Ek Lajawab, Behtareen aur Inteha Pur Asar Tehreer / Post

Ek Lajawaab Aur Intehaai Pur Asar Tehreer

Mera Ye Yaqeen Hai Ke Agar Ek Daf'a Is Tehreer Ko Aakhir Tak Padh Lein To Aapki Zindagi Mein Chhota Sa Inquilab Zaroor Aayega.

Ek Lajawaab Aur Intehaai Pur Asar Tehreer

Ek Naujawaan Ne Darvesh Se Du'a Karne Ko Kaha......
Darvesh Ne Naujawaan Ke Kaandhe Par Haath Rakha Aur Bade Jazab Se Du'a Di :
"Allah Tujhe Aasaaniyan Baantne Ki Taufeeque A'taa Farmaaye."

Du'a Lene Waale Ne Hairat Se Kaha:
Hazrat! Alhamdulillah Hum Maal Paak Karne Ke Liye Har Saal Waqt Par Zakaat Nikaalte Hain, Balaaon Ko Taalne Ke Liye Hasb E Zaroorat Sadqa Bhi Dete Hain.... Iske Alaawah Mulaazimeen Ki Zarooraton Ka Bhi Khayaal Rakhte Hain, Hamaare Kaam Waali Ka Ek Baccha Hai Jiski Ta'aleem Ka Kharcha Humne Utha Rakha Hai. Allah Ki Taufeeque Se Hum To Kaafi Aasaaniyan Baant Chuke Hain....

Darvesh Thoda Sa Muskuraaya Aur Bade Dheeme Aur Meethe Lehje Mein Bola :
"Mere Bacche! Paise, Khaana Ye Sab To Rizq Ki Mukhtalif Qismein Hain.. Aur Yaad Rakho "Raaziq Aur Razzaq" Sirf Aur Sirf Allah Ta'ala Ki Zaat Hai... Tum, Ya Koi Aur Insaan Ya Koi Aur Makhlooq Nahin.. Tum Jo Kar Rahe Ho, Agar Ye Sab Karna Chhod Bhi Do To Allah Ta'ala Ki Zaat Ye Sab Faqat Ek Sa'at Mein Sab Ko A'taa Kar Sakti Hai. Agar Tum Ye Kar Rahe Ho To Apne Ashraf Ul Makhlooqaat Hone Ki Zimmedari Adaa Kar Rahe Ho."

Darvesh Ne Narmi Se Uska Haath Apne Dono Haath Mein Liya Aur Phir Bola :
" Mere Bacche! Aao Main Tumhe Samjhaaun Ke Aasaaniyan Baantna Kise Kehte Hain.

Kabhi Kisi Udaas Aur Mayoos Insaan Ke Kandhe Pe Haath Rakh Kar, Peshaani Par Koi Shikan Laaye Bagair Ek Ghanta Uski Lambi Aur Bemaqsad Baat Sun Na..... Aasaani Hai!

Apni Zamaanat Par Kisi Bewaa Ki Jawaan Beti Ke Rishte Ke Liye Sanjeedgi Se Tag O Doo Karna..... Aasaani Hai!

Subah Daftar Jaate Hue Apne Bacchon Ke Saath Muhalle Ke Kisi Yateem Bacche Ki School Le Jaane Ki Zimmedari Lena... Ye Aasaani Hai!

Agar Tum Kisi Ghar Ke Damaad Ya Behnoi Ho To Khud Ko Sasural Mein Khaas Aur Afzal Na Samajhna... Ye Bhi Aasaani Hai!

Gusse Mein Baphre Kisi Aadmi Ki Kadwi Kasili Aur Galat Baat Ko Narmi Se Bardaasht Karna.... Ye Bhi Aasaani Hai!

Chai Ke Khokhe Waale Ko Oye Keh Kar Bulane Ki Bajaye Bhai Ya Beta Keh Kar Bulana.... Ye Bhi Aasaani Hai!


Gali Muhalle Mein Thele Waale Se Bahas Mubaahise Se Bachkar Khareedaari Karna Ye Aasaani Hai!

Tumhara Apne Daftar, Market Ya Factory Ke Chowkidaar Aur Chhote Mulaazimeen Ko Salaam Mein Pehal Karna, Doston Ki Tarah Garamjoshi Se Milna, Kuch Der Ruk Kar Unke Bacchon Ka Haal Poochna..... Ye Bhi Aasaani Hai!
Haspataal Mein Apne Mareez Ke Baraabar Waale Bistar Ke Anjaan Mareez Ke Paas Baithkar Uska Haal Poochna Aur Use Tasalli Dena..... Ye Bhi Aasaani Hai!

Traffic Ishaare Par Tumhaari Gaadi Ke Aage Khade Shakhs Ko Horn Na Dena Jiski Motorcycle Band Ho Gayi Ho...... Samjho To Ye Bhi Aasaani Hai! "

Darvesh Ne Hairat Mein Doobe Naujawaan Ko Shafaqqat Se Sar Par Haath Phera Aur Silsila E Kalaam Jaari Rakhte Huwe Dobaarah Mutawajjah Karte Huwe Kaha :
" Beta Ji! Tum Aasaani Phailaane Ka Kaam Ghar Se Kyun Nahi Shuru Karte.....!!!???

Aaj Waapas Jaa Kar Baahar Darwaaze Ki Ghanti Sirf Ek Martaba De Kar Darwaazah Khulne Tak Intezaar Karna.

Aaj Se Baap Ki Daant Aise Sun Na Jaise Mobile Par Gaane Sunte Ho.
Aaj Se Maa Ke Pehli Aawaaz Par Jahaan Kahin Ho, Fauran Unke Paas Pahunch Jaaya Karna.... Ab Unhe Tumhein Doosri Aawaaz Dene Ki Naubat Na Aaye.
Aaindah Se Biwi Ki Galati Par Sabke Saamne Usko Daant Dapat Mat Karna.

Saalan Accha Na Lage To Dastarkhwaan Par Harf E Shikaayat Buland Na Karna. Kabhi Kapde Theek Istari Na Ho To Khud Istari Durust Kar Lena.....

Mere Bete! Ek Baat Yaad Rakhna, Zindagi Tumhaari Mohtaaj Nahi, Tum Zindagi Ke Mohtaaj Ho, Manzil Ki Fikar Chhodo Apna Aur Doosron Ka Raasta Aasaan Banaao, Inshaa Allah Ta'ala Manzil Khud Hi Mil Jaayegi.


*_Haasil Kalaam_*


*Aayein! Sidq E Dil Se Du'a Karein Ke Allah Ta'ala Hum Sabko Aasaaniyan Baantne Ki Taufeeque A'taa Farmaaye, Aameen Summa Aameen Ya Rabbal A'alameen.*

Post a Comment

0 Comments