Imamat Notes in Roman English, Hindi & Urdu - Q & A - Namaz ke Mukammal Info
Solved Model Paper Question and Answer
1. Imamat ke sahi hone ki
shartein batlayiye.
2. Istehkhakhe Imamat ke
wujuh tehrir kijiye
3. Namaz e vitr ka tariqa aur
dua e khunoot tehreer kijiye.
4. Namaz e Janaza ka masnoon
wa mustahab tariqa likhiye.
5. Namaze qusoof wa khusoof
har ek ki tareef kijiye aur unke ahkamaat tafseel se tehreer farmaye.
6. Wajibate Namaz kitne hair
tehreer kijiye.
7. Mudrik, Laahekh, Masbooq
ki tareef kijiye aur ba-jama’at namaz ke ahkam tehreer kijiye.
8. Namaz ki tareef karte hue
uski ahmiyat tehreer kijiye.
9. Tarke Namaz ka asar aur
uspar wayidein qalam bandh kijiye.
10. Namaz ka hukum aur uske
wajib hone ki shartein batlayiye
11. Namaz ke arkan aur
takbeere tehrima se mutaluq tafseel likhte hue batlayiye ke ghunge aur unpadh
par takbeer e tahrima farz hai.
12. Jamaat ke sifaat aur
tarke Jamaat ke uzraat qalam bandh kijiye.
13. Sajda sahu ki tareef
karte hue tahreer kijiye ke sajda sahu kin suratoon mein wajib hota hai.
14. Tajweed ki tareef kijiye,
Lehan e jali aur lehan e khafi kisko kehte hai.
15. Sahebe nisab ahle
khidmaat e sharayiya ka naam sukunat batlate hue batlayiye ke is kitab ko kiske
hukum par murattab kia gaya hai.
16. Iqteda ke sahi hone ki
shartein likhiye aur wajibat e namaz tehrir kijiye.
17. Isteqbaal e Qibla aur
niyyat ke ahkaam tafseel se qalam bandh kijiye.
18. Tahiyyatul masjid,
tahiyyatul wuzu, Ishraaq, chasth, namaz e tahajjud aur namaz e isteqara mein se
kisi 4 ki wazahat kijiye.
19. Izhar, Edham, Qalb aur
Ikhfa ki wazahat kijiye
20. Namaz ki farziyat,
ahmiyat, barkaat tehreer karte hue batlayiye ke tarke namaz ke liye kya kya
wayidein hai.
21. Mufsidaat e Namaz tehreer
kijiye.
22. Sajda e tilawat, sajda e
sahu, sajda e shukr ke mutaluq tafseel likhiye.
23. Sahebe tarteeb kise kehte
hai aur tarteeb sakheet hojane ke baad phir wo tarteeb kaise laut kar aati hai.
24. Musafir ke tareef karte
hue musafir ke mukammal ahkaam likhiye.
25. Namaz mein shak aur uske
hukum bayan karo.
26. Qaza e umri ka tariq
batlaye.
27. Namaz mein hadas hone ka
bayan.
28. Khalifa karne ke ahkaam
batlaye.
All Islamic courses notes (click here)
Imamat Notes in Roman English, Hindi & Urdu - Q & A - Namaz ke Mukammal Information
*****Start to Read*****
Q1)
Imamat ke sahi hone ki shartein batlayiye.
A) 1. Musalman hona, 2. Baligh hona, 3. Aakhil hona, 4.
Mard hona, 5. Uzroon se khali rehna maslan tootla pan, taqseer, paishab jari
rehna wagaira 6. Namaz ke sharayat, taharat satre aurat wagaira ka maujood hona.
___________________________________________________
Q2)
Istehkhakhe Imamat ke wujuh tehrir kijiye.
A)
1. Sabse ziada imamat ka mustahaq Aalim yane woh shakhs hai jo Namaz ke masael
baqubi janta ho aur bazahir usmein koi fusqh gunah e kabira alaamat naho.
2. Qari yane wo shakhs jo
Quran e Majeed accha padhta ho khawaed wa tajweed ke muwafiq umda awaz se Quran
padhta ho. Phir woh jo sabse ziada parhezgaar ho, phir jo sabmein ziada umar
rakhta ho.
3. Jis masjid mein imam
muqarrar ho wahan uske hote hue dusre ashkhas ko imamat ka haq nahi agarche wo
ausaafe mazkura mein use fayiq ho.
4. Jis masjid mein imam
muqarrar naho waha bila razamandi khaum imamat karna makruh e tahrimi hai,
albatta logoon ki narazi kisi duniyavi mamle mein hoto iska etebar nahi.
5. Fasiqh aur badh-aqidah
ki imamat makruh e tehrimi hai.
6. Nabina, falijh-zadah,
juzami, coodh, waladuz-zina wagaira ka imam banna makruh e tanzihi hai, agar
inse behtar koi wahan maujood na hoto phir makruh nahi.
7. Majnoo, dayimi
madhosh, na-baligh, aurat, khunsa, masbooq, wagaira imamat ke qabil nahi inke
piche namaz nahi hoti.
___________________________________________________
Q3)
Namaz e vitr ka tariqa aur dua e khunoot tehreer kijiye.
A)
Namaz e vitr wajib hai aur uska chodhne wala bhi farz namaz ke chodne wale ki
tarha fasiq aur gunahgar hai. Namaz e vitr ka waqt isha ki namaz ke baad hai.
Namaz e vitr ki bhi magrib ki namaz ki tarha 3 rakatein hai aur in teeno
rakatoon mein sureh fateha ke baad dusira surah padhna wajib hai.
