Arbayeen Fil Hadees - Diploma in Arabic Part 3
Solved Model Paper Question and Answer
2. “Innamal Aamalu Bin Niyyati” “Al-Hadeesul awwal” Al-Ikhlaas is Hadees ka Tarjuma aur tauzi likhiye.
3. “Al-Hadeesu Assaani” Hadees e Jibraeel ke ziman mein Huzoor alaihissalatu wassalaam ke qiyamat ke bare mein Ilm ki naïf karna sahi hai…
4. Islam ki 5 buniyadein kya hai hadees ke alfaz mein naqal karein.
5. Hadees ki roushni mein insane paidaish ke marahel apne alfaz mein likhiye.
6. Hazrat e Ayesha Siddiqha (RZ) ki riwayat hadees no. 5 ki roushni mein sunnat aur bida’at ke farq ko wazeh karein aur batein ke kya miladun Nabi manana aur Isaale sawab ki majalis aur ziyarat e quboor…
7. Insaani Jism mein dil ki kya haisiyat hai Hadees e Shareef ki roushni mein wazeh karein.
8. Deen ko nasihat qarar diya gaya hai nasihat ka kya matlab hai aur ye kis tarha aur kis kis ke liye hai wazeh kijiye.
9. Insaan ki Izzat jaan aur maal kaise mehfooz rah sakte hai is bare mein Islami nuskha likhe.
10. An Abi Hurairata maa nahaitukum anhu fajtaniboohu wamaa amar tukum bihi fa’tuu minhu…
11. An abi muhammadil hasanibni aliyibni abi taalib. Is hadees ka tarjuma tashree bayan ki gayi.
12. Iss Hadees ka tarjuma aur matlab lihiye, neez bataye ke iss Hadees ki raoushni mein cricket, hockey waghaira…
13. Hadees ka tarjuma wa tashree tafsell se likhiye.
14. Hadees no. 17 nakhal karein aeraab lagaye aur tarjuma kare.
15. Hadees ki aoushni mein haya ki ahmiyat wazeh karein…
16. Hadees no 22 nakhal karke uska tarjuma likho…
17. Adaalat mein daawah daaer karne ki surat mein muddaye…
18. Burai ko duur karna hum sabki zimmedari hai…
Arbayeen Fil Hadees - Diploma in Arabic Part 3
Q1)
Imam e Navavi (RA) ke saamne hayaat aur deeni Ilmi karnamoon par ek note
likhiye.
A) Chunke tamaam Aahadees e Mubaraka ko zubani yaad karna
aur zahan mein mahfooz rakhna insane takhat se baher hai. Lehaza ek darmiyani
raastha ekhtiyaar kiya gaya wo yeh ke Umoo e Deen se mutalaq kuch Ahadees yaad
karke unpar amal ki koshish ki jaye aur mazeed zarurat ke liye qutub e ahadees
se madad lijaye. Chunache Nabi e Akram (SAWS) ne Ummat e Muslima ko 40 Aahadees e mubaraka
yaad karne ki targheeb dete huwe irshad farmaya, mera jo ummati deen se mutalaq
40 Aahadees yaad karega Allah ta’la qiyamat ke din use faqih aalim ki surat
mein uthayega.
Qutub e Arabayeein:-
Chunache Syedul
Ambiya (SAWS) ke iss irshaad e girami par amal karte huwe mutakhaddimeen aur
muta-akkhareen ulama ne 40 Aahadees ko jama kiya aur arbayeen ke kayein majmuye
taiyaar hogaye.
Wilaadat aur Husool e Ilm:-
Shaikul Islam
Mohiuddin Imam e Navavi (RA) mahe muharram ke pehle ashare mein san 631 Hijri
mein damishq k eek gaoun mein paida huwe san 649 hijri mein jab ke apki umar 18
saal thi apko walid e majid damishq ke madarse mein legaye. Jahan apne shaafa e
mazhab ki kitaab atambiya 4 mah me yaad karli aur 6 mahmein al-muhazab ka hissa
e Ibadat yaad kiya.
Tasaneef:- Apki chandh tasaneef darj e zail
hai.
1.
Shara Muslim.
2.
Al-Arabyeen
3.
