Khitabat Notes for Jamia Nizamia Exam Model Papers Q & A
Khitabat Notes in Roman English, Hindi & Urdu - Q & A - Jumma, Zakat (Zakah), Roze (Roza, Fasting), Itekaf, Ziyarate Nabavi, Itekaf, Eidain ke Mukammal Masail Information.
Solved Model Paper Question and Answer
1. Jumma wa edain ke khutboon ke ahkaam bayan karte hue uske
wujoob ki shartein aur Nabi-e-Kareem (Sallallahu alaihiwa Sallam) ne jo Khutba
farmaya tha usko khalam bandh kare.
2. Takbeer e Tashreeq ke ahkaam khalam bandh kare.
3. Maal e Tijarat ma’a ahkame Zakat bayan karte hue “sayima”
ki zakat ka tariqa ma’a Ibal, Baqar wa Buzz khalam bandh kare.
4. Juma ki namaz ke aadaab aur azan, saff, Khutba juma sunne ke mukammal aadaab qalam bandh
kare.
5. Ruyate Hilaal ki tareef, Roze ke ahkam ma’a aksam wa
wujoob ki mukammal shartein qalam bandh farmaye
6. Itekaf, nazar wa khaza roze rakhne ke ahkaam qalam bandh
karte hue batlayiye ke koi insaan mukammal 1 mah ramzan majnoon raha to uska
kya hukum aur uski kya muddat hai.
7. Ziyarate Nabavi (SAWS) se mutalooq aapne jo kitab mein
ahkaam padhe hai iski ek note qalam bandh kare.
8. Ramzan ka ahteraam aur roza na tootne ki suratein ma’a
makruhaat wa mubahaat wa ouzraat mukammal tehrir kare.
9. Ahkame Itekaf mukammil qalam bandh kare aur niyyat itekaf
tehreer kare aur nazar ki tareef kare.
10. Istesqa ki tareef mahel namaz tariqa namaz zikar kare
kya aurat namaz istesqa mein sharik ho sakti hai mukammal tehreer kare.
11. Zakat ki tareef ma’a sharaet wajib aur iska hukum aur
sehat aadae zakat ki shartein tehreer karein.
12. Namaz e Eidian ke rakat wa takbiraat ma’a tariqa qalam
bandh kare wa neez takbir tashreeq ke ahkam bayan kijiye. (Takbir Tashreeq
refer from Q.No 2)
13. Zakat ki farziyat wa fazilat aur uske ada na karne par
wayidein se mutalik mazmoon tehrir kare
14. Namaze qusoof wa khusoof har ek ki tareef kijiye aur
unke ahakamaat tafseel se tehreer farmaye.
15. Sadqa e Fitr ke ahkaam aur iski miqdaar tehreer karo.
16. Zakat ke ahkaam aur nisab se kya murad hai.
17. Nisab ahle khidmat e shareya ka kyun madoon kia gaya aur
iski zarurat kyun mehsoos kigayi mukammil tafseel bayan karte hue sahebe kitab
ke mutaliq apne malomaat ko qalm bandh kare.
18. Juma ke fazail aur Sabiqa Ummatein
19. Namaz e Juma ki takeed, Farziyat wa fazilat
20. Tarke Juma ki wayeedein mukammal qalam bandh kijiye.
21. Namaz e juma ka hukum, Wajib aur sahi hone ki shartein
qalam bandh kijiye.
22. Khutbe ki Sunnatein, Mustahabaat aur Makruhaat qalam
bandh kare.
23. Namaz e Juma ke Ahkaam Mukammal Tehreer kijiye.
All Islamic courses notes (click here)
1Q)
Jumma wa edain ke khutboon ke ahkaam bayan karte hue uske wujoob ki shartein
aur Nabi-e-Kareem (Sallallahu alaihiwa Sallam) ne jo Khutba farmaya tha usko
khalam bandh kare.
A) Khutbe ke Ahkaam:-
1. Khutba e juma namaz e
juma ki sharth hai bagair Khutbe ke namaz e juma sahi nahi.
2. Kam se kam 3 Aakhil wa
baligh qabile Imaamat aadmiyoon ke saamne Khutba padhna shart hai, Jo shuru se
aakhir tak maujood rahe agar isse kam admi rahe toh shart ada na hogi.
Khutbe
mein 2 Umoor farz hai:-
1) Waqt jo zawaal e aftab
ke baad aur namaz e juma ke qabl hai. Agar waqt e zohar se pehle ya namaz e
juma ke baad Khutba padha jaye toh
durust nahi.
2) Allah Tala ka zikar jo
kam se kam ba-khadre Subhaan Allah ya Al-Hamdulillah ya Allahu Akbar ho. Agar Khutbe
mein Allah ka zikar na hoto Khutba na
hogan. Namaz e juma me Khutba shart hai aur
namaz e edain mein sunnat. Juma ka Khutba
namaz se pehle padhna chahiye aur edian
ka Khutba namaz ke baad.
Note:-
Agar Edain ka Khutba namaz se pehle
padhle to namaz hojayegi ba-khilaaf juma ke namaz hi na hogi.
Nabi-e-Kareem
(Sallallahu alaihiwa Sallam) ka Khutba :-
Aapki aadate
sharifa ye thee ke jab sab log jama hojate toh us waqt Aap tashreef laate aur
hazireen ko salaam karte phir mimbar par chadhkar logoon ki taraf mutawajjeh
hote aur phir salaam karte aur baith jate aur fauran Khutba shuru farmadete. Halat e Khutba mein logoon ko nasdiq hone ka irshaad hota. 2 Khutbe
padhte aur dono khutboon mein zarasi dayr baith jate aur uss waqt kuch kalaam
na farmate na dua mangte. Jab dusare Khutbe se faraghat hoti, Hazrat Bilal (RA)
Aqhamat kehte aur Aap namaz shuru farmadete.
______________________________________________________
2Q)
Takbeer e Tashreeq ke ahkaam khalam bandh kare.
A)
1. Ayyaam tashreeq mein yani 9th
Navvi-zil-Hajja (Arfa) ki Fajr se 13th Teyrvi-zil-Hajja ki Asr tak
har farz namaz ke baad Takbeer padhna Takbeer Tashreeq kehlata hai.
2. Takbeer Tashreeq ye hai
“ALLAHU AKBAR, ALLAHU AKBAR, LAA ILAAHA ILLALLAHU
WALLAHU AKBAR, ALLAHU AKBAR WALILLA-HIL-HAMD”
3. Takbeer Tashreeq wajib
hai aur iske liye shart hai a)muqeem hona, b) shehar mein hona, c) farze aain
(panchgana) namaz ka jamat se padhna.
Musafiroon par, gaon
waloon par, farz e kifaya (namaze janaza) ke baad, munfareed par, auratoon par
Takbeer Tashreeq wajib nahi.
Albatta musafir gaonwale
aur auratein agar kisi ayese shakhs ke muqtadi hoon jispar Takbeer Tashreeq
wajib hai, Toh phir itteba-an inpar bhi Takbeer wajib hogi lekin auratein
aahista Takbeer kahe. Ye Imaam e azam ka qaul hai. Magar ba-qaul Sahibeen (RA)
mutlaqan farze aain namaz ke baad Takbeer Tashreeq wajib hai khaw musafir ho ya
gaonwale munfareed ho ya aurat aur fatwa sahibeen ke qaul par hai.
4. namaz e juma ke baad
bhi Takbeer Tashreeq wajib hai.
5. namaz e eidain ke baad
bhi Takbeer kehde.
6. namaz e vitr, sunnat,
nafil ke baad Takbeer Tashreeq wajib nahi.
7. masbooq, wa lahak par
Takbeer wajib hai, magar ye uswaqt kehe jab khud salaam pherdein.
8. Takbeer ka salaam ke
baad fauran kehna wajib hai.
9. Takbeer ka jahar
(bulandh awaz) se kehna wajib hai.
10. Takbeer ka 1 baar
kehna wajib hai aur 3 baar kehna afzal hai.
11. Agar Imaam Takbeer
kehna bhuljaye toh muqtadi mutabiat na kare balke fauran Takbeer kehde.
12. Agar farz namaz ki
khaza padhi jaye toh iski 4 suratein ho sakti hai.
a) Gair ayyaam Tashreeq ki
khaza ayyam tashreeq mein padhe
b) Ayyam e tashreeq ki
khaza gair ayyam tashreeq mein padhe
c) 1 saal ke ayyam
tashreeq ki khaza dusre saal ayyam tashreeq me padhe
d) Isshi saal ke ayyam
tashreeq ki khaza isshi saal ke ayyam tashreeq.
Toh Takbeer sirf akhir
surat mein wajib hai aur suratoon mein nahi.
______________________________________________________
3Q)
Maal e Tijarat ma’a ahkame Zakat bayan karte hue “sayima” ki zakat ka tariqa
ma’a Ibal, Baqar wa Buzz khalam bandh kare.