Vitr ki namaz padhne ka
bhi wahi tariqa ha jo farz namaz padhne ka hai, sirf is qadr farq hai ke vitr
ki tisiri rakat mein sureh fateha aur dusara surah padhne ke baad dono haath
takbeer ke saath kanoo tak issi tarha utayein jis taraha takbire tehrima ke
waqt uthaya jata hai. Phir ahista se Dua e Khunoot padhe, Iske baad ruku kare
agar kisi ko dua e khunoot yaad na hoto “Rabbana-Aatina Fidduniya Hasanatawn
Wafil Aakhirati Hasanatawn Wa Qina Azaabannaar” Ya 3 Baar “Allahumma Igfirli” padhe,
ya 3 baar “Ya Rabbi, Ya Rabbi, Ya Rabbi”.
Dua
e Khunoot ya hai:-
Allah Humma Inna
Nastayinuka Wa Nastagfiruka Wa Nu-Minubika Wa Nawatawakkalu Alaika Wa Nusni
Alaikal Khair. Wa-Nashkuruka Wala Naqfuruka Wa Nakhlau Wa Natruku Mayyafjuruk.
Allahumma Iyyaka Na’budu Walaka Nusalli Wa Nasjudu Wa Ilaika Nasa’a Wa Nahfidu
Wa Narju Rahmataka Wa Naksha Azzabaka Inna Azzabaka Bil Kuffaari Mulhiq.
___________________________________________________
Q4)
Namaz e Janaza ka masnoo wa mustahab tariqa likhiye.
A) Namaz e Janaza ka tariqa:-
Mayyat ko aage rakhkar miam sine ke muqabil khada hojaye, phir imam aur tamaam
muqtadi Namaz e Janaza ki niyyat kare ye ke Namaz e Janaza farz e kifaya padhta
hoon main Allah tala ke waste aur dua karta hoon main is mayyat ke waste moo
mera ka’abe shareef ki taraf tabe imam ke. Phir dono haath misle Takbeer e
Tehrima ke kanoo tak uthakar ek martaba Allahu Akbar kehkar hatoon ko namaz ki
tarha naaf ke nichein bandhle aur Sana padhe “Subhanakallahumma Wa Bihamdika Wa
Tabara Kasmuka Wa Ta’aala Jadduka Wa Jalla Sanaauka Walailaha Ghairuk”. Phir
dusiri dafa Allahu Akbar kahe lekin is dafa haath na uthaye phir Durood e
Ibhrahim padhe jo namaz mein padhte hai, phir tisiri dafa Allahu Akbar kahe
iske baad mayyat ke liye dua padhein.
Baligh
mayyat ki dua:- “Allahummagfirli Hayyina Wa Mayyatina Wa
Shaahidina Wa Gaayibina Wa Sagheerina Wa Kabeerina Wa Zakarina Wa Unsaana. Allahumma
Mann Ahyaytahu Minna Fa Ahyihi Alal Islam Wa Mann Tawaffaitahu Minna
Fatawaffahu Alal Imaan”.
Na-Baligh
ladke ki dua:- “Allahummaj Al Hulana Faratanwn Waja Al Hulana
Ajraunwazugra Waja Al Hulana
Shafiunw Wa Mushaffa’a”.
Na-Baligh
ladki ki dua:- “Allahummaj Al Halana Faratanwn Waja Al Halana
Ajraunwazugra Waja Al Halana
Shafiunw Wa Mushaffa’a”.
Phir chauti dafa
Allahu Akbar kahein aur dayein bayein salam pherdein jis tarha namaz mein
pherte hai. Janaze ki namaz mein mustahab hai ke hazireen ki teen saffein ki
jaye yahan tak ke agar sirf 7 admi hoto unmein se ek imam bane phir pehli saff
mein teen aadmi khade ho aur dusiri saff emin do admi aur tisiri saff mein ek
admi.
___________________________________________________
Q5) Namaze qusoof wa khusoof har ek ki tareef
kijiye aur unke ahkamaat tafseel se tehreer farmaye.
A)
Namaz e qusoof aur khusoof ki tareef:- Qusoof suraj grahan
ko kehte hai. Khusoof chand grahan ko kehte hai. Hadees e shareef mein marvi
hai ke Qusoof aur Khusoof kisi ki maut ka sabab nahi hote balke ye dono Allah
tala ke khudrat ki nishaniya hai. Inse maqsood bandoon ko khuaf dilana hai, jab
tum unko dekho toh namaz padho ek aur Hadees mein hai ke jab koi graham ko
dekhe kha suraj graham ho ya chand graham ho to chahiye ke allah tala se dua
mange aur Allahu akbar kahe aur namaz padhe aur sadqa dein.
Namaz
e qusoof ke ahkaam:-
1. Namaz e Qusoof sunnat
hai. 2. Namaz e Qusoof jama’at se padhe jaye aur wohi imam padhaye jo juma
padhata ho, agar imam maujood na hoto phir sab loog alahida alahida padhle khaw
masjid mein ho ya apne apne ghar mein. 3. Namaz e Qusoof mein khutba nahi. 4.
Namaz e Qusoof ke liye azan aur aqamat nahi. 5. Namaz e Qusoof ki do rakate hai
aur iske padhneka wohi tariqa hai jo aur nawafil ka hai. 6. Namaz e Qusoof mein
qirat jahar se na kare. 7. Namaz e Qusoof ke baad imam ko chahiye ke dua mein
mashgool hojaye aur muqtadi aamin aamin kahe. 8. Aukate makruha mein namaz e
qusoof na padhi jaye balke us waqt sirf dua aur istagfar kare.
