat Allah Ta'ala Ki Taraf Karein, Yeh Naa Kahein Ke Main Ne Itne Logon Ki Madad Ki..... Itne Logon Ko Mulaazamat Dilwaa'i..... Itne Hajj Kiye..... Itne Namaazi Banaaye..... Balke Ise Allah Ki Taraf Se Taufeeq Samjhein.

Jaise Hazrat Sulaimaan A'laihis Swalaatu Was Salaam Ke Kehne Par Takht E Bilqees Lamhah Bhar Mein Haazir Kar Diya Gaya To Hazrat Sulaimaan A'laihis Swalaatu Was Salaam Saltanat Aur Hukoomat Ke Naaz Mein Nahin Pade, Balke Kaha :{Haazaa Min Fazli Rabbee} (Yeh Mere Parwardigaar Ka Fazal Hai).

3) Bada Bol Bolne Se Bachein, "Ham Bhi Kuch Hain...." "Mere Se Ladne Aaya Hai...." Mere Saamne To Aa Kar Dikhaaye.... "" Mujhe Us Ne Aisa Kyun Kaha....." Ka Khayaal Khatam Karein, Ye Sab ANAA (Main) Ki Jung Hai.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------6️⃣4️⃣---------------
*🌹Du'a🌹*

*Du'a Ke Zari'e Apne Aap Ko Bada Samajhne Ka I'laaj.*

Jo Shakhs Apni Nazar Mein Chhota Hoga Woh Allah Ke Yahaan Mehboob Aur Logon Ki Nigaah Mein Bada Hoga, Lehaaza Apne Andar A'ajizee O Inkesaaree Ki Sifat Paida Karein Aur Is Sifat Ko Haasil Karne Ke Liye Yeh Du'a Maangein :

"Ilaika Rabbee Fa Habbibnee , Wa Fee Nafsee Laka Rabbee Fa Zallilnee , Wa Fee A'ayunin Naasi Fa A'zzimnee" (Jaam'e Ul Hadees : 40121)

Tarjumah : *"Aye Mere Rab ! Tu Mujhe Apni Baargaah Mein Pasand Farmaa Le, Aur Aye Mere Rab ! Tu Apne Liye Mujh Ko Meri Nazron Mein Zaleel Rakh, Aur Doosron Ki Nazron Mein I'zzat Waala Kar De."*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------6️⃣5️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

*Anaaniyat Se Kaise Bachein? / Samjhotah Keejiye*

Apni Anaa Ki Jung, Apni Baat Par Ade Rehna Aur Apne Faisle Ko Hatmee Samajhna Aur Us Mein Koi Lachak Paidaa Naa Karna, Gharelu Aur Daftari Zindagi Ke Liye Pareshaaniyon Ka Baa'is Banta Hai. Mufaahamat Aur Samjhoote Ka Tareeqah Apnaana Chaahiye, Is Se Bade Bade Kaam Ho Jaate Hain, Insaan Ko Phaldaar Darakht Ki Tehni Ki Maanind Hona Chaahiye, Jis Tehni Mein Phal Hon Woh Jhuki Huyi Nazar Aati Hai.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------6️⃣6️⃣---------------

Kaamyaab Afraad Ki Khoobi Yeh Hoti Hai Ke Woh Ba'az Daf'ah Apni Raaye Ki Qurbaani Bhi De Dete Hain, Yehi Cheez Doosron Ke Liye Baa'is E Misaal Banti Hai. *Ba'az Auqaat Jis Chauraahe Par Ya Jis Galee Mein Traffic Jaam Ho Jaata Hai To Aisi Soorat Mein Aap Khud Hi Mas’ale Ka Ek Hal Nikaalte Hain, Aap Ek Qurbaani Dete Hain, Aap Khud Hi Apni Gaadi Ko Reverse Gear Laga Dete Hain, Aap Ko Dekh Kar Doosre Log Bhi Yeh Qurbaani Dete Hain Aur Bil’Aakhir Sab Ke Liye Raastah Khul Jaata Hai.*

Reverse Gear Gaadi Ka Ek System Hai, Zaroorat Ke Waqt Lagaane Se Gaadi Ki Qeemat Kam Nahin Hoti, Balke Gaadi Ki Qadr Badhti Hai, Gaadi Chalaane Waale Ko Log Muskura Kar Aur Haath Hila Hila Kar Shukriyah Adaa Karte Huye Chale Jaate Hain, Ba'az Auqaat Sahoolat, Aasaani Aur Kushaadgi Ke Liye Is Cheez Ki Bhi Zaroorat Hoti Hai.