A) Maal e tijarat ki Zakat ke ahkaam:-
1. Har qisam ke tijarati
saamaan mein Zakat wajib hai.
2. Tijarati maal ka nisab
iski qimat ke aitebar se hoga, yani agar iski qimat chandi (silver) ya sona (gold)
hain jo nisab ko pahunchti hoto ispar Zakat wajib hogi, warna nahi.
3. Agar kisi par koi maale
tijarat ho aur iski qimat nisab se kam ho phir chandh roz ke baad is maal jama
hone ko soorat mein badhkar baqadre nisab hojaye toh, jis waqt se qimat
badhgayi hai ushi waqt se iske saal ki ibteda rakhi jayegi.
Sayima
Jaanwaroon ki Zakat ke ahkaam:-
1. Sayima jaanwar wo hai
jo saal ke aksar hisse me jungle me char kar basar karte ho aur jo doodh ki
garz se ya nasal ki ziyadati ya farba hone ke liye rakhe jaye hoon.
2. Agar nifs saal jungle
mein charte ho aur nifs saal ghar mein ghans mangwa ke khilayi jati ho ya inke
rakne se maqsoos doodh lena ya nasal ki afzaesh ya farba karna naho balke
ghosth khana ya sawari karna, bhoj lana wagaira hoto phir wa sayima na
kehlayeinge aur unpar Zakat wajib na hogi.
3. Sayima janwaroon mein
se sirf in 3 qisam ke janwaroon par Zakat wajib hai.
A) Ount (Camel), B) Gaye
(Cow), C) Bakri (Gaot). Inke siwa dosre janwaroon par Zakat wajib nahi, dosre
janwar agar tijarat ki niyat se rakhe hoto inpar tijarat ki zakat wajib hogi.
A)
Ount ki Zakat ke ahkam:- Ount ki Zakat ka nisab 5
hai, yani 5 ount mein Zakat farz hai,
Eg: - 5 Ount par 1 bakri, 10 Ount par 2 bakri, 5 se
kam Ount ho to Zakat nahi.
B)
Gaye ki Zakat ke ahkam: - Gaye ki Zakat ka nisab 30
hai, yani 30 gayeon mein Zakat farz hai, 30 se kam mein Zakat nahi. Eg:- 30 Gayeon me 1 saala
bachada, 40 me 2 saala bachada aur 60 me 1 saala 2 bachade. Note: Bhains bhi gay ke hukum
mein hai.
C) Bakri ki Zakat keahkam:- 40 bakriyoon mein
Zakat farz hai 40 se kam mein Zakat nahi. Eg:-
40 bakriyoon mein 1 bakri, 121 bakriyoon mein 2 bakriya. Note: Behdh, dumbha
aur menda sab bakri mein dakhil hain.
______________________________________________________
4Q)
Juma ki namaz ke aadaab aur azan, saff, Khutba juma sunne ke mukammal aadaab qalam bandh
kare.
A) Juma ki namaz ke aadaab:-
Har musalman ko chahiye ke
juma ka ahtemaam panchshumba (Thursday) ke din se kare jaise ke Hazrat Nabi e
Kareem (SAWS) farmaya karte maslan pehanne ke liye saaf wa paak kapdoon ka
intezaam kar rakhe, aslah banvani hoto banvale, nakhoon katarwale, khooshboo
istemal karne ka maqdoor ho magar maujood na hoto ushi din la rakhe. Garz juma
ki tayyari se mutaluq jo kaam ho inko Thursday hi ke din karle ta-ke phir juma
ke rooz in kamo mein mashgool hona na padhe.
Buzurg-gane salf ne
farmaya hai ke juma ka sawab sabse ziyada us shakhs ko milega jo iska muntazir
rehta ho. Jamia masjid mein bahut savere jay eke ismein badi fazilat hai jo
shakhs jitney savere jayega ushi qadar usey ziada sawab milega. Pus sabse pehle
awwal waqt masjid pahunchkar Imaam ke karib baitne ki koshish kare. Iss din nafil
ki kasrat, sadqa aur khairat mein ziyadati kare. Asr wa magrib ke darmiyan
zikar wa tasbih aur dua mein mashghool rahe.
Azan
ke ahkaam:-
1. Namaz e juma ke liye
bhi azan sunnate maukada hai, iske aalava juma ke liye dusri azan bhi masnoon
hai.
2. Dusri azan masjid ke
andar imam ke samne uss waqt kahi jaye jab ke woh Khutba padhne ke liye mimbar par aa baite.
3. Juma ki pehli azan
sunkar tamaam kaarobar chodhdekar musalmano ko namaz e juma ko jana wajib hai.
4. Juma ki pehli azan ka
jawab dena sunnat hai.
Saff
ke ahkaam:-
1. Masjid mein awwal waqt
pahunch kar imam ke qarib pehli saff mein baitana chahiye.
2. saff mein jis
jagah jo shahks aakar bait jaye uss jagah ka wahi shakhs mustahiq hai.
3. Pehli saff
nuzule Rahmat e Ilahi ke lehaz se sab saffoon mein behtar hai, phir dusri saff,
phir teesri saff. ishi tarha aakhir tak.
4. kisi hile se ja-Nimaz
wagaira bichaa kar jaga na roke, jo jahan baite waha baitne de.
5. Agar masjid mein deyr
karke aye toh Namaziyoon ki gardane palang kar agli saff mein pahunchne ki
koshish na kare, balke jaha jage mile waha bait jaye.
6. Agar agli saffoon mein
jagah khali hoto aane wale shakhs ko pichli saff chodhkar agli saff mein
pahunchna aur khali jagah ko mamoor karna chahiye.
7. Agarche wahan tak
pahunchne mein phichle saff waloon ki gardane palangna wa namaziyon ke aage se
guzarna padhe, basharte ke Khutba shuru
na hua ho.
Khutba
sunne ke Aadaab:-
1. Jis waqt imam Khutbe ka
irade se mimbar ki taraf chale, ushi waqt se zikar, tasbih, kalam wagaira tark
karke hamatan khateeb ke taraf mutawajjeh hojaye.
2. Jab Khutba shuru hojaye toh tamaam hazireen ko Khutbe ka
shuru se akhir tak sunna wajib hai khaw hazireen khatib ke nasdiq baite ho ya
duur, aur Khutba sunayi de ya na sunayi
de.
3. Halate Khutbe mein aysa
koi fail karna jo Khutba sunne mein
qalal andaz ho makroh e tehrimi hai, yani khana, pina, chalna, phirna, baat
cheet karna, salaam karna ya salaam ka jawab dena, zikar, tasbih, Quran-e-majeed
ya nafil padhna ya kisiko shara e masla batana wagaira. Uumur jis tarha namaz
me mana hai, ushi tarha halat e Khutba mein mana, aur jo uumur namaz ke andar makaroh
hai wo Khutba sunne ke waqt bhi makroh
hai.
4. Agar halite Khutba mein koi shakhs cheenk kar Al-Hamdulillah kahe
ya masjid mein dakhil ho kar salam kare toh cheenk aur salam ka jawab dena
wajib nahi, yane jawab na de.
5. Agar koi shakhs sunnat
padh raha ho aur ishi halat mein Khutba shuru hojaye toh isko chahiye ke sunnat
iqtesar ke saath pura karle.
6. Khutba sunne waloon ko chahiye ke qibla ruk baite aur
khateeb ke taraf mutawajjeh rahe.
7. Khutba sunne ke waqt do zano yani jis tarah namaz
mein baite hai ushi tarah baithana mustahab hai.
8. Agar Khutbe ki awaz na
aatiho, yani Khutba sunayi na de, tab Khutba
hi ki taraf kaan lagaye rahe (awaz na
aane ki wajeh se baatcheet ya zikar, tasbih wagaira mein mashgool na ho).
9. Khutba ke waqt kisiko kuch padhne ya baat karne se
mana bhi na kare (al batta ishare se khamush karde toh muzaeqha nahi).
10. Jab Hazrat Nabi e
Kareem (SAWS) ka isme Mubarak Khutbe mein aye toh samayeen apne dil me durood e
shareef padh sakte hai.
11. Ayat e Kareema (ya
Ayyuhallazina Aamanu Sullu aaliahi wa Salli mu Taslima) padhi jaye to dil hi
dil mein durood e shareef behje.
12. Khutbe mein sahaba
(RA) wa Kholafa (RA) ka naam aye toh ba awaz bulandh raziallahu anhu kehna ya
jab baadhshah ka naam aye khaldillahu malaka ya aur koi kalmia dua pukar kar
kehna (samayeen, mauzeen, mukabbir) sabke liye makroh hai.
13. Khutbe ki halat mein
logoon ki gardane phalangte hue agli safoon mein pahunchna durust nahi.
