Mulla Short Imp Notes for Jamia Nizamia Exam
INDEX
S.No Topics
1 Wuzu ke Masail
2 Ghusul ke Masail
3 Pani ke Masail
4 Pas Khurdah (Jhoote) ke Ahkam
5 Tayammum ke Masail
6 Najasat ke Masail
7 Zubah ke Masail
8 Qurbani ke Masail
9 Aqeeqe ke Masail
10 Halaal wa haraam jaanwar ka bayan
11 Janaze ke Masail
12 Mayyat, Kafan & Dafan ke Masail
Wazu
mein 4 cheezein Farz hai:-
1. Tamaam Chehre ka dhona.
2. Donoo hathoon ka kohniyoon samait dhona.
3. Chohtayi (1/4th) sar ka masah karna.
4. Dono pairoon ka takhno samait dhona.
Note:-
1) In Aazaon ka sirf ek martaba dhona farz hai.
2)
In Aazaon mein se agar koi jagah baal barabar bhi khuskq reh jayein toh wazu na
hoga.
Wazu karne ka Tariqa:-
1. Qibla Roo baithkar pehle wuzu ki niyyat karna.
2. Bismilla-Hir-Rahmaa-Nir-Raheem kehkar dono haath
pahunchoon tak 3 dafa dhoyein.
3. 3 dafa kulli karna.
4. Kulli ke saath miswak bhi karein miswaq na ho to
kalimein ki ungli se datoon ko malein.
5. 3 dafa daayein haath se naak mein paani chadhakar
baayein haath se saaf karein.
6. 3 dafa dono haathon se pani lekar moo dhoye. Lambayi
mein shuru peshani se thudi ke neeche tak aur chaudayi mein dono kano ki lau
tak.
7. 3 dafa dono haath kohniyoon tak dhoye. Pehle daaya
(Right) phir baaya (Left).
8. Dono haath tar karke tamaam sar kano aur garden ka
ek dafa masah karein.
9. Dono paaoon taqnoo samaith 3-3 dafa dhoye. Pehle
daaya phir baaya.
Wuzu
ke Makruhaat:-
1.
Moo par zoorse pani marna.
2.
3 baar se ziada kisi aazu ko dhona.
3.
Na-Paak jagah par baithna.
4.
Masjid ke andar jahan Namaz padhi jaati hai Wuzu karna.
5.
Wuzu mein bila zarurat dunia ki baatein karna.
Hazb
e zail suratoon me Wuzu toot jaata hai:-
1.
Paishab wa paikhane ki raah se kuch nikalna.
2.
Hawa kharij hona.
3.
Jism se khoon, peep wagaira nikal kar behjana.
4.
Moo bhar khai karna.
5.
Kisi cheez ke sahare soo jana.
6.
Behoshi
7.
Ruku wa sujood waali Namaz mein Khil-khilakar hasna.
Mazoor
ka Wazu:-
1.
Agar kisi ko hamesha paishab jaari rehta ho.
2.
Agar kisi ko bawasir ki shikayat ho.
3.
Agar kisi ko gases ki shikayat ho.
4.
To ayse shakhs ko har namaz ke waqt naya wazu karna chahiye.
Note
1:-
Ayse wuzu se us waqt ki namaz aur khaza namaz, sunnatein, nafeel namazein sab
padh sakte hai.
Note
2:-
Be-Wuzu shahks ko Namaz padhna aur sajda karna haraam hai.
Note
3:-
Quran e Shareef ko bagair jusdan ke chuna makruh e Tehrimi hai.
Note
4:-
Be-Wuzu shahks ko bagair haath lagaye Quran e Shareef ka padhna dekhkar ho ya
zubani durust hai.
2.
Ghusul ke Masail:-
Ghusul
me 3 Farz hai:-
1.
Kulli karna.
2.
Naak me pani chadhana.
3.
Tamaam jism par pani bahana.
Ghusul
karne ka Tariqa:-
1. Pehle niyyat karein mai paak hone ke liye pani
nahata hoon.
