Arab Duniya Ka Ek Saccha Aur Sabaq Aamoz Waqiya

Arab Duniya Ka Ek Saccha Aur Sabaq Aamoz Waqiya

San 2007 Ki Baat Hai, London Ke Ek Arabi Restaurant Mein Humlog Maghrib Ki Namaaz Se Thodi Der Pehle Dinner Ke Liye Daakhil Hue.

Arab Duniya Ka Ek Saccha Aur Sabaq Aamoz Waqiya

Humlog Hotel Mein Baithe Aur Waiter Order Lene Ke Liye Aa Gaya. Maine Mehmaanon Se Chand Minute Ke Liye Ijaazat Talab Ki Aur Phir Waapas Aa Gaya. Itne Mein Mehmaanon Mein Se Ek Shakhs Ne Sawaal Kiya, "Doctor Saahab, Aap Kahaan Gaye The? Aapne To Badi Taakheer Kar Di. Kahaan The?"

Maine Kaha: "Main Ma'azrat Khwaah Hoon, Dar Asal Main Namaaz Padh Raha Tha.
Usne Muskurate Hue Kaha," Aap Ab Tak Namaaz Padhte Hain? Mere Bhai, Aap To Qadaamat Pasand Hain"

Maine Bhi Muskuraate Hue Poochha : "Qadaamat Pasand? Wo Kyun? Kya Allah Ta'ala Sirf Arabi Mumaalik Mein Hai, London Mein Nahi Hai?"

Usne Kaha : "Doctor Saahab, Main Aapse Kuch Sawaalaat Karna Chahta Hoon Aur Aapse Darkhwast Karta Hoon Ke Aap, Apni Jis Khushaadah Zarfi Ke Liye Ma'aroof Hain Usi Khushaadah Qalbi Se Mujhe Thoda Sa Bardaasht Karenge?

Maine Kaha :" Ji Mujhe To Badi Khushi Hogi Lekin Meri Ek Shart Hai"

Usne Kaha : "Farmayein"

Maine Kaha : "Apne Sawaalaat Mukammal Kar Lene Ke Baad Tumhe Haar Ya Jeet Ka A'iteraaf Karna Padega, Theek Hai?"

Usne Kaha : "Theek Hai, Mujhe Manzoor Hai Aur Ye Raha Mera Wa'adah."

Maine Kaha : "Chalo, Bahas Shuru Karte Hain...... Farmayein?"

Usne Kaha : "Aap Kab Se Namaaz Padh Rahe Hain?"

Maine Kaha : "Saat Saal Ki Umar Se Maine Isko Seekhna Shuru Kiya Aur Nau Saal Ki Umar Mein Pukhta Kar Liya, Tab Se Ab Tak Kabhi Namaaz Nahi Chhoda Aur Aaindah Bhi Inshaa Allah Nahi Chhodunga."

Usne Kaha : "Theek Hai, Marne Ke Baad Agar Aapko Ye Ma'aloom Ho Ke Na Jannat O Jahannum Ka Wajood Hai Na Koi Jazaa O Sazaa Hai, Fir Aap Kya Karoge?"

Maine Kaha : "Tumse Kiye Gaye Ahad Ke Mutaabiq Poori Kushaadah Qalbi Se Tumhare Sawaalon Ka Aakhir Tak Jawaab Doonga.

Farz Karein, Na Hi Jannat O Jahannum Ka Wajood Hoga Na Hi Koi Jazaa O Sazaa Hogi To Hargiz Hi Kuch Na Karoonga, Is Liye Ke Dar Asal Mera Ma'amla Aisa Hi Hai Jaisa Ke A'li Ibne Abu Taalib Raziyallahu Ta'ala Anhu Ne Kaha Tha: "Ilahi Main Ne Tere Azaab Ke Khauf Aur Jannat Ki Aarzoo Mein Teri Ibaadat Nahi Ki Hai Balke Main Ne Isliye Teri Ibaadat Ki Hai Kyun Ki Tu Ibaadat Ke Laayaq Hai."

Usne Kaha: "Aur Aap Ki Wo Namazein Jis Ko Dasyon Saal Se Aap Pabandi Ke Saath Padhte Aa Rahe Hain Fir Aapko Ma'aloom Ho Ke Namazi Aur Benamazi Dono Barabar Hai, Jahannum Naam Ki Koi Cheez Nahi Hai Fir Kya Karenge?"

Maine Kaha: "Mujhe Is Par Bhi Kuch Pachtawa Nahi Hoga Kyun Ke Un Namaazon Ko Ada Karne Mein Mujhe Sirf Chand Minute Hi Lagte Hain Chunache Main Inhe Jismaani Warzish Samjhunga."

