Noor Ul Eizah - Diploma in Arabic Part 2
Solved Model Paper Question and Answer
1. Ghusul
ke Faraiz, Sunnatein aur Ghusul ke aadaab, Wuzu ke Faraiz aur jin cheezein se
Wuzu toot ta hai qalam bandh karein.
2. Tayammum
ke Sharayat aur mukammal tariqa likte huye bataye ke pani ek meel duur hone ki
surat mein Tayammum karna kaisa hai.
3. Mashu
alal khuffain (Mauzoo par masah) ki tafsilaat batate huye muqeem aur musafir ke
silsile mein mazkorah bahez tahreer karein.
4. Najasat
e Galiza aur Khafifa mein darj hone wali ashiyaan aur unke ahkam bayan karte
huwe zameen aur talwar ki taharat ka tariqa likhiye.
5. Haiz,
Nifas aur Istehazah ki tareef likhiye aur har ekke ahkam bayan kijiye. Halat e
Haiz aur Nifaas me kitne umur mamnu hai.
6. “Al
miyahul lati yajuzu attatheru bihasaba tu miyahin” iska tarjuma karte huwe pani
ke tamam aksam mufassalan darj kijiye.
7. Moujibaat
e ghusul aur wo cheezein jinse ghusul wajib nahi hota bayan ki jiye.
8. Wuzu,
ghusul aur Namaz ke sharayat, arkan, wajibaat, tayammum ke faraiz aur tariqa
likho.
9. Chote
Kunwe ki paki ke masael aur usmein waqhe hone wali najasat aur ghirne wale
haiwan ke ahwal se saair hasil bahes kijiye.
10. Maye
khaleel wa kaseer ki tafseel aur kunwe ke ahkam likho.
11. Roze ki
tareef, qismein aur faraiz batayiye.
12. Roze ka
kaffara aur uske ahkaam likho.
13. Sajda Sahu ke masael likhiye.
Noor Ul Eizah - Diploma in Arabic Part 2
Q1) Ghusul ke Faraiz, Sunnatein aur Ghusul ke aadaab, Wuzu ke Faraiz aur jin cheezein se Wuzu tootha ahi qalam bandh karein.
A) Ghusul mein 11 cheezein farz hain:-
1. Andar se muh ka
dhona.
2. Naak ka dhona.
3. Naaf ka dhona.
4. Tamaam badan ka
ek martaba dhona.
5. Kaan aur naak ke
surakh ka dhona.
6. Mard ka apne
gundhe huye balloon ke andar ke hisse ka dhona.
7. Dadhi ke niche
ki jild ka dhona.
8. Munchoon ke
niche ki jild ka dhona.
9. Bhaoon ke niche
ki jild ka dhona.
10. Farje kharij ka
dhona.
Ghusul ke Aadaab:-
Wuzu ke jo aadaab
hai wohi ghusul ke aadaab hai, albatta ghusul karne wale qible ki taraf muh na
kare.
Ghusul mein 12 cheezein sunnat hai:-
1.
Allah ke naam se shuru karna.
2.
Ghusul ka irada karna.
3.
Haathoon ka paunchoon tak dhona.
4.
Na-paaki ka dhona agar wo alag alag lagiho.
5.
Sharmgah ka dhona.
6.
Uske baad wuzu karna.
7.
Pure sar ka masah karna.
8.
3-3 martaba pani ko apne tamaam badan par bahana.
9.
Pani bahane mein sar se agaaz karna.
10.
Sarke baal dahena mondha, phir bahena mondha dhona.
11.
Apne badan ko malna.
12. Apne ghusul ko lagataar karna.
Wuzu ke faraiz:- Wuzu mein 4 farz hai.
1.
Chahare ka dhona.
2.
Dono haatoon ka koniyoon samayth dhona.
3.
Dono pairoon ka taknoon samayth dhona.
4. Sar ka masah karna.
12 Cheezoon se Wuzu toottha hai:-
1.
Sabilain se kisi cheez ka nikalna.
2.
Baghair khoon se paidaish hona.
3.
Badan ke kisi hisse se khoon ya peep nikal kar behjana.
4.
Muh bhar qhai karna.
5.
Thook par khoon ka ghalib aana.
6.
Karvat sona.
7.