2. Dil me Bismillah-hir-Rahma-Nir-Raheem padhein.
3. Dono haath 3 baar pahunchon tak dhoye.
4. Sharmgah ko dhoye.
5. Jism par jahan kahi najasat lagi ho usko dhoye.
6. Pura wuzu kare.
7. Is wuzu mein acchi tarha kulli karein aur naak mein
pani chadhayein.
8. Wuzu ke baad jism par pani bhahayein.
9. Pehle sar par pani dhalein phir dhayein mondhe par
phir bayein mondhe par, is tarha 3 dafa karein bas Ghusul hogaya.
In
cheezon se Ghusul Farz hota hai:-
1.
Jima se.
2.
Ahtelaam se.
3.
Haiz wa nifaas se.
4.
Agar koi soo kar uthne kar baad apne jism par ya kapde par tari paye aur usko
yakeen ho ke ye mani hai to Ghusul Farz hai.
Jisko
Ghusul ki haajat ho Ghusul karne tak ye cheezein mana hai:-
1.
Namaz padhna.
2.
Sajda karna.
3.
Quran e Shareef ko chuna.
4.
Quran e Shareef ka tilawat ki niyyat se padhna.
5.
Masjid me dhakil hona.
3.
Pani ke Masail
1. Aasmaan se barsa hua pani, chashme ka pani, nadi
nale ka pani, talaab ka pani, houz ka pani, kunwe ka pani ye sab paak hai, inse
Wuzu aur Ghusul dono jaiz hai.
2. Behta pani ya ayse houz chashme waghaira mein tehra
hua pani jo 10 ghaz lamba 10 ghaz chauda ho najasat ke girne ya kisi jaanwar ke
gir kar marjane se na-paak nahi hota, jab tak ke pani ka maza, rang ya boo
badal na jaye.
3. Tehra hua pani jo 10 ghaz lamba 10 ghaz chauda na ho
thodi si najasat ke girne se na-paak hojata hai. Agarche ke pani ka maza, rang
ya boo me koi farq na aaya ho. Ex: - Sharab ka ek qatra, paishab ya khoon ka ek
qatra gir jaye to sara pani na-paak hojayega.
4. Agar kisi paak cheez ke girne se pani ka rang, boo,
maza badal jaye to pani na-paak nahi hota. Ex:- darakth ke patte, phol, mitti
waghaira. Albatta pani gaada banjaye to aysa pani pak hai, lekin isse wuzu wa
ghusl karna jaiz nahi.
Hazbe
zail suratoon mein kunwein ka tamaam pani na-paak hojayega:-
1. Sharab, paishab ya khoon ka khatra gir jane se.
2. Khoon waale jaanwar girkar phool jaye ya phat jaye
to kunwein ka tamaam pani na-paak hojayega.
3. Aadmi, bakri ya koi bada jaanwar gir kar marjaye to
kunwein ka tamaam pani na-paak hojayega.
4. 2 billiya (Cats) ya 6 chuhe (Rats) gir kar marjaye
to kunwein ka tamaam pani na-paak hojayega.
5. Agar kunwein me ek billi ya kabutar ya bakri se
chota koi jaanwar gir kar mar jaye to 40 se 60 dool pani nikaalne se kunwa paak
hojayega.
6. Agar kunwein me ek chuha ya billi se chota koi
jaanwar gir kar mar jaye to 20 se 30 dool pani nikal dene se kunwa paak
hojayega.
7. Agar kunwein me badh jaanwar ke siwa koi jaanwar gir
jaye phir zinda nikal aaye to kunwa na-paak na hoga. Ba-sharte ke uske jism par
najasat naho aur uska moo pani me na doobaho, agar jism par najasat hoto pani
na-paak hojayega. Aur uska moo pani me dooba hoto jhote ka hokum jaari hoga.
4.
Pas Khurdah (Jhoote) ke Ahkam:-
Jinka
jhoota paak hai:- Aadmi ka jhoota paak hai khaw Musalmaan ho
ya kafir mard ho ya aurat. Ghode, halaal jaanwar (chawpai ho ya parinde)
(Halaal ho ya Haraam) in sab ka jhoota paak hai bashart e ke inka moo najasat
aaloodah na ho.
Note:-
Kocha, gird, murgi aur gaye najaas khawar ka jhoota makruh hai.