Riyazus Sawliheen
4. Manaqibus Shafayi waghaira.
Aapke Akhlaaq:- Hazrat e Imam e
Navavi (RA) nihayat muttaqhi aur paikare amal shakhsiyat thee. Aapne doo dafa
baitullah ka Haj kiya 14 Rajjab ul Murajjab san 676 hijri mein apka visaal
huwa.
_____________________________________________________________
Q2) “Innamal Aamalu Bin Niyyati” “Al-Hadeesul awwal”
Al-Ikhlaas is Hadees ka Tarjuma aur tauzi likhiye.
A) Hazrat e Umar bin qattab (RA) se riwayat hai wo
farmate haii ke maine Rasool e Kareem (SAWS) ko farmate huwe suna be-shak
a’maal ka sawab ka daromadaar niyyatoon par hai aur bila shuba har shakhs ke
liye wohi kuch hai, jiski usne niyyat ki. Pas jiski hijrat Allah tala aur uske
Rasool (SAWS) ke liye ho uski hijra Allah tala aur uske Rasool (SAWS) ke liye
hi shumaar hogi aur jiski hijrat dunia ke liye ho ke usse hasil kare, ya kisi
aurat ke liye ho ke usse nikah kare to uski hijrat uski taraf shumar hogi jis
taraf usne hijrat ki hai.
Touzi:- Yahan iss baat ki
taraf ishara hai ke jab khaalis niyyat ke baghair itna bada amal bekar hojata
hai. To bashi a’amaal ka kya haal hoga lehaza zaroori hai ke hum acha kaam sirf
aur sirf Allah tala aur uske mehboo (SAWS) ki khushnudi hasil karne ke liye
karein.
_____________________________________________________________
Q3) “Al-Hadeesu Assaani” Hadees e Jibraeel ke ziman
mein Huzoor alaihissalatu wassalaam ke qiyamat ke bare mein Ilm ki naïf karna
sahi hai. Agar nahi to un alfaz se kya sabit hota hai.
A) Hazrat e Umar bin Khattab (RA) se marvi hai wo farmate
hai ek din hum Rasool e Kareem (SAWS) ki khidmat mein baithe huwe thee k eek
shakhs jiske kapde nihayat safayd aur baal bahut siya thee, hamare paas aaya
uss parna to safar ke aasaar dikhayi dete thee aur nahi hum mein se koi usse
pahchaanta tha yahan tak ke wo Rasool e Kareem (SAWS) ke saamne baith gaya,
usne apne ghutne apke ghutne se milaye aur haatoon ko apni ranoon par rakha
phir usne arz kiya aye! Muhammad (SAWS).
1. Mujhe Islam ke bare mein batlayiye Huzoor ne jawab diya Islam ye hai ke tum gawahi doo Allah tala ke siwa koi ma’bood nahi aur Muhammad (SAWS) uske bande aur Rasool hai, Namaz qayam karo zakat ada karo, ramzan ke roze rakho aur baitullah shareef ka haj karo agar uski tara jane ki isteta’at ho. Usne kaha apne sach farmaya, humne uspar ta’joob kiya ke puchta bhi haiaur tasdiq bhi karte hai.
2.
Phir usne kaha mujhe Iman ke bare mein batlayein. Rasool e Kareem (SAWS) ne
farmaya ye ke tum Allah par aur uske farishtoon par aur uski kitaboon par aur
uske Rasooloon par akhirat ke din par aur khair o shar ki taqdeer par Iman
rakho. Usne kaha apne sach farmaya.
Phir usne kaha mujhe ahsaan ke bare mein batayein. Apne irshad farmaya Allah tala ki yoon ibadat karo ke goya tum usse dekh rahe ho aur agar tum nahi dekh rahe ho to wo tumhe zaroo dekh raha hai. Usne kaha aapne sach farmaya.
3. Usne kaha mujhe qiyamat ke bare mein qabar digiye. Rasool e Kareem (SAWS) ne irshad farmay jisse bhi ye sawal kiya jaye wo kisi bhi swal karne wale se ziada nahi jaanta usne kaha to phir qiyamat ke alamat bata dijiye. Apne irshad farmaya qiyamat ke alamat ye hai. 1. Laundi apne aqa ko janegi, 2. Aur tum lange paun lange jism waloon bhokoon aur bhikariya charane waloon ko dekhoge ke wo baland wo bala imaratoon ke wase’e silsile mein ek dusre par fakhr kareinge.