Behoshi.
8.
Junoon.
9.
Nasha.
10.
Baligh Aadmi ka Namaz mein zoor se khahekha lagana.
11.
Mubashiraat e Fahisha..
12.
Paikhana ya paishab ki rah se kisi cheez ka nikalna.
_____________________________________________________________
Q2) Tayammum ke Sharayat aur mukammal tariqa likte huye
bataye ke pani ek meel duur hone ki surat mein Tayammum karna kaisa hai.
A) Tayammum ke 8 Sharayat hain:-
1. Niyyat karna.
2. Aysa uzr hona jo
Tayammum ko mubah karne wala ho, maslan pani ek meel se duur hona, koi marz ya
sardi ya dushman ka khauf ya Namaz e Janaza ye Eid ki Namaz chootne ka khauf
hona.
3. Masah ki jagah
par aysa masah barna ke baal barabar bhi jagah baqhi na rahe.
4. Paak mitti, ya
pathar, ya zameen ki jins par Tayammum karna.
5. Haath ke aksar
hisse se masah karna.
6. Doo zaroon ke
saath Tayammum karna.
7. Haiz ya Nifaaz
ya hadas ka bandh hona.
8. Aaza e Tayammum
par moom, charbi waghairah ka na hona.
_____________________________________________________________
Q3) Mashu alal khuffain (Mouzoon par masah) ki
tafsilaat batate huye muqeem aur musafir ke silsile mein mazkorah bahez tahreer
karein.
A) Mouzoon par masah karna hadas e asghar me mard aur
aurat dono ko jayez hain.
Mouzoon par masah ke Jayez hone ki 7
shartein hain:-
1. Dono Mouzoon ka
pairoon ko dhone ke baad pahenna.
2. Mouzoon ka
thakhnoo ko chupana.
3. Un Mouzoon ko
pahenkar lagataar 3 ya 4 meel chalna.
4. Donoo Mouzoon ka
kisi phatan se khali hona jo payr ki choti ungiliyoon mein se 3 ungiliyoon ki
migdaar ho.
5. Baghair baandhe
unka pairoon par lag jana.
6. Badan tak pani
ke pahunchne se un donoo ka mane hona yane pani andar na pahuch sake.
7. Haath ki choti
ungiliyoon mein se 3 ungiliyoon ke barabar pair k eagle hisse ka baqhi rehna.
Note:- Muqheem ek din ek
raat tak masah kar sakta hai. Aur musafir 3 din 3 raat tak masah kar sakta hai.
_____________________________________________________________
Q4) Najasat e Galiza aur Khafifa mein darj hone wali
ashiyaan aur unke ahkam bayan karte huwe zameen aur talwar ki taharat ka tariqa
likhiye.
A) Najasat e Galiza hasbe zail hain:-
1. Sharaab.
2. Behne wala
khoon.
3. Murdaar ka
ghosht
4. Murdaar ki
kacchi khaal.
5. Haraam
jaanwaroon ka paishab.
6. Khutte ka
paikhana.
7. Darindoon ka
paikhana.
8. Darindoon ka
luaab thook.
Najasat e Khafifa hasbe zail hain:-
1. Ghode ka
paishaab.
2. Halaal
jaanwaroon ka paishab
3. Haraam parindoon
ki beet.
4. Najasat e Galiza
mein ek dirham ki miqdaar maaf hai.
5. Najasat e
Khafifa mein chauthayi kapde ya chauthayi badan ke barabar maaf hai.
6. Talvaar aur us
jaisi cheezein poch dene se paak hojati.
7. Zameen ssokh jaane
se paak hojati hai, uspar Namaz padhna jayez hai. Al-batta Tayammum karna jayez
hai.
_____________________________________________________________
Q5) Haiz, Nifas aur Istehazah ki tareef likhiye aur har
ekke ahkam bayan kijiye. Halate Haiz aur Nifaas me kitne umur mamnu hai.
A) Farj se Haiz Nifaas aur Istehazah kharij hota hai.
Haiz ki tareef:- Haiz wo khoon hai
jisko aysi baligh aurat ka raham kharij kare, jisko na koi marz ho na hamal ho.
Haiz ki muddat kam se kam teen din aur darmiyani paanch din ziada se ziada das
din hai.
