Naye Islamic Saal Ki Shuruaat (Beginning)

Naye Islamic Saal Ki Shuruaat (Beginning)

*Muharram* Ka Mahina Islami Saal Ka Pehla Mahina Hai. Kitne Hi Padhe Likhe Deendaar Log Aise Hain Jinhe Islami Saal Ke Bare Mein Ma'alum Hi Nahi, Jabki Angrezi Mahinon Ke Naam Aur Uski Taarikh Har Kisiko Ma'alum Hoti Hai, Jab Jab Angrezi Saal Ke Pehle Mahine January Ki Shuruaat Hoti Hai To Woh Khushiyaan Bhi Manaate Hain, Khoob Halla, Shor Karte Hain. Aisa Lagta Hai Ke Woh Us Taarikh Se Naye Saal Ki Shuruaat Karte Hain. 

Naye Islamic Saal Ki Shuruaat (Beginning)

Is Mauqe Par Humko Gaur Ye Karna Hai Ke *"New-Year"* ki Us Taarikh Par Shuruaat Humne Kahan Se Li? Hamare Liye To New Year ki shuruaat *MUHARRAMUL_HARAAM* Ke Ba -barkat Mahine Se Hoti Hai, Ek January Se Nahi, Aur Kyunki Hum Musalman, Zindagi Guzarne Ke Tareeqe Mein Ek Mukammal *TEHZEEB (CULTURE)* Ke Maalik Hain. Isliye Hame Gairon Ka Tareeqa Nahi Apnana Chahiye, Balke Hame Islami Tareekh Se Islami Saal Ka Isteqbaal /Swagat /Welcome Karna Chahiye. 

MUFTI YASIR AMAN QASMI
AHMEDABAD GUJRAT

Post a Comment

0 Comments