Jinka
jhoota makruh hai:- Jo haram jaanwar ghar me rehte hai. Jaise:- Billi, chuha,
chipkali wagaira.
Jinka
ka jhoota mashqooq hai:- Khacchar, ghade ka
jhoota.
Jinka
ka jhoota na-paak hai:- Suvvar, kutta, haati wagaira kul
haraam chaupaye jaanwaroon ka jhoota na-paak hai.
5.
Tayammum ke Masail:-
Tayammum
ki Tareef:- (Istelah Shara mein) paak karne waali
mitti ya Jisn mitti par (ba-sharte ke niyyat) haath markar chehra aur dono
haatoon par masah karne ka naam Tayammum hai.
Tayammum
ke Ahkam:- Tayammum wuzu aur ghusl ka qayam maqaam
hai.
Tayammum ke sahi hone ki
shartein:- Tayammum ke 6 shartein hai.
1.
Niyyat.
2.
Masah karna.
3.
3 ya ziada ungliyoon se masah karna.
4.
Mitti ya jins mitti ka hona.
5.
Mitti ya jins mitti ka mathar paak karne waali hona.
6.
Paani par qudrat na hona.
Niyyat ke Arkaan:-
1. Jo umoor Ibadat maqsoodah nahi agar unke liye tayammum kiya jaye toh usse
Namaz jaiz nahi.
2.
Sajdah e Tilawat ke Tayammum se bhi Namaz jaiz hai.
3.
Agar bimar ko dusra shakhs Tayammum karayi toh niyyat bimar ko karni chahiye.
In
cheezon par Tayammum durust hai
Patthar,
kankar, rethi, chuna waghaira.
In
cheezon par Tayammum durust nahi
Sona,
chandi, loha, lakdi, kapda waghaira, agar in cheezon par dhool jami hoto
Tayammum durust hai.
Tayammum
Jaiz hone ki Suratein:-
1.
Paani maujood naho aur ek meel tak na milein.
2.
Paani maujood ho magar iske istemal se bimari badh jane ya sehat mein deyr hone
ka khawf ho.
3.
Wazu ya ghusl karne mein kisi aysi Namaz ka faut hojane ka khauf ho jiski khaza
ya badal nahi. Jaise Eidain ki Namaz.
4.
Agar paani qareeb milne ka gumaan hoto talash karna, ya kisi ke paas maujood ho
aur milne ki tawaqqo ho to talab karna farz hai. Bagair talash ya talab ke
Tayammum jaiz nahi.
Tayammum
ka Tariqa:-
1.
Sabse pehle Tayammum ki niyyat karna ke mai pak hone ke liye wuzu ya ghuzl ke
badle Tayammum karta hoon.
2.
Phir Bismillahir Rahamaa Nir Raheem padhe.
3.
Apne dono haaton ko hatheliyon ki janib se khushada karke pak mitti par marein
aur moo par masah kare.
4.
Phir dono haathon ko pak mitti par marker kohniyon samaith aysa malay ke koi
jagah baqi na rahe.
Jinn
cheezoon se Tayammum toot jaata hai:-
1.
Jin cheezoon se wazu toot ta hai unse wazu ka Tayammum bhi tootta hai, aur
jinse ghusl wajeeb hota hai unse ghusl ka Tayammum toot jata hai.
2.
Jis majburiyoon ki wajah se Tayammum kiya gaya thaa un majburiyoon ke khatam hojane
se bhi Tayammum toot jata hai maslan paani ka milna ya paani ke istemal par
qadr hona.
6.
Najasat ke Masail:-
Najasat
ki 2 qismein hai:-
Najasat
e Ghaliza
Najasat
e Khafifa
1.
Najasat e Ghaliza hazbe zail hai:-
Paishab,
paikhana, behta khoon, sharaab, gobar, murdaar ki charbi waghaira.
Note
1:-
Najasat e Ghaliza agar patli hoto hateli ke ghadeh ke barabar hoto mauf hai
agar usse ziada hoto duur karna farz hai.
Note
2:-
Najasat e Ghaliza agar gaadi hoto 4 maashe tak mauf hai usse ziada hoto durr
karna farz hai.
2.
Najasat e Khafifa hazbe zail hai:-
Ghode
ka paishab, halaal janwaron ka paishab, haraam janwaron ki bhaith.
