Risaleh Deeniyaat Diploma in Arabic Part 4
Solved Model Paper Question and Answer
1. Ahle Bait Athaar, Ummahatul momineen (Rz) kise kehte hain aur wo kitne hain. Unke asmaa e Mubarak kah kya hain. Phir unmein kisi ek ke halaat e zindagi tafseel se tehreer kijiye.
2. Sahabi, Tabayeen, Tab e Tabayeen ki tareef kya hai. Hasbe zail asmae mubaraka me se kisi doo ke bare me tafseel se bayan kijiye.
3. Hazrat e Syeduna Imam e Hussain (A.S) ke bare mein tafseel se likhiye.
4. Sureh Feel ka Tarjuma aur Tafseer likhiye.
5. Sureh Ikhlaas ka tarjumah aur tafseer likhiye.
Risaleh Deeniyaat Diploma in Arabic Part 4
A) Ahle bait ki tareef:-
Ahle bait Nabi (SAWS) ke ghar waloon ko kaha jata hai. Jin mein Hazrat e
Fatima (Rz anha), Hazrat Ali (Rz anhu) Hazrat e Imam Husan (Rz), Hazrat e Imam
Hussain (Rz), aur Nabi (SAWS) ke Azwaje Mutaharaat bhi shamil hai. Jaisa Quran
e Paak mein Allah ta’la ne irshad farmaya “ Aye Nabi ke gharwaloon khuda ye
chahata haai ke tum se na paaki ko duur rakhe aur tum ko bilkul paak banade”.
Ummul Momineen
Khadijatul Kubra (Rzanha):-
Naam e Mubarak Khadija aapka laqab taherah tha. Hazrat e Khadija ki
pehli shadi Abu haalah se huwi. Inse 2 ladke hind aur haris paida huwe. Abu
haalah ka inteqaal hogaya toh ateeq ke aqde nikah mein aayi. Kuch arse ke baad
ateeq ka bhi inteqaal hogaya.
Maharami Nabavi
mein:-
Syeda Khadija ki daulat wa sarwat aur shareefana aklaaq aur aali nasli
ne tamaam quraish ko apna girvida bana liya thaa aur har shakhs unse nikah ka
arzoo mand tha lekin khud Khadija (rz) ne shaadi ka paighaam Ah-Hazrat (SAWS)
ke paas behja jis ko Huzoor ne manzoori ka sharf bakhsha aur 500 dirham mahar
par aap Huzoor (SAWS) ke aqde nikah mein aayi. Uss waqt Huzoor (SAWS) 25 saal
ke thee aur Hazrat Khadija (RZ) ki umar 40 ki thi.
Huzoor (SAWS) ke paighaam e Risaalat par auratoon mein se sabse pehle
Syeda Khadija (Rz) hi Iman layi.
Hazrat Jibrael (As) ne Huzoor (SAWS) se arz kiya”Khadija ko khuda ka aur
mera salam pahuncha dejiye. Aur unko ek aiwan
Jannat ki basharat dedijiye
Huzoor (SAWS) ko bhi apse be inteha mohabbat thi. Apne Syeda Khadija ki
zindagi mein dusri shadi nahi ki.
Hazrat e Ayesha siddiqua (Rz) ki riwayat hai k eek dafa Huzoor (SAWS) ne
Hazra khadija (Rz) ki tareef in alfaaz mein farmaye.
1.
Wo mujh par Iman layi jab ke aur loog kafir thee.
2.
Unhone meri tasdeeq ki jab ke auroun ne mujh ko jutlaya.
3.
Unhone meri maddad ki jabke koi mera maddadgaar na tha.
4.
Meri aulad unhi se huwi. Hazrat Khadija (Rz) Nikah ke baad 25 baras tak zinda
rahein. 66 saal inteqaal farmaya.
5.
Hazrat Khadija (Rz) ki inteqal ka apko is khaddar sadma pahuncha ke us saal ka
naam aamul hazan (gham ka saal) rakh diya.
Aulaad
Mubraraka:- Syeda bibi Khadijah ke Huzoor se 6 aulaad huwe
2sahebzaade aur 4 sahebzaadiyaan.
1.
Hazrat e Qasim (Rz)
2.
Hazrat e Abdullah (Rz)
3.
Hazrat e Zainab (Rz)
4.
