Qaza'at Notes in Roman English, Urdu, Hindi | Jamia Nizamia Model Papers Questions & Answers
1. Ijtema
ki kitni khismein hai tafseel se likhiye
2. Aqde
nikah ka tariqa wazahat ke saath likhiye
3. Talaaq
ki tareef aur shara’et kya hai likhiye
4. Talaaq-e-Ahsaan,Talaaq-e-badhyi
aur Talaaq-e-ba-ain kise kehte hai likhiye
5. Huriyat,
diynat, wakeel aur fuzuli kise kehte hai
6. Wali
ke iqtiyaar aur ahkaam muffassal likhiye
7. Maher
ke ahkaam likhte hue batayiye ke maher-e-musamma aur maher-e-misl kise kehte
hai
8. Talaaq
ke sifaat ba-eitebaar mauqa wa halaat tafseel se likhiye
9. Talaaq-e-Rajayi,Talaaq-e-sareeh,Talaaq-e-kinaya
wazahat se kijaye
10. “Khula”,”Liaan”,”Iddaath -e- wafaat”, "Hazanat”
ki wazahat kijiye
11. Hurmat-e-Riza’at
ke sharayat likhiye
12. Eila
aur Izhaar ke ahkaam tehreer kijiye
13. Nikah
ki tareef aur sifaat batlayiye
14. Nikah
ke arkaan batate hue alfaaz,Ejaab wa Qubool tehreer kijiye
15. Nafkha
ke ahkaam tehreer kijiye
16. Asbab-e-tehreem
kitne hai. Tafseelan kijiye
17. Eiddat
ke Akhaam bayan kijiye
18. Mafkhuudul-Khabar
aur muotod ke mutalaq muqtasar note likhiye
19. Rujaat
aur Khula ke ahkaam tafseelan qalam bandh kijiye
Qaza'at Notes in Roman English, Urdu, and Hindi language | Jamia Nizamia Model Papers Questions & Answers
1)
Ijtema
ki kitni khismein hai tafseel se likhiye.
A)
Ijtema ki tareef :-
Ek se ziada auratoon ko nikah mein lane
ka naam Ijtema hai.
Ijtema ki 2 khismein hai :-
1) Mohaarim ka jama karna.
2) Ajnabiyaat ka jama karna.
1)Mohaarim
ke jama karne ki tafseel :-
Agde sahi mein 2 baheno ka jama karna
haraam hai.
Aysi do (2) auratoon ka jama karna jinmein aysa rishtaa hoke agar inmein
se kisi ek ko mard farz kare toh dusri ispar haraam ho.
Ex :- phuppi aur batiji, agar phuppi ko
mard khayaal kare toh isko apni batiji se nikah karna haraam hai ya bhatiji ko
mard samjhe to usko apni phuppi se nikah karna haraam hai.
1. Ishi tarha khala bhanji se ekhi waqt
mein ya alag-alag taurpar nikah karna haraam hai
2. Ishi tarah pehle khala se nikah kiya
thaa phir usko talaaq dekar uski idaat khatam hone se pehle bhanji se nikah
kiya toh haraam hoga.
2) Ajnabiyaat
ke jama karne ki tafseel :-
1. Azaad mard ko 4 se ziada nikah karna
haraam hai.
2. Agar kisi shaks ko 4 auratein thi
usmein se ek ko talaaq de diya jabtak uski iddat puri na hogi panchvi se nikah
nahi karsakta.
2) Aqde nikah ka
tariqa wazahat ke saath likhiye.
A) Mustahab hai ke aqde nikah masjid ke
andar kiya jaye.
1. Majlis-e-nikah mein dulha maujood ho
aur dulhan ki taraf se wali ya wakeel shareek rahe.
2. Majlis-e-nikah munaqid hojane ke
baad dulhan ka wali ya wakeel gawahoon ke saath dulha ke pass jaye aur sunaiye
ki mai apni wakalat se iss qadar maher ke badle fala ke bete fala ke saath
tumhara nikaah kar deta hoon.In alfaaz ko gawah bhi sunle.
3. Agar dulhan bakera (un married) hai
aur ijazat lene wala dulhan ka baap ya dada hai toh dulhan ka khamosh rehna ya
bagair awaaz ke rona ya hasna ijazat samjha jayega.
