Har Maa Ko Salaam

Poochha : Aapko To Turiyaan Bahot Pasand Thi Na? A'rsaa Ho Gaya Kabhi Pakaate Nahi Dekha. Muskurakar Boli "Turiyaan Mere Bacche Nahi Khaate, Maine Laana Hi Chhod Diya...."

Har Maa Ko Salaam

Kaun Nahi Jaanta Unko...

Aulaad Ko Garam Khaana Khilaane Ke Chakkar Mein Thandi Chai Peeti Hai. Saalon Tiffin Tayyaar Karke Baste Mein Rakhne Ki Duty Sambhaalti Hai, Aapke Har Zaaiqe Aur Pasand Ka Inko I'lm Hota Hai. Ghar Mein Wo Sabzi Kam Pakti Hai Jo Aulaad Ko Pasand Naa Ho.

Unki Zaraa Si Khatke Pe Aankh Khul Jaati Thi Fir Bacchon Ke Shor Aur Cartoons Ki Aawaazon Mein Bhi Sone Ki A'adat Pad Gayi.

Lekin, Jab Wahi Bacche Gehri Neend Sote To Poore Ghar Mein Phoonk Phoonk Kar Qadam Rakhti Ke Kisi Ki Aankh Na Khul Jaaye, Neend Na Toote.

Unko Kaun Nahi Jaanta, Ice-cream, Cake, Trifle Aur Bacchon Ke Khaane Ki Har Cheez Ka Hissa Karte Hue Apna Hissa Sabse Kam Rakhti Hai.

Market Mein Apni Bahot Zaroori Cheez Lene Ki Bajaaye Bacche Ki Nihaayat Gair Zaroori Farmaaish Ko Tarjeeh Deti Hai.

Zachgi Ki Jaanlewa Takleef Se Kayi Baar Guzarne Par Bhi Zabt Se Muskura Deti Hai, Bagair Silwat Ke Bistar Par Sone Ki A'adi, Kayi Raatein Gile Bistar Par Basar Karti Hai.

Khushbuon Ki Dildaadah Din Mein Kayi Baar Gande Diapers Bakhushi Badalti Hai. Maa Bante Hi Saare Nakhre Khatam Karke Aulaad Ke Nakhre Uthaati Hai. Aadhi Raat Ko Kandhe Se Nanhe Wajood Ko Lagaaye Unko Zamaane Bhar Ki Poems, Loriyaan Aur Kahaaniyan Azbar Ho Jaati Hain.

Jab Maangne Ka Waqt Aaye, Taaq Raaton Mein Bhi Unke Dast E Du'a Aulaad Ke Liye Uthte Hain. Aulaad Ke Dukh, Naalaayaqi, Naafarmaani Par Unka Dil To Kat Ta Hai, Jaan Jalti Hai Lekin Wo Kabhi Baddu'a Nahi Deti.

Ye Maaein Kisi Bhi Khitte, Barre A'azam, Mazhab Ya Zamaane Se Ta'alluq Rakhti Ho, Unki Muhabbat Samandar Ke Sabz Paaniyon Se Bhi Laa Mehdood Hoti Hai.

Jinki Maaein Salaamat Hain Wo Sukhi Rahein, Jo Is Duniya Mein Nahi Wo Abdi Sukoon Mein Ho, Jo Maa Ke Martabe Par Faaiz Hain, Aulaad Se Unki Aankhein Thandi Ho Aur Jin Ki Kokh Khaali Hai, Mera Rab Unko Maa Ban Ne Ka Aizaaz Bakhshe..... Aameen

Har Maa Ko Salaam ❤️

Post a Comment

0 Comments