4. Phir wo ajnabi
chala gaya Hazrat Umar farmate hai mai thodi dayr thaira phir Huzoor ne farmaya
aye! Umar jaante ho wo sawalaat karne wala kaun thaa. Maine arz kiya Allah tala
aur uske Rasool behtar jante hai. Rasool e Kareem (SAWS) ne farmaya ye Jibrael
thee jo tumhe tumhara deen sikhane aye thee.
Note:- Qiyamat ka maqsoos
waqt phoshida rakha gaya hai, al-batta uski nashaniya bataye gaye hai. Jin mein
se baaz ye hai.
1. Qurbe qiyamat mein aulad ape maa baap kin a farman ho jategi goya beta aaqa aur maa loundi ki haisiyat mein hongi.
2.
Wo loog jo kisi waqt bhuqe langein thee badi badi imaratein banayeinge aur ek
dusre se aage baadne ki koshih kareinge.
_____________________________________________________________
Q4) Islam ki 5 buniyadein kya hai Hadees ke alfaz mein
naqal karein.
A) Hazrat e Abdullah bin Umar (RZ) se riwayat hai ke
maine Rasool Allah (SAWS) ko farmate huye suna ke Islam ki buniyaad 5 cheezoon
par hai.
1.
Gawahi den eke Allah ke siwa koi ma’abood nahi aur Hazrat Muhammad (SAWS) Allah
ke Rasool hai.
2.
Namaz qayam karna.
3.
Baitullah ka Haj karna.
4.
Ramzan ke roze rakhna.
5. Zakat dene.
Note:- In 5 cheezoon mein
sabse pehli cheez kalmein shahadat hai aur ye baaqi 4 cheezoon ka taluq hai aur
baaqi 4 cheezoon ka taluq ahkam se hai aur ahkam ko ussi waqt qubool kiya jata
hai. Jab hukum dene wale ki hakimiyat ko tasleem kiya jaye, goya kalmein
shahadat ke zariye Allah tala aur use Rasool (SAWS) ki hakimiyat ko tasleem
karne ke baad Namaz, Roza, Zakat aur Haj ki surat mein unke ahkam ko manna
padhta hai.
_____________________________________________________________
Q5) Hadees ki roushni mein insane paidaish ke marahel
apne alfaz mein likhiye.
A) Hazrat e Abdur Rahman bin Masood (RZ) se marvi hai wo
farmate hai hum se Rasool Allah (SAWS) ne bayan farmaya aur aap saadiq hain.
Aapki sadaqat musallamah hai ke tum mein se har ek ka maadda e takhleeq uski
maa ke payt mein 40 din tak nutfeh ki shakal mein jama rahta hai. Phir 40 din
tak jama huwa khoon hota hai, phir 40 din tak ghost ke lotthade ki shakal mein
rahta hai. Phir uski taraf farishta behja jata hai. Jo usmein rooh phoonkta
hai, phir hukum hota hai. 1. Rizq, 2. Maut, 3. Neik bakhti, 4. Badh bakhti.
Qasam us zaat ki jiske siwa koi ma’abood nahi tum mein se ek jannatiyoon wala
amal karta hatta ke uske aur jannat ke darmiyan sirf ek haat ka fasla rah jata
hai toh likhi huwi taqdeer uspar galib aajati hai toh wo jahannamiyoon jaise
aamal karke jahannam mein dakhil ho jate hai.
Aur beshak tum mein
se ek jahannam waloon ki tarah amal karta hai yahan tak ke uske aur jahannam ke
darmiyan ek haat ka fasla rahjate hai taqdee uspar galib aajati hai toh wo ahle
jannat ki tarah amal karke jannat mein dakhil ho jata hai.
Khulasa e Hadees:- Koi bhi apne
a’maloon par naaz na kare jannat mein dakhila mahez Allah tala ki rahmat ki
buniyaad par hoga. Insaan ka takhliqi marahal se guzarna Allah tala ki khudrat
ka ek hairat angeyz karishma hai. Risq, umar, kirdaar, sakhawat wa sa’adat ke
faisle insaan ke paida hone se pehle hi kardiye jate hain.