14. Khutba e sania puri tarha khatam hone se pehle namaz
ke liye khade na ho.
______________________________________________________
Q5)
Ruyate Hilaal ki tareef, Roze ke ahkam ma’a aksam wa wujoob ki mukammal
shartein qalam bandh farmaye
A) Ruyate Hilaal ke ahkaam:-
1. Musalmanoo par wajib
kifaya hai ke shabaan ki 29vi tariq ghuroob ke waqt ramzan ka chand dekhne ki
koshish kare agar chand nazar ajaye toh roza rakhna shuru kare warna shaban ke
30 din pure karke roza rakhe.
2. Rajjab ki 29vi tariq ko
shaban ka chand dekhna mustahab hai ta ke shaban ke mehne ki sahi tariq aur
tadaad maloom rahe.
3. Jo shakhs ramzan ka
chand dekhe is par wajib hai ke ushi raat uss muqam ke logoon ko khabar karde.
4. Ramzan ke chand mein
jabke matla saaf naho (abar ho ya qubaar aalood ho) sirf ek admi ki khabar
maqbool hojati hai ba-sharte wo musalman, akhil, baliqh aur aadil ho (khaw mard
ho ya aurat) aur agar matla saaf hoto phir ek aadmi kafi nahi jamaat e kasira
ki zarurat hai.
Roze
ke ahkaam wa aksaam:-
1. Farz e Moayyan:- Mahe Ramzan ke
Aadayi Roze.
2. Farz e ghair Moayyan:- Mahe
Ramzan ke kazayi Roze.
3.
Wajib e Moayyan:- (A) Nazar Moayyan ke (yani kisi khas din ya tariq mein roza rakhne
ki mannat mane to ishi din ya tariq ko roza rakhna wajib hai).
(B) Jisne ramzan ya eid ka
chand khud dekha ho aur kisi wajah se iski gawahi qubool na hue hoto uspar in
dono dino ka roza wajib hai.
4.
Wajib e ghair Moayyan:- (A) kaffare ke roze (B)
nazar ghair moayyan ke roze (jinme din tariq ki taqsis na ho). (C) Jin nafil
rozoon ko shuru karke todh diye ho unki khaza.
5.
Sunnat:- (A) Ashore (Moharram ki 10vi) ka roza aur
iske saat 9vi ka bhi. (B) Arfa (Zil-Hajj ki 9vi) ka roza (C) Ayyame baiz yani
har mahine ki 13,14 aur 15 ke roze.
6. Nafil:- (A) Sitte Shawwal yane mahe shawwal
mein 6 roze. (B) Mahe Shaban ki 15vi ka roza. (C) Juma ka roza. (D) Peer
(Monday) ka roza. (E) Thursday ka roza. (F) Saum e Dawoodi yani ek din Iftar ek
din roza.
7. Makruh e Tanzihi:- (A) Sirf Aashore
ka roza rakhna. (B) Sirf hafte ke din ka roza rakhna. (C) Darmiyan mein koi din
naga kiye bagair hamesha roza rakhna. (D) Aurat ko bila ijazat e Khawindh
(Shauhar/Husband) nafil roza rakhna.
8.
Makruh e Tehrimi:- (A) Eid ul Fitr aur Eid ul Adha ke
din ka roza rakhna. (B) Ayyam e Tashrik (Zil-Hajja ki 11, 12, 13vi mein roza
rakhna.
Roze
ke Ahkaam:-
(A)
Mahe Ramzan ka roza har musalman aakhil, baliq par farz e aain hai, mard ho ya
aurat basharte ke aurat haiz wa nifaas se khali ho. (B) Roze ki farziyat ka
munkir kafir hai. (C) Roze ka bila ouzr tark karne wala sakth guhangaar aur
fasiq hai.
Roze
ke wajib hone ki 3 shartein hain:-
1. Musalman hona
(kafir par roza wajib nahi), 2. Aakhil hona (Majnoon par roza wajib nahi), 3. Baliqh hona (na-baliqh par roza wajib
nahi hai).
______________________________________________________
Q6)
Itekaf, nazar wa khaza roze rakhne ke ahkaam qalam bandh karte hue batlayiye ke
koi insaan mukammal 1 mah ramzan majnoon raha to uska kya hukum aur uski kya
muddat hai.
A)
Itekaf ke Ahkaam:- Masjid mein ibadat ki niyat ke saath
tehar ne ka naam itekaf hai. Ietekaf ka Hadees mein bahut sawab aya hai, Hazrat
Nabi e Kareem (SAWS) ne farmaya ke mautakif guhanoon se baaz rehta hai aur
nekiyoon se usey iss qadr sawab milta hai ke goya usne tamaam nekiyaan kiye
hai.
Itekaf
ki 3 qismein hain:-
(A) Wajib: Woh Itekaf hai
jiski nazar ki jaye khaw wo nazar kisi shart par mauqoof ho ya naho.
(B) Sunnate Maukada:
Ramzan ke aakhir ashre ka itekaf hai.
(C) Wajib aur Sunnate
maukada ke alava baqhi itekaf mustahab hai. Itekaf Wajib aur Sunnate maukada
dono mein roza shart hai.
Nazar
ke Ahkaam:-
(A) Nazar yani mannat manna jaez hai, aur mannat maankar iska pura karna wajib
hai, basharteke mannat khilafe sharayi oumr ki naho, neez mannat ki puri
shartein maujood ho. (B) Jis cheez ki mannat mane wo shara’ qisam wajibaat se
ho jaise namaz, roza wagaira. (C) mannat sahi hone ke liye ye zaroori nahi ke
dil mein iska irada bhi ho balke sirf zuban ka ietebar hai maslan dil mein ek
roze ka khiyal thaa aur zuban se ek mahina laggaya toh ek hi mahine ke roze
wajib hoge. (D) Agar koi shakhs ayyam e mamnu’a (Eid ul Fitr wa Azha, Zil-haj
ki 11, 12, 13vi) ke rozoon ki nazar kare toh isko chahiye ke in dinoo mein roza
na rakhe balke iske badle aur dino mein rakhle aur agar inhi dino mein rakhle
toh nazar ada hojayegi lekin gunah hoga.
Khaza roze rakhne ke ahkaam:- (A) Agar farz
ya wajib moayyan roze bawaqt na rakhe hoon kwah kisi ouzr se ya bila ouzr
rakhne ke baad kisi wajeh se toot gaye ho ya todh diye gaye hoto aur dino mein
inki khaza rakhna lazim hai. (B) Agar roze budahpe wagaira ke ba-as khaza hue
hon to unki khaza lazim nahi balke fidiya dena wajib hai (yani har roze ke
badle ek miqdaar sadqa fitr ya ek miskin ko do waqt peyt bhar khana khilana).
(C) Agar koi insaan mukammal ek mah ramzan majnoon raha to use chahiye ke
ramzan ke baad us rozoon ki khaza karle aur yaad rahe ke agle ramzan shuru hone
se pehle us rozoon ki khaza karle.
______________________________________________________
Q7)
Ziyarate Nabavi (SAWS) se mutalooq aapne jo kitab mein ahkaam padhe hai iski ek
note qalam bandh kare.
A)
Hajj wa Umrah se farigh hone ke baad ya pehle ek aur cheez hai, jo ahle-imaan
wa mohabbat ki jaan hai, maqsad e azam hai, sarmaya sa’adat dunia wa akhirat
hai aur wo ziyarate Rausa e muqaddasa Rahmatul lil aalameen shafiul muznabeen
Hazrat Muhammed Mustafa (SAWS) hai. Jo afzal mustahabaat balke wajib ke qareeb
hai. Jiski nisbat irshad hai ke jo meri qabar ki ziyarat kare iske liye meri
shafa’at wajib hai. Jisne hajj kia aur meri wafat ke baad meri qbar ki ziyarat
ki woh aisa hai jaise meri zindagi mein meri ziyarat ki aur jiske tarq us ke
liye wayeed hai, jisne haj kia aur meri ziyarat nahi ki usne mujh par zulm kia.
Allah subhana wa
ta’la hum sabko bila ad matloob wa dayare mehboob (Makke mauzama wa Madine
munawwara ki haziri ya farziyate Hajj ki takmeel aur sa’adate ziyarat se
musharraf ki tourfeez ataa karey.
______________________________________________________
Q8)
Ramzan ka ahteraam aur roza na tootne ki suratein ma’a makruhaat wa mubahaat wa
ouzraat mukammal tehrir kare.
A)
Ramzan ka ahteraam:-
Ramzan ke mehne mein roza
toot jane ke baad lazim hai ke jis qadr din baqhi ho usko rozadar ki tarha
guzar dia jaye. Yani qhane pine aur jima karne se dur rah eisa-ke ramzan ka
ahteraam qayam rahe iss tarha agar musafir din mein apne ghar aajaye ya
nabaliqh baliqh ho jaye ya haiz wa nifas wali aurat pak ho jaye ya majnoon
accha ho jaye ya mariz tandurust ya koi kafir musalmaan ho jaye toh un tamaam
logoon ko bhi bhaqa din rozedaroon ki tarha rehna chahiye.