Usne Kaha: "Aur Roza! Khusoosan London Mein, Kyun Ke Yahan Roze Ka Waqfa Ek Din Mein 18 Ghante Se Bhi Tajaawuz Kar Jaata Hai?"

Maine Kaha: "Main Ise Roohani Warzish Samjhunga Chunache Wo Meri Rooh Aur Nafs Ke Liye A'ala Tarz Ki Warzish Hai, Isi Tarah Is Ke Andar Sehat Se Jude Bohot Saare Fawaayed Meri Zindagi Hi Mein Mujhe Mil Chuka Hai Aur Kayi Bainul Aqwaami Gair Islami Idaaron Ka Bhi Ye Manna Hai Ke Kuch Waqfe Tak Khana Peena Band Karna Jism Ke Liye Bohot Mufeed Hai Aur Nafa'a Baksh Hai."

Usne Kaha:" Aap Ne Kabhi Sharaab Pi Hai?"
Maine Kaha:" Maine Is Ko Kabhi Haath Tak Nahi Lagaya."

Usne Ta'ajub Se Kaha:" Kabhi Nahi? "

Maine Kaha:" Kabhi Nahi. "

Usne Kaha:" Iss Zindagi Mein Apne Aap ko Sharaab Noshi Ki Lazzat Aur Is Ke Khumaar Ke Suroor Se Mehroomi Ke Baare Mein Kya Kahenge Agar Aap Ke Liye Wahi Zaahir Hua Jo Maine Farz Kiya Hai?"

Maine Kaha: "Sharaab Ke Andar Naf'e se Zyada Nuksaan Hai Aur Main Samjhunga Ke Maine Apne Aap Ko Is Nuksaandeh Cheez Se Bacha Liya Hai Aur Apne Nafs Ko Isse Door Rakha Hai, Chunache Kitne Hi Log Aise Hain Jo Sharaab Ki Wajah Se Beemaar Hogaye Hain Aur Kitne Hi Aise Hain Jinhone Sharaab Ki Wajah Se Apna Ghar Baar Maal O Asbaab Sab Tabaah O Barbaad Kar Liya Hai.

Isi Tarah Gair Islami Idaaron Ke A'alami Report Ko Dekhne Se Bhi Ye Pata Chalta Hai Ke Wo Sharaab Ke Asraat Aur Us Ko Lagataar Peene Ke Anjaam Se Mutanabbeh Karti Hai."

Us Ne Kaha:" Hajj O Umrah Ka Safar Jab Maut Ke Baad Aapko Ma'aloom Hoga Ke Is Tarah Ki Koi Cheez Nahi Hai Aur ALLAH Ta'ala Hi Maujood Nahi Hai?"

Maine Kaha:" Main A'had Ke Mutaabiq Chalunga Aur Poori Kushaadah Zarfi Se Tumhare Sawalaat Ka Jawaab Doonga. Main Hajj O Umrah Ke Safar Ko Ek Khoobsurat Tafreehi Safar Se Ta'abeer Karunga Jiss Ke Andar Maine Hadd Darje Ki Farhat O Shaadmaani Mehsoos Ki Aur Apni Rooh Ko Aalaishon Se Paak O Saaf Kiya Jis Tarah Tumne Is Safar Ke Liye Kiya Hai, Taake Tum Ek Accha Waqt Guzaar Sako Aur Apne A'mal Ke Bojh Aur Ma'moolaat E Zindagi Ki Thakaan Ko Door Kar Ke Apni Rooh Ko Taazgi Faraham Kar Sako."

Wo Mere Chehre Ko Kuch Der Tak Khamoshi Se Dekhta Raha Fir Goya Hua:" Aap Ka Bohot Bohot Shukriya Ke Aapne Mere Sawalaat Ko Badi Kushaadah Qalbi Ke Saath Bardasht Kiya.
Mere Sawalaat Khatam Huye Aur Mai Aapke Saamne Apni Haar Tasleem Karta Hoon."

Maine Kaha: "Tumhara Kya Khayal Hai, Tumhare Haar Tasleem Karne Ke Baad Mere Dil Ki Kya Kaifiyat Hogi???" 

Usne Kaha: "Yaqeenan Aap Khush Honge."

Maine Kaha: "Hargiz Nahi Balki Is Ke Bilkul Ulta......Mai Bohot Dukhi Hoon."

Usne Ta'ajjub se Kaha: "Dukhi?? Kyun??

Maine Kaha:" Ab Tumse Sawal Karne Ki Meri Baari Hai."