Note
1:-
Najasat e Khafifa jism ke jis hisse par lag jaye uske chauthayi hisse par mauf
usse ziada hoto duur karna farz hai.
Note
2:-
Najasat e Khafifa kapde ke jis hisse par lag jaye uska chauthayi tak mauf hai.
Maslan: - aasteen, kali waghaira usse ziada hoto duur karna farz hai.
7.
Zubah ke Masail:-
Zubah
me 4 ragoon ka katna zaruri hai:-
1.
Wo rag jisse saans aati jaati hai.
2.
Wo rag jisse khana paani peyt me jata hai.
3.
Tisiri aur chauti wo rag hai jinme khoon phirta hai.
Zubah
ke sharayat:-
1.
Zubah karne wala musalmaan hona.
2.
Zubah karne wala aakhil hona.
3.
Zubah ke waqt Allah ka naam lena.
4.
Allah ke naam ke saath kisi aur ka naam na lena.
5.
Bismillahiwallaahuakbar kehte huye Zubah karna.
6.
Zubah ke waqt jaanwar ke andar kuch na kuch hayat baaqi rehna.
Note:
-
Kisi bhi jaanwar ko mard, aurat, baligh, na-baligh, junbi sab Zubah kar sakte
hai.
Zubah
ki Sunnatein:-
1.
Dayein haath se Zubah karna.
2.
Zubah karne me tezi karna.
3.
Bade jaanwar ke haath paaoon baandh dena, albatta daya paon khula rehne dein.
Zubah
ke Makruhaat:-
1. Jaanwar ko leta kar uske saamne churi tez karna.
2. Chura ka is qadar kund rehna ke Zubah karne waale ko
zoar lagana padhe.
3. Garden ki jaanib se Zubah karna.
4. Zubah mein itna kaatna ke sar alahida hojaye (sar
alag hojaye).
5. Zabiha ko thanda hone se pehle uski khaal utar dena
ya uske jism se sar ko juda kar dena.
6. Ek jaanwar ko doosre jaanwar ke saamne Zubah karna.
7. Raat ke waqt Zubah karna.
8. Agar Zubah karne waala Bismillahiwallahuakbar kehna
bhool jaye toh koi haraj nahi zabiha durust hai. Agar khasdan Bismillah kehna
chod dein toh zabiha durust nahi.
9. Jab ek jaanwar ko Bismillahiwallahuakbar kehkar
Zubah kardein to phir is hi tasmia se doosre jaanwar ka Zubah karna durust
nahi, balke har jaanwar par Bismillahiwallahuakbar zaruri hai.
10)
Agar Zubah ke baad jaanwar pukare ya khada hojaye ya daude baag dein toh in
tamaam suraton me zabiha halaal hai, ba-sharte ke Zubah kaamil taur par hua ho.
Note
1:-
Jhanda, ya chilla, ke saamne ya naya makan, ya bauli, ya talab, ya pool ka paya
khodte waqt ya kisi devi ya dushera waghaira ke jhande ke saamne ya jhande ke
niche bakra aur koi jaanwar Zubah karna sakht na-jaiz hai.
Note
2:-
Oont ko gardan se niche seene ke paas barcha maarke Zubah karna sunnat hai isko
‘nehar’ kehte hai.
Note
3:-
Halaal jaanwar se in cheinzon ka khana jaiz nahi.
1.
Behta khoon.
2.
Pitta.
3.
Gudood.
4.
Phukna.
5.
Kapoore.
6.
Sharamgah.
8.
Qurbani ke Masail:-
Qurbani
ki tareef:- Ibadat ki niyyat se maqsoos ayyam mein
maqsoos jaanwar ke Zubah karne ka naam Qurbani hai.
Qurbani
ke Fazail:-
1. Qurbani karne se juhi Qurbani ke khoon ka pehla
khatra zameen par girta hai, sahebe Qurbani ke gunah mauf hojate hai aur
Qurbani k eek-ek baal ke badle ek-ek neiki milti hai.
2. Jis ghar me Qurbani hoti hai wo ghar sahibe Qurbani
ke liye dua karta hai jis ki wajah se ghar me khosh haali rehti hai aur sahibe
Qurbani ke maal me barkat hoti hai.