Roza
na tone ki suratein:-
1. Agar roza yaad na ho
aur bhool kar kuch qha-pile ya jima kare.
2. Be-Ikhtiyar halaq me
ghubaar ya dunwa ya makkhi chali jaye.
3. Be-Ikhtiyar qai
(vomiting) ho jaye agar che moo bhar ho.
4. Ehtelaam ho jaye.
5. Datoon se khoon
nikalkar halaq mein pahunch jaye magar thook par gali na hoto in tamaam
suratoon mein roza nahi tootta.
Roze
ke makruhaat:-
1. Bila-zarurat koi cheez
chakna ya chabana.
2. Moo mein pani deyr tak
rakhna.
3. Moo mein thook jamakar
ke nigal jana.
4. Sehiri khane mein itni
deyr karna ke subha hone ka andesha ho jaye.
5. Koiela chabakar danth (Tooth)
manjna.
Roze
ke mubahaat:-
1.
Surma lagana, 2. Khushboo lagana ya soongna, 3. Kaan mein pani tapkana, 4.
Aankh mein dawa dalna, 5. Apna thook nigal lena.
Roza
na rakhne ke ouzaraat:-
1. Safar jaez ho ya
na-jayez ho be-mashakkhat ho (jaise rail ka safar, hawai-jahaz ka safar
waigaira), be-mashakkhat safar mein roza rakhna afzal hai. Aar roze ki niyyat
karne ke baad safar shuru kia jaye toh is din roza pura karna lazim hai, agar
roza todh de toh kaffara lazim na hoga sirf qaza wajib hogi, aur agar roza
toodhkar safar shuru kare toh kaffara bhi lazim hoga.
2. Roza rakhne se mariz ko
ziyadati marz ka qauf ho.
3. Hamal ba-shart yeke
hamila ko roza rakhne mein apni jaan ya bache ko nuksan pahuncne ka qauf ho.
4. Bhook, piyas ka galba
ke roze ka tahammul na ho sake aur halakat ka qauf ho.
5. Bhudapa jismein roz bar
oz kamzori badti jaye aur roza rakhne ki takhat na ho.
6. Ikra yani roza
na rakhne par majboor kia jana basharte ke jaan ka ya zarar shadeed ka qauf ho.
______________________________________________________
Q9) Ahkame Itekaf mukammil qalam bandh kare aur niyyat itekaf tehreer kare aur nazar ki tareef kare.
A) Refer from Q.No. 6
Itekaf
ki niyyat:-
“NAWAITU SUNNATAL ITEKAF”
______________________________________________________
Q10)
Istesqa ki tareef mahel namaz tariqa namaz zikar kare kya aurat namaz istesqa
mein sharik ho sakti hai mukammal tehreer kare.
A) Istesqa ki tareef:- Istesqa
kehte hai talabe barish ko, istelah shara mein khusk Sali ke waqt Allah tala se
ba-tareeq maqsoos mein talab karna Istesqa kehlata hai.
Mehal
Istesqa:-
Jaha talaab, kunte, naher, bowli wagaira admiyoon ke pani pine janwaroon ke
pilane aur khetoon ko seenchne ko na ho ya ho magar inmein ba-qadre kafi na ho
aur iski shaded zarurat ho wahan Istesqa mashruh hai (yani ayse muqam ke loog
bargahe azdi mein barish ke liye dua mange.
Namaz
e Istesqa ka tariqa: 1.
Istesqa mein jama’at ke saath namaz masnoon nahi (al-lahida al-lahida padhle to
muzaika nahi) aur ismein Khutba bhi nahi
(sirf dua aur istegfar hai) aur chadar lautana bhi nahi ye mazhab hazrat imam e
Azam ka hai. Lekin sahibeen RA ke paas masnoon hai ke imam jama’at se (bila
azan wa aqamat) 2 rakat namaz padhaye aur dono rakatoon mein qirat jaher se
kare aur afzal ye hai ke pehli rakat mein (sabbih isma rabbika al-‘a’la, surah
87) aur dusri rakat mein (Hal ataaka
hadeesul ghaashiyah, surah 88) padhe aur namaz ke baad talwar ya asa par sahara
dekar zameen par khada ho aur logoon ki taraf moo karke 2 Khutbe padhe aur dono
khutboon ke darmiyan jalsa kare aur agar chahe ekhi Khutba padhe. Khutba mein dua, tasbih, istagfaar aur musalmano ke
liye dua e magfirat ho. Jab thoda sa Khutba padh chuke toh apni chadar lautaye istarah ke
chadar marba hoto upar ka rukh niche aur niche ka rukh upar kare ya (madhur
hoto) dahini taraf ka kinara bayein taraf aur bayein taraf ka kinara dahini
taraf karle (chada sirf imam lautaye muqtadi na lautaye) fatwa sahibeen ka qaul
par hai.
2. jab imam Khutbe se
farigh hoto qible ki taraf moo karke phir apni chadar ko lautaye aur khade hue
sabbih isma rabbika al-‘a’la ki dua mein mashghool ho.
3. muqtadi Khutba aur dua dono waqt qible ki taraf moo kiye
baite rahe Khutbe ke waqt khamoosh rahe aur dua ke waqt aameen kehte jahe.
4. Imam ko chahiye ke
kamzoroon, zayifoon aur bachoon ka wasta de kar dua mange aur dua ke waqt apne
dono haath aasmaan ki taraf uthaye haathoon ko khoob bulandh kare ishi tarah
aur loog bhi haath uthaye.
5. Dua ke liye haath
istarah utaye jaye ke hateliya zameen ki taraf ho aur unki pushth aasmaan ki
taraf (bar khilaf aur duaoon ke).
6. Istesqa ki dua masura
ho yani in duaoon se koi dua ki jaye jo Hazrat Nabi e Kareem (SAWS) se marvi
hai. (اللّهُمَّ اسْقِـنا غَيْـثاً مُغيـثاً مَريئاً مُريـعاً، نافِعـاً غَيْـرَ ضار، عاجِـلاً غَـيْرَ آجِل) / Transliteration: “Allahummas-qina ghaythan mugheethan maree-an
mureeAAan, nafiAAan, ghayra dar, AAajilan ghayra ajil.” Translation: “O Allah,
send upon us helpful, wolesome and healthy rain, beneficial not harmful rain,
now, not later.”
7. Agar Istesqa ko nikalne
se pehle barish shuru hoto bhi mustahab hai ke Allah tala ke shukria ke taur
par saira ki taraf bhighte hue chale jaye ta-ke bargahe rahmat mein ziyadati
ho.
8. Agar barish kasrat se
ho aur lagatar silsila jari rahe jisse nuqsan ka qauf hoto iske bandh hone ki
dua karna jaez hai, iski masura dua ye hai:- " ALLAHUMMA HAWALAINA WALA AALINA ALLAHUMMA AALAL AAKAMI WAL
JIBALI WAZZIRABI WAL AODIYATI WA MANABITIL SHAJR.
Istesqa ka Tariqa:- Istesqa ke liye
mustahab ye hai ke badhshahe waqt logoon ko hukum de ke 3 roz tak roza rakhe
gunahoon se tauba kare muzalim se baaz aye haqdaroon ke huqooq ada kare phir
chaute roz zayifoon aur bachoon ko lekar sehre ke taraf nikle istarah ke sab
phatte purane pewan lage magar pak kapde pehne, apne saroon ko jhukaye hue
chale ta ke inki suratoon se bhi ajizi miskinat khushu wa khuzu zahir ho
(barhana sar aur barhana paier hoto behtar hai) aur gharoon se nikalne ke pehle
maqdoor muwafiq khair khairat kare aasarnau tauba wa astagfar karle, musalmanoo
ke liye dua magfirat kare aur Hazrat Nabi e Kareem (SAWS) par durood behje ishi
tarha barabar 3 roz tak sehra ki taraf nikle aur har roz kamzoroon, zayifoon
aur bachoon ko zaroor hamra le ye bhi hukm hai ke chote chote bachoon ko inki
maaoon se dur rakhe ta ke bachoon ke rone chillane aur fariyaad wazari karne se
logoon ko quqhth ho aur iski wajeh se dariya e rahmat bari josh mein aajaye
neez janvaroon ko bhi saath lejana mustahab hai aur inke bachoon ko bhi inki
maaoon se juda rakhna chahiye.
______________________________________________________
Q11)
Zakat ki tareef ma’a sharaet wajib aur iska hukum aur sehat aadae zakat ki
shartein tehreer karein.