_____________________________________________________________
Q6) Hazrat e Ayesha Siddiqha (RZ) ki riwayat hadees no.
5 ki roushni mein sunnat aur bida’at ke farq ko wazeh karein aur batein ke kya
miladun Nabi manana aur Isaale sawab ki majalis aur ziyarat e quboor waghair is
Hadees ki roushni mein bida’at karar pate hain ya nahi.
A) Umul Momineen Hazrat e Ayesha Siddiqha (RZ) ne farmaya
jisne hamare deen mein koi aysi baat nikali jiski buniyaad deen mein nahi toh
wo mardood hai. Is Hadees e Paak ke alfaz mein wazeh taur par iss baat ki taraf
ishara hai ke har naya kaam bura aur mardood nahi balke wo kaam mardood hai
jiski buniyaad deen se naho, lehaza Milad un Nabi ki majalis Isaale sawab ke
mukhtalif tariqein shariyat mein inki sala payi jati hai. Lehaza ye aamal
bida’at nahi kehlanyeingein.
Note:- koi aysa kaam deen
samajh kar kiya jaye jiske karne ka hukum kitab wa sunnat mein naho wo shara e
istelah mein bida’at kahlata hai.
_____________________________________________________________
Q7) Insaani Jism mein dil ki kya haisiyat hai Hadees e
Shareef ki roushni mein wazeh karein.
A) Hazrat e Nouman bin Basheer (RZ) se marvi hai wo
farmate hai maine Rasool Allah (SAWS) ko farmate huwe suna hai, beshak halaal
wazeh hai aur haraam bhi zahir hai aur in dono ke darmiyaan kuch umoor hai.
Jinke halaal wa haraam hone mein shak hai bahut se loog unko nahi jaante. Pas
jo shakhs mushtaba umoor se bachao usne apna deen aur apni izzat mahfooz karli
aur jo aadmi mushtaba umoor mein pada goya wo haraam mein padh gaya Huzoor ne
iski ek misaal di hai wo charwaha jo sarkaari charahga ke aas-paas charata hai qareeb hai ke wo
jaanwar us charaga mein charne lage suno bilashuba har badesha ki ek mamnuah
charahgah hoti hai aagah raho Allah tala ki charahgah uski haraam karda ashya
hai. Khabardaar beshak jism mein gosht ka ek tukda hai jab wo sahi hota hai toh
tamaam jism sahi hota hai aur jab wo kharaab hota hai toh pura jism kharaab
hota hai suno wo tukda dil hai.
Khulasa/Note:- Iss Hadees e
shareef mein buniyaadi taur par doo baatoon ka hukum diya gaya hai peli baat ye
hai ke un kaamoon se bacha jaye jinka halaal ya haraam hona wazeh nahi ishi
tarah shube wale kaamoon se bhi bachna chahiye take khahi haraam tak na pahunch
jaye aur dusri baat dil ki safae se mutalaq hai dil ki islaah ki jay eta-ke wo
baaqi azah haraam ya mushtabahaat ke qareeb jane se roke.
_____________________________________________________________
Q8) Deen ko nasihat qarar diya gaya hai nasihat ka kya
matlab hai aur ye kis tarha aur kis kis ke liye hai wazeh kijiye.
A) Hazrat e Abu Rukhaiyya tameem bin huwas dari (RZ) se
riwayat hai ke Nabi e Akram (SAWS) ne farmaya Deen khair khahi hai, hum ne arz
kiya kis ke liye (khair khahi) hai. Apne farmaya Allah ke liye uski kitab, uske
Rasool (SAWS) Musalmanoon ke hukumranoo aur awaam-un-naas ke liye.
Touzi:- Nasihat ke mana
khair qhahi yane khalis karna Allah tala ke liye khair qhahi ka matlab ye hai
ke usse ek ma’bood mana jaye.
Nabi e Akram (SAWS)
se khair qhahi ka matlab ye hai ke apko khuda ka saccha aur akhiri Nabi tasleem
karte huwe apke be-misl ba-shariyat, Nooraniyat, Ilm, ekhtiyaar aur ishi tarha
deegar sifaat ko tasleem kiya jaye.