Qurbani
ka hukum:-
Qurbani
karna har azad, muqeem aur sahebe nisab musalman par mard ho ya aurat wajib
hai.
1. Jo shakhs sahebe nisab na ho uspar Qurbani wajib
nahi.
2. Qurbani apni zaat ki taraf se karna wajib hai, biwi
bachon ki taraf se karna wajib nahi.
3. Qurbani ke liye mah e zilhajja ke 3 din 10, 11, 12
tariqe maqsoos hai aur pehla din afzal hai.
4. Qurbani din ke waqt karna chahiye raat me karna
makruh hai.
5. Qurbani ke liye jaanwar maqsoos hai, bakra, bakri,
mehnda, bhed 1-1 saal ke bail, gayi, khulga, bhains 2-2 saal ke, oont, oontni
5-5 saal ke hona chahiye.
6. Qurbani ka jaanwar sahi salaamat hona zaruri hai.
7. Bakra, bakri, mehnda, ek aadmi ki taraf se ek
jaanwar.
8. bail, gayi, khulga, bhains, oont oontni 7 aadmiyon
ki taraf se ek jaanwar diya ja sakta hai.
Ye
jaanwar Qurbani ke layaq nahi:-
1.
Andhe.
2.
Kaane.
3.
Langde.
4.
Bahut duble.
5.
Be-daant.
6.
Wo gayi bail jinki singhe jadd se toot gayi ho.
Note
1:-
Qurbani ke ghosht ke 3 hisse kiye jaye:-
1.
Faqiron aur mohtajon ke liye.
2.
Padosiyon aur rishtedaron ke liye.
3.
Apne gharwalon ke liye.
4.
Wo aurat jiske paas thoda sona aur thodi chandi ho dono ko milane par chandi ka
nisab pura hota ho wo sahebe nisab hai.
Note
2:-
Qurbani ke liye nisab par saal guzarna zaruri nahi.
9.
Aqeeqe ke Masail:-
Aqeeqe
ki tareef:-
1. Aqeeqa karna mustahab hai.
2. Aqeeqa paidaish se saathve din karna chahiye agar na
hosake toh 14 din agar na hosake toh 21 din agar na hosake to umar bhar me
kabhi bhi.
3. Ladki ka Aqeeqa ek bakre se ladke ka 2 bakron se
karna chahiye.
4. Aqeeqa ka bakra ek saal ka aur be-aib hona chahiye.
5. Aqeeqe ke ghosht ke 3 hisse kiye jaye ek hissa
faqiron aur mohtajon ke liye, ek hissa padosiyon aur rishtedaron ke liye aur ek
hissa apne gharwalon ke liye.
Note:-
Aqeeqe ka ghosht bacche ke maa-baap, dada-dadi, nana-nani sab kha sakte hai.
Aqeeqe
ki dua:-
“Allahumma
hazihi aqeeqatu ibni fulanan dammuha wa dammihi lahmuha bilahmihi azmuha
biazmihi jilduha bijildihi sha’aruha bisha’arihi allahumma taqabbalha minni
waja alha fidaen li-ibni minannoor”
Phir
Bismillahi Allahu Akbar kehke zubah kare.
10.
Halaal wa haraam jaanwar ka bayan:-
1. Jo parinde sirf murdaar khate hai wo haraam hai.
Ex:- huma, gidd waghaira.
2. Jo parinde sirf panje se zakham karte hai aur shikar
karte hai wo sab haraam hai. Ex:- cheel, shikra, baaz waghaira.
3. Jo darinde daton se zakham karte hai aur shikar
karte hai wo sab haraam hai. Ex:- sheer, cheetah, billi, kutta, Bandar
waghaira.
4. Jin jaanwaron me behta khoon hai aur wo ghans, patte
waghaira khate hai danton se zakham nahi karte shikar nahi karte wo sab halal
hai Ex:- Gayi, bail, bhains, bakri, oont, haran waghaira.
5. Jo parinde sirf dana khate hai panje se zakham nahi
karte wo sab halal hai. Ex:- chidiya, kabutar, faakhta, teetar waghaira.