*Lehaaza Agar Hamein Apni Raaye Ki Qurbaani Dene Aur Apni Baat Se Peechhe Hatne Mein Jhagdaa Khatam Hota Nazar Aata Ho To Is Mein Dareg Nahin Karna Chaahiye, Bahas O Mubaahasah Chhod Dena Chaahiye, Yeh Soch Kar Ke Allah Raazi Honge..... Ghar Tootne Se Bach Jaayega..... Behan Bhaaiyon Mein Dooriyaan Paidaa Naa Hongi..... Daftari Kaam Mein Inteshaar Nahin Hoga..... Wagairah.*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

*Ek Aurat Ka Sadqah Karne Ka Anokha Andaaz*

Ek Gareeb A'urat Ne Bade I'zzat Ke Saath Aawaaz Di "Aa Jaayein Madam, Aap Yahaan Baith Jaayein", Kehte Hue Usne Apni Seat Par Ustaani Ko Baitha Diya Aur Khud Bus Mein Khadi Ho Gayi. Madam Ne "Bahot Bahot Shukriya, Meri To Buri Haalat Thi, Sach Mein", Kehte Hue Dua'aein Di. Us Gareeb A'urat Ke Chehre Par Ek Khushkun Muskaan Phail Gayi.

Kuch Der Baad Ustaani Ke Paas Waali Seat Khaali Ho Gayi Lekin Us A'urat Ne Ek Aur A'urat Ko, Jo Ek Chhote Bachche Ke Saath Safar Kar Rahi Thi Aur Mushkil Se Bachche Ko Utha Paa Rahi Thi, Ko Seat Par Baitha Diya. Agle Padaaw Par Bachche Waali A'urat Bhi Utar Gayi, Seat Phir Khaali Ho Gayi, Lekin Us Nek Dil A'urat Ne Phir Bhi Baithne Ki Bilkul Koshish Nahi Ki Balke Us Ek Kamzor Aur Buzurg Aadmi Ko Baitha Diya Jo Abhi Abhi Bus Mein Sawaar Hue The.

Mazeed Kuch Der Ke Baad Woh Buzurg Bhi Utar Gaye, Seat Phir Khaali Ho Gayi. Bus Mein Ab Chand Musaafir Hi Rah Gaye The, Ab Us Ustaani Ne Gareeb Khaatoon Ko Apne Paas Bithaaya Aur Poocha Ke "Kitni Baar Seat Khaali Hui Lekin Aap Logon Ko Bithaati Rahin, Khud Nahi Baitheen, Kya Baat Hai?"

Us Khaatoon Ne Jawaab Diya "Madam Main Mazdoor Hoon, Mere Paas Itne Paise Nahi Hain Ke Main Kuch Sadqa O Khairaat Kar Sakoon, To Main Kya Karti Hoon Ke Sadak Mein Pade Paththaron Ko Utha Kar Ek Taraf Rakh Deti Hoon, Kabhi Kisi Zarooratmand Ko Paani Pilaa Deti Hoon, Kabhi Bus Mein Kisi Ke Liye Seat Chhod Deti Hoon. Phir Jab Saamne Waala Mujhe Dua'aein Deta Hai To Main Apni Gurbat Bhool Jaati Hoon, Meri Din Bhar Ki Thakan Door Ho Jaati Hai. Aur To Aur, Jab Main Roti Khaane Ke Liye Baahar Bench Par Baithti Hoti Hoon, Kuch Parinde Mere Qareeb Aa Kar Baith Jaate Hain, Main Roti Ke Chhote Chhote Tukde Karke Unke Saamne Daal Deti Hoon. Jab Woh Khushi Se Chillati Hain To Khuda Ke In Makhlooq Ko Khush Dekh Kar Mera Pet Bhar Jaata Hain. Rupye Paise Naa Sahi, Sochti Hoon Dua'aein To Mil Hi Jaati Hongi, Muft Mein, Faaydah Hi Hai Na, Aur Hamein Kya Hi Lekar Jaana Hai Is Duniya Se."