A)
Zakat ki tareef:- Zakat ke mane logat mein pak hone aur
barkat aur badhne ke hai. Aur istelah shara mein apne maal ke ek jazo ka jisko
shariat ne mukharrar kar diya hai khawlisan lillah kisi musalman faqir ko (jo
syed ya syed ka shara’e gulam na ho) (poori tarah) Maalik kardena chunke is
fa’al se baqhi maal pak hojata hai aur ismein haq tala ki taraf se barkat
inayat hoti hai aur is maal ki dunia mein taraqqi hoti hai aur akhirat mein Allah
paak iska 10 times gunah balke isse bhi ziada sawab ata farmata hai, isliye
iska naam zakat rakhagaya hai.
Zakat
ka hukum:-
1. Zakat har musalman
akhil baligh par (khaw mard ho ya aurat) farze ain hai
2. Zakat ki farziyat ka
munkir kafir hai.
3. Zakat ka ada na karne
wala fasiq, ada mein takhir karne wala gunehgar aur ada se rokne wala mustahaq
e qatl hai.
Zakat
ke wajib hone ki 10 shartein hai:-
1. Musalman hona, 2. Azad hona, 3. Baligh hona, 4. Aakhil hona, 5. Nisab ka
hona, 6. Milke taam hona, 7. Maal ka hajate asli se ziada hona, 8. Kharzdar na hona, 9. Nisab ka name hona,
10. Maal par kamil ek saal guzar jana.
Sehat Adaye Zakat ki 6 Shartein hai:- 1. Musalman hona, 2. Aakhil hona, 3. Baligh hona, 4.
Zakat dete waqt ya kul maal se miqdaar zakat alhayeda karte waqt zakat ki
niyyat karna. 5. Jis shakhs ko zakat dijaye isko zakat ka maalik wa khaabis
bana dena, koi shakhs kuch khana pakwakar faqiroon ko ghar mein jama karke
khilade aur zakat ki niyyat kare toh sahi nahi albatta wo khana faqiroon ko
dede aur inhe iqtiyar keke usko jo chahe karle jaha chahe lejaye toh phir
durust hai. 6. Zakat ka maal aise shakhs ko dena joh iska mustahaq hai.
______________________________________________________
Q12)
Namaz e Eidian ke rakat wa takbiraat ma’a tariqa qalam bandh kare wa neez takbir
tashreeq ke ahkam bayan kijiye. (Takbir Tashreeq refer from Q.No 2)
A)
Namaz e Eidian ke rakat wa takbiraat:- 1) Har eid ki
namaz ki 2-2 rakatein hai. 2) Eidian ki namaz mein alva mamuli takbiroon ke har
rakat mein 3-3 istarah har namaz mein 6-6 takbirat-e-Eidian wajib hai. 3)
Eidian ke namaz ki shuru rakat mein ruku ki takbir bhi wajib hai.
Namaz
e Eidian ka tariqa:-
Pehle namaz e eid ki niyyat kare. 2 rakat namaz eid ul fitr ada kartahoon 6 takbiroon
ke saath Allah tala ke vaaste. Imam imaamat ki niyyat kare aur muqtadi iqteda
ki niyyat kare phir takbire tehrima kehkar haath bandhle aur sana padhe phir
imam aur muqtadi Allahu Akbar kehte hue
dono haath kanoo tak utaye aur chodhde, haath chodkar itni deir tawaqquf kare
ke 3 martaba subhanallah ka waqfa ho, phir
dusri martaba ishi tarha Allahu Akbar kehte hue kano tak haath thaye aur
chodhde aur ushi qadr tawaqquf, phir tisiri baar Allahu Akbar kehte kanoo tak haath utha kar iss dafa na
chode balke bandhle phir imam ahista tauz wa tasmia padhkar sureh fateha aur
dusra surah jehar ke saath padhe aur qaide ke muwafiq ruku wa sujood wagaira
karke dusri rakat shuru kare jab dusri rakat mein qirat sureh fateh dusra surah
khatam kar chuke toh imam wa muqtadi har do phir Allahu Akbar kehte hue dono
haath kano tak uthaye aur chodhde aur 3 tasbih ke muwafiq tawakkuf kare, ishi
tarah dusri aur tisiri takbir kehte hue kano tak haath uthakar chodte jaye,
phir bagair haath uthaye chauti takbir kehkar ruku mein jaye aur hasbe qaida
namaz puri karle. Khatam namaz ke baad imam mimbar par khada hokar khutba padhe
aur tamaam loog khamush baithe khutba sune Eidian mein bhi do khutbe hai aur
dono ke darmiyan baithana masnoon hai.
Notes 1:- Eid uz zuha ki
namaz ka bhi yehi tariqa hai. Albatta eidul fitr ke bajaye eiduz zuha ki niyyat
kare. 2:- Eiduz zuha mein bhi woh
sab cheezein masnoon wa mustahab hai jo eid ul fitr mein hai farq is qadr hai
ke eid ul fitr mein eidgah jane se pehle koi cheez khana masnoon hai aur eid uz
zuha mein eidgah se wapis an eke baad. Eid ul fitr mein raasta chalet waqt
ahista takbir kehna masnoon hai aur eid uz zuha mein bulandh awaz se. Eid ul
fitr ki namaz deir karke padhana masnoon hai aur eid uz zuha ki savere. Azan wa
akhamat dono eidain ki namaaz mey nahi hogi.
______________________________________________________
Q13)
Zakat ki farziyat wa fazilat aur uske ada na karne par wayidein se mutalik
mazmoon tehrir kare
A)
Zakat ki farziyat wa fazilat:-
1. Zakat Islam ka tisara rukun hai.
2. Shariyate Mukhaddasa
mein namaz ke baad sabse ziada iski takeed hai aur iski fazilat bhi bahut baar
bayan hui hai.
3. Aur mutaddid baaz jagah
alhahida bhi zikar hai.
4. Ahadees e sharifa mein
bhi namaz aur zakat ka ek jagah bayan farmaya gaya hai.
5. Quran mein 32 baar
namaz ke saat zakat ka bhi zikar aya hai.
6. Quran shareef mein
zakat ada karne waloon ke lia badi badi bashratein hai. Sureh Nisa, Ayat no.
162 mein Tallah ta’ala ka irshad hai ke “ Aur namaz padhne wale aur zakat dene
wale aur Allah par aur Qiyamat par iman rakhne wale yahi loog hai jinko hum
bada ajr ata kareinge”.
7. Hadees shareef mein
irshad hai ke Huzoor e kareem (SAWS) ne farmaya ke (A) Zakat dekar apne amwal
ko masboot khiloon me mehfooz karlo. (B) Jis maal ki zakat nahi dijati wa maal
zaya hojata hai. (C) apne amwal ki zakat nikallo ke paak karne wali hai, tum ko
paak kardegi. (D) zakat islam ka pool hai. (E) tumhare islam ka pura hona ye hai
ke apne amwal ki zakat ada karo.
Zakat
ki Wayidein:-
Quran mein Allah tala ka irshad hai ke “ aur jo loog Allah ke diye hue maal ki
zakat dene mein bhukl karte hai wo ye na samjhe ke bhukl inke liye mufeed hai
balke wo yakeen karle ke wo inke lia bura hai anqareeb qiyamat ke din jis cheez
ke saath unhone bhukl kia hai iska tauq inhe pahuchaya jayega”. (Sureh Aale
Imran ayah 180)
Iss ayate karim ke matlab
ki tauzeeh Hadees sharif mein istarah farmayigayi hai, Hazrat e Nabi e Kareem
(SAWS) ne farmaya ke, jisko Allah tala maal de aur wo uski zakat na ada kare
toh uska wo maal qiyamat ke din uske samne ek maar e siya ki shakal mein zahir
kia jayega jiske do nuqte hote hai, woh iski gardan mein lapat jayega aur iske
dono jabdoon ko pakadlega aur kahega ke mai tera maal hoon tera khazana hoo:.
Phir Aap (SAWS) ne is ayat ki tilawat farmayi. Tarjuma: “Aur jo loog sona aur
chandi jama karte hai aur usko Allah ki raha mein kharch nahi karte zakat nahi
dete toh aye Nabi aap unko ek dardnaak azaab ki khabar suna dijiye jis din ke
woh sona, chandi dozak ki aag mein garam kia jayega phir use unki peshaniya aur
unke pehloon aur unki petein dagi jayegi aur unse kaha jayega ke ye wahi sona
chandi hai jisko tumne apne liye jama kia thaa, ab jo tumne jama kia tha iska
maza chakho” (Sureh Tauba ayah 34,35)
Iss ayate karima ki
mazeed tauzeeh Hadees sharif mein istarah hue hai Hazrat e Nabi e kareem
alaihissalaam ne farmaya ke “koi rupiye dusre rupiye par na rakha jayega na koi
ashrafi dusri ashrafi par rakhi jayegi balke zakat na dene wale ka jism itna
bada kar dia jayega ke lakhoon carodoon rupiein jama kia hoto bhi har rupiye ka
judagan daag hoga”
______________________________________________________
Q14)
Namaze qusoof wa khusoof har ek ki tareef kijiye aur unke ahakamaat tafseel se
tehreer farmaye.
