Nahu Diploma in Arabic Part 6
Solved Model Paper Question and Answer
1. Muannas ki qismein kitne hain, missal se wazahat kijiye.
2. Ism e Ishara qareeb wa bayed zikr kijiye.
3. Kalimaat Istefahaam ki kitne qismein hai ma’a amsaal qalam bandh kijiye.
4. Mafaaeel kitne hain misaloon se wazeh kijiye.
5. Murakkab ki qismein misaloon se bayan karein.
6. Nayeb Faa-il ko aur kya kehte hai? Tareef aur misaal se wazahat kijiye.
7. Ism e Adad ke aytebaar se kitne qismein hai ma’a misaloon ke saath wazahat karein.
Nahu Diploma in Arabic Part 6
A) Muannas ki tareef:- Muannas
wo Ism hai, jismein taanees ki koi alaamat paye jaye. Jaise: Madrasatun (مدرسة), taawilatun (طاولة)
Muannas ki 2 Qisme
hain:- 1) Muannase qiyasi, 2) Muannase samaayi.
1) Muannas e qiyasi:- 1) Muannas e qiyasi wo Muannas hai jismein taanees ki alaamat lafzoon
me hoon.
Jaise:- Talhatun (طلحة), Hamraau (حمراء)
1) Muannas e samaayi:- 1) Muannas e samaayi wo Muannas hai jismein taanees ki alaamat lafzoon
me na hoon.
Jaise:- Ardhun (أرض), Shamsun (شمس)
Zaat ke eitebaar
se Muannase ki 2 Qismein hai:-
1) Muannas e Haqeeqi ki
tareef:- Muannase e haqeeqi wo Muannas hai jiske muqabil
haiwaan muzakkar ho. Jaise:-
Imra-atun (إمرأة) ke muqabil Rajlun (رجل), na-qatun (ناقة) ke muqabil jamalun (جمل)
2) Muannas e ghair Haqeeqi
ki tareef:- Muannase e ghair haqeeqi wo Muannas hai jiske
muqabil haiwaan muzakkar na ho. Jaise:-
Quwwatun (قوة), Zulmatun (ظلمة), Hulwatun (حلوة)
_____________________________________________________________
Q2) Ism e Ishara qareeb wa
bayed zikr kijiye.
A) Ism e Ishara ki
tareef:- Wo Ism hai jis ke zariye kisi muayyan cheez ki
taraf ishara kiya jaye.
Ism e Ishara ki
2 Qismein hain:-
1) Ism e Ishara Qareeb ki
tareef:- Wo Ism hai jiske zariye qareeb ke liye ishara kiya
jayein. Jaise:- Haazaa (هذا), Haazihee (هذه)
2) Ism e Ishara Bayeed ki
tareef:- Wo Ism hai jiske zariye bayed (Duur) ke liye
ishara kiya jayein. Jaise:-
Zaalika (ذلك), Tilka (تلك)
Ismein Ishara 17
hain:-
Zaa (ذا):- Wahid muzakkar ke liye.
Zaani (ذان), Zaini (ذين):- Tasnia muzakkar ke liye.
Taa (تا), Tee (تی), Tih
(ته), Tihee (تھی), Zih (ذه),
Zihee (ذهی):- Wahid muannas ke liye.
Taani (تان), Taini (تين):- Tasnia muannas ke liye.
Olaaayi (اولاء):- Jama muzakkar wa muannas ke liye.
Oolaa (اولى):- Jama muzakkar wa muannas ke liye.
_____________________________________________________________
Q3) Kalimaat Istefahaam ki
kitne qismein hai ma’a amsaal qalam bandh kijiye.
A) Kalimaat Istefahaam 8
hain:-
1) Man (من):- Kaun, Jaise: Man Anta (أنت من) – tu kaun hai.
2) Maa (ما):- Kya, Jaise:
Maa Haazaa (هذا ما) – ye kya hai.
3) MaaZaa (ماذا):- Kya cheez, Jaise: MaaZaa fa’alta (فعلت ماذا) – tu ne kya kiya.
4) Aina (اين):- Kahan, Jaise:
Ainalqalamu (القلم اين) – qalam kahan hai.
5) Mataa (متى):- Kab, Jaise:
Mataa Tazhabu (نذهب متى) – tu kab jayega.
6) Kaifa (كيف):- Kaisa, Jaise:
Kaifa Anta (انت كيف) – tu kaisa hai.
7) LimaaZaa (لماذا):- Kyun, Jaise:
Limaazaa Qatafta (قطفت لماذا) – tu kyun todha.
8) Hal (هل):- Kya, Jaise:
Hal Zaalika Arabiyyun (عربي ذلك هل) – kya wo arabi hai.
_____________________________________________________________
Q4) Mafaaeel kitne hain
misaloon se wazeh kijiye.
A) Mafaaeel 5 hain:-
1) Mafool e Mutlaq ki
tareef:- Mafool e Mutlaq wo masdare mansoof hai, jo guzre
huwe fayeel ke ma-ani mein ho. Jaise:-
Dharabtu Dharban (ضربا ضربت) – Mai Khoob mara.
2) Mafool e Bihi ki
tareef:- Wo ismein mansoob hai, jis par fail ka fail waqhe
ho. Jaise:- Rakibtu Attayyaratu (الطيارة ركبت) – Mai hawayi jahaz mein sawar huwa.