Hazrat e Rukhaiyya (Rz)
5.
Hazrat e Umme Kulsum (Rz)
6.
Hazrat e Fatima tuz Zehra (Rz)
Ummahatul
momineen (Rz) 12 hai:-
1.
Ummul Momineen Hazrat Khadija Kubra (Rz Anha).
2.
Ummul Momineen Hazrat Sawdha (Rz Anha).
3.
Ummul Momineen Hazrat Ayehsa Siddiqua (Rz Anha).
4.
Ummul Momineen Hazrat Hafsa (Rz Anha).
5.
Ummul Momineen Hazrat Masakin Zainab (Rz Anha).
6.
Ummul Momineen Hazrat Umme Salma (Rz Anha).
7.
Ummul Momineen Hazrat Zainab (Rz Anha).
8.
Ummul Momineen Hazrat Juveria (Rz Anha).
9.
Ummul Momineen Hazrat Habeeba (Rz Anha).
10.
Ummul Momineen Hazrat Safiyah (Rz Anha).
11.
Ummul Momineen Hazrat Maimunah (Rz Anha).
12.
Ummul Momineen Hazrat Mariay Qabteh (Rz Anha).
_____________________________________________________________
Q2) Sahabi, Tabayeen, Tab e
Tabayeen ki tareef kya hai. Hasbe zail asmae mubaraka me se kisi doo ke bare me
tafseel se bayan kijiye.
1.
Hazrat Abdullah bin Masood (Rz) ya Hz. Abdullah bin Umar (Rz).
2.
Hazrat Imam e Bukhari (Ra) ya Hz. Imam e Muslim (Ra)
3.
Hazrat Shaikh Abdul Qadir Jilani. Ya Hz. Khwaja Moinuddin chisti (Ra).
A) Sahabi ki
tareef:-
Jinhone bahalat e Iman Huzoor ko dekha ho wo Sahabi hai.
Tabayeen ki
tareef:-
Jinhone bahalat e Iman sahabi ko dekha ho wo Tabayeen hai.
Tab e Tabayeen
ki tareef:
Jinhone bahalat e Iman Tabayeen ko dekha ho wo Tab e Tabayeen hai.
1. Hazrat Abdullah bin
Masood (Rz):- Aapka naam abullah aur walid ka naam masood hai
aap qirat mein bahut ziada maharat rakte thee.
1.
Huzoor ne irshad farmaya ke jo pasand karta ke Quran ko ishi tarha tar o taza
padhna seekhe, jis tarha wo nazil huwi to Abdullah ki itteba kare.
2.
Hazrat e Abullah bin Masood ko hadees ki kaseer malumat thi 848 hadeesein apse
marvi hai.
3.
Abdullah bin Masood Ilm fiqha ke bani samjhe jate hain fiqhe Hanafi ki tarteeb
aap hi ke mukharar karda ussol par amal mein aayi.
4.
Ilm e fiqha ko apse Hazrat ammaar ne hasil kiya aur ammaar se Hazrat Abu Hanifa
ne hasil kia.
5.
Khiyaas sharayi ke qaide mukharar kiye jo aj wasool e fiqha ki bunyad hai.
6.
Hazrat Abdullah ghazwa e badar, ohad, khandhak, hudaigiya, khaibar aur fateh
Makkah mein Huzoor ke saath thee.
7.
Aap san 20 hijri mein kufa ke qazi muqarrar kiye gaye.
8.
Aap kufa se wapas hokar madina pahunche aur san 32 hijri mein 60 saal ki umar
mein apka inteqaal huwa.
2. Hazrat Imam Bukhari
(Ra):- Apka naam Ismail bin Ibhrahim hai.
1. Aap 13 shawwal san 194 hijri mein baad Namaz e Juma Bukhara mein
paida huwe bachpan mein na-bina thee.
2. Walida ki dua ki barkat se ankhein roushan ho gaye.
3. Jimam sahib ki walida ne jab unke liye dua karna shuru kiya toh khwab
mein Hz. Ibrahim (As) ko dekha.
4. Apne farmaya ke tumhari kasrat e dua ki barkat se Allah t’ala ne
tumhare ladke ko binayi wapas kardi.