A)
Namaz e qusoof aur khusoof ki tareef:- Qusoof suraj
grahan ko kehte hai. Khusoof chand grahan ko kehte hai. Hadees e shareef mein
marvi hai ke Qusoof aur Khusoof kisi ki maut ka sabab nahi hote balke ye dono
Allah tala ke khudrat ki nashaniya hai. Inse maqsood bandoon ko khuaf dilana
hai, jab tum unko dekho toh namaz padho. Ek aur Hadees mein hai ke jab koi
grahan ko dekhe khaw suraj grahan ho ya chand grahan ho to chahiye ke Allah
tala se dua mange aur Allahu akbar kahe aur namaz padhe aur sadqa dein.
Namaz
e qusoof ke ahkaam:-
1. Namaz e Qusoof sunnat
hai. 2. Namaz e Qusoof jama’at se padhe jaye aur wohi imam padhaye jo juma
padhata ho, agar imam maujood na hoto phir sab loog alahida alahida padhle khaw
masjid mein ho ya apne apne ghar mein. 3. Namaz e Qusoof mein khutba nahi. 4.
Namaz e Qusoof ke liye azan aur aqamat nahi. 5. Namaz e Qusoof ki do rakate hai
aur iske padhneka wohi tariqa hai jo aur nawafil ka hai. 6. Namaz e Qusoof mein
qirat jahar se na kare. 7. Namaz e Qusoof ke baad imam ko chahiye ke dua mein
mashgool ho jaye aur muqtadi ameen ameen kahe. 8. Auqaate makruha mein namaz e
qusoof na padhi jaye balke us waqt sirf dua aur istagfar kare.
Namaz
e khusoof ke ahkaam:-
Khusoof ki namaz
mustahab hai, khusoof ki bhi 2 rakatein hai, lekin isme jamat nahi hai. Iss
namaz ke liye masjid jana bhi zaruri nahi alahida alahida apne apne ghar mein
padhlein.
______________________________________________________
Q15)
Sadqa e Fitr ke ahkaam aur iski miqdaar tehreer karo.
A)
Sadqa e Fitr ke ahkaam:- Sadqa e Fitr wajib hai
iske wajib hone ke liye sirf 3 cheezein shart hai 1. Azad hona, 2. Musalman
hona, 3. Kisi ayse nisab ka malik hona jo asli hajat se ziad ho aur qarz se
mehfooz ho.
Note:- maal ka na (Bhadne
wala) hona ya ispar ek saal ka guzar jana shart nahim, na maal ka tijarati hona,
ya sahebe maal ka baligh wa aakhil hona shart hai, hatta ke na-baligh bachoon
aur majnoon par bhi sadqa fitr wajib hai inke aulia ko inki taraf se ada karna
chahiye.
Sadqa e fitr ke sahi hone
mein wohi sab shartein hai jo zakat ke sahi hone me thee. Sadqa e Fitr eid ul
fitr ke din subah sadiq tulu hotehi wajib hota hai. Sadqa e Fitr ke adayi ka
waqt tamaam umar hai, lekin mustahab waqt eidgah mein jane se pehle hai yani
namaz eidul fitr ke liye eidgah se jane se qabl Sadqa e Fitr ada karna mustahab
hai. Namaz ke baad bhi ada karle toh jayez hai aur jab tak ada na kare barabar
wajibul ada rahega khaw kitnihi muddad guzar jaye sakhit nahoga. Sadqa e Fitr
wajib hone ke lia roza rakhna shart nahi. Sadqa e Fitr apni zaat ki taraf se
neez apni na-baligh aulad ki taraf se ada karna wajib hai, lekin agar khudh
na-balighoon ka maal hoto inke maal mein se ada kare. Baligh aulaad ki taraf se
Sadqa e Fitr ada karna wajib nahi (agarche wo baap hi ke zere parvarish ho)
albatta majnoon hoto unki taraf se ada karna wajib hai. Maa par apne chote
bachoon ki taraf se Sadqa e Fitr wajib nahi. Shohar par zauja ka Sadqa e Fitr
wajib nahi (zauja ko apne maal mein se ada karna chahiye).
Sadqa e Fitr ki
miqdaar ye hai ke agar giyahun (wheat) hoto aadah sa (1.25 kg) har shakhs ki
taraf se dena chahiye aur agar jau ya khajur ya munaqqah hoto ek sa (2.50 kg)
(Note:- giyahun ke alawa kuch dena chahatein hoto 1.25 giyahun ki qimat ke
mutabiq kuch bhi de). Ek shahks ka Sadqa
e Fitr ek miskin ko dena behtar hai aur agar kayi masakeen ko diya jaye tab bhi
jayez hai ishi tarah ek miskeen ko kayi ashkhas ka fitra dena bhi jayez hai.
Sadqa e Fitr bhi unhi logoon ko dena chahiye jinko zakat de-sakte hai aur jinhe
zakat nahi desakte unhe Sadqa e Fitr nahi dia ja sakta.
______________________________________________________
Q16)
Zakat ke ahkaam aur nisab se kya murad hai.
A)
Zakat ke ahkaam:- Mah ramzan ul Mubarak mein nikiyoon
ka ajar kayi guna ziada milta hai isliye umuman zakat bhi is mah mein nikali
jati hai ke maal pak hona aur barkat badhne ke hai. Shariyat mein baqadre nisab
maal jispar ek saal guzar chukaho chaliswa (2.5%) fisad hisse ka mustahiq
musalman ko malik bana dena hai.
Sona aur chandi ki zakat:- sona aur chandi kisi halat wa shakal mein ho maslan
zewar bartan wagaira inmein 2.5% fisad zakat farz hai. Chandi ka nisab 425 gram
285 milligram hai aur sone ka nisab 60 gram 755 milligram hai. Chandi aur sone
ki qimat jo iss waqt bazaar mein qaraar paye iss naqd (price rate) ke bamaujib
naqadh ya jins kharid kar zakat mein dija sakti hai.
______________________________________________________
Q17)
Nisab ahle khidmat e shareya ka kyun madoon kia gaya aur iski zarurat kyun
mehsoos kigayi mukammil tafseel bayan karte hue sahebe kitab ke mutaliq apne
malomaat ko qalm bandh kare.
A) Maullif kitab e haza Qazi Gulaam Mohiuddin sahib
marhum qazi karkar ghanpura zilla mahboobnagar ki paidaish ba-tariq 21 moharram
1300 hijri mein huwi. Aapke walid ka naam Muhammed Umar marhum hai. Qaza’at
apke maurase aulia Qazi Shaik Rafiuddin sahib toh Aurangzaib Aalamgiri (RA) ne
ata ki. Aap Jamia Nizamia ke farig ut tahseel hai. Shaik ul Islam Hafiz Muhammed
Anwaar Ullah Farooqi fazilate jung alahi rahma ne apko islah ahle khidmat
sharayi ke lia tarteeb e nisab ka kaam unke zimme dia hai. Apne hukum ki tameel
farmate hue Nisab Ahle Khidmate Sharai ki talif farmayi, jismein tamaam deeni
masael ko jama farmaya. Bani e Jamia ne iss kitab ko bahut pasand farmaya aur
nizamia ke nisab mein isko shamil kia gaya.
______________________________________________________
Q18)
Juma ke fazail aur Sabiqa Ummatein
A)
Ahadisa sharifa mein juma ke din ko Syedul Ayyaam, Khairul Ayyam, Afzalul
ayyam, Shahed, Yaumul mazeed aur Eid ul Momineen farmaya gaya hai.
1.
Ahadise e sharifa:- Huzoor Sallalahu Alaihi wasallam
irshad farmate hai ke tamaam dino se behtar juma ka din hai. Issi mein Hazrate
Adam Alaihissalaam paida kiye gaye, issi din wo jannat mein bheje gaye aur issi
din jannat se bahar laye gaye aur qiyamat bhi issi din hogi.
2.
Ahadise e sharifa:- Huzoor Sallalahu alaihiwasallam
irshad farmate hai juma ka din tamam dino ka sardar hai aur Allah pak ke paas
sabse ziada buzurg hai eid ul fitr aur eid ul azha se bhi ziada ba-azmath hai.
3. Ahadise e sharifa:- Huzoor Sallalahu Alaihi
wasallam irshad farmate hai tumhare sab dino mein juma ka din afzal hai issi
din suur punka jayega, issi din mujhpar ba-kasrat durrod bhejo ke wo mere
saamne laya jata hai.