Nifaas ki tareef:- Nifaas wo khoon
hai jo wiladat ke baad kharij ho. Nifaas ki muddat ziada se ziada 40 din hain.
Istehazah ki tareef:- Istehazah wo khoon
hai jo 3 din se kam ya haiz ki surat mein 10 din se ziada ho aur nifaas ki
surat mein 40 din se ziada ho.
Haiz wa Nifaas se 8
cheezein haram hojati hai:-
1.
Namaz.
2.
Roza.
3.
Quran ki ayat ka padhna.
4.
Baghair juzdaan ke Quran ko choona.
5.
Masjid mein jana.
6.
Tawaaf karna.
7.
Jima karna.
_____________________________________________________________
Q6) “Al miyahul lati yajuzu attatheru bihasab a tu
miyahin” iska tarjuma karte huwe pani ke tamam aksam mufassalan darj kijiye.
A) 7 Qisam ke pani se paki hasil karna jayez hai.
1.
Asmaan ka pani.
2.
Samandar ka pani.
3.
Nadi ka pani.
4.
Kuve ka pani
5.
Barf se pigla huwa pani.
6.
Oole ka pani.
7. Chasmein ka pani.
Taharat, najasa, karahiyat ke aytebaar se
pani ki 5 qismein hai.
1.
Wo pani jo khud paak hai aur dusri cheez ko paak karta hai, wo mutalaq pani
hai.
2.
Wo pani jo khud paak hai aur dusri cheez ko karahiyat ke saat paak karne wala
hai, wo pani hai jisko billi ne ya billi jaisa koi jaanwar ne piya ho, jab ke
wo thoda ho.
3.
Wo pani jo khud paak hai magar dusri cheez ko paak karne wala nahi hai wo pani
hai jo istemal kiya gaya ho.
4.
Na paak, yane jismein najasat giriho aur wo pani thaira huwa thoda ho.
5.
Mashqooq, yane wo pani hai jiske paak hone mein shak kiya gaya ho jaise ghade
ka jhota, ya khachaar ka jhota.
_____________________________________________________________
Q7) Moujibaat e ghusul aur wo cheezein jinse ghusul
wajib nahi hota bayan ki jiye.
A) 7 cheezoon se ghusul wajib hota hai:-
1.
Mani ka kharij hona.
2.
Hashfa ka chup jana
3.
Wati ke baad mani ka inzaal hona.
4.
Sone ke baad patle pani ka paya jana.
5.
Nasha aur behoshi se efakhe ke baad tari ka paya jana.
6.
Haiz.
7. Nifaas.
In cheezoon se ghusul wajib nahi hota:-
1.
Mazi.
2.
Wadi
3.
Ehtelaam baghair tari ke.
4.
Wiladat baghair khoon ke.
5.
Moota kapda lappet kar zakr ka dakhil karna.
6.
Hookna
7.
Sabilain mein se kisi ek mein ungli ka dakhil karna.
8.
Kisi jaanwa se wati karna lekin inzaal na ho.
9.
Baakera aurat se Jima karna lekin inzal na ho.
_____________________________________________________________
Q8) Wuzu, ghusul aur Namaz ke sharayat, arkan,
wajibaat, tayammum ke faraiz aur tariqa likho.
A) Wuzu mein 4 farz hai:-
1.
Chehara dhona (Laambayi mein peshani se lekar thuddi ke neeche tak aur choudayi
me donoo kanoo ki lauoon tak).
2.
Dono haath koniyoon samayt dhona.
3.
Sar ka masah karna.
4.
Donoo payr takhnoo samayt dhona.
Ghusul mein 3 Farz hai:-
1.
Kulli wa gharara karna (agar Roza hoto gharara na kare).
2.
Naak mein pani chadakar chidakna.
3.
Tamaam jism mein pani bahana.
Tayammum mein 3 Farz hai:-
1.
Niyyat karna.
2.
Dono haath paak mitti ya paak mitti se bani cheez par maar kar chahre par
malna.
3.
Donoo haath pak mitti ya mitti se bani cheez par maar kar dono haath kohniyoon
samayt malna.
Sharayat e Namaz 7 Hain:-
1.
Badan ka paak hona.
2.
Kapdoon ka paak hona.
3.