4. Agar dulha sayyiba (married)ho aur
ijazat lene wala baap ya dada ke siwa koi aur shaks hoto dulhan ko zuban se
kehna chahiye, ke mujhe manzoor hai maine ijazat dedi iske baad khutba-e-nikah
ba-awaaz-e-buland padha jaye
3) Talaaq ki
tareef aur shara’et kya hai likhiye.
A)Talaaq ki
tareef :- Istelah-e-fiqah
mein khaas Qaid-e-nikah ke duur karne ka naam talaaq hai.
Talaaq
ke sharaet
:- 4hai.
1. Aurat ka mard ke nikah mein hona.
2. Shauhar ka baligh hona, na-baligh
shauhar ki talaaq wakeh nahi hogi.
3. Shauhar ka akhil hona be-akhil aur
majnoon ki talaaq sahi nahi.
NOTE1)
: Neend
ki halaat mein talaaq di jaye to waqeh na hogi.
NOTE2)
: Halat-e-nasha
mein talaaq dene se talaaq waqeh hojayegi.
4. Alfaz-e-talaaq ka mafhoom samjhna yane ye jaanna ke inn, alfaaz se talaaq hojati hai. Agar ye na janta ho toh talaaq na hogi.
4)
Talaaq-e-Ahsaan,Talaaq-e-badhyi aur Talaaq-e-ba-ain kise kehte hai likhiye.
A) Talaaq-e-Ahsaan
ki tareef :-
Wo talaaq hai jiske masnoon hone par
tamaam aaimma ka ittefaaq ho yane shauhar apni biwi ko ek talaaq us paki mein
de jismein jima na hui ho.phir doosri talaaq na dein.
Talaaq-e-Badhyi
ki tareef
:-
Wo talaaq hai jisse ushi waqt nikah
toot jata hai.
Talaaq-e-ba-ain
ki Tareef:
Wo talaaq hai jisme shauhar ko ruju ka
iqtiyaar nahi, kyunke iss talaaq se ushi waqt nikah toot jata hai.
Talaaq-e-ba-ain
ki 2 qismein hai
:-
1) Khafifa.
2) Ghaliza.
1.
Khafifa
:-
Khafifa yane ek ya do dafa talaaq di
gayi ho toh iddath ke andar ya iddath guzar jane ke baad jadidh nikah kar sakta
hai.
2. Ghaliza :-
Ghaliza ya maghallaza wo talaaq jo 3
dafa dijaye aysi talaaq mein phir jadeed nikah nahi kar sakte.
5) Huriyat, diynat,
wakeel aur fuzuli kise kehte hai.
A)Hurriyat
ki tareef:-
“Yane Aazaad hona” agar koi aadmi ya
uska baap pehle ghulam tha ab aazad kardiya jaye ho toh who aurat-e-hurraye
asliya ka kafuu ho nahi sakta.
Diyanat
ki tareef:-
“Yane Deendari” jo shakhs fasiq ho who aisi
aurat ka kafuu nahi ho sakta jo khud bhi parhezgaar hai aur uska baap bhi
parhezgaar hai.
Wakeel
ki tareef :-
Wakeel wo shakhs hai jo kisi doosre ke
haq mein uski ijazat se tasarruf karne ka iqtiyaar rakha ho wo wakeel kehlata hai
aur jisne iqtiyaar diya hai usko mau-akkeel kehte hai.
Fuzuli
ki tareef :-
Fuzuli wo shakhs hai jo na khud dulha
hai na dhule ka wali hai na uska wakeel hai aur na khasidh balke apne aapse
kisi ka niakh saath kadein.
6) Wali ke
iqtiyaar aur ahkaam muffassal likhiye.
A) 1.Wali ko iqtiyaar hai ke na-baligh
ladke ya ladki ko nikah jabran kardein.
2. Baap, dada ke siwa agar aur koi wali
ladki ka nikah gair kufu ke saath kardein toh sahi na hoga.
3. Wali ko baligh ladke ya ladki ka
jabran nikah kara dene ka iqtiyaar nahi hai.
4. Agar wali baligh ladki ka nikah uski
ittelah aur ijazat ke bagair kadein toh who nikah ladki ki ijazat par marqoof
rahega yane agar ladki razi hojaye to nikah sahi hoga agar ladki razi na ho toh
batil hojayega.
5. Majnoon ya jiski akhal mein futoor
aagaya ho agarche baligh ho magar unka ba-jabran nikah kardene ka iqtiyaar wali
ko hasil hai.
6. Baligha ladki gair kufu mard se bila
razamandi auliya nikah karlein to ayse nikah ko auliya fasq (Cancel) kara sakte
hai.
