Seerat un Nabi (Saws) Diploma in Arabic Part 5
Solved Model Paper Question and Answer
2. Hazrat Umar Farooq (Rz) ke Musalman hone ka waqia tafseel se likhiye.
3. Waqia Taayeef ka safar bayan kijiye.
4. Uhud ki ladayi kab huwi unmein kya aham waqiat halaat pesh huwi tehreer kijiye.
5. Wahi kise kehte hai aur wo kab aur kahan nazil huwi.
6. Waqia e Hijrat bayan karte huwe “Fazail e Madine Munawwara” aur Hazrat Abu Bakr Siddique (Rz) ke fazail wa munaqibat bayan kijiye.
7. Hazrat e Rasool e Paak (SAWS) ki Makki wa Madani zindagi ke aham waqiyaat muqtasar zikr likhiye.
8. Hamare Huzoor (SAWS) ka akhiri Haj e khutba Hajjatul wida ko tafseel se bayan kijiye.
9. Suleh Hudebiya Ya Jung e Badr ke bare mein tafseel bayan kijiye.
10. Mojeza e Me’raj ko tafseel se likhe.
11. Badr ki ladaye ki wajah kya hai batate huwe “Jung e Badr” tafseel se tehreer kijiye.
Seerat un Nabi (Saws) Diploma in Arabic Part 5
Q1) Hazrat Hamza (Rz) ka
Musalmaan hone ka waqiya bayan kijiye.
A) Nabi e Kareem (SAWS) ke chachaoon mein Hazrat Hamza (Rz) hai. Jo apse chand saal pehle paida huwe thee.
Wo apko bahut chahate thein wo apke razai bhai thee aur badi bahaduri wa deleri
rakhte thee, subah shikaar ke liye jate to sham ghar wapas lout-te thee. Phir
khana e Kaba’ ke tawaaf ke lie aat Quraish ke sardaroon ki mehfil mein baithein
thein.
Ek din ma’mool ke mutabiq jab shikar se wapas loute toh apki behen
“Hazrat Safiya (Rzanha) ne kaha: kya tumhe maloom hai aaj abu jahal ne tumhare
bhatije ke saath kaisa gustakhana bartou kiya? Ye sunn kar Hazrat Hamza (Rz)
apni teer Kaman lekar abu jahal ke paas pahunch gaye aur kamaan se badi khuwwat
ke saath uske sar par mara ke sar phath gaya aur kaha: kyat u nahi jaanta mai
bhi unhi ke Deen par hoon? Ye dekhkar khabila e bani makhzoom ke loog abu jahal
ki madat ke liye aye toh usne ye soonch kar ke kaha bani Haashim se bani
makhzoom ki jung na chidh jaye kaha: chodo maine aaj unke bhatije ko sakth
bartao kara kaha.
Hazrat Hamza (Rz) ne kaha: Mai Allah ta’a ka shukr karta hoon ke, mera
dil Islam aur Hidayat ke liye usne khool diya hai.
_____________________________________________________________
Q2) Hazrat Umar Farooq (Rz)
ke musalman hone ka waqia tafseel se likhiye.
A) Hazrat Hamzah (Rz) Musalman hone ke 3 din baad Hazrat Umar Farooq (Rz)
bhi Iman laye.
1. Waqia iss tarha hai ke aap ek din nangi talwar liye gusse ki halat
mein ja rahe thee, raaste mein Hazrat Nayeem bin Abdullah (Rz) se mulaqaat
huwi, apke Islam ki Hazrat Umar ko qabar nahi thi, pucha: Aye! Umar nangi
talwar liye kahan ja rahe hai. Aapne kaha: Aaj daayiye Islam ka faisala kar
dena chahata hoon! Unhone kaha pehle apne ghar ki qabar loo! Tumhari behan
“Fatima binte Khattab (Rz anha)” aur behnoyi “Sayeed bin Zaid (Rz anhu)
musalmaan ho gaye hai.
2. Aap rukh dabal kar behen ke ghar pahunche aur darwaza qhat-qhataya,
dono ayatein Quraniyah ki tilawat kar rahe thee, fouran tilawat chod kar behan
ne darwaza khola.
3. Hazrat Umra ne gusse mein kaha: Kya tu bhi Musalman ho gayi? Phir
behnoyi ki taraf ja kar unhein zameen par phatakh diya aur seene par sawar
hokar maarne lage. Jab behan rokne ke liye qareeb aayi uneh aysa tamacha mara
ke chahera zakhmi ho kar lutputh ho gaya. Behan ne ba-awaz buland kaha Umar!
Chahe kuch bhi karlo Islam dil se nahi nikal sakta.