Namaz ki jagah ka paak hona.
4.
Satr e aurat ka dhakna.
5.
Qible ki taraf muh karna.
6.
Niyyat karna.
7. Namaz ka waqt hona.
Faraiz e Namaz 7 hain:-
1.
Takbeer e Tahrima yani Allahu Akbar kehna.
2.
Qiyaam yani khada hona.
3.
Qirat yani kuch Quran padhna.
4.
Ruku yani jhukna.
5.
Sujood yani naak aur peshani zameen par rakhna.
6.
Qaida yani Namaz ke aakhir mein baithna.
7. Qasdan Namaz khatam karna.
Wajibaat e Namaz 12 hain:-
1.
Sureh Fateha ka padhna.
2.
Zamme sureh ka padhna,
3.
Sureh fateha ke alawa koi aur surah padhna
4.
Farz Namaz ki pehli doo rakatoon ko qirat ke lia muqarrar karna.
5.
Tarteeb ka lehaz rakhna.
6.
Tadeel e Arkan.
7.
Qaida e Oola.
8.
Tashahud.
9.
Qirat e Jehri.
10.
Namaz ke khatm par “Assalamualaikum wa Rahmatullah kehna.
11. Vitr ki Namaz mein dua e Qunoot padhna.
Qirat
e sirri,
12. Takbeeraat e Eidain.
_____________________________________________________________
Q9) Chote Kunwe ki paki ke masael aur usmein waqhe hone
wali najasat aur ghirne wale haiwan ke ahwal se saair hasil bahes kijiye.
A) Agar kisi chote kunwe mein khoon ya paishab ka khatar
ghir jaye ya khinzeer gir ke zinda nikal jaye ya khutte, bakri ya aadmi ke
marjane se tamaam pani nikala jayega. Agar tamaam pani nikalna mumkin na hoto
200 dool nikale jayeinge.
Murgi ke jaisa koi
jaanwar mar jaye to 40 dool nikale jayeinge.
Chuha ya chuhe ke
jaisa koi jaanwar mar jaye to 20 dool nikalna lazmi hai.
Kuwa, mengani,
makkhi, bichoo ke marne se na-paak nahi hota.
Khacchar, gadha,
shikari parindoo aur waheshi jaanwaroo ke girne se na-paak nahi hota.
_____________________________________________________________
Q10) Maye khaleel wa kaseer ki tafseel aur kunwe ke
ahkam likho.
A) Aabe khaleel wo pani hai jo kaseer na ho yane dah
dardah se kam ho.
Aabe khaleel thodi
si najasat girne se na-paak ho jata hai, maslan ek khatra sharaab ka, ya
paishaab ka ya khoon ka ya zara sa paikhana.
Aabe kaseer wo pani
hai jiski ek taraf harkat dene par dusri taraf uska asar na ho. Jo pani 10 ghaz
lambaan mein aur 10 ghaz chaudaan mein ho wo aabe kaseer hai. Aabe kaseer, aabe
jaari ke hukum mein hai.
Agar aabe kaseer
mein koi aysi najasat gire jo nazar na aati ho maslan sharab ya paishab waghaira
to uske har janib wuzu wa ghusul durust hai aur jo nazar ati ho jaise paikhana,
murda jaanwar waghaira to uski dusri janib ya najasat ki jagah se 4 ghaz hatt
kar wuzu aur ghusul karna chahiye.
_____________________________________________________________
Q11) Roze ki tareef, qismein aur faraiz batayiye.
A) Roze ki tareef:- Subah sadiq se
ghuroob e aftab tak ba-niyyat ibadat khane pine aur jima se baaz rahne ka naam
roza hai.
Roze ke 8 Qismein hai:-
1. Farz e Moayyan:- yane Ramzan ke
adayi roze.
2. Farz e Ghair
Moayyan:-
yane mahe Ramzan.
3. Wajib e Moayyan:- yane nazr e
moayyan ke roze.
4. Wajib e ghair
Moayyan:-
Wajib e ghair Moayyan ke roze aur jin rozoon koo shuru karke toodh diye ho unki
qaza.
5. Sunnat:- Ashore ka roza aur
uske 7vi ka roza bhi, Arfa’ ka roza, ayyam e Baiz- yane har mahine ki 13,14,15
tareeq ke roze.