Musalmanoo
hukumranoo ki khari qhahi ye hai ki acche kamoon mein taaun karte huwe unki
islah ki gaye.
Ishi tarha aam
musalmanoo ki rahnumai karna aur inhe galat kamoon se rokna khair qhahi hai.
_____________________________________________________________
Q9) Insaan ki Izzat jaan aur maal kaise mehfooz rah
sakte hai is bare mein Islami nuskha likhe.
A) Hazrate Abdullah bin Umar (RZ) se riwayat hai ke
Rasoole Akram (SAWS) ne loogoon se ladne ka hukum diya yahan tak ke wo gawahi
de ke Allah ke siwa koi ma’bood nahi aur Muhammad (SAWS) Allah ke Rasool hai.
Namaz qayam karein aur zakat dein aur unka hisab Allah ta’la ke supurd hai.
Touzi:- Jab tak koi shakhs
Islam qubool nahi karta usse ladna aur uske khilaaf jihad karna musalmanoo ki
zimmedari hai. Albatta ye ke wo juziya qubool karke hatiyar rakhde aur jab koi
shakhs tauheed aur risalat ki gawahi deta hai toh uski jaan maal aur izzat
mahfooz hojata hain aur agar koi shakhs musalman hone ke bawajood shayate
hudood ko pamaal karta hai toh wo saza se bach nahi sakta.
_____________________________________________________________
Q10) (منه
تو فا بيهي تكم
أمر ما و فاجتنبوه عنه نهيتكم ما
حرارته أبي عن) An Abi Hurairata
maa nahaitukum anhu fajtaniboohu wamaa amar tukum bihi fa’tuu minhu. Hadees e
Shareef ka tarjuma aur uske faide bayan kihiye.
A) Hazrat e Abu Hurairah Abdur Rahman bin sakhar (RZ) se
riwayat hai wo farmate hai ke maine Rasool e Akram (SAWS) ko farmate huwe suna
ke maine tumhe jis baat se roka hai usse rooke raho aur jis baa ka maine tumhe
hukum diya hai use hasbe takat baja laaoo, beshak tum se pehle logoon ko apne
Ambiya e Kiraam se ba-kasrat sawal aur unse ikhtelaaf ne halaak kar diya.
Hadees ke Faide:-
1.
Rasool e Akram (SAWS) ke ahkamaat par amal paira hone mein hi najaat hai.
2.
Ziada sawalaat ki aadat aur Ambiya ki mukhalifat insaan ko tabah wa barbaad kar
deti hai.
________________________________________________________________
Q11) (عن أبي محمد الحسن إبن علي بن أبي طالب) an abi muhammadil hasanibni aliyibni abi taalib. Is hadees ka
tarjuma tashree bayan ki gayi.
A) Hazrat e Hasan (RZ) se riwayat hai wo farmate hai ke maine Rasool e
Akram (SAWS) se yaad kiya hai ke jo cheez tumhe shak mein dale usse chodh kar
uss cheez ko ikhtiyar karo to tumhein shak mein na dale.
Tashree:- Halaal wa Haraam wazeh hain lekin kuch umoor mustabeh hain jo aadmi
mushabihaat se ijtenaab karta hai (rukhta hai) wo apne deen aur izzat ko
mahfooz karleta hai.
________________________________________________________________
Q12) An Hbi Hurairata Rz.anhu
qaala “qaala Rasoolullaah sallallahu alaihiwasallam min husni Islam almaryi
tarkuhu maa la yaneehi hadeesun hasanun rawaahut tirmizee wa ghairuhu hakazaa”.
Iss Hadees ka tarjuma aur
matlab lihiye, neez bataye ke iss Hadees ki raoushni mein cricket, hockey waghaira
kelne ke bare mein apka kya khiyal hai.
A) Hazrat e Abu Hurairah (RZ) se marvi hai Rasool e Akram (SAWS) ne farmaya
insane ke Islam ki ek qhobi be maqsad kaam ko chod dena hai.
Tashree:-
1.
Fuzuliyaat ko chod dena hi ek accha musalman hone ki alamat hai.
2.