4. Apne fouran ghusul kiya aur ayat e Qurania ke Mubarak Aayatein haath
mein liye to nazar sureh Tawha ki ibtedayi aayatoon par padi ayat e Kareema
padhte huwe jism ke rounngte khade ho gaye.
5. Hazrat Umar Farooq (Rz) andar dakhil huwe toh Nabi e Akram (SAWS) ne
farmaya aye Umra! Kya abhi waqt nahi aya hai? Kya baaz nahi aaoge? Islam mein
dakhil ho jao!
6. Hazrat Umar Farooq (Rz) ne ba-awaz buland Touheed wa Risalat ki
gawahi di, tamam muslamanoo ne khushi ke mare na’re takbeer buland kiya uss
mouqhe par Hazrat Jibrail (As) khidmat ba-barkat mein hazir huwe aur arz kia:
Ya Rasool Allah (SAWS).
7. Hazrat Umar Farooq (Rz) ke musharaf ba-Islam hone par tamam aasmaan
waloon ne ek dusre ko Mubarak baadi aur khushiya manayi.
8. Phir Hazrat Umar Farooq (Rz) ki tehreeq par alal alailaan haram e Kaba’
mein musalmanoo ne namaz ada ki.
_____________________________________________________________
Q3) Waqia Taayeef ka safar
bayan kijiye.
A) Nabi e Akram (SAWS) ne Islam ki dawat den eke liye Hazrat Zaid bin
Haris (Rz) ko lekar mahe shawwal mein taayeef ka safar farmaya. “Taayeef Makkah
Muakarrama se 61 kms ke fasle par waqhe hai.
1. Taayeef ke bade maaldaroon mein 3 bhai thee jinka naam aaid ya lael,
masood aur habeeb thaa.
2. Nabi e Akram (SAWS) ne unke pas tashreef le jakar jab dawat e Islam
di toh unhone inkar kiya aur battameezi ki baatein ki aur gunde aur
badhmaashoon ne aap par pathar barsaye jisse apke qadam Mubarak lahu-lahan ho
gaye aur naalain Mubarak khoon se bhar jate us waqt pahadoon ke farishte hazier
khidmat hokar arz kiya aap hukum farmae toh mai pahadoon ko uthakar un logoon
par ulat dunga apne irshad farmaya nahi mai Rahmat banakar bheja gaya hoon.
3. Ishi safar se wapasi ke waqt muqaam nakhli mein jinnat ki ek jama’at
hazier khidmat hokar musharraf ba salaam huye.
_____________________________________________________________
Q4) Uhud ki ladayi kab huwi
unmein kya aham waqiat halaat pesh huwi tehreer kijiye.
A) Ghazwa e Uhud san 3 hijri mein waqhe huwa, “Uhud” Madina taiyyaba k eek
pahadd ka naam hai, ye maureka haq wa batil mein ushi pahaad ke daman mein
waqhe huwa.
1. Musalmanoo ke kaarwan haq ki ta’adad saath sau thi aur quraish ka
lashkar 3,000 afraad par mushtammil thaa.
2. Haq wa Sadaqat ki rah mein jame shahadat nosh karne wale Sahaba e
Kiram ki tadaad 70 thi jab ke batil parastoon ki 30 afrad jahannam raseed huwe.
3. Syedush-Shohada Hazrat Ameer e Hamzah (Rz) Nabi e Akram (SAWS) ke
chachajaan hai apne jam e shahadad nosh farmaya.
4. Phir hindah ne Hazrat Ameer e Hamzah (Rz) ki laash e Mubarak ki be
hurmati ki aur apka shikam e mubarak chaak karke usse jigar ko nikala aur
chabakar nigalna chaha lekin wo nigalna saki.
5. Hazrat Hanzala (Rz) uss maurekah mein shadat ke sharaf se behramand
hogaye. Huzoor ne irshaad farmaya farishte hanzala ko ghusul de rahe hain.
6. Ahle Islam ka parcham mas’ab bin Ameer (Rz) ke haat mein thaa phir
unka daayan haath shaheed hogaya toh apne fouran apne dusre haat se parcham e
Islam ko thaam liya apne Islam ke azeem parcham ko apne seene se laga liya phir
aap par teer se waar kiya gaya aur pane jam e shahadat nosh farmaya.
7. Jung e Uhud mein Hazrat khatadah bin Noman (Rz) ki aankh mein teer
lag gayi Huzoor (SAWS) ne apne dast e karam se aankh uski jagah par rakhdi toh wo
ankh dusri aankh se zyada roushan wa manor hogayi aur sarkar ne unke liye
jannat ki dua bhi farmadi.
8. Mareka e Uhud mein jab Hazrat Abdullah bin jahesh ki talwar toot gayi
toh Nabi e Akram (SAWS) ne unhe kajoor ki chadi inayat farmaye. Jaise hi wo
chadi apne haath mein li wo fouran talwar bangayi.