Ustaani Hakka Bakka Rah Gayi, Ek Anpadh Si Dikhne Waali Gareeb A'urat Ne Itna Bada Sabaq Jo Padhaa Gayi Unhein. Agar Duniya Ke Aadhe Log Bhi Aisi Khoobsoorat Aur Musbat Soch Apna Lein To Ye Zameen Jannat Ban Jaayegi Sab Ke Liye.
Sadqa O Khairaat Sirf Paise Se Nahi, Dil Se Bhi Kiya Jaata Hai.

---------------6️⃣7️⃣---------------
*🌹Qur'an E Kareem🌹*

*Hubb E Maal Aur Hubb E Jaah Ki Ta'areef*

Sura E Baqarah Aayat Number : 45 Mein Allah Ta'ala Ne Do Nafsaani Bimaariyaan Hubb E Maal Aur Hubb E Jaah Ka Yeh I'laaj Batlaate Huye Farmaaya :

*"Aur Sabr Aur Namaaz Se Madad Haasil Karo."*

Hubb E Jaah Se Muraad Yeh Hai Ke Insaan Mein Is Baat Ki Hirs Aur Talab Ho Ke Logon Par Mera Asar, Ro'ab, Dabdabah, Qaa'im Ho, Jis Se Log Meri I'zzat Karne Lagein, Mujhe Apna Bada Banaayein, Meri Taraf Ruj'oo Karein, Meri Raa'iy Ko Fauqiyat Dein, Meri Waah Waah Karein, Meri Ta'areef Karein Wagairah.

Hubb E Maal Se Muraad Yeh Ke Insaan Ke Dil Mein Maal Ki Mohabbat Ghar Kar Jaaye Aur A'amaal Ke Muqaable Mein Maal Ko Tarjeeh De Aur Gumaan Rakhe Ke Maal Se Meri Zindagi Banegi, Yahaan Tak Ke Halaal Aur Haraam Ke Darmiyaan Tameez Chhod De.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------6️⃣8️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Deen Ko Tabaah Karne Waali Cheezein*

Rasoolullaah Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ka Irshaad Hai : *Agar Do Bhooke Bhediye Bakriyon Ke Revad Mein Chhod Diye Jaayein Woh Bhi Bakriyon Ko Itna Tabaah Naa Karein Jitna Insaan Ke Deen Ko Maal Aur Badaa'i Ki Mohabbat Aur Hirs Tabaah Karti Hai.* (Tirmizi : 2376)

Deen Ko Goya Bakri Ke Saath Aur Hirs Ko Bhooke Bhediye Ke Saath Mushaabahat Di Gayi, Matlab Yeh Huwa Ke Do Bhooke Bhediye Bhi Bakriyon Ke Revad Ko Itna Tabaah Nahin Karenge Jitna Maal Aur Jaah Ki Hirs Insaan Ke Deen Ko Kharaab O Tabaah Kar Deti Hai.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------6️⃣9️⃣---------------

*Agar Tehqeeq Ki Jaaye To Aksar Logon Ke Deen Ki Tabaahi Ke Yehi Do Sabab Niklenge. Dekhiye :*

1) Iblees Ki Gumraahi Ka Sabab *I'zzat Ki Hirs* Thi, Hubb E Jaah Ne Us Ko Hazrat Aadam A'laihis Swalaatu Was Salaam Ke Aage Sajdah Karne Se Rok Diya Aur Shaitaan Ho Gaya.

2) Qaaroon Ko Us Ke *Hirs E Maal* Ne Gumraah Kiya Aur Phir Tabaah Kar Diya.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------7️⃣0️⃣---------------
*🌹Du'a🌹*

*Hubb E Maal Aur Hubb E Jaah Se Panaah Maangiye.*

Duniya Ki Mohabbat Hi Insaan Ko Aakhirat Se Gaafil Karti Hai Aur Maal, Naam O Numood Aur Shohrat Ki Hirs Paida Karne Ka Zariyah Hai, Lehaaza In Se Bachne Ke Liye Allah Ta'ala Se Yeh Du'a Maangein :

Allaahumma ... Laa Taj'alid-Duniya Akbara Hamminaa Walaa Mablaga I'lminaa.(Tirmizi : 3502)

Tarjamah : *"Aye Allah ! Duniya Ko Hamaara Bada Maqsad Aur Hamaare I'lm Ki Inti’ha Naa Banaa."*

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------7️⃣1️⃣---------------

Ya'ani Aisa Naa Ho Ke Har Waqt Duniya Hi Ka Gam Sawaar Ho Aur Usi Ki Fikr Ho Aur Usi Ki Tension Mein Poora Waqt Guzar Jaaye, Sirf Yehi Talab Ho Ke Mera Maal Badh Jaaye, Mera Gaahak Mera Customer Naa Chhoot Jaaye Namaaz To Baad Mein Bhi Padh Sakta Hoon, Kisi Gareeb Rishtedaar Ki Madad Karne Par Tabee'at Aamaadah Naa Ho.