6. Jo jaanwar pani me paida hote hai aur pani me
zindagi guzarte hai Ex:- maindak, cakeda, magarmach, waghaira ye sab haram hai
sirf machli halal hai.
7. Jo jaanwar zameen ke andar rehte hai. Ex:- chuha,
chichundar, ghoons waghaira sab haram hai magar khargoosh halal hai.
8. Jin jaanwaron me khoon nahi rehta. Ex:- makhhi,
macchar, makdi, bichchu, chunti, deemak, sab haram hai lekin tiddi halal hai.
11.
Janaze ke Masail
Namaz
e Janaza ke ahkam:-
Namaz
e Janaza farz e kifaya hai.
Namaz
e Janaza ke sharayat 2 qisam ke hai:-
1.
Namaz padhne wale ke mutaluq.
2.
Mayyat ke mutaluq.
Namaz
padhne wale ke sharayat hazbe zail hai:-
1. Taharat.
2. Satre aurat.
3. Isteqbal e qibla.
4. Niyyat.
5. Waqt ki koi shart nahi.
6. Namaz e Janaza me namaz chootne ka khauf hoto
tayammum jaiz hai.
7. Namaz padhane wale ko tayammum jaiz nahi.
Namaz
e Janaza ke 2 rukun hai:-
1.
4 martaba Allahu Akbar kehna.
2.
Khade hokar namaz padhna.
Namaz
e Janaza me 3 sunnatein hai:-
1.
Hamd wa sana padhna.
2.
Durood e shareef padhna.
3.
Dua karna.
Note:- 3
waqton me Namaz e Janaza padhna mana hai:-
1.
Suraj nikalte waqt.
2.
Suraj doobte waqt.
3.
Teekh dopahar ko.
Namaz
e Janaza padhane ka haq kisko hai:-
1.
Namaz e Janaza ki Imamat ka sabse ziada haq baadshah ko hai.
2.
Hakim e shahar ko.
3.
Qazi ko.
4.
Mayyat ke auliya ko.
5.
Mohalle ke Imam ko.
6.
Jisko wali ijazat dein.
Note
1:-
Agar wali ki ijazat ke baghair kisi ayse shakhs ne namaz padhayi jisko Imamat
ka haq nahi to wali ko Ikhtiyar hai ke dubara namaz padhaye.
Note
2:-
Mustahaq e Imamat shakhs ke namaz padha dene par wali ko lautane ka haq nahi.
Note
3:-
Jin cheezon se namaz toot ti hai unse janaze ki namaz bhi toot jaati hai.
Note
4:-
Janaze ki namaz masjid ke andar padhna Makru e Tehrimi hai. Isse sawab khatam
hojata hai. Agar koi majburi hoto koi haraj nahi.
Namaz e Janaza ka Masnoon wa Mustahab tariqa
Namaz
e Janaza ka tariqa:- Mayyat ko aage
rakhkar Imam sine ke muqabil khada hojaye, phir imam aur tamaam muqtadi Namaz e
Janaza ki niyyat kare ye ke Namaz e Janaza farz e kifaya padhta hoon main Allah
tala ke waste aur dua karta hoon main is mayyat ke waste moo mera ka’abe
shareef ki taraf tabe imam ke. Phir dono haath misle Takbeer e Tehrima ke kanoo
tak uthakar ek martaba Allahu Akbar kehkar hatoon ko namaz ki tarha naaf ke
nichein bandhle aur Sana padhe “Subhanakallahumma Wa Bihamdika Wa Tabara
Kasmuka Wa Ta’aala Jadduka Wa Jalla Sanaauka Walailaha Ghairuk”. Phir dusiri
dafa Allahu Akbar kahe lekin is dafa haath na uthaye phir Durood e Ibhrahim
padhe jo namaz mein padhte hai, phir tisiri dafa Allahu Akbar kahe iske baad
mayyat ke liye dua padhein.
Baligh
mayyat ki dua:- “Allahummagfirli Hayyina Wa Mayyatina Wa
Shaahidina Wa Gaayibina Wa Sagheerina Wa Kabeerina Wa Zakarina Wa Unsaana.
Allahumma Mann Ahyaytahu Minna Fa Ahyihi Alal Islam Wa Mann Tawaffaitahu Minna
Fatawaffahu Alal Imaan”.