_____________________________________________________________
Q5) Wahi kise kehte hai aur
wo kab aur kahan nazil huwi.
A) Wahi ki tareef:- Allah ta’la ka hukum jo paighabaroon par nazil huwa karta tha khaw
Jibrael ke zariye ya aur tariqoon se uska naam wahi hai.
Wahi kab aur
kaha nazil huwi:-
1. Ghaar e Hira mein mamool shareef ke mutabiq Muallim e Kayinaat (SAWS)
haq e ta’la ki ibadat zikr wa muraqebah mein mashgool thee. Achanak ek din
Allah ta’la ke hukum se Hazrat Jibrael (As) hazir e khidmat huwe aur arz kiya “IQRA” padheen Nabi e Akram (SAWS) ne
farmaya moi padhne wala nahi.
2. Farishte ne garam joshi ke saat apse muaanekha kiya phir kaha padhein
huzoor ne farmaya mai padhne wala nahi.
3. Iss tarha 3 baar kiya teesri baar “Surah Alaq” ki pehli ayat “IQRA
BISMI RABBIK”. Se paanchoon ayat tak tilawat ki un ayat e karima ko Nabi e
akram (SAWS) le kar apne khashanayein akhdas tashreef laye.
Q6) Waqia e Hijrat bayan
karte huwe “Fazail e Madine Munawwara” aur Hazrat Abu Bakr Siddique (Rz) ke
fazail wa munaqibat bayan kijiye.
A) Waqia e Hijrat:-
1. Nabi e Kareem (SAWS) ki bargah e Akhdas mein Jibrael amen
alaihissalam paigham e Ilahi le kar hazir huwe aur arz kiya ya Rasool Allah
(SAWS)! Aj raat aap bistar par aaraam na farmaye balke Madina Munawwara hijrat
farmaye. Chunanche aain dopahar ke waqt Nabi e Akarm (SAWS) Hazrat e Abu Bakr
(Rz) ke makan tashreef legaye aur Siddiue Akbar (Rz) se farmaya ke Allah ta’la
ne mujhe hijrat ka hukum farmaye hai, Hz. Siddiue Akbar (Rz) ne arz kiya: Ya
Rasool Allah mere maa baap aap par qurban! Mujhe bhi hamrahi ka sharf aata
farmaye take main apki rifaakhhhat ki sa’adat haasil karoon toh Nabi e Akram
(SAWS) ne inhein ijazat marhamat farmaye.
2. Aap (SAWS) ne logoon ki aamanatein Hz. Ali e Murtaza karamallahu
wajhu ke supurd farmakar irshad farmaya: Aye Ali! Aj tum mere bistar par aaraam
karo aur subah ye amaanatein unke malikoon ko pahuncha kar tum bhi Madina
Munawwara chale aana.
3. Bhar tashreef lakar mulaheza farmaya ke kuffar muhaserah kiye huwe
hai. Aap (SAWS) ne ek mitti khak lekar sureh Yaseen ki ibtedaye ayat tilawat
farmaye aur uss majmuye mein poonkh di unke darmiyaan se iss tarah tashreef le
gay eke kisi ko qabar tak na huwi.
4. Makkah Mukarramah se hijrat farmaye aur ishi raat gaar e sour pahunch
gaye.
5. 3 din tak Nabi e Akram (SAWS) ishi gaar mein rounak afroz rahe.
6. Khuda e ta’la ne hifazat ka aysa intezaam kiya ke gaar ke muh par
makdi ne jala taan diya aur kinare par kabutri ne andein de diye.
Hazrat Abu Bakr
Siddiue (Rz):-
1. Siddique Janasheen Mustafa (SAWS) hai, aap afzalul basher baad al
Ambiya hain. Yani Ambiya ke baad makhlooq e khuda mein sab se afzal tareen
insaan hai.
2. Ambiya mein jo mukhaam sarkar 2 jahan (SAWS) ko hasil hai. Wo muqam
Hazrat Siddiue Akbar (Rz) ko Ummat e Mustafa (SAWS) se hasil hai. Quran Majeed
mein aksar jagahoon par Hz Siddiue Akbar (Rz) ki fazilat aur shaan bayan ki
gayi hai.
3. Aur wo muhajireen aur ansaar jinhone Ikhlas ke saath muhajireen aur
ansaar ka itebah kiya (Sureh Taubah; Ayat: 100)
4. Sirf 2 jaan the jab ke wo dono ghar mein thee. Jab mahboob apne yare
gaar se farmate the keg ham na karo beshak Allah hamare saath hai. Mardoon me
sabse pehle aap (Rz) ne hi Islam qubool kiya.
