Naye Mahine Ke Swaagat (Welcome) Ka Islamic Tareeqa

Naye Mahine Ke Swaagat (Welcome) Ka Islamic Tareeqa


"Naye Saal"(New Year ) Ki Shuruaat Ho Ya "Naye Mahine "(New Month) Ki; Uski Shuruaat Ka Sunnat Tareeqa Sharia't Mein Ye Hai Ke Mahine Ke Khatam Par Naye Mahine Ke Chand Ko Dekhne Ka Ehtemaam Kiya Jaaye , Ye Sunnat Hai , Aur Jab Chand Nazar Aa Jaaye To Naya Chand Dekhne Ki Du'a Bhi Padhi Jaaye , Ye Bhi Sunnat Hai.

Naye Mahine Ke Swaagat (Welcome) Ka Islamic Tareeqa

Is Sunnat Tareeqe Ke Apnane Mein Aur Du'aon Ka Ehtemaam Karne Mein Hi Barkat, Hifaazat Aur Sawaab Hai. Hame Bekar Rasmon Aur Buraaiyon Se Bachte Hue In Baaton Ka Ehtemaam Karke Sachche Musalman Aur Nabi (S.A.W.) Ke Sachche Aashiq Hone Ka Saboot Dena Chahiye.

*Naya Chand Dekhte Waqt Ki Masnoon Dua :-*

”اللھم أَھِلَّہ علینا بالیُمْنِ والإِیْمَانِ والسَّلامَةِ والإِسلامِ، ربِّيْ ورَبُّکَ اللّٰہ“

*_ALLAHUMMA AHILLAHU ALAIYNA BILYUMNI WAL-IMAANI WASSALAMATI WAL-ISLAMI, RABBI WA RABBUKALLAH._*
*(Musnad-e- Ahmad bin Hambal)*
MUFTI YASIR AMAN QASMI
AHMEDABAD GUJRAT

Post a Comment

0 Comments