Namaz
e khusoof ke ahkaam:-
Khusoof ki namaz mustahab
hai, khusoof ki bhi 2 rakatein hai, lekin isme jamat nahi hai. Iss namaz ke
liye masjid jana bhi zaruri nahi alahida alahida apne apne ghar mein padhlein.
___________________________________________________
Q6)
Wajibate Namaz kitne hai tehreer kijiye.
A) Wajibate Namaz 12 hai:- 1) Sureh Fateha ka
padhna, 2) Zamme Surah padhna, 3) Farz namaz ki pehili do rakat mein qirat
padhna, 4) Tarteeb ka lehaz rakhna, 5) Tadeel e Arkan, 6) Qaida e Oola, 7)
Tashahud, 8) Qirat e Jehri, 9) Qirat e sirri, 10) Namaz ke khatam hone par
Assalamualaikum wa Rahmatullah kehna, 11) Vitar ki namaz mein dua e khunoot
padhna. 12) Takbiraat e Eidian.
___________________________________________________
Q7)
Mudrik, Laahekh, Masbooq ki tareef kijiye aur ba-jama’at namaz ke ahkam tehreer
kijiye.
A)
Mudrik ki tareef:- Woh shakhs hai jisko shuru se aakhir
tak puri namaz imam ke saath mili ho.
Laahekh
ki tareef:- Woh
shakhs hai jisko shuru se imam ki iqteda kare lekin baad mein kuch rakkatein ya
sab rakkatein usse faut hojaye.
Masbooq
ki tareef:- Woh
shakhs hai jisko shuru se sharik e jama’at naho balke uski iqteda se pehle imam
sab ya kuch rakatein padh chuka ho.
Jama’at
ka bayan:- Jama’at naam hai, kam-maz-kam do admiyoon
ko milakar namaz padhne ka istarha ke unmein ek matbu imam ko kehte hai aur
ta’abe muqtadi ko kehte hai. Paanch waqt namazoon mein imam ke siva ek admi ke
sharike namaz ho jane se jama’at ho jati hai. Agarche wo samajhdar ladka ho
lekin juma ki namaz imam ke siva kam se kam 3 admi ke bagair jama’at nahi hoti
aur wo 3 admi bhi ayse ho jo imam bansake.
Agar mahille mein
do masjidein hoto jo masjid ghar se ziada qareeb ho aur agar dono ka faasala
barabar hoto phir wo masjid jo qadeem ho. Agar koi mohalla ya ghar se qareeb
wali masjid mein jama’at hone ke baad pahunche toh usko dusiri masjid mein
jama’at ke liye jana mustahab hai.
___________________________________________________
Q8)
Namaz ki tareef karte hue uski ahmiyat tehreer kijiye.
A) Namaz ki tareef:- Namaz tarjuma
hai lafze salaat ka jiske mana dua ke hai, aur istelah e shara mein maqsoos
afa’ale qiyam, ruku, sujood wagaira ka naam Namaz hai.
Namaz ki Ahmiyat:- Namaz har mard musalman par khaw ameer ho ya faqeer,
tandurust ho ya mareez, muqeem ho ya musafir rozana 5 waqt farz e aian hai,
yahan take dushmaan ke muqabile mein jab ladayi ki aag badhak rahi ho us waqt
bhi uska ada karna farz hai. Hadees e Shareef mein 7 baras ki umar hi se bacche
ko namaz padhne ki takid karne aur 10 baras
ki umar mein tarke namaz par maarne ka hukum hai. Goya Namaz ek aisa
farz hai jo bagair maut ke kisi tarah musalman ke hisse se sakith nahi hota.
___________________________________________________
Q9)
Tarke Namaz ka asar aur uspar wayidein qalam bandh kijiye.
A)
Tarke Namaz ka asar aur wayidein:-
Huzoor e Akram (SAWS) ka
irshade girami hai ke namaz momin aur kufr ke darmiyan had e fasil hai, jisne
aamadan namaz chodhi wo kufr ke qareeb hogaya.
Huzoor e Akram (SAWS) ne
irshad farmaya jisne namaz chodhi uska Islam mein kuch hissa nahi.
Huzoor e Akram (SAWS) ne
irshad farmaya namaz na chodhna kyunke namaz chodhne wale se Islam ka zimma
ba-ri hai.
Huzoor e Akram
(SAWS) ne irshad farmaya jisne namaz chohdi wo qiyamat ke din firoun, kharoon,
haamaan, ubai bin khalf jaise dushmanan e Khuda ke saat hoga.
___________________________________________________
Q10)
Namaz ka hukum aur uske wajib hone ki shartein batlayiye.
A)
Namaz ka hukum:- 1) Namaz har musalman, aakhil, baligh
par khaw mard ho ya aurat rozana 5 waqt farz e aain hai. 2) Namaz ki farziyat
ka munkir kafir hai. 3) Namaz ka susti aur kahili se chodhne wala aala darje ka
fasiq hai jiski saza imam e azam abu hanifa (RH) ke nasdiq qaid hai, jab take
tauba na karle dusare aimmaoon ke nasdiq qatal hai.
Namaz
ke wajib hone ki shartein 5 hain:-
1) Musalman
hona
2) Baligh
hona
. 3) Aakhil
hona
4) Waqt
ka paya jana
5) Auratoon
ka haiz wa nifaas se pak hona
___________________________________________________
Q11)
Namaz ke arkan aur takbeere tehrima se mutaluq tafseel likhte hue batlayiye ke
ghunge aur unpadh par takbeer e tahrima farz hai.