5. Waqia Me’raj ki sabse pehle tasdeeq bhi aap (Rz) ne farmaya aur
siddique ka laqab paya. Ahadees e kareema mein aap (Rz) ke fazail mein 181
Ahadees marvi hai.
6. Sarkar e doo Aalam (SAWS) ne farmaya kul duniya par mere ahsan hai
lekin Abu Bakr (Rz) ke mujh par ahsan hai. Aap (SAWS) ne farmaya baqiyoon ke
ahsanaat mai ne duniya mein chukka diye sirf Siddique (Rz) ke ahsanaat ka badla
qiyamat ko ada karunga.
7. Ek dafa jihad ke mauqe par Ah-Hazrat (SAWS) ne maal talab farmaya Hz
Abu Bakr (Rz) apna asaasa utha laye aur Nabuwat ke khadmoon mein dhyr kar diya
sarkar doo jahan (SAWS) ne pucha Abu Bakr ghar kya chod aaye? Aapne jawab diya
Allah aur uske Rasool ka naam chod aya hoon, baaqi sab kuch le aaya hoon.
8. Aap (Rz) ne wasiyat farmayi ye ki ke mera janaza tayyaar karke Aqa e
Naamdar (SAWS) ke aastaana e Mubarak ke bahar rakh diya jaye. Phir ijazat talab
ki jaye agar ijazat mil jaye to mujhe aap (SAWS) ke pahlo e Mubarak mein dafan
kiya jaye, chunache ijazat talab ki gayi aur awaz ayi mere rafeeq ko andar aane
doo.
Fazael e Madina
Munawwar:-
1. Allah tala ne Nabi e Akram (SAWS) ki hijra ke liye kurra e arz par
Madine ka intekaab kiya. Jab Madina markaz e Islam bana to fatuhaat ke darwaz e
khul gaye.
2. Roza e Akhdas mein zameen ka wo tukda jis se jism nabuwat mas ho raha
hai. Wo arsh se bhi aala wa afzal hai. Roza e akhdas hi wo makaam hai, jahan
subah wa sham 70,000 malayika asmaan se nuzul karke sarkar e doo alam (SAWS) ke
Huzoor durood wa salaam ka nazrana pesh karte hai. Jo farishta haziri ki
sa’adat hasil karta hai qiyamat tak uski bari nahi ayegi.
3. Quran Majeed ka aksar hissa iss sar zameen par nazil huwa.
4. Sartajul Ambiya (SAWS) ne dua farmayein: Aye Allah Makka Mukarramah
ki mohabbat se kayi ziada Madine ki mohabbat hamare diloon me bhar dein. Iski
aab wa hawa ko sehat afza bana de. Madine ke saa’a mein barkat ata farma. Us ke
bukhar ko jahan se muntakhil karke hajfah bhej de.
5. Imamul Ambiya (SAWS) ne ek mouqe par Madine ke liye ek badi hi pur
asar dua farmaye. “Aye Allah Syedina Ibhrahim (As) tere bande khaleel aur Nabhi
thee. Mai bhi tera banda aur Nabi hoon. Jis tarha unhone dua farmaye thi mai
bhi waisi hi dua Madine ki liye mangta hu.
6. Janab e Risalat e Ma’ab (SAWS) ka irshad e karami hai “dajjal, taaoon
aur dabbatul arz qiyamat tak Madine mein dakhil na honge. Madine ke darwazoon
par farishte mahafizat ke faraiz sar-anjam de rahe hai.
7. Syedina saabit bin qais bin shamaas (Rz) se riwayat hai ke ghubbaar
mein marz jazami ke liye shifa hai. Madine ki khakh mein shifa bhi hai shifa’at
bhi yahan ki maut bhi hayatul badhi hai.
8. Allah Ta’la humein Madine ki wo manzilat ata farmaye aur Rasool
(SAWS) ki haziri naseeb farmaye (Aameeeeen).
_____________________________________________________________
Q7) Hazrat e Rasool e Paak
(SAWS) ki Makki wa Madani zindagi ke aham waqiyaat muqtasar zikr likhiye.
A) Makki zindagi ki aham
Jhalkiyaan:-
1. As-haab e Feel ke 55 din baad Makkah Mukarrama mein 12 Rabi ul Awwal
subah sadiq ke waqt paida huwe.
2. Aapki paidaesh se pehle apke walid Hazrat Abdullah wafa’at pagaye.
3. Nabe e Akram (SAWS) ka shaq e sadr jumla 4 martaba huwa.
4. 6 saal ki umar mein walida ka inteqal huwa.
5. 8 saal ki umar meinn dada Abdul Muttalib ka wisal huwa.
6. 2 martaba Mulk e Shaam ka safar farmaya.