7. Agar koi baligh ladki wali ki
ittelah aur razamandi ke baghair maher-e-misl se kampar apna nikah kisi ke
saath karlein toh wali ko ayteraaz ka haq hasil rahega.
7) Maher ke
ahkaam likhte hue batayiye ke maher-e-musamma aur maher-e-misl kise kehte hai.
A)Maher wo hai jo bawajeh agde nikah
shauhar ki taraf se aurat ko us maweze mein milna chahiye ke usne apne khaas
munafe ka shauhar ko malik bana diya.Maher ki 2 khismein hai.
1.Maher-e-musamma:-wo maher hai jo agde nikah ke waqt
maayyan kiya gaya hai.
2. Maher-e-misl:-wo maher hai jo aurat ke baap ke
kandaan ki unn auratoon ka ho.
Ex:- Behne,phuphiya,jo umar ke eitebaar
se,kubsoorti ke eitebaar se,deendaari ke eitebaar se,taleem,Akhal ke eitebaar
se iss aurat jaisi ho.phir maher ke 2 khismein hai.
1. Maher-e-mu-ajjal:- jo agde nikaah ke waqt furran ada kiya
jata hai.
2. Maher-e-mu-wajjal:- jo udhar rakha jata hai.
NOTE-1: 10 dirham (21 gram 264 milligram
chandi ka hota hai.)
8. Talaaq ke
sifaat ba-eitebaar mauqa wa halaat tafseel se likhiye.
A) 1. Haraam
hai: Agar talaaq masnoon tarikhe ke qilaaf halaat-e-haiz mein digayi
ho.
2. Makruh
hai: Agar ba-niyyat nuqsaan pahuchane be-wajah aur be-zarurat dijaye.
3. Mubah
hai: Agar kisi aysi wajah se talaaq dijaye ho jo deen se taluq nahi rakhti
ho.
4. Mustahab
hai: Agar kisi deeni wajah se talaaq dijaye maslan shauhar ko satati ho
ya namaaz nahi padhti ho.
5. Wajib
hai: Agar talaaq na dene mein jaan wa maal ko
nuqsaan ho ya maa baap ne shariyat ke mutabiq talaaq ka hokum diya ho.
9) Talaaq-e-Rajayi, Talaaq-e-sareeh, Talaaq-e-kinaya
wazahat se kijaye.
A) 1.Talaaq-e-Rajayi:-wo talaaq hai jismein shauhar ko iddath
ke anda ruju ka iqtiyaar hai.Lekin iddath guzar jane ke baad talaaq-e-
rajayi,talaaq-e-ba-ain hojayegi aur naya nikah karna zaroori hoga.
2. Talaaq-e-sareeh:-
Do
(2) alfaaz hai jo sirf talaaq ke hi waaste istemaal hote hai.
Ex:-Main tujhko talaaq di,ya tujhpar talaaq
hai tu mutlaqa haietc……
Agar kisi ne talaaq ko baar-baar kaha.
Ex:-Tujhe talaaq di,talaaq di,ya tujhpar
talaaq hai,talaaq hai,talaaq hai.
3. Talaaq-e-kinaya:- Wo alfaaz hai jo talaaq ke alawa aur
mane mein bhi istemaal hota hai.
Ex:- Maine tujhe choddiya, teri jaha khushi
ho chali ja,mujhko tujhse koi wasta nahi.
10)
“Khula”,”Liaan”,”Iddaath-e-wafaat”,”Hazanat” ki wazahat kijiye.
A) Khula:-
1. Biwi se kuch lekar agde nikah ko
khatam kardene ka naam khula hai.Jiska tariqa ye hai ke aurat apne shauhar se
kahe mera mehar jo tere zimme hai uske badle ya itni rakham ke badle meri jaan
chodhde aur shauhar kahe maine chod di.
2. Khula ke baad aurat par iddat lazim
aayegi aur iddat ka nafkha shauhar ko dena hoga.
Liaan:-
1. Jab shauhar apni biwi par zina ki
tohmat lagaye aur 4 gawah na la sake toh miya biwi ko qazi ke saamne iss tarha
qasam khani padhegi.Pehle shauhar iss tarha qasam khaye ke “Main khuda ko gawah
karke kehta hoon ke jo tohmat zina ki maine isko lagayi ismein mein sachchahoon”.