Ek umdah aur behtareen musalman hamesha fuzuliyat se ijtenab karta hai.
3.
La yani kamoon mein wo tamaam kehle shamil hai jin mein sarmaya (paisa) aur
waqt be-inteha zaye kiya jata hai.
_____________________________________________________________
Q13) An abi Hamzata ananibni
maalikin (RZ) khadim Rasoolillahi anninabiyee, qaala yoomin ahadukum hatta
yuhibbaha khihi maa yuhibbu linafsihi rawaahul bukhariyyu wa muslimun. Hadees
ka tarjuma wa tashree tafsell se likhiye.
A) Hazrat e Anas bin Malik (RZ) se riwayat hai Huzoor (SAWS) ne farmaya
tum mein se koi kaamil musalmaan nahi ho sakta ya tak ke wo apne musalmaan
bhai ke liye wo cheez pasand kare jo apne liye pasand karta hai.
Tashree:- Insaan momin kehlane ka haqdaar uss waqt baanta hai jab apne momin bhai
ke liye wohi kuch kare jo apne liye pasand karta hai.
_____________________________________________________________
Q14) Hadees no. 17 nakhal
karein aeraab lagaye aur tarjuma kare. An abee ya’laa shaddaadibni awsin (RZ)
an Rasoolillahi, qaala innallaaha kataba ilaa husaana alaa kulli shaiyin faizaa
qataltum fa-ahsinulqitlata.
A) Tarjuma:- Hazrat e Abu Ya’la shaddaad bin uwas (RZ) Rasool e Akram (SAWS) se
riwayat karte hain ke apne irshad farmaya beshak Allah ta’la ne har cheez mein
husn e sulooq farz kiya hai. Pas tum khatal karo tho ache tarah se khata karo
aur jab tum zubah karo aur chahiye ke tum mein se ek aadmi apni churi teez kare
aur apne zabiha ko araam pahunchaye.
Tashree:- Khatil ko khisaas mein khatal karte huwe hatiyaar aysa hona chahiye ke
fauran khatan ho jaye jaanwar ko zubah karne se pehle pani pilaya jaye, churi
teez ho lekin jaanwar ke saamne teez na karein aur na dusre jaanwar ke saamne
zubah kiya jaye.
_____________________________________________________________
Q15) Hadees ki aoushni mein
haya ki ahmiyat wazeh karein aur bataye ke hadees mein ye aya hai ke jab tujhe
haya nahi jo chahe kar kya iska matlab ye nahi ke ayse admi ko shariyat ne
khulichot dedi agar aysa nahi toh phir iska kya matlab hai.
A) Hazrat e Abu Masood Okhba bin Omer ansari (RZ) se marvi hai wo farmate
hai Rasool e Akram (SAWS) ne farmaya beshak guzishta Ambiya e Kiraam se jo kuch
logoon ne paya us mein se ek baat ye hai ke jab tum haya na karo toh jo chaho
karo.
Touzi:- Rasool e Akram (SAWS) ne haya jaise ala sifat ko barkharar rakhne ka hukum
diya aur batour e tambhi farmaya ke jab tum haya ke zewar se muzaiyyan nahi
rahe toh ab jo chaho karo matlab ye hai ke is zewar ko mat utaro.
_____________________________________________________________
Q16) An abi Abdillahi
jaabirni abdillahi ansari raziyallaahu anhuma an rajulan sa-ala Rasoolallahi
(SAWS) faqaala: aa-raita izaa sallaitu almaktoobaati wa sumtu ramazaana wa
ahlaltul halaalaala wa harramtul harama wa lam azid alaa zalika shaiann
adkhulul-jannata qaala! Na-am”. Hadees no 22 nakhal karke uska tarjuma likho
aur batao ke is hadees ki roushni mein zakat, haj aur jihad ki zarurat baakhi
nahi rehti kya wajah hai.
A) Hazrat e Abu Abdullah Jaber bin Abdullah Ansari (Rz) anhuma se marvi hai.
Ek shakhs ne Rasool e Akram (SAWS) se sawaal karte huwe kaha bataye jab mai
farz namazein ada karoo, mahe ramazan ke roze rakho, halaal ko ektiyaar karoon
aur haraam se bacho aur us par kuch izafa na karoon tho kya main jannat mein
dakhil ho jaounga. Apne farmaya “haan”.