7. 25 saal ki umar shareef mein 40 saala khatoon Hz. Khadija (Rz anha)
se nikah hua.
8. Baitullah shareef ki ta’meer mein shareeq rahe aur hajra e aswad ko
apne dast e Mubarak rakha.
9. 40 saal ki umar mein gaar e hira mein khilwat farmaye.
10. 40 saal ki umar mein wahi ka aaghaz huwa.
11. Aailaan e Nabuwat ke chauthe saal alaniya tableeq ka hukum aya.
12. 3 saal tak shoube Abi Taalib mein mehsoor rahe.
13. Islam ki dawat den eke liye Hz. Zaid ko lekar shawwal mein taa’if ka
safar farmaya.
14. 10 Nabavi mein maujeza e shakul qamar pesh aya.
15. 12 Nabavi mein jism e atahr ke saath me’raj huwi.
16. Me’raj ki shab namazoon ka toufa mila.
17. Hijrat ka hukum huwa.
Makki zindagi ki
aham Jhalkiyaan:-
1. Masjid e Quba ki tamer huwi.
2. Masjid e Nabavi shareef ki tamer huwi.
3. Hazrat Ayesha (Rz anha) ki rukhsati huwi.
4. Mahajireen aur ansaar ke darmiyaan bhi bandi huwi.
5. Hazrat Sulaiman Farsi (Rz) ne Islam qubool farmaya.
6. Tahweel e Qible ka hukum aya.
7. Ghazwa e Badar huwe.
8. Dushman e Islam wa dushman e Rasool abu jahal, abu lahab, umme bin
khalf ki halakhat huwi.
9. Roze ki farziyat ka hukum saadir huwa.
10. Zakat ki farziyat ka hukum sadir huwa.
11. Ayat e durood e shareef.
12. Ghawa e Uhud huwi.
13. Huzoor ke chacha Hazrat ameer hamza shaheed huwe.
14. Sharaah haram huwi.
15. Auratoon ke liye pardhe ka hukum huwa.
16. Tayammum ki ijazat mila.
17. Namaz e khouf ka hukum aya.
18. Ghawa e khandaq huwi.
19. Jumla 12 ghazwa’at huwi.
20. Hazrat Khalid bin waleed ne Islam qubool farmaya.
21. Makkah shareef fatah huwa.
22. Hajjatul wida ke mouqe par aap khutba irshad farmaya.
23. Siddique Akbar (Rz) ko Imamat ka hukum hua.
24. Huzoor ko duniya mein rehne ya safar e aakhirat paaz farmane ka
iqtiyaar diya gaya.
25. 12 Rabi ul Awwal ko apka wisal Mubarak huwa.
_____________________________________________________________
Q8) Hamare Huzoor (SAWS) ka
akhiri Haj e khutba Hajjatul wida ko tafseel se bayan kijiye.
A) 1. Hajjatul wida mein 1,24,000 sahab shareeq thee.
2. Us Haj ko Hajjatul Wida isliye kehte hain ke Nabi e Akram (SAWS) ne
us Haj ke khutbe mein apni ummat ko khitab karke alvida farmaya.
3. Usko “Hajjul Balaagh” isliye kehte hain ke Nabi e Akram (SAWS) ne us
Haj ke khutbe mein ahkam e Ilahi pahuncha kar tamaam hazireen se tabligh e
Risalat par gawahi talab farmaye. Unko gawah banaya aur hukum farmaya. Suno! Jo
shakhs hazir hai wo gayeb shakhs ko pahuncha de.
4. Habeeb e paak (SAWS) mah e ziqaada ke aakhir mein baroz jume raat
ghusl farmaya aur tehbadh e Mubarak wa chadar e shareef zebetan farmaye.
5. Masjid e Nabavi mein namaz e zohar ada farmane ke baad Madine
Munawwara se Makke Mukarrama ki janib rawan huwe. Chast ke waqt masjid e haraam
mein tashreef laye.
6. Jab Nabi e Akram (SAWS) hajre aswad ke saamne tashreef laye to hajre
aswad par dast e Mubarak rakh kar usko bosah diya, uske baad kabbatullah
shareef ka tawaf farmaya.
7. Tawaaf ke baad apne maqaam e Ibhrahim ke paas 2 rakat namaz ata
farmaye.
8. Nabi e Akram (SAWS) ne mina mein bhi ek taweel e khutba irshad
farmaya qurbani ada ki.
9. Aapke saath 10 ount thee 63 ount apne banafse nafees zubah farmaya
uske baad apke hukum se Hazrat Ali (Rz) ne baaqi ount zubah farmaye.
10. Qurbani ke ba’ad jab halq karne ka mauqa aya. Halaq ke ba’ad jo
Sahaba e kiraam hazire khidmat thee. Aapne unhein Moye e Mubarak ata farmaye.