A)
Namaz ke arkan (yani namaz ke faraiz):-
1. Takbeer
e tehrima (yani Allahu Akbar kehna)
2. Qiyam
(yani khada hona)
3. Qirat
(yani kuch quran padhna)
4. Ruku
(yani jhukna)
5. Sujood
(yani naak aur paishani zameen par rakhna)
6. Qaida
e Aakhira (yani namaz ke aakhir mein baithna)
7. Khasdan
namaz khatam karna.
Rukne
awwal Takbeer e tehrima:-
. 1) Takbeer
e tehrima yani namaz shuru karte waqt Allahu Akbar kehna farz hai.
2) Takbeer
e tehrima niyyat karne ke saat hi kehna chahiye.
3) Agar
muqtadi imam ke kehne se pehle akbar ka lafz kehde to namaz na hogi.
4) Takbeer
e tehrima gunge aur anpadh par farz nahi.
__________________________________________________
Q12)
Jamaat ke sifaat aur tarke Jamaat ke uzraat qalam bandh kijiye.
A)
Jama’at ke sifaat 6 hain:-
1) Shart
hai:- Juma
aur eidain ki namazoon me shart hai.
. 2) Sunnat
e maukada hai:- panch waqta namazoon mein jama’at sunnat e
maukada hai.
3) Sunnat
e Kifaya hai:- Namaz e taravih aur namaz e kusoof mein
jama’at Sunnat e Kifaya hai.
4) Mustahab
hai:- Ramazan ke vitr mein jama’at Mustahab hai.
. 5) Makruh
e Tanzihi hai:- Ramazan
ke siva aur zamane ki vitr mein jama’at Makruh e Tanzihi hai.
6) Makruh
e Tehrimi hai:- Namaz
e qusoof mein aur tamaam nawafil mein jama’at Makruh e Tehrimi hai.
Note:-
Sirf auratoon ki jamat jisme imam bhi aurat ho makruh e tehrimi hai.
Tarke
jama’at ke majburiyaan hasbe zail hai:-
1) Bimaar.
2) Masjid
ke jane mein maal wa asbaab ke chori hojane ya kisi dushman ke miljane ya qarz
kha ke miljane ka khawf hona aur qarz ada karne par qadeer na hona.
3) Kisi
mariz ki timaardari mein masroof hona, jabke koi dusara maujood na ho.
4) Khana
tayyar ho aur bhook ka is qadr galba hoke namaz mein dil na lagen ka khauf ho.
5) Paishaab
ya paikhane ki zarurat ho.
6) Khafile
ke chale jane ka khauf ho.
7) Ilme
deen ki mashghuliyat.
8) Budhapa
aisa hona ke chalne phirne se ajizh ho.
9) Na-bina
hona. 10) langada lula hona.
___________________________________________________
Q13)
Sajda sahu ki tareef karte hue tahreer kijiye ke sajda sahu kin suratoon mein
wajib hota hai.
A) Sajda sahu ki tareef:- Sajda
sahu yani namaz mein sahu hone par doo sajde karna wajib.
Sajda
sahu ka tariqa:- Akheer
qaide mein tashahud ke baad dahini taraf ek salam phir kar doo sajde kare phir
baitjaye, phir dobara tashahood padhe phir durood e ibhrahim aur dua e masoora
padhne ke baad dono taraf salam pherdein.
5
cheezoon se Sajda sahu wajib hota hai:-
1) Tagadeeme
rukun:- Jaise
qirat se pehle ruku ya ruku se pehle sajda karna.
2) Taqire
rukun:- Jaise
qaida e oola mein Tashahud se ziada baithjana jiski wajah se tisiri rakat ke
qiyam mein dair hojaye.
3) Takrare
rukun:- Jaise
kisi rakat mein do ruku karna ya teen sajdein karna.
4) Tarke
wajib:- Jaise
qiada e oola chod dena.
5) Tagaiyyare
wajib:- Jaise
ahista padhne ki jagah zorse padhna.
Note:- Sajda sahu ka hukum
farz, wajib, sunnat, nawafil sab namazoon me eksa hai.
___________________________________________________
Q14)
Tajweed ki tareef kijiye, Lehan e jali aur lehan e khafi kisko kehte hai.
A) Tajweed Ki Tareef (تَعْرِیْف کی تَجْوِیْد)
Tajweed ke laghvi mana
sawarna, khoobsurat banana hai aur khurra ki istelah mein jumla khawaeday
mukharara ke saath Quraan-e-majeed ko padhna ka naam tajweed hai.
Lahan-e-Jali
ki tareef:-
Wo lahan hai jisme Qurani
Kalimaat me aaysi ghalati karna ke harf ya harkat badal jane se mane bhi badal
jaye. Ex:- ۔
الْـحـَمْدُ ke
bajaye الہَمْدُ padhna.
Note: Lahan-e-Jali
se aadmi gunahgaar hojata hai aur uski namaaz bhi fasid hojati hain.
Lahan-e-Khafi
ki tareef:-
Ghunna, ikhfa na
karne, madh ki ziyadati aur moota ya baarik padhney ka lehaz na karna Lahan-e-khafi
khelata hai. Isse tilawat e Quran ki zeenat khatam ho jati hai.
___________________________________________________
Q15)
Sahebe nisab ahle khidmaat e sharayiya ka naam sukunat batlate hue batlayiye ke
is kitab ko kiske hukum par murattab kia gaya hai.