Touzi:- Iss Hadees mein bataya gaya hai ke agar koi shakhs Allah ta’la ke
faraiz baja laye haraam se ijtenaab kare aur halla ashiyaein istemaal kare toh
wo jannat ka mustahaq hai. Agar che wo nafli ibadat na bhi kare. Iski wajah
shayad ye ho ke uss waqt ye dono ibadatein farz nahi huwi thi kyunke namaz
hijrat se pehle farz huwi. Roza san 2 hijri mein aur iske baad ishi saal zakat
farz huwi, jabke haj san 9 hijri mein farz huwa.
_____________________________________________________________
Q17) Adaalat mein daawah
daaer karne ki surat mein muddaye aur muddah alaih par kya zimmedari aaed hoti
hai. Aur agar ye zimmedari na hoti toh kya nuqsan hota. Hadees ki roushni mein
bayan kijiye.
A) Hazrat Abu Sayeed Saad bin Maalik bin sanaan kudri (rz) se riwayat hai
ke Rasool e Akram (SAWS) ne farmaya na khud nuksan uthoa na dusroon ko nuqsan
pahunchaoo.
Touzi:- Iss Hadees shareef mein mashirati aman wa sukun ke liye ek aham hidayat
di gayi hai wo ye ke koi shakhs masher ke kisi bhi farz ko mali wa jani balke
kisi qism ka bhi nuqsan na pahuchaye aur ye ishi surat mein mumkin hai ke har
aadmi dusre ki jaan, maal aur izzat ko ushi tarha mohattaram samjhe jis tarha
apni jaan, maal aur izzat qabil e ahtaram wa hifazat samajhta hai. Hadees
shareef mein jaha dusroon ko nuqsan pahunchane se mana kiya gaya hai wahan khud
nuqsan uthane se bhi roka gaya hai. Matlab ye huwa ke tum itne sada looh na
bano ke loog tumhe nuqsan pahuchate rahe aur tumhe khabar tak na ho ya tum apne
huqooq ke liye kanuni chara joye na karo balke tumhe chahiye ke hushyaar raho
take nuqsan na uthaao.
_____________________________________________________________
Q18) Burai ko duur karna hum
sabki zimmedari hai. Lekin ikhtedaar sirf chand logoon ke paas hota hai. Bakhi
loog ye zimmedari kaise puri kareinge.
A) Hazrat Abu Saad Khudri (Rz) se marvi hai farmate hain maine Rasool e
Akram (SAWS) ko farmate huwa suna ke tum mein se jo shakhs burayi dekhe usse
chahiye ke usko haat se badal de agar uski takhat naho toh zuban se (badale).
Agr uski takhat bhi na rakhta ho toh dil se bura jaane aur ye Iman ka nihayaat
kamzoor darja hai.
Touzi:- Sarkar e doo Alam (SAWS) ki tashreef aawari se pehle islah muaasharah
neki ke faroogh aur burai ke khatemah ka fariza Ambiya e Kiraam alaihim assalam
anjaam dete the. Chuke apko akhiri Nabi bana kar maboos kiya gaya. Lihaza ab ye
zimmedari apki ummat ko soonp di gayi aur ishi buniyaad par isse bahtareen
ummat kharar diya gaya Allah ta’la irshad farmata hai “tum behtareen ummat ho jise logoon ki
bhalayi ke liye paida kiya gaya tum neki ka hukum dete aur burayi se rokhte ho”.
_____________________________________________________________
Arbayeen Fil Hadees - Diploma in Arabic Part 3
Diploma In Arabic Course Books
S.No Books
1 Sharah Fiqh - E – Akbar (Click Here)
2 Noor Ul Eizah (Click Here)
3 Arbayeen Fil Hadees (Click Here)
4 Risaleh Deeniyaat (Click Here)
5 Seeratun Nabi (Saws) (Click Here)
6 Nahu (Click Here)
7 Minhaj Ul Arabia 1-3 Parts (Buy)
8 Anwarul Arabia Attatbiqayyah (Buy)
9 Al-Jadeed 1-2 Parts (Buy)
___________________________________________________
0 Comments