11. Phir Hazrat Abu Talha (Rz) ko wo Moye e Mubarak ata farmaye phir
unko hukum farmaya ke sahaba e kiram ke darmiyan moye e Mubarak ko taqseem
kardiye.
12. Tawaaf e ziyarat ke liye makke mukarrama tashreef le gaye, mina
tashreef laye, mina mein 13 zilhaj tak qiyam farmaya har din teeno jamraat ki
rami farmate rahe 13 zilhaj ko makke mukarrama tashreef laye, tawaaf e wadah ke
baad Madine ka irada farmaya.
Khutba e
Hajjatul Wida:-
1. Logoon! Mujh se suno mai tumhein bayan karta hoon kyunke mai nahi
samajhta ke iss saal ke baad iss jagah meri tumse kabhi mulaqaat hogi.
2. Logoon! Yakinan tumhare khoon tumhare maal aur tumhari Izzat tumhare
paas. Qaabil e ahteraam hai jahan tak ke tum apne parwardigar se ja milo.
3. Jis shakhs ke paas koi amanat ho! Wo uss shakhs ko ada kare jisne
uske paas amaanat rakhaye. Jahiliyat ka saraa sood maaf hai, albatta asal maal
tumhara haq hai na tum kisi par zulm ko aur na tum par zulm kiya jaye.
4. Pehla sood jise main maaf karta hu abbas bin abdul muttalib ka sood
ho.
5. Pehla khoon jise mai maaf kar raha hoon mein chacha ke beto ka khoon
hai.
6. Baccha us shakhs ki janib mansoob hoga. Jiski biwi se wo paida hoga
aur haraam kaari karne wale ke liye pathar hai.
7. Aye logoon iske siwa kuch nahi ke tamaam momeen bhai-bhai hai.
8. Tum loog mere baad gumrah matho jao ke apasi jung wa gidal khast wa
khoon mein mubtala raho. Aye! Logoon apne ghulamoon aur bandiyoon ka qiyal
rakho.
9. Aye! Logoon tumhare upar tumhari biwioon ke huqooq wajib hai aur unke
zimme tumhare huqooq hai.
10. Aye logoon! Shaitan iss baat se mayoos hogaya hai kea b tumhari sar
zameen par uski ibadat ki jaye. Tum apne deen ke bare mein shaitan se bachtein
rahoon.
11. Dekho! Apne parwardigar ki ibadat karo 5 waqta namaz ada karo, tum
mah e Ramzanul Mubarak ke roze rakho, khush dili se apne amwal ki zakat doo,
apne rab ke ghar ka haj karo aur apne aimmah wa mara e ki ita’at karo to tum
apne rabki jannat mein dakhil hojayoge.
12. Aye logoon! Mai ne tum me aysi cheez chodi ke jab tak tum use
mazbuti se pakade rahoge mere ba’ad hargiz gumrah na hoge Allah ki kitab Quran
e Majeed aur meri ahle bait aur meri sunnat.
13. Aye logoon! Tumhara Rab ek hai aur tum sab aadam se ho aur kisi
arabi ko kisi azmaye par koi fazilat hasil nahi.
14. Suno! Kya maine paigham diya? Aye Allah! Tu gawah rah, hazireen ne
arz kiya: haan aap ne paigham e haq pahunchadiya.
_____________________________________________________________
Q9) Suleh Hudebiya Ya Jung e
Badr ke bare mein tafseel bayan kijiye.
A) Suleh Hudebiya ya
Fateh Mubeen:-
1. Mushrikeen ki janib se “Sohail bin Umar” name ek shakhs aya. Nabi e
Akram (SAWS) ne farmaya ab tumhara maamla asaan hogaya sohai ne hazir hokar
kaha! Hum aur aap ek muaheda kareinge. Nabi e Akram (SAWS) ne is peshkashi ko
manzoor farmaya.
2. Hazrat Ali (Rz) ne Nabi e Akram (SAWS) ke hukum se suleh nama liha to
sohail ne kaha Muhammed bin Abdullah likhwaya jaye.
3. Nabi e Akram (SAWS) ne farmaya mai Muhammed Rasoolullah bhi hu aur
Muhammed bin Abdullah bhi, phir Hz. Ali (Rz) ko hukum farmaya ke lafze
Rasoolullah ko mitane ki jurrat na kar sake, Nabi e Akram (SAWS) ne unke kamala
e adab ko qubuliyat ata farma kar banafse nafees apne dast e Mubarak se us lafz
ko mitaya. Phir “Muhammad bin Abdullah” ke alfaaz likhe gaye.
4. Muhayeda ki Shratein: Musalman aur
kuffar ke darmiyan 10 saal tak ladayi moukhoof rahegi.