A)
Hazrat Maulana Ghulam Mohiuddin alahirahma maulvi kamil jamia nizamia wa qazi
ghanpura zille mahbubnagar ne nisab e ahle khidmat e sharayita ko Hazrat bani e
Jamia Nizamia Anwaar Ullah farooqi alahirrahma ke hukum se murattab farmaya
hai. Jiski ishaat ka ehtemaam mahakuma sadarat e aalia ke zariye kia gaya aur
tamaam riyasat mein iski ishaat aur talim ka intezam farmaya.
Nisab
e ahle khidmaat e sharayiya ki khususiyat:-
Iss kitab ki sabse badi
khususiyat ye hai ke ismein akayidein sahiha ke aalawa Namaz, Roza, Zakat wa
Hajj ke masael ko muqtasaran aur mufeed andaaz mein tarteebwaar andaaz mein
aasaan usuloon ke saath bayan kia gaya hai, jisko mamuli urdu se waqifiyat
rakhne wala bhi ba-aasani samajh sakta hai. Neez ye kitab ek mulla, mauzzin, imam wa khateeb
aur qazi keliye niyamat e uzma hai. Alhamdulillah ab is kitab ko Hindustan ki
muqtalif zubanoo mein maslan telugu aur English mein muntakhil kia gaya aur ye
kitab apne wujood se lekar na sirf aj tak balk eta-subho qiyamat har fared
muslim ke liye rahnuma sabit hogi Allah tala se dua hai ke iske faiz ko sari
dunia mein aam kare aur mauleef e kitaab ko iska ajre azeem ata farmaye aur
bani e Jamia Nizamia Anwaar ullah farooqi alaihirahma ki markhad ko anwaar se
barde aur apke faiz ko mashreeq se magrib taka am farmaye.
___________________________________________________
Q16)
Iqteda ke sahi hone ki shartein likhiye aur wajibat e namaz tehrir kijiye.
A)
Iqteda ki shartein:-
1) Muqtadi ko namaz ki
niyyat ke saath iqteda ki bhi niyyat karna.
2) Imam aur muqtadi dono
ka ek makan mein hona.
3) Imam aur muqtadi dono
ki namaz ka ek hona.
4) Imam ki namaz ka sahi
hona.
5) Muqtadi ka Imam se aage
na khada hona.
6) Muqtadi ko Imam k ek
rukun se dosare rukun mein jaa ne ka Ilm hona.
7) Muqtadi ka qirat ke
siva tamaam arkan mein Imam ke sharike haal rehna.
8) Muqtadi ka
sharayat wa rakan e namaz ki baja-aawari mein Imam se kam ya Imam ke barabar
hona Imam se zaed na hona.
___________________________________________________
Q17)
Isteqbaal e Qibla aur niyyat ke ahkaam tafseel se qalam bandh kijiye.
A)
1) Namaz padhne ki halat mein qible ki taraf moo karna farz hai.
2) Agar koi shakhs qible
ki taraf moo karne se aajiz ho khaw kisi marz ki wajah se ya dushman ki wajah
se ya kisi aur wajah se to uske liye isteqbal e qible shart nahi.
3) Koi shakhs aise jagah
chala jaye ya viraan jungle mein ho aur usko maloom nahi ke qibla kis taraf hai
aur na wa koi motabar musalman hai ke jisse maloom karsake to ayse halat mein
taharri shart hai (gaur wa fikar).
4) Agar koi shakhs bagair
gaur wa fikar ke namaz padhle to namaz durust nahi.
Niyyat:-
1) Niyyat
naam hai namaz mein dakhil hone ke irade ka.
2) Zuban
se alfaaz ka ada karna sharth nahi albatta mustahasan hai.
3) Farz
namaz ki niyyat mein namaz ka tayyun bhi zarori hai, maslan fajr ki namaz ya
zohar ki namaz wagaira.
4) Agar
farz namaz mein qaza hoto ismein farz ke tayyun ke saath din ki taqsees bhi
zarori hai masalan fala din ki zohar fala din ki asar.
5) Rakatoon
ke tadaad ki niyyat shart nahi.
6) Nafil
namaz sunnat aur taravih mein mutlaq namaz ki niyyat kafi hai.
7) Muqtadi
ko apne imam ke iqteda ki niyyat karna bhi shart hai.
8) Imam
ko sirf apni namaz ki niyyat kafi hai.
___________________________________________________
Q18)
Tahiyyatul masjid, tahiyyatul wuzu, Ishraaq, chasth, namaz e tahajjud aur namaz
e isteqara mein se kisi 4 ki wazahat kijiye.
A)
Tahiyyatul Masjid:-
Masjid mein dakhil hone ke
baad baitne se pehle 2 rakat padhna mustahab hai.
Tahiyyatul
wuzu:-
Wuzu ke baad jisam sukhne
se pehle 2 rakat mustahab hai.
Ishraaq:-
Tulu e aftaab ke baad 2
rakatein mustahab hai aur 4 bhi padhte hai.
Chasth:-
Chasth ki kam se kam 2 aur
ziada se ziada 12 rakatein hai. Chasth ka waqt suraj ke achhi tarha nikalne ke
baad se zaqal tak hai.
Tahajjud:-
Tahajjud ki kam se kam 2
aur ausat 4 aur 8 hai aur ziada 12 rakat hai.
Namaz
e Isteqarah:-
Jab koi mushkil masla pesh
aye aur uske karne na karne mein taraddud hoto wuzu karke 2 rakat isteqara
padhna mustahab hai. Khatam namaz ke baad Allah tala ki hamd aur durood e
shareef padh kar dua e isteqara padhe iske baad agar is kaam ke karne par dil
mael hoto wo kaam karle warna na kare, behtar ye hai ke saat martaba tak namaz
e isteqara ki takrar karke kaam shuru kiya jaye.