Iss tarha 4 mataba kahe aur panchvi mataba iss tarha kahe “Agar mai ismein
jhoota hoon toh mujhpar khuda ki laanat ho. Iske baad aurat 4 martaba iss tarha
kahe “Mai khuda ko gawaah karke kehti hoon ke usne jo tohmat mujhpar lagayi
hai,usmein wo joota hai” aur panchvi (5) martaba kahe “Agar wo ismein sachcha
hai toh mujhpar khuda ka azab nazil ho”.
2. Iss tarha doono ka qasam khalene ke
baad qazi donoo ko alag kadein.
3. Isse ek talaaq-e-ba-ain padh jayegi.
Iddat-e-wafaat:-
1.4 mahine, 10 din hai.Agar aurat
hamila ho toh waza-e-hamal (bachcha paida hone) tak hai.
Hazanat:-
Chote bachchoon ke parwarish ko hazanat
kehte hai.Hazat mein maa aur maa ke khandaan mukhaddam (pehle) hai.
1. Haq-e-parwarish maa ko hasil hai.
2. Muddate-Hazanat ladke ke liye 7 saal
aur ladki ke liye kam se kam 9 saal ki umar tak hai hone tak unko haq hasil
rahega.
3. Agar maa ya nani mustahaq e hazanat
ho to ladki ke baligh hone tak usko haq hasil rahega.
11)
Hurmat-e-Riza’at ke sharayat likhiye.
A) Bachche ke doodh peene se doodh ka
rishta qayam hojata hai.Magar uske liye chandh shartein hai.
1) Jis bachche ne doodh piya hai uski
uma doodh pithe waqat 2 saal ya 2 saal se kam ho.
2) Doodh ka ek khatra bhi halaq ke
niche utar jaye toh rishta qayam hojayega.
3) Doodh moo ya naak ke zariye pate
mein jaye.
4) Doodh pilane wali aurat ki umar 9
saal se kam na ho.
5) Doodh asli halaat mein pila jaye.
6) Doodh kisi khane ki cheez mein
milakar na khilaya jaye.
7) Agar doodh ko dawa ya paani mein
milakar pilaya jaye toh usmein doodh ka hissa zinda ho toh rishta qayam
hojayega.
12) Eila aur
Izhaar ke ahkaam tehreer kijiye.
A) Eila:-
Agar
koi shaks ye qasam khale ke mai 4 ya 5 mahine tak apni biwi se jima na karoonga.Aysi
qasam ko “Eila” kehte hai.
1. Agar wo shakhs 4 mahine ke andar qasam todhdein to usko kaffara dena
honga, uska kaffar ye hai ke 10 miskino ko 2 waqt pate bhar khana khilana, ya
kapde dena ya phir pai-dar-pai 3 roze rakhna.
2. Agar wo shakhs apni qasam par qayam raha 4 mahine tak jima na kiya
toh uski biwi par ek talaaq-e-ba-ain waqia hogi.
3. 4 mahine se kam muddat ki qasam khaye toh eila nahi hota.
Izhaar:- Apni biwi ko kisi aysi aurat se tash
bhi (compare) dena jo uspar hamesha ke liye haraam hai.
Ex:- Biwi se kehna ke tu meri maa ke jaisi
hai,tu meri behan ke jaisi hai, meri beti ke jaisi hai to izhaar sabit hoga.
1. Agar koi shakhs apni biwi ko ubhaar
ne ke liye, uski izzat badhane ke liye aysa kahe toh izhaar na hoga.
2. Agar talaaq ki niyyat se kahe toh ek
talaaq hojayegi.
3. Izhaar ka kaffar, roze ke kaffare ki
tarha hai. Yane ghulaam azaad karna ya 60 miskino ko 2 waqt ka payt bhar khana
khilana, ya ekhi aadmi ko 2 mahino tak payt bhar khana khilan
13) Nikah ki
tareef aur sifaat batlayiye.
A) Nikah
ki tareef:-
Nikah ke lagvi mane jima ke hai aur
istelah-e-fiqah me ek maqsoos aqdh ka naam hai. Jisse mard khasdan aur aurat se
nafa uthaa sakta hai.
Nikah
ke sifa’at:-
1. Agar jima ki khawahish na bahut ziada
ho na bilkul kam aysi halat mein nikah karna “Sunnat-e-maukada” hai.
2. Agar jima ki khawaish itni zyada
hoke nikah na kiya jaye to zina mein mubtela hojana ka khawf hai toh aysi
halaat mein nikah karna “wajib” hai.