6. Nafeel:- Shawwal ke 6 roze,
mahe shabaan ki 15vi ka roza, juma ka roza, peer ka roza, jumerat ka roza,
saume dawoodi.
7. Makruh e
Tanzihi:-
Sirf Ashure ka roza rakhna, sirf haft eke din ka roza rakna, hamesha roza
rakhna, aurat ko shohar ki ijazat ke baghair nafeel roza rakhna makruh e
Tanzihi hai.
8. Makruh e
Tehrimi:-
1) Eidul Fitr ke din roza rakna. 2) Eidul Azha ke din roza rakhna. 3) Ayyam e
Tashriq yane Haj ke Mahine ki 11,12,13vi ka roza rakhna.
Roze ke 3 Farz hai:-
1.
Subah sadiq ke tulu se gurub e aftab tak kuch na khana.
2.
Subah sadiq ke tulu se gurub e aftab tak kuch na pina.
3.
Subah sadiq ke tulu se gurub e aftab tak kuch jima na kare.
_____________________________________________________________
Q12) Roze ka kaffara aur uske ahkaam likho.
A) Rozedaar ka aysi cheez ko jo gizha ke taur par
istemaal hoti hai ya dawa ke taur par istemaal hoti ho ya lazzat ke liye
istemaal ki jati hai khasdan khalena ya pilena aur khasdan jima karna.
Agar kisi ne surma
lagaya ya tayl (oil) lagay ya miswak kiya phir ye samjhna ke isse uska roza
tooth gaya hoga, khasdan khaliya piliya ya jima karliya to in suratoon mein
usko qaza aur kaffara wajib hote hai.
Kaffara wajib hone ki shartein:-
1.
Rozedaar ka aakhil wa baligh hona.
2.
Roza mahe Ramzan ka adaa e roza hona.
3.
Roze ki niyyat raat se ki ho.
4. Bimari ya haiz ya nifaas waghaira majboriyaan ke baghair roza todha gaya ho.
Roza todhne ka kaffara ke ahkam:-
1.
Ek ghulam azaad karna.
2.
60 roze rakhna.
3. Agar rozoon ki takhat na hoto 60 miskenoon ke 2 waqt payt bhar khana khilana.
Note:- Agar ek Ramzan mein koi roza todhe ho aur kisi ka kaffara na diya ho to sab keliye ek hi kaffara kafi hai lekin har roze ki qaza alag alag wajib hai.
_________________________________________________________
Q13) Sajda Sahu ke masael likhiye.
A) Sajda Sahu ki tareef:- Sajda Sahu yane
namaz mein galati hone par 2 sajde karna wajib hai.
Sajda Sahu ka
tariqa:- Aakhiri qaiide mein tashahud padhne ke baad dhahine taraf ek salaam
pher kar 2 sajde kare phir bait jaye phir dubara tashahud padhe, Durood e Ibhrahim
padhe dua e Masoora padhe phir dono taraf salaam pher dein.
5 Cheezoon se Sajda Sahu wajib hota hai:-
1. Taqdeem e
Rukun:-
Maslan qirat se pehle rukun karlena, ruku se pehle Sajda karna.
2. Taaqeer e
Rukun:-
Maslan pehle qaide mein tashahud se ziada bait jana jiski wajah se teesri rakat
ke qiyam mein dayr hojaye.
3. Takraar e
Rukun:-
Maslan kisi rakat mein doo ruku karlene ya teen sajde karlena.
4. Tark e Wajib:- Maslan qaida e
oola chodh dena.
5. Tagauyyur e Wajib:- jaise ahista padhne ki jagah pukar kar padhna.
Diploma In Arabic Course Books
S.No Books
1 Sharah Fiqh - E – Akbar (Click Here)
2 Noor Ul Eizah (Click Here)
3 Arbayeen Fil Hadees (Click Here)
4 Risaleh Deeniyaat (Click Here)
5 Seeratun Nabi (Saws) (Click Here)
6 Nahu (Click Here)
7 Minhaj Ul Arabia 1-3 Parts (Buy)
8 Anwarul Arabia Attatbiqayyah (Buy)
9 Al-Jadeed 1-2 Parts (Buy)
___________________________________________________
0 Comments