5. Imam sahib ke walid ka bachpan mein hi inteqaal ho gaya thaa.
6. Haj se faraghat ke baad 18 saal ki umar mein madine ka rukh kiya.
7. Imam Bukhari ke Asaatezah ki tadaad 1080 hai, jo sabke sab mUhuddis
thee.
8. Imam Bukhari se 90,000 aadmiyoon ne Jami e sahi ko suna thaa.
9. Imam sahib nihayat khavi ul Hafizah thee.
10. Imam sahib farmate hai ke mujhe 1 lacs sahi aur 2 lacs ghair sahi
hadeesein yaad hai aur ishi jame-sahi ko maine 6 lacs hadeesein muntakhib kiya.
11. Allah ta’la ne apko duniya ki doulat bhi ata farmaye thi jisko aap
Allah tala ke raste mein kharach karte thee.
12. Aap khud farmate hai ke maine 40 saal tak saalan ka istemal nahi
kia.
13. Imam sahib ko qaid wa bandi ki takleef bhi bardasht karna padha, 62
saal ki umar mein apka inteqaal huwa.
3. Hazrat Syed Abdul
Qadir Jilani (Ra):- Hazrat Syed Abdul Qadir
Jilani najibut-tarafain Syed hai. Apke walid ka naam abu saleh Musa aur walida
majida ka naam Ummul Khair Fatima.
1. Hazrat Ghouse Azam ka asal naam Hazrat Syed Abdul Qadir Jilani hai.
Kuniyat Abu Muhammad hai, laqab Mohiuddin hai magar aamatul Muslimeen mein aap
Mahboob e Subhani, Ausus-sakhalain aur Ghousul Azam ke naam se mashoor hai.
2. Apka silsila e nasab walide majid ki taraf se gyarah wastoon se aur
madare mohtarmah 14 wastoon se Ameer ul Momineen Hazrat Ali (Rz) waaste tak
pahunchata hai. Aap walid e majid ki nisbat se hasani hai, aur walida ki taraf
se husaini hai.
3. Hazrat Syed Abdul Qadir Jilani khabah e Jilaan mein yakum Ramzan
barooz Juma tul Mubarak san 470 hijri mutabiq san 1075 esvi ko paida huwe.
4. Hazrat Ghousul Azam paida huwe toh apke shanaye Mubarak par
Nabi-e-Akram (SAWS) ke khadam Mubarak ka nakhsh moujood tha. Jo apke Wali e
Kamil hone ki daleel thaa.
5. Apke walidain ko Allah ta’la ne aalim khwaab mein bashaart di jo
ladka tumharein ha paida hoga sultan ul Auliya hoga uska mukhalif gumrah aur
badh-deen hoga.
6. Jis raat Hazrat Syed Abdul Qadir Jilani ki wiladat huwi, uss raat
Jilaan shareef ki jin auratoon ke yahan bache paida huwa un sab ko Allah tala
ne ladka hi ata farmaya aur wo har ladka Allah ka wali bana.
7. Hazrat sheikh Abu Sayeed Mubarak ne apko khirkha e vilayat pahnaya
aur farmaya, aye! Abdul Qadir ye khirkha janab e Sarwar e Kayinaat Rasool e
Maqbool (SAWS) ne Hazrat Ali ko ata farmaya unhone khwaja Hasan Basri ko ata
farmaya aur unse dast ba dast mujh tak pahuncha.
8. Hz Sd Ghousul Azam 40 saal makhlooq ko waaz wa nasihat farmaya.
9. Hazrat Syed Abdul Qadir Jilani ne takmeel mujaheda ke baad dars wa
tadrees ka aaghaaz kiya, madarse mein baaz-aabta tour par tadrees ka bandobast
farmaya. Madarse ke talibe Ilmoon ko khud bhi padate thein, madarse mein rozana
ek sabaq tafsee ka, ek hadees ka, ek fiqah ka aur ek ikhtelaafe aimma e ahle
sunnat aur unke dalai ka hota.
4. Hazrat Khwaja
Moinuddin Chisti (Ra):- Hazrat Khwaja Moinuddin
Hasan (Ra) ki wiladat ba-sa’adat asfahaan mein san 530 hijri mein huwi.
1. Apke walid Syed Ghiyasuddin apne waqt ke ba-kamaal Aalim wa Fazil
muttakhi aur parhezgaar thee, Allah ne Deen ki doulat ke saath saath dunyavi
maal wa mata’a bhi ata kiya thaa.