4. Ahadise e sharifa:- Huzoor Sallalahu Alaihiwasallam
irshad farmate hai shahed se murad juma ka din hai koi din juma se ziada buzurg
nahi ismein eksa’at aysi hai ke us waqt musalman Allah tala se dua kare toh
qubool hoti hai.
5.
Ahadise e sharifa:- Huzoor Sallalahu Alaihi wasallam
irshad farmate hai juma ka din Allah tala ke nasdiq yaumul mazeed yane behisab
dene ka din hai. Ahle asmaan mein iska yehi naam hai aur yehi wo din hai
jismein jannat ke andar Janab e Bari tala ka didaar hoga.
6.
Ahadise e sharifa:- Huzoor Sallalahu Alaihi wasallam
irshad farmate hai musalmano iss din ko Allah tala ne eid muqarrar farmaya hai.
Bus is din ghusul karo aur maujood hoto khusboo lagao aur miswak ko iss din
lazim karlo.
7.
Ahadise e sharifa:- Huzoor Sallalahu Alaihi wasallam
irshad farmate hai juma ki raat noorani raat hai aur juma ka din munawwar din
hai.
8.
Ahadise e sharifa:- Huzoor Sallalahu Alaihi wasallam
irshad farmate hai jo musalman juma ke din ya juma ki raat mein marta hai uske
lia shaheed ka ajar likha jata hai aur Allah tala usko Azab e qabar se mehfooz
rakhta hai.
9.
Ahadise e sharifa:- Huzoor Sallalahu Alaihi wasallam
irshad farmate hai har roz dopahar ke waqt dozakh teez ki jati hai magar juma
ke din juma ki barkat se teez nahi ki jati.
Juma
aur Sabiqa Ummatein:-
Ahdise sharifa se
sabit hai ke agli ummatoon ko bhi Allah tala ne juma ke din jama hone aur
ibadat karne aur shukre niymat baja lane ka hukum tha. Magar unho ne badh-nasibi
se ismein ikhtelaf kia aur iss sa’adat se mehroom rahe aur ye fazilat bhi ssi
ummatein marhuma ke hisse mein ayi yane juma ke badle yahudiyoon ne shambe ka
din mukharrar kia, iss khiyaal se ke khud wande aalam tamaam makhluqat ki
paidaesh se issi din farigh hua. Aur nasara ne ekshambe ko qkhtiyar kia iss
khiyal se ke ye aaghaaz ka din hai, chunache ye dono firkhe abtak indono dino
mein nihayat ahtemaam karte aur sab karobaar chodkar ibadat mein masroof rehte
hai. Lekin juma ka din kyunki nasal insane ke assal awwal Hazrat Adam Alaihi salaam
paidaesh ke lehaz se nuh insaan ke saath khas munasibat rakhta tha aur Allah
tala ka pasindida aur muntakhib farmuda bhi tha isliye iss din ko bahidayat
Ilahi is uummate marhuma ne paya. Hadise shareef mein warid hai ke Huzoor Nabi
e kareem (SAWS) ne farmaya ke hum (bilihaz zamana) pechle hai lekin (amlan)
sabse agle hai is (Ibadat ke maqsoos din yane juma) mein sab loog hamare piche
hai. Yahood hum se dusare din shamba mein hai aur nasara tisere din ekshamba
mein aur jis tarha hamara dil dunia mein in ke din par mukhaddum hai ishi tarha
qiyamat mein bhi Ummate marhuma in par muqaddam hogi ke awwal yahi ummat hisab
wa kitab se faraghat pa jayegi.
______________________________________________________
Q19)
Namaz e Juma ki takeed, Farziyat wa fazilat
A)
Namaz e Juma ki takeed:- Namaz e Juma Islam ke ala
aur aham faraez se hai jisko tamaam farz namazoon mein ek khaas imtiyaz hasil
hai. Iski ada ka wahi waqt hai jo zohar ke ada ka hai, magar zohar ki ada se
ziada iske ada ki takeed aur iske ada ka sawab bhi zohar ke sawab se ziada hai
neez iske tark ki saza aur azab zohar ke tark ki saza aur azab se bahut ziada
sakth hai. Al garz juma ki namaz panchgana namazoon mein ek maqsoos aur
mustakhil namaz hai aur farz e aain hai iski nisbat Quran e Majeed mein irshad
hota hai. Aye iman waloon jab namaz juma ke lia azan kahi jaye toh tum loog
Allah tala ke zikr (khutba wa namaz) ki taraf daudo fauran jao aur kharid wa
faroog chodhdo ye tumhare liye behtar hai agar tum jano (Sureh Juma, ayat – 9)
Namaz
e juma ki Farziyat wa Fazilat:-
Ahadise
sharifa mein warid hai ke Huzoor Nabi e Kareem (SAWS) ne farmaya ke juma
masakin aur fuqara ka Haj hai, juma meri ummat ke faqiroon ka hajj, namaz juma
jamat ke saath har musalman par haq wajib hai bajuz 4 ashkhas k eek ghulam
dosara aurat tisara ladaka chauta bimar in par farz nahi ishi tarha musafir aur
na-bina par farz nahi, jo shakhs juma ke din ghusul aur taharat ba-qadre imkan
kare aur phir balloon mein tayl lagaye aur khushbu ka istemal kare iske baad
namaz ke liye jaye aur jab masjid mein pahunche toh kisi shakhs ko iski jagah
se uthakar na baiteh pahir jis qadr nawafil iski qismat mein hoon padhe phir
jab imam Khutba padheine lage toh
khamoosh rahe to aise shakhs ke ghunah iss waqt se dusare juma tak mauf
hojayege
A. Jo koi juma ke
din acchi tarha ghusul kare aur savere jama-masjid piyadapa jaye sawar ho kar
na-jaye phir khutba sune aur iss asna mein koi laufz fail na kahe toh isko har
qadam ke auoz kamil ek saal ki ibadat ka sawab milega ek saal ke rozon ka ek
saal ki namazoon ka.
______________________________________________________
Q20)
Tarke Juma ki wayeedein mukammal qalam bandh kijiye.
1. Hadees Shareef:- Huzoor Nabi e
Kareem (SAWS) farmate hai ke mera musammam irada hua ke kisiko apni jagah imam
karoon aur khud un logoon ke gharoon ko jaladun jo juma me hazir nahi hote.
2. Hadees Shareef:- Huzoor Nabi e
Kareem (SAWS) farmate hai ke juma ki namaz tark se baaz rahe warna Allah ta’la
unke diloon par mohar kardega phir wo sakht ghaflat mein padh jayegein.
3. Hadees Shareef:- Huzoor Nabi e
Kareem (SAWS) farmate hai jo shakhs bila zarurat juma ki namaz tark karta hai
wo munafiq likhdiya jata hai aysi kitab mein jo kabhi mitne wali hai na badalne
wali.
4. Hadees Shareef:- Huzoor Nabi e
Kareem (SAWS) farmate hai jo shakhs 3 jumein bila uozr tark karde toh Allah
tala uske dil par mohar kardete hai.
5. Hadees Shareef:- Huzoor Nabi e
Kareem (SAWS) farmate hai ke Allah subhana wa tala isse bezar hote hai jisne
pai dar pai musalsal 3 juma tark kardiye bilashuba isne Islam ko pase pusht
daldiya.
6. Hadees Shareef:- Huzoor Nabi e
Kareem (SAWS) farmate hai jo shakhs Allah tala par aur roze qiyamat par iman
rakta ho isko juma ke din namaz e juma padhna farz hai. Magar mariz, musafir,
aurat, ladka aur ghulam (mustasna hai). Bus agar koi shakhs namaz e juma
chodhkar laghu kaam ya tijarat mein mashghool hojaye Allah tala bhi isse
ayeraaz fermata hai aur wo beniyaz aur mehmood hai yani isko kisi ki ibadat ki
parwah nahi aur wo bahema sifat mausoof hai.
7. Hadees
Shareef:- Huzoor Nabi e Kareem (SAWS) Khutba padha aur Khutbe mein farmaya. “Aye logoon
marne se pehle tauba karo aur neik kaam karne mein jaldi karo aur yaad e khuda
ki kasrat aur zahir wa poshida sadqe ki kasrat, jo talukhat tumhare aur tumhare
Rab ke darmiyan hai inko milao agar aysa karoge toh tumhe rozi dijayegi aur
tumhari madad ki jayegi aur tumhari shikastagi duur ki jayegi aur jaanlo ke Allah
tala ne tumpar juma farz kia hai issi muqam mein issi mahine mein issi saal
mein qiyamat tak farz rahegi. Jo shakhs meri zindagi mein ya mere baad halka
jaan kar ya bataur inkar juma ko tark kare aur iska koi iman ho adil ya zalim
toh Allah tala iski pareshaniyoon ko dafa na kare na iske kisi kaam mein barkat
de. Aagah raho ke iski namaz qubool hogi, na zakat, na roza, na Hajj, na koi
neki jab tak ke woh tauba na kare agar tauba karle toh Allah tala iski tauba
qubool farmaega.