___________________________________________________
Q19)
Izhaar, Edghaam, Qalb aur Ikhfa ki wazahat kijiye.
A) 1. Izhaar ki taareef:-
Noon ki aawaz ko saaf zaahir kar ke padne ko izhaar
kehte hai. Izhaar ke 6 huroof hai,
inko huruf-e-halaqi bhi kahte hai
Hamzah ( ء ), Haa ( ھ ),
Aain ( ع ), Haa ( ح ),
Ghain ( غ ), Kha ( خ ).
IZHAAR
KA QAIDA:-
Noon saakin yaa taveen ke baad izhaar ke 6 huroof may
se koi harf aye to noon ki awaaz ko
naak mein lay jaaye baghair saaf
zahir kar ke padheinge
أَنْعَمْتَ
|
مِنْهُمْ
|
عَلِیْمٌ حَکِیْمٌ
|
مَنْ ءَامَنَ
|
فَرِیْقًا ھَدٰی
|
عذَابٌ أَلِـیْمٌ
|
مِنْ خَوْفٍ
|
مِنْ غَیْرِ
|
عَلِیْمًا
خَبِیْرًا
|
أَجْرٌ غَیْرٌ
|
قَرِیْبًا عَجَبًا
|
Edhghaam
ki tareef:-
Saakin
harf ko mutaharik harf me dakhil karke padhne ko Edhgham kehte hai. Edhghaam ke 6
huroof hai:-
Yaa( ي
), Raa( ر ), Meem( م ),Laam( ل ), Waw ( و ), Noon( ن ).
2.Edhghaam
ki do khisme hai:-
1) Edhghaam-e-Ma-al-ghunna ( اِدْغَامْ مَع الْغُنَّہ )
2) Edhghaam–e-Bila ghunna ( اِدْغَامْ بَلا غُنَّہ )
Ghunna: غُنَّہ Aawaz
ko naak me ghuma kar padhne ko ghunna kehte hai.
Edhghaam-e-ma
Al -Ghunna
ke 4 huroof hai:-
Yaa ( ي ), Noon( ن ), Meem( م
),Waw( و ).
Edhgham-e-
ma al-ghunna ka Qaida:-
Noon saakin ya tanveen ke baad edhgham ma-al-ghunna ke 4 huroof mey se koi harf aye
to edhghaam ma-al-ghunna hoga.
مِنْ وِّالٍ
|
مِنْ مِّثْلِهٖ
|
مِنْ نَّبِـیٍّ
|
مَنْ یَّعْمَلُ
|
Edhghaam Bilaa
Ghunna ka Qaida:-
Noon saakin ya taveen ke baad laam ( ل ), aur Raa (ر ) mey say aaye koi harf aye to edhghaam bila-ghunna hoga
فِی بَحْرٍ لُّـجِـیِّ
|
أَمَّنْ لَّا
|
غَفُوْرًا رَّحِـمًا
|
مِنْ رَّبِّھِـمْ
|
Note:-
Noon-e-sakin ke baad yaa ( ي ), Waw ( و ), meem ( م ) ek hi kalime mein
vaakhe hone ki vajah se edhghaam aur ghunna nahi hoga, balke noon ka izhaar hoga.
صِنْوَانٌ
|
قِنْوَانٌ
|
بُنْیَانٌ
|
دُنْیَا
|
3.QALB
KA QAIDA:-
1) Qalb
ki tareef:-
Noon ki aawaz ko meem ( م ) se badal kar padhne ko Qalb kahte hai.
2) Qaida
:-
Noon saakin ya taveen ke baad baa
( ب ) aye to noon ki aawaz ko
meem (م ) se badal kar ghunne ke saath padheinge
قَوْمًۢا بِجَھَالَةٍ ۔۔قَوْمَمْ بِـجَھَالَةٍ
|
تَنْۢبُتُ ۔۔ تُـمْبُتُ
|
مِنْ بَۢعْدِ ۔مِـمْبَعْدِ
|
4.IKHFAA
KA QAIDA:-
1) Ikhfaa
ki tareef:-
Noon ki aawaz ko naak me chupa kar padhne ko ikhfaa kehte hai.
2) Ikhfaa
ke huroof:-
Ikhfaa ke 15 huroof hai. )Huroof-e-Izhaar,
Huroof-e-Edhgham, Huroof-e-Qalb aur Alif ke siva baaqi huroof)
ت ث
ج د ذ ز
س ش
ص ض ط
ظ ف ق ك
3) Ikhfaa
ka Qaida:-
Noon saakin yaa tanveen ke baad ikhfaa
ke 15 huroof me se koi harf aye to noon ki aawaz ko naak me chupa kar ghunne ke
saath padhenge
مِنْ طِیْنٍ
|
تَنْسَوْنَ
|
عِنْدَھُمْ
|
فَأَنْجَیْنٰکُمْ
|
مِنْ ثَـمَرَةٍ
|
أَنْتُمْ
|
___________________________________________________
Q20)
Namaz ki farziyat, ahmiyat, barkaat tehreer karte hue batlayiye ke tarke namaz
ke liye kya kya wayidein hai.
A)
Namaz ki Farziyat, Ahmiyat (Refer form QNo. 8)
Hazrat Aadam alaihissalam
se lekar is waqt tak jitney Ambiya alaihissalam aye sab par namaz farz thee
albatta tadaat aur tariqa e ada mein farq raha. Ab shariyat e Islamia mein jo
tariqa e ada hai wo akmal tareen hai.