2. Apka silsial e nasab 10vi pusht mein Hazrat Imam e Hussain (Rz) aur
gyravi pusht mein Hazrat Ali (Rz) se jakar milta hai, iss tarha Hazrat
Mohiuddin (Ra) syed ut tarafain thee. Hazrat Abdul Qadir Jilani (Ra) apke maamu
hote hai.
3. Apne 9 saal ki umar mein Quran e Hafiz kiya uske baad Bukhara ke ek
maktab mein.
4. Apne tafseer, hadees aur fiqha ki tafheem hasil ki aur thode hi arse
mein kafi Ilm hasil karliya.
5. Bachpan himein walid ki shafkhatoon se aap mehroom huwe san e
bulughat ko pahunch ne se pehle hi apki walida se bhi mahroom huwe.
6. Aap san 552 hijri mein haarvan pahunche wahan apne khwaja Usmaan (Ra)
se baite salsah ki aur dhaayi saal tak apne peer ki khidmath karte rahe aur
unse rumuze Ilahiya ka dars lete rahein.
7. Khwaja Gharib Nawaz apne peer wa murshad ki khidmath akhadas mein
haazir huwe aur baithe sani se musharraf huwe. Khwaja Gareeb nawaz peer wa
murshad Hazrat khwaja Usman (Ra) ke humrah aashiq ki justaju mein ek bar phir nikal
qadhe huwe.
8. Sabse pehle aap harmain ki ziyarat ke liye rawana huwe Makkah mauzama
mein pahunch ke tawaaf kiye murshad ne shagrid ka haath pakad kar uske haq mein
dua ki.
9. Ghaib se awaz ayi hum ne moinuddin ko qubool kiya.
10. Arkan e Umrah ke baad aap apne mahboob ki akhri aaraam ghah harame
Nabavi (SAWS) mein hazir huwe.
11. Murshid ne kaha salaam karo aapne akhidath ansooun ke saath salam
arz kiya awaz ayi “Walaikumussalaam ya Qutub”.
12. Ye sun kar murshad ne farmaya ab tu darja kamala ko pahunch gaya.
13. Aap Madine Munawwara mein Masjid e Quba mein Ibadat karne aur Ashiqe
Ilahi me sarshaar rahne lage.
14. Ek roz wo Mubarak saa’at bhi aagayi jab apko darbar e Risalat (SAWS)
se bashaarat huwi ke aye! Moinuddin tu mere deen ka moin hai. Maine wilayat e
Hindustan tujh ko ata ki wahan kufr wa zalimat phaili huwi hai tu ajmer ja tere
wajood se zalimat e kufr duur hogi aur rounak pazeer hoga.
_____________________________________________________________
Q3) Hazrat e Syeduna Imam e
Hussain (A.S) ke bare mein tafseel se likhiye.
A) Hussain naam, walid ka naam Ali, walidah Syedatun nisa Fatima tuz zehra
(Rz anha) aap 4 hijri mein paida huwe seene se paun tak Ah-Hazrat (SAWS) ke
bilul mushabah thee.
1. Ah-Hazrat (SAWS) ne farmaya Husain (Rz) mujh se hai aur mai Husain
(Rz) se hoon.
2. Jo shakhs Husain (Rz) ko dost rakhta hai khuda usko dost rakhta hai.
3. Syeduna Imam Husain (Rz) Ilm wa Amal, Zohad wa Takhwa, Judoo wa
sakha, Shuja’at wa Jawa mardi, Sabr wa Shukr, Hilm wa Haya mein kamal rakhte
thee aur mahman nawazi ghurabaparwari mazloom ki eaanath masadeen par raham
karne mein sharah aafaaq thee.
4. Din raat mein ek ek 1000 nawafil ada farmate thee. Roze bhi kasrath
se rakhte, 25 Haj papiyada ada kiye koi sail apke darwaze se na kaam wapas na
hota thaa.
5. Rajjab san 60 hijri mein hazrath Mavia (Rz) ka inteqaal huwa unke
baad yazeed unka janisar huwa jisne Syedina Imam Husain (Rz) se baith lene ki
koshish ki Imam ne uss wajah se ke yazid fasiq wa faajir thaa baith se inkaar
farma diya.