Aur Naa Hi Har Waqt Yeh Fikr Rahe Ke Mera Maqaam Ban Jaaye, Meri Haisiyat Numaayaan Ho Jaaye, Aakhirat Aur Marne Ke Baad Ke Maraahil Se Bilkul Gaafil Ho Jaaye, Allah Ta'ala Ka Khauf Dil Se Nikal Jaaye.

Aur Naa Hi Sirf Duniya Ke Baare Mein Jaanta Ho Aur Deeni Ma'aloomaat Se Bilkul Naa Waaqif Ho, Mote Mote Masaa'il Jo Ke Faraa'iz Ka Darjah Rakhte Hain, Jaise Namaaz Wuzu Aur Gusl Ke Masaa'il, Qur'an Ko Saheeh Tarah Padhna, Meeraas Ke Masaa'il Aur Rishtedaar, Dost Aur Padosi Ke Huqooq Wagairah Ka Buniyaadi I'lm Naa Ho.

Lehaaza Is Jazbe Aur Dhyaan Ke Saath Mazkoorah Du'a Maangiye Ke Hubb E Jaah Aur Hubb E Maal Ki Bimaari Dil Se Nikal Jaaye.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------7️⃣2️⃣---------------
*🌹Naseehat🌹*

*Hubb E Maal Aur Hubb E Jaah Ka I'laaj*

Hubb E Maal Aur Hubb E Jaah Yeh Donon Nafs Ki Aisi Bimaariyaan Hain Jin Ke Baa'is Insaan Ki Duniyawi Aur Ukhrawi Zindagi Mushkil Ho Jaati Hai Aur Gaur Kiya Jaaye To Ma'aloom Hoga Ke Insaani Taareekh Mein Ab Tak Jitni Insaaniyat Soz Ladaa'iyaan Ladi Gayeen Aur Jo Fasaad Barpaa Huye In Mein Se Aksar O Beshtar Ko Inhi Do Bimaariyon Ne Janam Diya Tha.

In Donon Bimaariyon Ka I'laaj Qur'an E Kareem Ne Yeh Tajweez Farmaaya: ..... "Aur Madad Lo Sabr Aur Namaaz Se." Ya'ani Sabr Ikhtiyaar Karo, Apni Lazzaat O Shahwaat Par Qaabu Haasil Karo, Is Se "Maal Ki Mohabbat" Ghat Jaayegi, Shur'oo Mein Agarche Mushkil Hogi, Lekin Raftah Raftah Yeh Khwaahishaat Miyaanahrawi (Yaani Munaasib Tareeqah) Par Aayengi Aur Phir A'adat Ban Jaayengi.

Aur Namaaz Se Hubb E Jaah (Yaani Mera Maqaam, Mera Rutbah, Meri Haisiyat Waali Bimaari) Kam Ho Jaayegi, Kyun Ke Namaaz Mein Zaahiri Aur Baatini Har Tarah Ki A'ajizee Aur Pastee Hai Jab Namaaz Ko Saheeh Saheeh Adaa Karne Ki A'adat Ho Jaayegi To Har Waqt Allah Ke Saamne Apni A'ajizee Aur Pastee Ka Tasawwur Rehne Lagega Jis Se Takabbur O Guroor Aur Hubb E Jaah Ghat Jaayega.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------7️⃣3️⃣---------------
*🌹Qur'an E Kareem🌹*

*Khush'u Waale Kaun Hain?*

Sura E Baqarah Aayat : 45 Mein Yeh Baat Batlaa'i Gayi Ke *Khush'u Ya'ani Dhiyaan Aur A'ajizee Se* Namaaz Padhne Waalon Par Namaaz Bhaari Nahin Hoti. 