3. Agar jima ki khawhish bahut ziada ho
agar nikah na kiya jaye toh zina mein mubtela hojane ka pakka yakeen ho jaye
toh aysi halaat mein nikah karna “farz” hai.
Note: Aur in Teeno suratoon mein bhi
biwi ke huqooq ada karna shart hai.
4. Agar biwi par zulum ka khauf ho aur
uske hukooqh ada na karne ka kauf ho to aysi halat mein nikah karna “Makhruh-e-
tehrimi” hai.
5. Agar biwi par zulum ka pakka yakeen
ho toh karna “Haraam” hai.
14) Nikah ke
arkaan batate hue alfaaz, Ejaab wa Qubool tehreer kijiye.
A) Nikah ka sirf ek rukun hai.Ejaab wa
Qubool. Ejaab wa Qubool uss guftugu ko kehte hai jo mard aur aurat me ba- ham
ta’alluq zaujiyaat paida karne ke liye ho aur iske sahi hone ke liye kuch
shartein hai.
1. Ejaab wa Qubool doono ka ya doono me
se ek ka maazee ka lafz se adaa hona.
2. Ejaab wa Qubool doono ka ba-zariye
lafz ada kiya jana agar ba-zariye fail kiya jaye toh sahi nahi hoga.
NOTE:- Tehreer bhi lafz ke hukum mein hai
ba-sharte ke likhne wala waha maujood naho.
3. Ejaab ke ebaarat puri ada hone ke
baad qubool ki ebaarat ka ada hona chahiye.
4. Ejaab wa Qubool doono ka ek hi
majlis main ada kiya jaye.
5. Qubool ka Ejaab ke mukhalif na hona.
6. Akhidian mein se har ek ka dusre ke
kalaam ko sunna.
15) Nafkha ke
ahkaam tehreer kijiye.
A) Khana, kapda, aur rehne ke liye makaan
ko “Nafkha” kehte hai.
1. Biwi ka nafkha shauhar par wajib
hai.
2. Agarche shauhar muflis wa mohtaj ho
nafkha zaujain ke hazbe-haal wajib ho.
3. Agar usmein ka ek ameer aur ek dusra
gareeb ho to mutawassit nafkha wajib hoga.
4. Talaaq ki iddath mein bhi nafkha
wajib hai.basharte ke biwi shauhar ke ghar mein rahe wafaat ke iddath mein
nafkha wajib nahi.
5. Agar aurat hamela ho toh wazeh hamal
tak usko nafkha marhoom shauhar ke maal se diya jayega.
16)
Asbab-e-tehreem kitne hai. Tafseelan kijiye.
A) Asbab-e-tehreem
9 hai:-
1. Nasabi rishta
2. Susrali rishta.
3. Doodh ka rishta.
4. Ejtema.
5. Milk.
6. Biwi par laundi lana.
7. Shirk.
8. Mutallaqa-e-salasa qable tehleel.
9. Mankuha aur mo’taddah.
1) Nasabi
rishta ki 7 auratein haraam hai:-
Ex:- Maa, Beti, Behan, Phuppi, Khala,
Bhatiji, aur Bhanji.
2) Susrali
rishta:-
Susrali rishte ke hazbe zail auratein haraam
hai.
Ex:- Us aurat ke ossul jisse sirf nikah hua
ho.
1. Us aurat ke osuul jisse najaiz taur
par sohbat ki gayi ho.
2. Us aurat ke furuh jisse nikah hone
ke baad sohbat bhi ho chuki ho.
3. Us aurat ke furuh jisse na-jaiz taur
par sohbat ki gayi ho.
3) Doodh
ka rishta:- Muddate mukharrara ke andar kisi aurat ka doodh pine ka
raza’at kehte hai aur doodh pilane waali aurat bachche ki raza-e-maa aur uska
shauhar raza-e-baap hai aur uski aulaad raza-e-bhai-bahan hai.
4) Ejtema:-
Agde sahi mein do bahino ka jama karna haraam hai shariyat ne jis qadar
nikahoon ki ijazat di gayi unse ziada nikah karna haraam hai.
5) Milk:-
Jo aurat kisi ghulam ki maleka ho usko apne ghulam ke saath nikah karna
haraam hai.
6) Biwi
par laundi lana:- Yane azaad aurat ke nikah mein hote hue laundi se
nikha karna jaiz na ho.
7) Shirk:-
Mushrika aur majuusiya auratoon se nikah karna na-jaiz aur murtaddah se bhi
nikah na-jaiz hai.