______________________________________________________
Q21)
Namaz e juma ka hukum, Wajib aur sahi hone ki shartein qalam bandh kijiye.
A)
Namaz e juma ka hukum:- Namaz e juma farz e aain
hai. Quran e majeed, Ahadis e sharifa aur ijma e ummat se sabit hai aur
banisbat namaz e zohar ke ziada maukada hai iski farziyat ka munkir kafir hai
aur beuozr tark karne wala fasiq hai.
Namaz
e juma ke wajib hone ki 6 shartein hai:-
1. Muqeem hona, 2. Tandurust hona, 3. Aazad hona, 4. Mard hona, 5. Jame masjid
tak chalne par qadir hona, 6. Bina hona.
Hazbe
zail afrad par namaz e juma wajib nahi:-
1. Bimar, 2. Bimardaar par jabke koi khabargir na rahe, 3. Nihayat zayeef aur
budeh par, 4. Ghulam, 5. Aurat, 6. Ayse langde par jo masjid tak na ja sakta ho
. 7. Andhe par jab ke masjid tak usko pahuchane wala koi nahi ho.
Notes:- 1. Agar musafir,
bimar, ghulam, aurat, langada, andha juma ada kare toh namaz hojayegi aur zohar
ka farz unke zimme se utar jayega. 2. Ayse logoon ko juma wajib nahi zohar ke
bajaye juma padhna afzal hai. 3. Aurat ko juma ke bajaye zohar hi padhna afzal
hai.
Namaz
Juma ke sahi hone ki shartein: 1. Misar (yane jaha badi
se badi masjid me wahan ke rahne wale nasama sakein), 2. Baadhshah Islam, 3.
Waqt Zohar, 4. Khutba , 5. Jamat, 6. Izne aam.
______________________________________________________
Q22)
Khutbe ki Sunnatein, Mustahabaat aur Makruhaat qalam bandh kare.
A)
Khutbe ki Sunnatein:- 1. Ba-Taharat Khutba padhna, 2. Qhade hokar Khutba padhna. 3. Khateeb ka khaum ki taraf muh
karna, 4. 2 Khutbe padhna. 5. Donoo Khutboon ke darmiyan itni deyr baitna ke 3
ayatein padh sake ya Khutba padhne wale
ke tamaam aazayein qarar payegana, 6. Khutba shuru karne se qabl dil mein tauz padhlena, 7.
Khutba aysi awaz mein padhna ke loog sun
sake, 8. Khutba Al-Hamdulillah se shuru
karna. 9. Khutba oola mein 3 cheezon ka
hona Allah tala ki hamd wa sana iski wahdaniyat ki shahadat Hazrat Rasool e
Kareem (SAWS) ki Risalat ki shahadat aap par Durood e shareef musalmano ko vaaz
wa nasihat Quran e Majeed ki 3 choti ayatein ya ek badi ayat aur Khutba sania mein phir hamd w asana shahadatein,
Durood e Shareef aur Quran e Majeed ki ek ayat padhna aur vaaz wa nasihat ke
bajaye musalmano ke lia dua karna, 10. Khutba ko ziada lamba na karna balke har doo Khutboon
ko tilawate mufassal mein se kisi sureh ke barabar karna. Note: Khutba muqtasar
aur namaz se kam rahe aur namaz ba-muqabale Khutba taweel. 11. Khutba mimbar par padhna, 12. Doono Khutboon ka
Arabic zuban mein hona.
Note: Khutba
Arabic mein padhna sunnat e maukada hai
Arabic ke siva kisi aur zuban mein padhna ya Arabic ke saath kisi aur zuban ka
nazm ya nasr mila dena khilafe sunnat e maukada aur makruhe tahrimi hai.
Note: Badan dhanke huwe Khutba
padhna aur Khutba padhte waqt asa pakadhna aur Khutba shuru karne se pehle jabke mauzan dusiri azan
kehta ho imam ka mimbar par baitna ye umur bhi sunnat hai.
Khutbe
ke Mustahabaat:-
1. Khutbe mein hamd w asana shahadatein
ke baad lafz am-maba’ad se padhe wa nasihat shuru karna, 2. Khutba sania mein Hazrat Nabi e Kareem (SAWS) ki aal
e athar, Azwaje mutaharraat, sahaba ekraam, khususan khulafa e rasheedeen wa
ashra e mubash-shara aur Hazrat (SAWS) ke ammain mukarramain Hazrat Hamza (RA)
aur Hazrat abbas RaziAllahu tala alaihim ajmayeen ka zikr aur inke liye dua
karna.
Note:
Baadhshah e Islam ke liye bhi dua karna jayez hai. 3. Dusare Khutbe ko ba
nisbat pehle Khutbe se zara pasth awaz se padhna. 4. Khatib ka juma ke din siya
amaama bandhna.
Khutbe
ke Mukruhaat:-
1. Dusiri azan khatam hone se pehle Khutba
shuru kar dena. 2. Sirf Khutbe oola par
ittefa karna ya 2 Khutboon ke darmiyan jalsa tark kar dena. 3. Khutbe ko ziada
taweel kardena ya 3 ayatoon se bhi kam kar dena. 4. Khatib ka Khutba padhne ke halat mein kalam karna.
Q23)
Namaz e Juma ke Ahkaam Mukammal Tehreer kijiye.
A)
Namaz e Juma ke Ahkaam:- 1. Juma ke din bajaye 4 rakat namaz e zohar ke 2 rakat juma faz hai.
2. Farz juma ke pehle 4 phir farz ke baad 4 istarah juma ki 8 rakatein sunnat e
maukada hai. 3. 4 Rakat sunnat badal juma ke baad phir 2 rakat padhna mustahab
hai. 4. Agar koi shakhs khudba padhte waqt aye toh woh 4 rakat sunnat khablal
juma na padhe, balke khutba sune mein mashgool hojaye aur farz juma ke baad in
sunnatoon ko ada karle. 5. Namaz e juma ki pehli rakat mein sureh juma aur
dusiri rakat mein sureh munafiqhoon ya pehle mein sabbih isme rabbikal aala aur
dusiri mein hal ataka hadisul ghashiya padhna masnoon hai. 6. Juma ke farz mein
qirat jehar se padhi jaye. 7. Jo shakhs sab namaziyoon mein imamat ke layak
hai, wohi juma mein bhi imamat ke layak hai. 8. Jo shakhs khutba padhe uska
namaz padhna behtar hai, aur agar koi dusara padhaye tabbhi jayaz hai ba-sharte
ke usne khutba suna ho. 9. Us shakhs ko jisne khutba na suna ho imam banakar namaz
padhana durust nahi. 10. Agar namaz shuru kardene ke baad imam ke hadas hojaye
aur woh us waqt kisi shakhs ko khalifa banade toh usmein ye shart nahi ke
khudba sunne mein sharik ho balke jisne khutba nahi suna iska khalifa banana
bhi durust nahi. 11. Musafir ya bimar ya ghulam jin par namaz juma farz nahi
agar ye namaz e juma ke imam banaye jaye toh jayaz hai. 12. Khutba khatam hote
hi fauran akhamat kehkar namaz shuru kardena masnoon hai, khutba aur namaz ke
darmiyan koi duniyavi kaam ya baat cheet karna durust nahi. 13. Agar Koi shakhs
namaz e juma ke qaide mein Attahiyatu padhte waqt ya sajda sahu ke baad aakar
mile toh iski shirkat sahi jojayegi bus woh 2 rakat namaz e juma tamaam karle
zohar na padhe. 14. Jis shakhs par juma farz hai isko shaher mein juma hojane
se pehle zohar padhna makruhe Tehrimi hai, aur zohar padhlene ke baad bhi jume
ke liye jana farz hai. Phir agar juma ke liye masjid jaye aur us waqt imam
namaz e juma mein hoto uski namaz e zohar batil hojayegi, usko chahiye ke agar
juma mil jaye to padhle warna dobara zohar ki namaz padhle.
______________________________________________________
Khitabat Notes for Jamia Nizamia Exam Model Papers Q & A
All Islamic courses notes (click here)
Diploma In Arabic Course Books
S.No Books
1 Sharah Fiqh - E – Akbar (Click Here)
2 Noor Ul Eizah (Click Here)
3 Arbayeen Fil Hadees (Click Here)
4 Risaleh Deeniyaat (Click Here)
5 Seeratun Nabi (Saws) (Click Here)
6 Nahu (Click Here)
7 Minhaj Ul Arabia 1-3 Parts (Buy)
8 Anwarul Arabia Attatbiqayyah (Buy)
9 Al-Jadeed 1-2 Parts (Buy)
___________________________________________________
You may be like this Contents ⤵️ [hide]
0 Comments