Namaz
ke barkaat:-
Namaz Allah tala ke
saath taluqat e bandage ko taza karti hai. Insaan ki zindagi ko pakiza aur
sharifana banati hai, insaan ko tamaam burayiyoon se rookti hai. Huzoor Sallalhu
Alaihiwasallam ka irshad hai, jab koi musalman namaz padhta hai tho uske gunah
iss tarah duur hojate hai jis tarha khareef ke mausam mein darakhtoon se patte
girte hai. Huzoor (SAWS) ne irshad farmaya jis tarah kisi nahar mein rozana 5
dafa ghusul karne ke baad badan par maiel nahi rehta usshi tarha namaz ki
badaulat gunah ki kasafat duur hojati hai. Huzoor (SAWS) ne irshad farmaya ek
namaz se dusiri namaz tak jitney sagheera gunah hote hai sab maaf hojate hai.
____________________________________________________
Q21)
Mufsidaat e Namaz tehreer kijiye.
A)
Mufsidaat e Namaz:-
1) Namaz
mein kalaam karna khasdan ho ya sahwan.
2) Namaz
mein khana pina amadan ho ya bhulkar agarche thodah hiho.
3) Baligh
aadmi ka namaz mein zoorse hasna.
. 4) Amal e kaseer jo namaz ke aamaal mein se naho aur na namaz ki silah ke liye ho.
5) Namaz
mein kisi aurat ka mard ke barabar khade rahna.
6) Naapak
cheez pak sajda karna.
7) Bila
uzr qible ki taraf se sina pher dena.
8) Sajde
mein dono paun ka zameen se uthana.
9) Namaz
ke sharayet mein se koi sharth puri na karna. Namaz ke arkan mein se kisi rukun
ka ada na karna.
____________________________________________
Q22)
Sajda e tilawat, sajda e sahu, sajda e shukr ke mutaluq tafseel likhiye.
A)
Sajda e tilawat ka bayan:- Quran e majid ki 14
ayaatoon mein se kisi ek ayat ke padhne ya sunne par 1 sajda wajib hota hai.
Isko sajda e tilawat kehte hai.
Sajda
e tilawat ka tariqa:- sajda
e tilawat doo takbiroon ke darmyan namaz ke sharayat se kiya jata hai, magar
iske liye haath uthane aur tashahud aur salam ki bhi zarurat nahi hai. Sajda e
tilawat mein doo qiyam mustahab aur doo takbireein mustahab hai yane khade ho
kar Allahu Akabar kahe aur sajde mein jaye phir sajda karke Allahu Akbar kah
kar khada hojaye.
Sajda
e tilawat ke wajib hone ke 3 sabab hai:-
1) Ayat
e sajde ki tilawat karna.
2) Sajde
ki ayat ka kisi insaan se sunna.
3) Kisi
ayse shakhs ki iqeda karna jisne ayat e sajda tilawat kiho khaw uski iqteda se
pehle ya uski iqteda ke baad.
Note:- Agar ek hi majlees
mein ek hi ayat e sajda ki baar-baar tilawat ki jaye toh ekhi sajda wajib hoga.
Sajda
e sahu:- (Refer from Qno.13)
Sajda
e shukr:- Sajda
e shukr mustahab hai, uss waqt jabke koi ni’ymat hasil hojaye ya koi musibat
duur hojaye.
Sajda e shukr ka tariqa:- Joh tariqa sajda e tilawat ka hai wohi tariqa sajda e
shukr ka hai.
__________________________________________________
Q23)
Sahebe tarteeb kise kehte hai aur tarteeb sakheet hojane ke baad phir wo
tarteeb kaise laut kar aati hai.
A)
Sahebe tarteeb:- Baligh hone ke baad se jiske zimme 5
namazein khaza na huyiho wo sahebe tarteeb hai.
Tarteeb
3 suratoon mein sakheet hojati hai:-
. 1) Waqt
ki tangi.
2) Khaza
namaz bhool jana.
3) 6
ya 6 se nayed namazoon ka khaza hojana, jab 6 namazein khaza hojaye to tarteeb
sakeet hojati hai, jab puri padhlega to sahebe tarteeb hojayega.
___________________________________________
Q24)
Musafir ki tareef karte hue musafir ke mukammal ahkaam likhiye.
A)
Musafir ki tareef:- Jo shakhs apne watan e asliya watan e
Ikhamat se 3 din ki masafat ke safar ka irada karke apne shahar ki aabadi se
bahar nikal jaye wo musafir hai.
1) 3 din ki masafat
mutawassit chaal se honi chahiye na bahut teez na bahut sust (mutawassit chaal
se murad piyada pa oont ki chaal hai).
Note
1):- Watan
e asli wo maqam hai jaha insaan hamesha rahene ke qasad se boodh bash kare.
Note
2):- Wo
muqam jaha insaan 15 din ya usse ziada rahene ke irade se qiyam kare.
2) Agar koi shakhs iss
masafat ko jo mutawassit chaal se 3 din se kam mein tayy nahi ho sakti kisi
teez raftar sawari (maslan, ghode, tail etc…) ke zariye 3 din se kam mein tayy
karle tabbhi wo musafir samja jayega.
3) Jab musafir apne shahar
ya village ki aabadi se baher nikal jaye usko khasar karna wajib hai. Agar pure
4 rakat padhega tho gunahgar hoga.
4) Musafir ko wapas apne
shaher ki abadi mein dakhil hone tak khasar karna chahiye.
Hasbe
zail suratoon mein musafir 15 din se ziada bhi their jaye toh musafir hi
rahega:-
1) Musafir
ka irada 15 din thairne ka nahi tha magar kisi wajah se thair gaya.