3) Mafool e Fihi ki
tareef:- Jismein faail ka fail waqhe ho aur usko zaraf bhi
kehte hai. Jaise:- Laibtu Nahaaran (نهارا لعبت) – Mai din mein kehla.
4) Mafool e Lahu ki tareef:-
Wo Mafool hai, jiske liye fail ka fail waqhe ho. Jaise:- Dharabtuhoo Taadeeban (تاديبا ضربت) – Mai ne usko adab sikhane ke liye mara.
5) Mafool e Ma’ahu ki
tareef:- Wo Mafool hai, jo waaw e mayiyyat ke ba’ad aayega.
Jaise: Jaa-at-tilmeezu walmahfazata (والمحفظة التلميذ جاء) – Talibe Ilm apne baste ke
saath aayaa.
_____________________________________________________________
Q5) Murakkab ki qismein
misaloon se bayan karein.
A) Murakkab ki Tareef:- Murakkab wo lafz hai, jo 2 ya 2 se ziade kalimoon se milkar bane.
Murakkab ki 2
qisme hain:- 1) Murakkab Mufeed, 2) Murakkab ghair mufid.
1) Murakkab e mufeed ki tareef:-
Wo Murakkab hai jis se puri-puri baat samajh mein aaye. Jaise: Al-Quraanu
kibaatullaahi (کتاب الله القرآن) – Quran Allah ki kitab hai.
2) Murakkab e ghair ki
tareef:- Wo Murakkab hai jis se puri-puri baat samajh mein
na aaye. Jaise: Ghulaamu Zaidin (غلام زید) – Zaid ka Ghulam.
Murakkab e
mufeed ki 2 qisme hain:- 1) Jumla
Khabriya, 2) Inshaayiya
1) Jumla e Khabriya ki
tareef:- Jiske kehne wale ko saccha ya jhuta keh sake. Jaise: Zaidun Jaalisun (زيد جالس) – Zaid baitha hai.
2) Jumla e Inshaayiya ki
tareef:- Jiske kehne wale ko saccha ya jhuta na keh sake. Jaise: Laita Zaidan Haazirun (حاضر زيد
ليت) – Kash Zaid hazir hota.
Murakkab e ghair
mufeed ki 2 qisme hain:- 1) Murakkab
Izafi, 2) Murakkab Touzifi, 3)
Murakkab Binayi, 4) Murakkab Mana Sarf
1) Murakkab Izafi:- Woh Murakkab e gair mufeed hai jiska pehla juz dusare juz ki taraf
muzaaf ho. Jaise: Rasoolullah (الله رسول)
2) Murakkab Touzifi:- Woh Murakkab e gair mufeed hai jiska pehla juz dusare juz ki sifar
bayan karein. Jaise: Waladun
Sawlihun (صالح
والد)
3) Murakkab Binayi:- Woh Murakkab e gair mufeed hai jismein doo ismoon ko mila kar ek kar
liya gaya ho aur usmein koi harf poshida ho. Jaise: Ahada A’shara (عشرہ احد)
Murakkab Mana
Sarf:- Woh Murakkab e gair mufeed hai jismein doo ismoon
ko mila kar ek karliya gaya ho aur usmein koi harf poshida na ho. Jaise: Hazara Mautu (موت ہزار)
_____________________________________________________________
Q6) Nayeb Faa-il ko aur kya
kehte hai? Tareef aur misaal se wazahat kijiye.
A) Nayeb Faa-il ki
tareef:- “Wo Ism hai, jiska Faa-il zikr na kiya gaya ho.
Aur uski nisbat fail majhool ki taraf ki gayi ho.” Usko Mafoolun maa lam
yusamma faayiluhu (فاعلہ یسم مالم مفعول) bhi kehte hai.
Nayeb Faa-il marfu hoga aur tazkeer wa tanees wa ta’adaad hain uska hukum
fail ki tarah hai. Jaise: Futihalbaab
(فتح الباب) – Darwaza khola gaya.
_____________________________________________________________
Q7) Ism e Adad ke aytebaar
se kitne qismein hai ma’a misaloon ke saath wazahat karein.
A) Ismki ba’aytebaar ta’dad
3 qisme hai:- 1) Wahed, 2) Tasnia, 3) Jama
1) Wahed ki tareef:- Wahed wo Ism hai jo ek par dalaalat kare. Jaise: Rajulun (رجل), Imra-atun (امراة)
2) Tasnia ki tareef:- Tasnia wo Ism hai jiske wahed ke aakhir mein alif ma’ qable maftuh ya
yaaye ma’ qable maftuh aur noon e makhsoor padhaya gaya ho take do par dalaat
kare. Jaise: Rajulun (رجل) se Rajulaani (رحلان), Rajulaini (رجلین)
3) Jama ki tareef:- Jama wo Ism hai jiske wahed mein koi tabdeeli ki gayi ho taa-ke doo se
ziada par dalaalat kare. Jaise:
Waladun (ولد) se aulaadun (اولاد)
Diploma In Arabic Course Books
S.No Books
1 Sharah Fiqh - E – Akbar (Click Here)
2 Noor Ul Eizah (Click Here)
3 Arbayeen Fil Hadees (Click Here)
4 Risaleh Deeniyaat (Click Here)
5 Seeratun Nabi (Saws) (Click Here)
6 Nahu (Click Here)
7 Minhaj Ul Arabia 1-3 Parts (Buy)
8 Anwarul Arabia Attatbiqayyah (Buy)
9 Al-Jadeed 1-2 Parts (Buy)
___________________________________________________
0 Comments