8) Mutallaqa-e-salasa
qable tehleel:-
Jo shakhs apni biwi ko 3 talaaq dedein
toh use aurat se dubara nikaah karna haraam hai.Ye aurat iddath khatam hone ke
baad doosre se shadi karlein aur dusra shauhar bhi usko talaaq dedein toh
iddath guzame ke baad pehla shauhar usse nikah kar sakta hai.
9) Mankuha
wa mo’taddah:-
Jo aurat kisi ke nikah mein ho ya
iddath mein ho usse nikah karna haraam hai.
17) Eiddat ke
Akhaam bayan kijiye.
A) Iddath ki 3 khismein hai.
1. Iddath-e-talaaq.
2. Iddath-e-fasq-e-nikah.
3. Iddath-e-wafa’at.
1) Iddath-e-talaaq:-
Madhqula(shadishuda) aurat ke liye 3
haiz ya 3 mahine mukarrar hai aur gair madhqula ke liye iddath wajib nahi hai
aur agar aurat hamila ho toh uski iddath wazahe hamal tak hai.
2) Iddath-e-fasq-e-nikah:-
Ye bhi iddath-e-talaaq ke barabar hai.
3) Iddath-e-wafa’at:-
4 mahine 10 din hai agar hamila ho toh
wazahe( birth) hamal tak hai.
18) Mafkhuudul-Khabar aur muotod ke
mutalaq muqtasar note likhiye.
A) Agar kisi aurat ka shauhar la-pata
hogaya ho aur uske zinda rahne ya marne ki khabar na mile toh uski
tariq-e-paidaish ke hisaab se 90 saal intezaar kare ya usse hamumar mar jayein
toh haakim tafreeq ka hukum de aur aurat wafa’at ki iddsth puri karein.
1.Hazart-e-imam-e-Maalik ke nazdik 4
saal guzar jaye toh haakim tafreeq karde, phir aurat iddath khatam karke dusra
nikah karle aur fatwa bhi ishi par hai.
2. Agar koi shakhs islaam se phir jaye
to uska nikaah toot jata hai.
3. Miya biwi mein se kisi ek ki zubaan
se Kalma-e-kufr nikal jaye to tauba karke musalmaan hona aur naya nikah karna
zaroori hai.
4. Agar miya biwi doono musalmaan
hojaye toh wahi nikah bakhi rahega. Joh halaat-e-kufr mein huwa tha.
19) Rujaat aur
Khula ke ahkaam tafseelan qalam bandh kijiye.
A) Khula:-
(Refer
from question number : 10)
Ruja’at
ki tareef:-
Biwi ko ek ya do talaaq dekar phir iddath ke
andar ruju karne ka naam Ruja’at hai.
1. Ruja’at sirf talaaq-e-Rajayi mein ho
sakta hai.
2. Ruja’at mein aurat ki razamandi ki
shart nahi hai.
3. Gawahoon ki maujoodgi ki bhi zaruri
nahi hogi.
4. Ruja’at khauli aur faili dono tarha
durust hai.
EXTRA NOTES:-
- Ummul Momineen Hazrat Khadija tul Kubra (Radhiyallahu Anha) 12.5 auqia (1063 gram 21 milligram sone (Gold)
- Ummul Momineen Hazrat Sauda (Radhiyallahu Anha) 400 Dirham (850 gram 57 milligram chandi (Silver)
- Ummul Momineen Hazrat (Radhiyallahu Anha) 400 Dirham (850 gram 57 milligram chandi (Silver)
- Ummul Momineen Hazrat (Radhiyallahu Anha) 400 Dirham (850 gram 57 milligram chandi (Silver)
- Ummul Momineen Hazrat (Radhiyallahu Anha) 100 Dirham (850 gram 57 milligram chandi (Silver)
- Ummul Momineen Hazrat (Radhiyallahu Anha) 400 Dirham (212 gram 64/25 milligram chandi (Silver)
- Ummul Momineen Hazrat (Radhiyallahu Anha) 400 Dinaar (1215 gram 10 milligram sone (Gold)
- Ummul Momineen Hazrat (Radhiyallahu Anha) 400 Dirham (850 gram 57 milligram chandi (Silver)
- Ummul Momineen Hazrat (Radhiyallahu Anha) 400 Dirham (850 gram 57 milligram chandi (Silver)
- Binte Rasool Sayyadatunnisa Hazrat Fatima tuz Zahra (Radhiyallahu Anha) 400 Mithqal nakhra
0 Comments