2) Musafir
ne kuch niyyat nahi ki thi balke uska irada fauran hi vapas hone ka tha lekin
ishi pas-se wa pesh mein ziada their gaya.
3) Musafir
ka irada 15 din se ziada thairne ka tha magar woh muqam thairne ke qabil na
raha.
4) Musafir
ne 15 din se ziada thairne ki niyyat ki thee magar 1 muqam mein nahi 2-4
muqamaat mein.
5) Musafir
khud apne safar mein dusere ka taabeho.
Note
1:- Muqeem
ki iqteda musafir ke piche durust hai.
Note
2:- Musafir
bhi muqeem ki iqteda kar sakta hai. Iss waqt khasar nahi karega.
Note 3:- Musafir ka fajar
aur maghrib ki sunnatoon ko tark na karna behtar hai.
__________________________________________________
Q25)
Namaz mein shak aur uske hukum bayan karo.
A)
Agar kisiko namaz mein shak ho ke kitni rakatein padha hai aur uski aadat shak
kin a hoto usko chahiye ke phir shuru se namaz padhe.
Aur agar usko shak hua
karta hoto apne galib guman par amal kare.
Aur agar gumaa e galib
kisi taraf na hoto kami ki janib ko iqteyaar kare maslan usko shakhs hoke pehli
rakat hai ya dusiri rakat hai toh pehli rakat muqarrar kare.
Agar dusiri tisiri rakat
mein shak hoto dusiri rakat muqarrar kare aur akheer mein sajda sahu karle.
Note:- Agar kisi shakhs ko
salaam perne ke baad shak hoto iska etebaar nahi hoga.
_________________________________________________
Q26)
Qaza e umri ka tariq batlaye.
A)
Agar qaza namazein bahut hoon aur usko ada karna chahe to hiss amar ki ta-ayyun
zaruri hai ke kisi din ki qaza padhta hai aur agar ta-ayyun nakar sake tho yuun
niyyat kare ke awwal fajar ki qaza padhata hoon isse pehle din ki fajar uske
zimme se sakit hojayegi phir dusare din issi tarha sab namazein ada hojayegi.
Qaza
namazoon ki wasiyat:-
Agar kisike zimme
qaza namazein baqi ho uska akhiri waqt aa pahunchein aur woh apne warasa ko
wasiyat kar jaye ke mere maal mein se har namaz ke badle sadaqa de toh uske
warasa ko chahiye ke mayyat ke maal ki tihahi se har namaz ke badle sawaser
giyahoon ya uski qimat kisi mohtaj wa miskin ko dede khuda ke fazal se umeed
hai ke farz ka bhooj uske zimme se utar jayega.
__________________________________________________
Q27)
Namaz mein hadas hone ka bayan.
A)
Agar namaz mein hadas hojaye yani wazu tut jaye toh chandh sharut ke paye jane
par namaz batil nahi hoti, balke ishi par bina karna jayez hai, yani jis rukun
mein hadas ho maslan sajde mein toh phir wuzu karke ishi rukun sajde se namaz
shuru ki ja sakti hai. Lekin munfarid ko shuru se padhna afzal hai albatta
muqtadi ya imam ko hadas hoto unko bina yani baqhi namaz jamaat se padhna afzal
hai ba-sharte ye hai ke inko wuzu karke aane tak jamaat maujood rahe warna inko
bhi shuru se padhna afzal hai.
Bina
jayez hone ki shartein:-
1) Hadas
maujibe ghusul na hona balke maujibe wuzu hona.
. 2) Hadas
iqtiyari na hona balke be-iqtiyari hona.
3) Hadas ka nadirul wuqhu rahena balke kasirul waqhu hona.
4) Halat
e hadas mein kisi rukun ka ada na karna.
5) Kisi
rukun ko chalne ki halat mein ada na karna.
. 6) Koi
aysa fail na karna jo namaz ke munafi ho.
7) Koi
aysa fail na karna jiski zarurat naho.
8) Hadas
ke baad bila uzur ba qadre ek rukun ada karne ke tawakkuf na karna.
9) Kisi
pehle hadas ka yaad na aan.
10) Muqtadi ka baqhi namaz
pehli jaga ke siva na padhna jabke jamaat maujood ho.
11) Imam ka na qabil e
imamat shakhs ko khalifa na karna.
. 12) Sahebe tarteeb ko qaza
namaz ka yaad na ana.
Note:- Agar inn sharoot
mein ek bhi nap aye jaye toh bina durust nahi.
_________________________________________________
Q28)
Khalifa karne ke ahkaam batlaye.
A)
1) Agar imam ko hadas hojaye khaw qaida e aakhira mein tashahud ke baad hiho
toh usko chahiye ke fauran hatkar ushi rukun mein kisi muqtadi ko apni jagah
khada karde ta-ke wo baqhi namaz puri kare aur khud hi wuzu karne chale jaye
aisa muqtadi khalifa kehlata hai.
2) Behtar ye hai ke imam
jisko imamat ke layak samajhta ho usko apna khalifa kare aur mudrik ko khalifa
karna ziada acha hai agarche masbooq wa laahek ka khalifa karna bhi jayez hai.
3) Agar Imam kisi ko
khalifa na kare magar muqtadi loog ba-taur khud kisiko khalifa karle ya khud
koi muqtadi aage badhkar imam ki jageh khade jo jaye aur imamat ki bhi niyyat
karle.
__________________________________________________
Imamat Notes for Jamia Nizamia Exam Model Papers Q & A
0 Comments