5. Musalmaan iss saal wapas chale jaye, aaindah saal aasakte hain. Lekin
3 din se ziada qiyam nahi kar sakte.
6. Talwar ke siva koi aur hatiyar na laye aur talwar niyam ke ander
rakhe.
7. Makkah Mukarrama mein jo musalman pehle se muqeem hain. Umein se kisi
ko saath na legaye.
8. Kafiroon ya musalmanoo mein se koi Madine tayyaba jaye toh wapas kar
diya jayega. Lekin koi musalman Madine Munawwara se Makkah Mukarrama chala jaye
to wapas nahi kiya jayega.
9. Arab ke qabiloon ko ikhteyar rahega ke wo firihain me se jise chahe
haleef aur dost ban jaye aur jiske saath chahe muhayeda karle.
10. Ye sulah ba-zaheer maghluban e sulah maloom horahi thi. Lekin fil
waqhe ye fatteh mubeen thi.
11. Quran e kareem ne isko fateh mubeen qaraar diya. Tarjuma: Aye! Habeeb (SAWS)
humne aap ke khatir wo shane fatah ata ki.
Q10) Mojeza e Me’raj ko
tafseel se likhe.
A) Mojeza e Me’raj Shareef:-
1. Haq ta’ala ne apne Habeeb e Kareem (SAWS) ki taskin e qalb ki khatir
aur kakhlooq par aap ke qadar wa manzilat aashkar karne ke liye apne qurbe
khaas mein talab kiya, asmanoon ki sair karwayi, jannat wa dozakh ka nazarah
karwaya aur apne diaar se nawaza.
2. Masjid e haraam kaba’ tullah se baitul muqaddas ka safar “asraa”
kehlata hai aur baitul muqaddas se saathoon aasmanoo aur sidratul muntaha se
laa-makan tak ki sair ko “Me’raj” kaha jata hai.
3. Jism e athar war uh e Mubarak ke saath masjid e haraam se masjid e
aqsa tak aur wahan se aasmanoo tak sair ki. Jannat aur dozakh ka mushaheda
farmaya. Aage arsh e Ilahi aur mawaraaye arsh rab ne jahan tak chaha sair
farmaye aur halaat e bedaari mein sar e Mubarak ki muqaddas anhoon se dedaar e
haq e ta’ala ki me’mat se sarfaraz huwe, ye sab raat ke mukhtasar hisse mein
huwa.
4. Me’raj haalat e bidaari mein jism aur ruh ke saath huwi, yahi ahle
sunnat wal jama’at ka mazhab hai.
Waqia e Me’raj
ki tafsilaat:-
1. Mah e Rajjab ki 27 shab, Nabi e Akram (SAWS) khana e kaba’ ke paas
Hazrat Umme hani (Rz anha) ke makaan mein aaraam farma rahe thee. Allah ta’la
ke hukum se Hz. Jibraail (As) lakhoon farishtoon ke saath jinke haatoon mein
Noorani khanilein thi khidmat e babarkat mein haazi huwe aur Hz Jibrail (As) ne
arz kiya! Allah ta’la aap ko salam farmata hai.
2. Nabi e Akram (SAWS) zam zam ke kunwe ke paas tashreef legaye seena e
akhaddas chaak kiya gaya.
3. Aap ko wo jannati libaaz pehnaya gaya aur noorani aamamah sar e
Mubarak par bandha gaya.
4. Sawari ke liye jannat se buraaq laya gaya. Phir uss Mubarak sawari ko
baitul mukhaddas laya gaya.
5. Aap sawari par masjidul aqsa mein dakhil huwe, tamaam Ambiya e
kiraam. Nabi e Akram (SAWS) ke muntazar thee. Sabhoon ne aap ka isteqbaal kiya.
6. Hazraat e Ambiya e Kiraam se mulaqaat ke baad Hz. Jibrail (As) ne
azan kahi, saffeh band li gayi, abhi imamat ka musalla khali thaa. Hz. Jibrail
(As) Nabi e Akram (SAWS) se arz kiya: Ya Rasoolullah (SAWS)! Aage tashreef le
jaayein? Aur saare Ambiya aur Rasooloon ki Imamat kijiye. Chunache apne 2 rakat
namaz padhaye tamam Ambiya e Kiram aur farishtoon ne apki iqteda mein namaz ada
ki. Namaz ke baad ek jalsa munakhid huwa, ek ke baad ek Nabi wa Rasool khade
hokar khutba dene lage.
7. Hz. Isa (As) ke ba’ad hamare Nabi e Arkam (SAWS) uthe aur farmaya
hare k paighambar ne khuda ki tareef ki aura b mai bhi bayan karta hoon.