Na-Baligh
ladke ki dua:- “Allahummaj Al Hulana Faratanwn Waja Al Hulana
Ajraunwazugra Waja Al Hulana
Shafiunw Wa Mushaffa’a”.
Na-Baligh
ladki ki dua:- “Allahummaj Al Halana Faratanwn Waja Al Halana
Ajraunwazugra Waja Al Halana
Shafiunw Wa Mushaffa’a”.
Phir chauti dafa Allahu Akbar kahein aur dayein bayein
salam pherdein jis tarha namaz mein phertei hai. Janaze ki namaz mein mustahab
hai ke hazireen ki teen saffein ki jaye yahan tak ke agar sirf 7 admi hoto
unmein se ek imam bane phir pehli saff mein teen aadmi khade ho aur dusiri saff
mein do admi aur tisiri saff mein ek admi.
12.
Mayyat, Kafan & Dafan ke Masail
Mayyat
ke sharayat:-
1. Mayyat ka musalman hona.
2. Mayyat ka badan pak hona.
3. Mayyat ka kafan pak hona (mayyat ko ghusl aur kafan
ke baad na-pak hojaye to koi haraj nahi.
4. Mayyat ke jism ka poshida hona (satre aurat hona).
5. Mayyat ka maujood hona.
6. Mayyat ka namaz padhne walon ke aage hona.
7. Jis cheez par Mayyat ho uska zameen par rakha hua
hona.
8. Imam ka baligh hona.
Mayyat ke kafan ke mutaluq ahkaam bayan karte huye Mard
aur Aurat aur Bacche ke kafan ki tafseel bayan kijiye.
Kafan aur uske mutaluq ahkaam:-
1.
Mayyat ko kafan dena (ghusl ki tarah) farz e kifaya hai.
2.
Mard ke kafan mein 3 kapde masnoon hai. 1. Chadar, 2. Tehbandh, 3. Kafni. Aur
aurat ke kafan mein 5 hai. 1. Chadar, 2. Tehbandh, 3. Kafni, 4. Seena bandh, 5.
Oodhni. Note:- Chadar ki miqdaar utni honi chahiye jo sir se lekar payr tak
kaafi ho, Tehbandh bhi goya chadar hi hai lekin pehli chadar se kisi qadar
choti ya bhi sir se payr tak hoti hai. Kafni ek qisam ka kurta hai, jo garden
se lekar payr tak hota hai. Magar usmein asteen wa kali nahi hoti. Seena bandh
ki miqdar seene se lekar ranoo tak aur oodhni 3 haat tool 2 baalish arz.
3.
Agar kafan masnoon na mile toh mard ko sirf do kapde chadar, tehbandh aur aurat
ko 3 kapde chadar, tehbandh aur oondhni bhi kafi hai.
4.
Qudrat hone par mard ko 3 aur aurat ko 5 kapdoon se kam nahi dena chahiye aur
usmein ziadati bhi jaiz nahi.
5.
Chote baccho ko ek-do kapdoon mein kafan dena jaiz hai.
6.
Shaheed ko kafan dene ki zaroorat nahi, balke pehne hue khoon aaluda kapdoon
mein hi dafnadein.
Dafan
aur uske mutaliq Ahkam:-
1. Mayyat ka dafan karna bhi farz e kifaya.
2. Mayyat ka usi jagah ke qabaristan me dafan karna
behtar hai jahan wo mara ho, agarche wo wahan ka rehne wala naho.
3. Qabar ki 2 qismein hai:- (A) Bagli jisko lehad kehte
hai, aur bagli banana sunnat hai. (B) Qabar sandukhi jisko shaq kehte hai.
4. Qabar ki laambaan mayyat ke qadh (height) ke barabar
ho aur chaudaan aadah qadh barabar aur gehrayi bhi seene ke barabar ho.
5. Jab qabar tayyar hojaye to mayyat ko qible ki taraf
se utaarein aur “Bismillahi wa ala millati Rasoolillah” kehte huye qabar me
rakh dein.
6. Phir kafan ki girhein khol dein (gheeti khol dein).
7. Aurat wa mard ki qabar aur unke dafan karne ka
tariqa eksa hai.