Jis Ka Matlab Yeh Huwa Ke Jo Shakhs Namaaz Khush'u Se Padhega Us Ke Liye Namaaz Padhna Mazeed Aasaan Ho Jaayega.
Ma'aloom Huwa Ke Jo Shakhs Chaahta Ho Ke Namaaz Padhna Us Ke Liye Aasaan Ho Jaaye To Use Chaahiye Ke Namaaz Mein Khush'u Paida Kare. Agar Yeh Khush'u Naseeb Ho Gaya To Us Ke Liye Namaaz Padhna Nahin, Balke Namaaz Chhodna Dushwaar Ho Jaayega.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------7️⃣4️⃣---------------

Albattah Yeh Sawaal Ke Khush'u Kin Ko Haasil Hota Hai? Is Se Muta'alliq Farmaaya Ke Khush'u Un Logon Ko Haasil Hota Hai Jinhein Is Baat Ka Yaqeen Hai Ke Un Ko Maut Ke Baad Jee Uthna Hai Aur Maidaan E Qayaamat Mein Haazir Hona Hai Aur Baargaah E Khudaawandi Mein Peshi Honi Hai Aur Apne Parwardigaar Ki Taraf Lautna Hai.

Zaahir Hai Ke Jis Ko In Baaton Ka Yaqeen Hoga Woh Namaazon Ka Ehtemaam Karega.... Waqt Par Padhega.... Achchi Tarah Padhega.... Us Ko Khush'u Ki Kaifiyat Bhi Haasil Hogi.... Ruk'u Sajdah Bhi Theek Karega.... Us Ki Tilaawat Bhi Saheeh Hogi.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------7️⃣5️⃣---------------

Dar Haqeeqat Aakhirat Ki Peshi Aur Wahaan Ke A'zaab O Sawaab Ki Fikr Ho To Yeh Deen Ke Bade Bade Kaam Karwa Sakti Hai, Yeh Naa Ho To Saheeh Tareeqe Par Do Rak'at Namaaz Padhna Bhi Bhaari Ho Jaata Hai.

Khulaasah Yeh Hai Ke Khush'u O Khuz'u Se Namaaz Padhne Ke Liye Zaroori Hai Ke Apne Andar Is Baat Ka Dhiyaan Paida Kiya Jaaye Ke Allah Ta'ala Ke Saamne Haazri Deni Hai... Aur Yeh Ke Wahaan A'amaal Ki Peshi Hogi, Agar Tamaam A'amaal Mein Namaaz Achchi Nikal Aaye To Baaqi Saare A'amaal Bhi Achche Niklenge Aur Agar Namaaz Kharaab Nikli To Baaqi A'amaal Bhi Kharaab Niklenge.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------7️⃣6️⃣---------------
*🌹Hadees🌹*

*Namaaz Mein A'azaa Qaabu Mein Rakhe Jaayein*

 Rasoolullaah Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ka Irshaad Hai : *"Jab Tum Mein Se Koi Shakhs Namaaz Ke Liye Khadaa Ho To Namaaz Ki Haalat Mein Bila Zaroorat Kankariyon Par Haath Naa Phere, Kyun Ke Us Waqt Allah Ta'ala Ki Khaas Rehmat Us Ki Taraf Mutawajjah Hoti Hai."* (Tirmizi : 379)

Hazrat Sa'eed Bin Musayyab Rahmatullaahi A'laih Ne Ek Shakhs Ko Dekha Ke Namaaz Ki Haalat Mein Daadhi Par Haath Pher Raha Tha To Aap Ne Farmaaya Ke : *"Agar Is Ke Dil Mein Khush'u Hota To Badan Ke Saare A'azaa Mein Sukoon Hota."* (Musannaf Ibne Abi Shaibah: 6787)

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

---------------7️⃣7️⃣---------------

Lehaaza Khush'u Se Namaaz Padhne Ki Ek Tadbeer Yeh Ma'aloom Huyi Ke Poori Namaaz Mein Is Ki Koshish Karein Ke Ziyaadah Hile Julein Nahin, Haath Ziyaadah Naa Hilaaye, Haath Jo Insaan Ke Qaabu Mein Hain Agar In Ki Harkaat Par Bhi Qaabu Paa Liya Gaya To "In Shaa Allah Ta’ala" Dil Ke Khayaalaat Ko Bhi Allah Ta'ala Hamaare Qaabu Mein De Denge.