8. Nabi e Arkam (SAWS) ke saamne 2 bartan laye gay eek bartan mein
“doodh” aur dusre mein “sharab” thi to maine doodh ka bartan liya aur usko nosh
karliya.
9. Nabi e Arkam (SAWS) jab baitul mukhaddas se baher tashreef laye to
wahan zameen se aasmaan take ke khoobsurat seedhi lagayi gayi, seedhi ka ek
hissa zameen par tha aur dusra hissa aasmaan ke darwaze se mila huwa hai.
10. Phir
aasmanoo ki sair shuru huwi:-
11. Pehle aasmaan par Abul Bashr Hz. Syedina Aadam (As) se mulaqaat
huwi.
12. Dusre aasmaan Hz. Isa (As) aur Hz. Yahiya (As) se.
13. Teesre aasmaan pr Hz. Yousuf (As) se
14. Chauthe aasmaan par Hz. Idrees (As) se
15. Paanchwa aasmaan par Hz. Haroon (As) se
16. Chatwa aasmaan par Hz. Musa (As) se aur
17. Saathve aasmaan par Hz. Syeduna Ibhrahim (As) se mulaqaat huwe.
18. Phir Nabi e Arkam (SAWS) siddratul muntaha tak pahunche.
19. Mehboob wa Muheeb (SAWS) ke darmiyan raaz wa niyaz ki batein huwe.
20. Me’raj ki shab Allah ta’la ne apne dedaar se musharraf kiya.
21. Me’raj ki shab Allah ta’la ne Nabi e Arkam (SAWS) ko jo tohfe ata
farmayein, ek tohfa namaz hai.
22. Allah ta’la ne ye ailaan bhi farmaya ke meri baat atal hai, badal
nahi sakti. Lehaza Namaz toh 5 par 50 Namazoon ka sawab ata karonga.
______________________________________________________
Q11) Badr ki ladaye ki wajah
kya hai batate huwe “Jung e Badr” tafseel se tehreer kijiye.
A) Jung e Badr ki
tafseel:-
1. Hijrat ke dusre saal 12 Ramzan ul Mubarak ba-rooz hafta Nabi e Arkam
(SAWS) apne 313 sahabe e kiraam ke humrah Madina Munawwara se rawana huwe.
2. Batil parastoon ne jung ke liye tamaam islah faraham kiye aur
musallah ho kar maidaan e badr pahunche jin ki tadaad 1,000.
3. Nabi e Arkam (SAWS) ne bargah e Ilahi mein dua ki ushi waqt Allah
ta’la ne ye ayat e mubaraka nazil farmaye “yakinan mai tumhari 1,000 farishtoon
ke zariye madad karunga, tumhara rab 3,000 farishte utaar kar tumhari madad
karega. Aur wo tumpar fouran hamla aawar ho jaye toh tumhra rab 5,000 nashaan
zada farishtoon se tumhari madad kareinga.
4. Phir uss maurakaye haq wa batil ka aaghaaz huwa Allah ta’la ne haq ko
kamiyabi se humkinaar farmaya aur batil ko shiqasth wa zillat ka saamna karna
pada, batil parastoon mein 70 afraad maaregaye aur 70 qaidi banayegaye. Aur 14
sahabe e Kiraam ko shahadat naseeb huwi.
5. Hz. Anas (As) farmate hai ke Nabi e Arkam (SAWS) ne apne daste
Mubarak ko zameen par rakh kar irshaad farmaya: Ye faalan shakhs ki halaqat ki
jagah hai, ye falaan shakhs ki halaqat ki jagah hai.
6. Hz. Jibraail (As) surkh ghoodi par sawaar Jung e libaas pehne huwe
nezah haath me liye haazir huwe aur arz kiya beshak Allah ta’la ne mujhko aap
ki khidmat mein bheja hai aur ye hukum farmaya hai ke mai aap ke paas se uss
waqt tak na jaoon jab tak aap mujh se razi na ho jayein.
7. Huzoor! Kya aap mujhse razi hain. Nabi e Arkam (SAWS) ne irshad
farmaya “haan mai raazi hoon” tab Jibrail (As) wapas huwe.
It is objective of my life to help others, when I help someone, I feel
happy.
_____________________________________________________________
Diploma In Arabic Course Books
S.No Books
1 Sharah Fiqh - E – Akbar (Click Here)
2 Noor Ul Eizah (Click Here)
3 Arbayeen Fil Hadees (Click Here)
4 Risaleh Deeniyaat (Click Here)
5 Seeratun Nabi (Saws) (Click Here)
6 Nahu (Click Here)
7 Minhaj Ul Arabia 1-3 Parts (Buy)
8 Anwarul Arabia Attatbiqayyah (Buy)
9 Al-Jadeed 1-2 Parts (Buy)
___________________________________________________
0 Comments