8. Kacchhi intoon se qabar ko bandh karde.
9. Phir jis qadar mitti qabar se nikli ho wo sab qabar
par daal dein.
10.
Pehle har aadmi apne dono haathon se 3-3 dafa mitti dalein.
11)
Pehli dafa “Minha qalaqnakum” kahein.
12)
Dusiri dafa “wa fiha nueedukum” kahein.
13)
Phir tisiri dafa “wa minha nukhrijukum taaratan ukhraa” kahein.
14)
Mustahab hai ke qabar par pani chidke aur ek sabz (green) daali bhi laga dein.
15)
Aur kuch deir qabar ke paas tehre rahein aur Sureh Baqra ki aayatein sarhane
“Alif Laam Meem se Muflihoon” tak aur paayti (pair ke paas) “Aamanar Rasoolu”
se Aakhri Sureh tak padhna mustahab hai.
16)
Mayyat ko talqeen aur uske liye Dua e khair karein.
17)
Aur is tarha kahein “Ya fulanu ibnu fulanun uzkur maakunta alaihi wa qul
Radhitu billahi Rabban wa bil Islami Deenan wa bi Mohammadin Nabiyyan”.
18)
Qabar ka zameen se ek baalisht oonchi karke banana masnoon (Sunnat) hai.
Mayyat ko ghusl dene ka tariqa:-
1. Mayyat ko ghusl dena farz e kifaya hai.
2. Ghusl ke liye pani garam karlein aur usme bari ke
patte daalein.
3. Mayyat ko takht par lita dein.
4. Phir uske jism se tamaam kapdein utar lein, lekin
naaf se ghutno tak ek kapda daldein.
5. Ghusl dene waala apne haaton par kapda lapetkar
sharamgah dhoye.
6. Uske baad wuzu karayein.
7. Jab wuzu hojaye to mayyat ke moo, naak aur kaan mein
ruyein (cotton) lagadein ta ke ghusl ka pani na bhar jaye.
8. Phir sar ke baal sabon (soap) se acchi tarha dhoyein.
9. Phir mayyat ko bayein karwat lita kar neem garam
pani daalna shuru kare aur sar se paon tak 3 martaba itna pani daalein ke
takhte ke neeche tak pahunch jaye.
10)
Phir dusiri martaba uske dayein karwat litakar sar se pair tak 3 dafa pani
daalein.
11)
phir Ghusl dene waala mayyat ki kamar ki taraf se usko sahara dekar kisi qadar
bithane ke qareeb karde aur aahista-aahista uska payt upar se niche ki taraf
modein.
12)
Iske baad phir bayein litake dayein karwat par 3 dafa pani bahadein.
13)
Iske baad moo, naak aur kaan se ruin (cotton) nikal dein aur mayyat ka badan
kisi pak kapde se khushk karein aur usko takht se uthakar kafan par laakar rakh
dein, khushbu aur kafoor lagayein.
Note
1:-
Shaheed ko ghusl dene ki zarurat nahi ushi halat me usko dafan kardiya jaye.
Note
2:-
agar koi baccha paida hote hi mar jaye to usko ghusl dena farz hai, aur agar
mara hua paida hoto behtar yehi hai ke usko bhi ghusl diya jaye.
Note
3:-
sadi huwi mayyat par sirf pani bahadena kaafi hai.
Note
4:-
agar koi na-pak mard ya aurat mayyat ko ghusl dede to hojayega, lekin makru
hai.
Note
5:-
mayyat ke badan par kangi na karein, na baal katein aur na nakhoon.
Mulla Short Imp Notes for Jamia Nizamia Exam
Diploma In Arabic Course Books
S.No Books
1 Sharah Fiqh - E – Akbar (Click Here)
2 Noor Ul Eizah (Click Here)
3 Arbayeen Fil Hadees (Click Here)
4 Risaleh Deeniyaat (Click Here)
5 Seeratun Nabi (Saws) (Click Here)
6 Nahu (Click Here)
7 Minhaj Ul Arabia 1-3 Parts (Buy)
8 Anwarul Arabia Attatbiqayyah (Buy)
9 Al-Jadeed 1-2 Parts (Buy)
0 Comments