Usne Kaha:" Farmayein. "

Maine Kaha:" Tumhari Tarah Mere Pass Dher Saare Sawalaat Nahi Hain, Sirf Ek Hi Sawaal Hai Wo Bhi Bohot Saada Aur Aasaan."

Usne Kaha:" Wo Kya??"

Maine Kaha:" Maine Tumhare Saamne Waazeh Kar Diya Hai Ke Tumhare Mafrooza Ke Waq'e Hone Ke Baad Bhi Main Kisi Tarah Ke Ghaate Mein Nahi Hoon Aur Naa Hi Is Mei Mera Kisi Qism Ka Nuksaan Hai...Lekin Mera Wo Ek Aasaan Sawal Ye Hai Ke Tumhara Us Waqt Kya Hoga Agar Haalaat Tumhare Mafrooza Ke Bar Aqs Zaahir Huwe Yaani Maut Ke Baad Tumhe Ma'aloom Ho Ke ALLAH Ta'ala Bhi Maujood Hai Jannat O Jahannum Bhi Hai Sazaa O Jazaa Bhi Hai Aur Qur'an Ke Andar Bayaan Kiye Gaye Saare Mushahid O Manaazir Bhi Hai Fir Tum Us Waqt Kya Karoge??"

Wo Meri Aankhon Mein Aankhein Daal Kar Khaamoshi Ke Saath Der Tak Dekhta Raha....Aur Fir Waiter Ne Humare Maiz(Table) Par Khana Rakhte Huwe Humari Khaamoshi Ko Toda." Maine Usse Kaha: "Mujhe Abhi Jawaab Nahi Chahiye, Khaana Haazir Hai, Hum Khaana Khaayein, Aur Jab Tumhara Jawaab Tayyar Hojayega To Bara E Meherbani Mujhe Khabar Kar Dena. Hum Khaane Se Farigh Huwe Aur Mujhe Usne Koi Jawaab Nahi Diya Aur Maine Bhi Us Waqt Us Ko Jawaab Ke Liye Koi Takleef Nahi Di....Hum Bohot Hi Saadgi Ke Saath Juda Hogaye.

Ek Mahina Guzarne Ke Baad Usne Mujhse Raabta Kiya Aur Usi Restaurant Mein Mulaqaat Ka Mutalba Kiya. Restaurant Mein Humari Mulaqaat Hui, Humne Ek Doosre Se Haath Milaya Ke Achanak Usne Mere Kaandhe Par Apna Sar Rakh Kar Mujhe Apni Baahon Mein Pakad Kar Rone Laga. Maine Apna Haath Uski Peeth Par Rakha Aur Poocha, Kya Baat Hai Tum Kyun Ro Rahe Ho.

Usne Kaha: "Main Yahan Aapka Shukriya Ada Karne Aur Apne Jawaab Se Aapko Baa Khabar Karne Ke Liye Aaya Hoon.

Bees Saal Se Zyaada Arse Tak Namaaz Se Door Rehne Ke Baad Ab Mai Namaaz Padhne Laga Hoon, Aapke Jumlon Ki Sadaayein Baaz Gasht Mere Zehan O Dimaag Mein Bila Tauqoof Goonjti Hi Rahi Aur Main Neend Ki Lazzat Se Mehroom Hota Raha.

Aapne Mere Dil O Dimaag Aur Jism Mein Aatish Fisha Chhod Diya Tha Aur Wo Mere Andar Asar Kar Gaya.

Mujhe Ehsaas Hone Laga Ke Jaise Main Koi Aur Insaan Hoon Aur Ek Nayi Rooh Mere Jism Ke Andar Harkat Kar Rahi Hai, Ek Be Misaal Qalbi Sukoon Bhi Mehsoos Kar Raha Hoon."

Maine Kaha:" Hosakta Hai Jab Tumhari Basarat Ne Tumhara Saath Chhod diya Ho Tab Un Jumlon Ne Tumhari Baseerat Ko Bedaar Kar Diya Ho?"

Usne Kaha:" Bilkul Aisa Hi Hai....Yaqeenan Jab Meri Basarat Ne Mera Saath Chodd Diya To Un Jumlon Ne Meri Baseerat Ko Bedaar Kar Diya.
Mere Pyaare Bhai Tahe Dil Se Aapka Shukriya."

Is Waqiye Ko Padh Kar Yunhi Mat Guzar Jaayein Balke Usko Nashar Karein. Shaayad Ye Kisi Shakhs Ki Hidayat Ka Zariya Ban Jaaye.

Post a Comment

1 Comments