6. Hazrat Imam e Husain (Rz) Muslim ka khat paakar aahel wa aayaal aur
dusre jaanisare Ahabaab ke saath 8vi zilhaj san 60 ko kufa rawana huwe. 7
Moharram san 61 hijri se apke saathiyoon par pani bandh kar diya aur 10
moharram san 61 mein khaadan Nabavi ka aftab, hamesha ke liye ghuroob ho gaya.
7. Hazrat Imam e Husain (Rz) ke 72 aadmi shaheed huwe ibn ziyad ke
lashkar ke 88 aadmi katal huwe.
_____________________________________________________________
Q4) Sureh Feel ka Tarjuma
aur Tafseer likhiye.
A) Tarjuma:- Kya tune nahi dekha ke tere Rab ne haathi waaloon ke saath kya
ma-amalah kiya? Kya (usne) unki chaal ko be-natija nahi kardiya? Aur un par
parindoon ke fauj ke fauj bheje jo unpar kankariyaan pehkhte thee. Aakir unhein
aysa kardiya jaisa khaya huwa bhus.
Tafseer:- Iss surat mein As-haab e feel ka qissa bayan kiya gaya hai jo Ah-Hazrat
(SAWS) ki wilaadat shareef se 25 rooz pehle waqeh huwa thaa. Yamen ke esayi
hakim abrah ne chaha ke arab jo Kaba’ ka Haj kiya karte hai wo sab yamen mein
jama’ huwa karein uss gharz ke liye usne yamen ke mashoor shaher sana-a mein ke
aalishaan kalisa (church) ki buniyaad rakhi.
1. Kalisa ke qareeb Araboon ki jalayi huwi aa se ye aalishaan imarat jal
gayi. Abraha sakth jilaya aur bada lashkar lekar kaba’ ko munhadim karne ke
irade se rawana huwa.
2. Jab uska lashkar kaba’ ke qareeb pahuncha toh samundar ki taraf se sabz
(green) aur zard (yellow) rang ke chote chote parindoon ki takdiya nazar aaye
jiski choonch aur panjoon mein kankiriyaa theee.
3. Ye parinde abraha ke lashkar par kangariya barsane lage.
4. Uske asar se aksar fouji wahein margaye, jo bhaag nikle wo takleef
utha kar raasthe mein halak hogaye.
_____________________________________________________________
Q5) Sureh Ikhlaas ka
tarjumah aur tafseer likhiye.
A) Tarjuma:-
Aap Kehdijiye ke wo Allah ek hai Allah be-niyaaz aur saari makhlooq uski
niyaazmand hain won a kisi ka baap na kisi ka beta aur na koi uska humsaar ya
barabar ka hai.
Tafseel:-
1. (Hu
Wallahu) yani hum jiski bandage karte hai wo Allah hai
ushi mein saare kamaalaat aur qhubiyaan jama hai aur wo tamaam nakhis aur
kharabiyoon se paak hai.
2. (Ahad) wo chand nahi balke yakkatah wa tanha hai.
3. (Samad) wo kisi ka mohtaj wa niyaazmand nahi sab uske mohtaj niyaz
mand hai.
4. (Lamyalid wa Yoolad) hamare saare rishte aur naate uska taaluq humse
hai bilku heech hai.
5. Iss ayat ki taleem se ke wo kisi ka baap anhi saari isaayi duniya ke
shirk ki tardeed hoti hai.
6. Hindustan ke carodoon hinduoun ne aur budhmat waloon ka ye aqida unka
mazhab bann gaya ke khuda e ta’la kisi ka beta bann kar janam leta hai.
7. Allah ta’la ne us ek ayat ki taleem se maghrib wa mashriq ki 2 bahut
badi qaumoon ka mushrikana aqidoon ko jhutla diya.
_____________________________________________________________
Diploma In Arabic Course Books
S.No Books
1 Sharah Fiqh - E – Akbar (Click Here)
2 Noor Ul Eizah (Click Here)
3 Arbayeen Fil Hadees (Click Here)
4 Risaleh Deeniyaat (Click Here)
5 Seeratun Nabi (Saws) (Click Here)
6 Nahu (Click Here)
7 Minhaj Ul Arabia 1-3 Parts (Buy)
8 Anwarul Arabia Attatbiqayyah (Buy)
9 Al-Jadeed 1-2 Parts (Buy)
___________________________________________________
0 Comments