Jo Hamaare Haath Mein Hai, Agar Woh Ham Kar Lenge To Allah Ta'ala Ke Haath Mein Hai Woh Allah Ta'ala Kar Denge, Is Ka Aasaan Hal Yeh Hai Ke Apne Kisi Dost Ko Keh Dein Ke Meri Namaaz Dekha Karo, Us Mein Koi Sunnat Ke Khilaaf Baat Ho Ya Ka'i Baar Haath Hilaaya Ho To Namaaz Ke Baad Bata Dena, Is Liye Ke Basaa Auqaat Ka'i Martabah Bila Wajah Haath Uth Jaata Hai Aur Is Ka Pata Bhi Nahin Chalta.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

Hailoolah, Qailoolah Aur A'iloolah Kya Hain??

👉🏻 Hailoolah

Is Ka Ma'ana Hai Namaaz E Fajr Ke Baad Ya Namaaz E Fajr Ke Waqt Ke Baad Sooraj Tul'oo Hone Se Pehle Soye Rehna. Is Sone Ko A'rabi Mein "Hailoolah" Is Liye Kehte Hain Ke Yeh Aap Aur Aap Ke Rizq Ke Darmiyaan Rukaawat Banta Hai.
Yeh Waqt Allah Ki Taraf Se Rizq Ki Barsaat Aur Taqseem Ka Hota Hai.
Tirmizi Shareef Mein Hai Ke Huzoor Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Ne Apni Ummat Ke Liye Subah Ke Auqaat Mein Barkat Ki Du'a In Alfaaz Ke Saath Farmaayi Hai :" اللَّهُمَّ بَارِكْ لِأُمَّتِي فِي بُكُورِهَا " Tarjamah: ”Allaahumma Baarik Li-Ummatee Fee Bukoorihaa“ ”Aye Allah ! Meri Ummat Ko Us Ke Din Ke Ibtidaai Hisse Mein Barkat De.“. (Tirmizi:1212)
Hazrat Faatimah Raziyaallahu A'nhaa Is Waqt Mehv E Istiraahat Theen, Sarkaar E Do A'alam Swallallaahu A'laihi Wa Sallam Tashreef Laaye Aur Unhein Mukhaatab Karte Huye Farmaaya : 
یَا بُنِیَّةَ! قُوۡمِیۡ،اِشۡهَدِیۡ رِزۡقَ رَبِّكِ وَلاَتَكُوۡنِیۡ مِنَ الۡغَافِلِیۡنَ فَاِنَّ اللّٰهَ عَزَّوَجَلَّ یُقَسِّمُ أَرۡزَاقَ النَّاسِ مَا بَیۡنَ طُلُوۡعِ الۡفَجۡرِ اِلیٰ طُلُوِۡعِ الشَّمۡسِ۔
Tarjamah: "Aye Beti ! Uth Jaayein, Apne Rab Ka Rizq Haasil Keejiye! Gaafil Logon Mein Se Naa Baniye! Allah Kareem Tul'oo E Fajr Se Le Kar Tul'oo E Aaftaab Tak Bandon Ka Rizq Taqseem Farmaate Hain." (Sho’abul Imaan;4735)

---------------7️⃣8️⃣---------------

*Sajde Mein Maangi Jaane Waali Ek Du'a*

Namaaz Achchi Banaani Ho To Ruk'oo, Sajdah, Qaumah Aur Jalsah Har Ek Ko Khoob Achchi Tarah Adaa Karein, Namaaz Ki Dua'ayein Yaad Kar Ke Maanga Karein, 

Sajde Mein Maangi Jaane Waali Ek Du'a Hai, Is Ko Yaad Kar Lein Aur Maangna Shur'oo Kar Dein :

*Allaahummaghfirlee Zambee Kullahoo, Diqqahoo Wa Jillahoo, Wa Awwalahoo Wa Aakhirahoo, Wa A'laaniyatahoo Wa Sirrahoo.* (Muslim : 1084)

Tarjumah : "Aye Allah ! Mere Chhote Gunaah, Bade Gunaah, Agle Gunaah, Pichhle Gunaah, Sab Ke Saamne Kiye Huye, Chhup Kar Kiye Huye Saare Gunaah Ma'af Farmaa De."

Gunaahon Ki Ma'afi Ke Liye Bahot Hi Jaam'e Du'a Hai, Har Qism Ke Gunaahon Se Ma'afi Is Du'a Mein Aa Jaati Hai, Is Liye Ehtemaam Se Is Du'a Ko Sajde Mein Maangna Chaahiye.

📚(Maakhooz: 5 Minnet Ka Madrasah: M.Haneef Bin A.Majeed, Naved Ameen)📚

Post a Comment

0 Comments